Monday, September 28, 2015

DEEN E ILM


BISMILLAH

ALLAH TALA NE SAB SE PEHLI WAHI JO NAZIL KI WO ILM KE MUTALIQ E THI

Aisha Siddiqa Radi Allahu'anha farmati hai:

" Aap Sallallahu Aalaihi wasallam Gaar-e-Hira hi mein qayaam bazeer thaye ke aachanak hazrat Jibrail Aalaihis'Salaam Aap ke paas hazir huwe aur kehne lagen ke Aye Muhammad ! padho: Aap farmate hai ke Maine kahan ke Main padhna nahi jaanta hu, Aap Sallallahu Aalaihi wasallam farmate hai ke: "Fariste ne Mujhe pakad kar itni zor se bhencha ke Meri taqat jawaab de gayi, (aisa 3 baar huwa) Fariste ne Teesri baar Mujko pakda aur Teesri baar phir Mujko Bhencha phir Mujhe chohod diya aur kehne laga ke:

"Iqrah Bismi Rabbikal Lazee Khalaq, Khalaqal Insana Min Aalaq, Iqrah wa Rabbukal Akram."

TARJUMA :

"Pad Apne Rab ke naam se jisne paida kiya, jisne insaan ko khoon ke lothdey se paida kiya, Tu padta reh Tera Rab bada karam wala hai."

[Saheeh Bukhari, Kitaab Badil Wahi, Hadees 3]

ILM KI FAZILAT :

Imam Bukhari Rahimahullah ne Kitabul Ilm mein baab "Ilm ki Fazilat ke bayaan mein" is ke baad likkha:

Aur Allah Pak ne farmaya:

"Jo tumme Emaandaar hai aur jinko Ilm diya gaya hai Allah inke darje buland karega aur Allah ko tumhare kamo ki qabar hai."

📖[Surah Mujadila Aayat 11]

Aur Allah Tala ne farmaya:

"(ke yu Dua kiya karo) Parwardigaar Mujko Ilm mein taraqqi dey."

📖[Surah Taha Aayat 114]

AAMAL SE PEHLE ILM HASIL KARNA CHAHIYE :

Imam Bukhari Rahimahullah ne ek aur baab likkha "Is bayaan mein ke Ilm (ka darja) Qaoul wa Aamal se pehle"

Allah Tala ne farmaya: "Jaan lijiye ke Allah ke siwa koi Ebadad ke layaq nahi."

📖[Surah Muhammad Aayat 19]

ILM ULAMA SE HASIL KARNA CHAHIYE :

Allah ke Nabi Sallallahu Aalahi wasallam ne farmaya:

"Allah'Tala ilm ko iske baad ke tumhe diya hai ek dum se nahi outhayega balki isse is tarha khatam karega ke Ulama ko inke ilm ke sath outha lega phir kuch Jahil loug baqi reh jayegen inse Fatwa pouchey jayegen aur wo Fatwa Apni Rai ke mutabiq degen bas wo lougo ko Gumrah karegen aur wo kudh bhi Gumrah hogen."

[Saheeh Bukhari, Hadees 7307]

DEEN KI SAMAJ MILNA ALLAH KI TARAF SE HAI:

Allah ke Rasool (Sallallahu Aalaihi wasallam) ne farmaya:

"Jis shaks ke sath Allah'tala bhalayi ka irada kare usko Deen ki samahj enayat farma deyta hai."

[Saheeh Bukhari Hadees 71]

No comments:

Post a Comment