BISMILLAH IR-REHMAN IR-RAHIM
1.Aap kehdijiye k wo Allah Ek (hi) hai
2.Allah Be Niyaz hai
3.Na us se koyi paida hua na wo kisi se Paida hua
4.Aur na koyi uska Humsir hai
📖(Al Quran , SURAH IKHLAS , Ayath 1,2 ,3& 4)
SURAH IKHLAS Makki hai aur ismein 4 Ayaath hain.
Ye Muqtasir si Surat badi fazilat ki hamil hai. Isey Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Salut (Ek Tihayi one third) Quran qarar diya hai aur isey raat ko subha wa shaam aur har Namaz k baad padhne ki targheeb di hai (Sahih al Bukhari hadees 5013).Baaz Sahaba har rakat mein deegar suraton k sath isey bhi zarur padhte they jisper Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne unhein farmaya ,"Tumhari is se Mohobat tumhein Jannat mein daqil kar degi".
(Sahih al Bukhari hadees 774, Sahih Muslim 813).
Iska sabab nuzul ye bayan kiya gaya hai k Mushrikeen ne Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam se kaha k Apne Rab ka Nasb bayan kero (Masand ahmed 134, 133 & 5)
TAFSEER
1.Yani sab Iske Muhtaj hain Wo kisi ka Muhtaj nahi
2.Yani na is se koyi chiz nikli hai na wo kisi chiz se nikla hai
3.Iski zaat mein , na iski sifat mein aur na iske afaal mein .Hadees e Qudsi mein hai Allah farmata hai ,"Insan Mujhe gali deta hai yani Mere liye Aulad sabit kerta hai halanki Mai Ek hun, Be niyaz hun ,Maine kisi ko jana hai na mai kisi se paida hua hun aur na koyi Mera Humsir hai". (Sahih al Bukhari 4974) .
Is surat mein inka bhi radd hogaya jo mutadad Khudaon ke khayl hain aur inka bhi jo Allah k liye aulad sabit kerte hain , Inka bhi jo dusron ko iska Sharik gar dantey hain aur inka bhi jo dusron se wajud Baari Taala hi k qaayal nahi .
(Tafseer Ahsan ul Bayan page 1420)
No comments:
Post a Comment