Monday, September 28, 2015

SURAH BAQRAH TAFSEER

BISMILLAH IR-REHMAN IR-RAHIM

📖SURAH BAQRAH TAFSEER 

AYAT NO 33,34,35 & 36

قَالَ يَا آدَمُ أَنبِئْهُم بِأَسْمَائِهِمْ ۖ فَلَمَّا أَنبَأَهُم بِأَسْمَائِهِمْ قَالَ أَلَمْ أَقُل لَّكُمْ إِنِّي أَعْلَمُ غَيْبَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ وَأَعْلَمُ مَا تُبْدُونَ وَمَا كُنتُمْ تَكْتُمُونَ

TARJUMA

ALLAH TALA NE HAZRAT ADAM (A.S) SE FARMAYA TUM INKE NAAM BATADO- JAB INHION NE NAAM BATA DIYE TO FARMAYA KE KYA MAINE TUMHEN PEHLE NA HI KAHA THA KE ZAMEEN AUR AASMAN KA GAIB MAI HI JANTA HU AUR MERE ILM ME HAI JO TUM ZAHIR KARTE HO AUR JO TUM CHUPATE HO

TAFSEER

AYAT ME ASMAA SE MURAD WO CHEEZO KE NAAM AUR INKE ACHE AUR FAIDE KA ILM HAI JO ALLAH TALA NE ADAM (A.S) KO SIKHLA DIYA- PHIR JAB IN SE KAHA GAYA KE AADAM INKE NAAM AUR FAIDE BATALAO TO UNHON NE FORAN SAB KUCH BAYAN KARDIYA JO FARISHTE BAYAN NA KAR SAKE- IS TARAH ALLAH TALA NE EK TO FARISHTON PAR HIKMAT TAQLEEQ E AADAM WAZEH KARDI- DOOSRE DUNIYA KA NIZAM CHALANE KE LIYE ILM KI EHMIYAT AUR FAZEELAT BAYAN FARMA DI JAB YE HIKMAT AUR EHMIYAT E ILM FARISHTON PAR WAZEH HUI TO INHON NE APNE QASOOR ILM AUR FAHEM KA ETRAAF KARLIYA- FARISHTO KE IS ETRAAF SE YE B WAZEH HUA KE AALIM UL GAIB SIRF SIRF ALLAH KI ZAAT HAI, ALLAH KE BURGAZIDA BANDO KO BHI ITNA HI ILM HOTA HAI JITNA ALLAH TALA INHEN ATAA FARMATA HAI

-----------------------------------------------------
AYAT 34

وَإِذْ قُلْنَا لِلْمَلَائِكَةِ اسْجُدُوا لِآدَمَ فَسَجَدُوا إِلَّا إِبْلِيسَ أَبَىٰ وَاسْتَكْبَرَ وَكَانَ مِنَ الْكَافِرِينَ

TARJUMA

AUR JAB HUMNE FARISHTO SE KAHA KE ADAM KO SAJDA KARO TO IBLEES KE SIWA SABNE SAJDA KIYA- ISNE INKAR KIYA AUR TAKABBUR KIYA AUR WO THA HI KAFIRON ME SE

TAFSEER

ILMI FAZEELAT KE BAAD ADAM A.S KI YE DOOSRI TAKREEM (IZZAT) HUI- SAJDA KE MAINE (MEANING) HAI " ZAMEEN PAR PESHANI KA TIKA DENA" YE SAJDA SHARIYAT ISLAMIYA ME ALLAH TALA KE SIWA KISI KE LIYE JAYEZ NAHI HAI- NABI ﷺ KA MASHOOR FARMAN HAI KE AGAR SAJDA KISI AUR KE LIYE JAYEZ HOTA TO MAI AURAT KO HUKUM DETA KE WO APNE KHAWIND (HUSBAND) KO SAJDA KARE- FARISHTO NE ALLAH KE HUKUM PAR HAZRAT ADAM A.S KO SAJDA KIYA JIS SE INKI TAKREEM (IZZAT) AUR FAZEELAT WAZEH KARDI GAYI KYU KE YE SAJDA TAZEEM KE TOUR PAR HI THA NA KE IBADAT KE TOUR PAR- AB TAZEEM KE TOUR PAR BHI KISI KO SAJDA NAHI KIYA JA SAKTA-IBLEES NE SAJDE SE INKAR KIYA AUR GUNAHGAR HO GAYA- IBLEES QURAN KE MUTABIQ JINNAT ME SE THA LEKIN ALLAH TALA NE ISE FARISHTO ME SHAMIL KAR RAKHA THA, IS LIYE BA HUKUM E ILAHI ISKE LIYE BHI SAJDA KARNA ZAROORI THA LEKIN ISNE HASAD AUR TAKABBUR KI BINA PAR SAJDA KARNE SE INKAR KAR DIYA- IS LIYE HASAD AUR TAKABBUR WO GUNAH HAI JINKA IRTEKAAB DUNIYA E INSANIYAT ME SABSE PEHLE KIYA GAYA AUR ISKA MURTAKAB IBLEES THA.

