Monday, September 28, 2015

QURAN TAFSEER SURAH MA'ARIJ


BISMILLAH IR-REHMAN IR-RAHIM

Aur koyi Dost kisi Dost ko na puchega ,Halanki ek dusrey ko dikha diye jayenge , Gunahgar is din k Azab k badle Fidya apne Beton ko , apni Biwi ko aur apne Bhai ko , aur apne Kunbe ko jo isey Panah deta tha aur Roye zamin k sab logon ko dena cahega , Phir ye isey Nijat dilade , Magr ye hargiz na hoga yaqinan wo shole wali Aag hai , Jo monh aur sar ki khal khench lane wali hai , Aur har shaks ko pukaregi jo piche hat ta aur monh modta hai .

📖(Al Quran ,Surah:Ma’ Arij, Aayat No:9, 10,12,13 ,14,15,16 )

TAFSEER

Sabko apni apni padi hogi isliye taruf aur shinaqhgt k bawajud ek dusre ko nahi puchengey .Yani Aulad ,biwi bhai aur khandan ye sari chizein insan ko nihayat aziz hoti hain lekin Qiyamat wale din Mujrim cahega k is se Fidiya mein ye aziz chizein qabul kerli jayein aur isey chordhdiya jaye ,

Khandan chunki khabile se juda hota hai ,yani wo Jahanum ye iski shiddat hararat ka bayan hai yani gosht aur khaal ko jalaker rakh degi. Insan sirf haddiyon ka dhancha reh jayega ,yani jo Duniya mein haq se peeth pherta aur moonh modta tha aur maal jama krk Khazano mein sanit sanit k rakhta tha isey Allah ki Rah mein kharch karta tha na is se Zakat nikalta tha Allah Tala Jahanum ki quwwat goyayi ata farmayega aur Jahanum bazban qaal khud aisey logon ko Pukaregi jinper inke Amalon ki padash mein Jahanum wajib hogi .

Baaz kehte hain pukarne wale Farishte hi honge isey mansoob Jahanum ki tarf kardiya hai baz kehte hain k koyi nahi pukarega ye sirf tamsel k tawr per aisa kaha gaya hai Matlab ye hai k Mazkurah Afrad ka thikana Jahanum hoga .

(Tafseer Ahsan ul Bayan page 1322, 1323)

No comments:

Post a Comment