BISMILLAH IR-REHMAN IR-RAHIM
📖 SURAH QADR TRANSLATION
Yaqinan Hum ne usey Qadr mein nazil farmaya , Tuu kiya samjha k Shab e Qadr kia hai ? Shab e Qadr ek Hazaar mahino se behtar hai ,Us (mein har kaam )k sar anjam deney ko Rab k hukum se Farishte aur Rooh (Jibraeel) utarte hain , ye sarasar Salamti ki hoti hai aur Fajr k tulu hone tak (hoti hai).
(Al Quran, Surah Qadr )
TAFSEER
Is surat k Makki aur Madani hone mein iqtelaf hai .Al Qadr k mayene Qadr wa Manzilat bhi hain isliye Shab e Qadr kehte hain , Iske mayene Andaza aur Faisla karna bhi hain is mein Sal bhar k liye Faisle kiye jate hain isliye isey Lailat ul Hukum bhi kehte hain , Iske mayene Tangi k bhi hain is Raat itni kasarat se Zamin per Farishte utartey hain k zamin tang hojati hai .Shab e qadr yani Tangi ki raat ya isliye ye nam rakha gaya k is Raat jo ibadat ki jati hai Allah k han iski badi Qadr hai aur ismein bada Sawab hai .
Ahadees se wazey hai ye Ramadan k akhri ashrey ki Taq raaton mein se koyi Ek raat hoti hai .Iske mabhum rakhne mein yehi hikmat hai k log panchon hi Taq raton mein iski fazilat hasil karne k shawq mein Allah ki khoob ibadat karein.
Quran utarne ka aghaaz kiya ya Looh e mehfuz se is Bait ul izzat mein jo Asmaan e Duniya p hai ek hi martaba utar diya aur wahan se hasb e waqiye Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam per utarta raha taa anka 23 saal mein poora hogaya aur is ayat se sabit hota hai k Lailat ul qadr Ramadan hi mein hoti hai q k (Ramadan wo mah e muqadas hai jismein Quran ka nuzool hua 📖(Al Baqra 185:2)
se wazey hai k Quran Ramadan mein nazil hua aur Qadr ki is ayat se maloom hota hai k Quran Qadr ki raat utra hai lehaza sabit hua k Lalat ul Qadr ramadan mein hoti hai jaisa k sahih Bukhari waghyra ki hadison se sabit hai (Sahih Bukhari hadees 2021).
Is istefham se is raat ki azmat wa ahmiyiat wazey hai goya k Maqloq iski ta tak poori tarha nahi pahunch sakti ye sirf Allah hi hai jo is ko janta hai .
Yani is ek raat ki ibadat Hazaar mahino ki ibadat se behtar hai aur Hazaar mahine 83 saal 4 mahine bante hain. Ye Ummat e Muhamadiya per Allah ki kitna ihsan hai k Muqtasir umr mein ziyada se ziyada sawab hasil kerne k liye kaisi sahulat ata farma di .
Rooh se muraad Hazrat Jibraeel alaisalam hain yani farishte hazrat Jibrael alaisalam samet is Raat zamin per utarte hain in kamon ko sar anjam dene k liye jinka faisla is ssal mein Allah Taala farmata hai .
Yani is mein shar nahi ya iske mayene Salamti wali hai k Momin is raat ko shaitan k shar se mehfuz rehte hain ya farishte ahl e iman ko salam arz karte hain ya farishte hi apas mein ek dusre ko salam karte hain .Shab e qadr k liye Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne bator e Qas ye dua batlyi ..Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-afwa, fafu anni .(Jama Tirmidhi hadees 3513 , Sunan ibn e Maja 3850) isliye Shab e Qadr mein isey kasarat se padhna cahiye .
(Tafseer Ahsan ul Bayan pages 1404 & 1405)
📝
No comments:
Post a Comment