------------------------------------------
AYAT NO 35

وَقُلْنَا يَا آدَمُ اسْكُنْ أَنتَ وَزَوْجُكَ الْجَنَّةَ وَكُلَا مِنْهَا رَغَدًا حَيْثُ شِئْتُمَا وَلَا تَقْرَبَا هَٰذِهِ الشَّجَرَةَ فَتَكُونَا مِنَ الظَّالِمِينَ

TARJUMA

AUR HUMNE KEH DIYA KE AYE ADAM! TUM AUR TUMHARI BIVI JANNAT ME RAHI AUR JAHA KAHI SE CHAHO KHAAO AUR PIYO, LEKIN IS DARAQT KE QAREEB BHI NA JANA WARNA ZALIM HO JAOGE-

TAFSEER

YE HAZRAT ADAM KI TEESRI FAZEELAT JO JANNAT KO BANAKAR ATAA KI GAYI- YE DARAQT KIS CHEEZ KA THA? ISKE MUTALUQ QURAN AUR HADEES ME KOI DALEEL NAHI HAI- ISKO GANDOOM KA DARAQT MASHOOR KARDIYA GAYA HAI JO BE ASAL BAAT HAI HUME ISKA NAAM MALOOM KARNE KI ZAROORAT HAI, NA ISKA KOI FAIDE HI HAI

------------------------------------------------------------------------
AYAT NO 36

فَأَزَلَّهُمَا الشَّيْطَانُ عَنْهَا فَأَخْرَجَهُمَا مِمَّا كَانَا فِيهِ ۖ وَقُلْنَا اهْبِطُوا بَعْضُكُمْ لِبَعْضٍ عَدُوٌّ ۖ وَلَكُمْ فِي الْأَرْضِ مُسْتَقَرٌّ وَمَتَاعٌ إِلَىٰ حِينٍ

TARJUMA

LEKIN SHAITAN NE INKO BEHKA KAR WAHA SE NIKALWA HI DIYA AUR HUMNE (ALLAH NE) KEH DIYA KE UTAR JAAO TUM EK DOOSRE KE DUSHMAN HO AUR EK WAQT MUQARAR TAK TUMHARE LIYE ZAMEEN ME THAIRNA HAI AUR FAIDE UTHANA HAI

TAFSEER

SHAITAN NE JANNAT ME DAQIL HOKAR INHEN BEHKAYA YA WASWASA ANDAZI KE ZARIYE SE ISKI KOI DALEEL NAHI- YE WAZEH HAI KE JIS TARAH SAJDE KE HUKUM KE WAQT ISNE HUKUM E ILAHI KE MUQABLE ME QAYAS (aqal) SE KAAM LEKAR (KE MAI ADAM SE BEHTAR HU) SAJDE SE INKAR KIYA ISI TARAH IS MOUQE PAR ALLAH TALA KE HUKUM ( ولا تقربا ) KI TAWEEL KARKE (na manke) HAZRAT ADAM (A.S) KO PHUSLANE ME KAMIYAB HO GAYA- JISKI TAFSEEL SURA ARAAF ME AAYEGI- GOYA HUKUM E ILAHI KE MUQABLE ME QAYAS AUR NAFS KI DOUR AZKAR TAWEEL KA ERTEKAAB (start ) BHI SABSE PEHLE IBLEES NE KIYA-
DONO EK DOOSRE KE DUSHMAN SE MURAD ADAM AUR SHAITAN HAI YA YE MATLAB HAI KE BANI ADAM APAS ME EK DOOSRE KE DUSHMAN HAI

No comments:

Post a Comment