Monday, September 28, 2015

QURAN TAFSEER SURAH KAUSER


BISMILLAH IR-REHMAN IR-RAHIM
1.Yaqinan Hum ne Tujhey Kauser (Hauz) diya hai ,
2.Pus Tu apne Rab ke liye Namaz padh aur Qurbani kar,
3.Yaqinan Tera dushman hi Benaam wanishaan hai .

📖(Al Quran , Surah al Kauser ,Ayath 1,2 & 3)

Surah Kauser Makki hai ismein 3⃣Ayaath hain.

TAFSEER

1.Al kausar kasarat se hai iske mutaad mayene bayan kiye gaye hain ibn e kaseer ne "Khair Kaseer" k mafhoom ko tarji di hai q k ismein aisa umoom hai k jisey dusre mayene bhi ajate hain masalan Sahih ahadees mein batlaya gaya hai k issey ek Nahar murad hai jo Janat mein Apko Sallallahu Alaihi Wasallam ata ki jayegi isi tarha baaz ahadees ein iska masdaaq Hawz batlaya gaya hai jisey ahle iman Jannat mein jane se qabl Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam k Dast mubarak se pani piyenge .Is Hawz mein bhi pani isi Janat wali Naher se araha hoga. Isi tarha Duniya ki fituhaat aur Aap ki rafa waduwaam zikr aur akhirat ka ajr wasawab sab hi chizein Khair Kaseer mein ajati hain (Ibn e Kaseer )

2.Yani Namaz bhi sirf ek Allah k liye Qurbani bhi sirf ek Allah k nam per. Mushrikin ki tarha inmein dusron ko Sharik na kar. Nahar k asal mayene hain Oonth k halqom mein nezah ya churi mar kar zubah karna dusre janwaron ko zamin mein lita ker unke galon per churi pheri jati hai isey zubah karna kehte hain. Lekin yahan Nahr se murad mutalq Qurbani hai alawa aazen isey batawr Sadqa wa Qairaat Janwer Qurban karna, Haj k mawqe per Mina mein aur Eid ul zuha k mawqe per Qurbani karna sab shamil hai.

3.Abtar aise shaks ko kehte hain jiski zat par hi iski Nasal ka khatma hojaye ya koyi iska naam lewa na rahe .Jab Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki aulad narena zinda na rahi to baaz Kuffar ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko abter kaha jisper Allah Tala ne Aap ko tassali di k abter Tu nahi Tere dushman hi honge chunache Allah Tala ne Aapki nasal ko bhi baqi rakha go iska sisila ladki ki tarf se hi hai isi tarha Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki ummat bhi Aap ki Maynawi aur Ruhani aulad hai jiski kasarat per Aap qiyamat wale din faqr karenge elawa azin Aap ka zikr puri Duniya mein nihayat izat o ehteram se kiya jata hai jabke Aap se Bughaz wa Ana rakhne wale sirf Safhaat Taariq per hi mawjud reh gaye hain lekin kisi Dil mein inka ihteram nahi aur kisi Zuban per inka zikr khair nahi.
(TAFSEER AHSAN ALBAYAN PAGE 108,109)

No comments:

Post a Comment