BISMILLAH
PART - 2
Shaikul Islam Imam ibn Taimiyah (ru) likhte hai -
"Allaah Ta'alaa Aap par ,aapke maanne waalo par aur Aap ke Sahaba par Salaah bheje aur Zyada Salam bhi.
Amma Ba'ad
Ye Firqa Najiya (Nijaat paane wala firqa),AHLUS SUNNAH WAL JAMAH ka Aqeedah hai jis ki madad Qayamat tak ki jaati rahegi)
TAIFA MANSOORA AUR FIRQA NAJIA KE BAARE ME UMMAT KE BAAZ KIBAAR AIMMA KE AQWAL
Imam Ahmed ibn Hambal (ru) se TAIFA MANSOORA ke baare me poocha gaya to unhone farmaya -
"agar ye taifa mansoora ASHABUL HADEES nahi hai to phir mai nahi jaanta ke wo Kaun hai "
(Marifatu Uloomil Hadees lil HAKIM - page 2,sahih)
Imam Bukhari (ru) TAIFA MANSOORA ke baare me farmate hain -
"Yaani isse muraad ahle hadees hai.
(AL hujjah fi bayanil hujjah 1/246)
Imam Tirmizi ne kaha ke Imam Bukhari (ru) ke ustaad Imam Ali bin Al mudaini (ru) ne kaha -
" isse (TAIFA MANSOORA) se muraad "AHLE HADEES Hai"
(Sunan at Tirmizi - 2229))
Abu Abdullah Mohammad bin Muflah AL Maqdasi (ru) ne kaha-
"Ahle Hadees naaji (nijaat paane wala) firqa hai jo haq par qayam hai."
(Al Adab Ash Shariya 1/211)
Imam Ismael bin Mohammad bin Al Fazal As Subhani (ru) ne kaha -
"Ahle Hadees ka zikr aur wahi firqa qayamat tak haq par gaalib hai"
(Al Hujjah fi bayanil hujjah wa sharhu aqeedah ahlus sunnah-1/246)
Shaikh Abdul Qaadir Jillani (ru) jinko jaahil log BADE PEER bhi kahte hai. Unhone Ahlus Sunnah Wal jaamat ko naaji (nijaat paane wala) firqa qarar diya hai aur aage likhte hai-
"........... isliye ke ye jamat ahadees ka qayel aur aasaar par amal paira hai lekin is firqa najiya ka naam sirf aur sirf ahlul hadees aur ahle sunnat hai jaisa ke humne bayan kardiya hai.
(GUNIYATUT TALEBIN page-214)
Imam Shafei (rahimaullah) farmate hai-
"Jab Mai Ashabul Hadees me se kisi shaks ko dekhta hu ,to goya Mai Nabi (Sallallaahu alaihi wasallam) ko zinda dekhta hu."
(Sharfu Ashabul Hadees Lil khateeb ,Hadees-85,Sanad Sahih)
Surah Bani Israel,Verse- 71 me
Allah subhanahu wa ta'ala farmate hai -
"Jis din Hum har jamat ko uske Imamo ke saath bulayenge...... "
Iski tafseer me Imam Ibn Kaseer (ru) farmate hai -
"Baaz Salaf (salehin) ne kaha - Ye aayat ASHABUL HADEES ki sabse badi fazilat hai kyu ki unke Imam Nabi (SallAllahu Alaihi wasallam) hain."
Imam Suyuti (ru) is ayat ki tafseer me kahte hain-
"Ahle hadees ke liye isse zyada fazilat waali aur koi baat nahi hai kyu ki Aap(SallAllahu Alaihi wasallam) ke siwa AHLE HADEESO ka koi imam nahi hai."
(Tadreebur Raawi - 2/126)
Abu Naeem As Subhani (ru) ne kaha -
"Imam Shafei (ru) AHLE HADEES ke manhaj par gamzan (chalte) the."
(Hilyatul awliya-9/112)
Imam Ibn Hibban (ru) ne AHLE HADEES ki ye sifat bayan ki hai -
"wo hadees par amal karte hain, unka difa karte hain aur unke mukhalefeen ka radd karte hain. "
(Sahih ibn Hibban - hadees no - 6129)
Imam Ibn Taymiya (ru) ek sawal ke jawab me kahte hai-
Alhamdolillahi Rabbil Aalamin., Bukhari aur Abu Dawood to fiqah ke Imam (aur) mujtahid (mutlaq) the. Raha imam Muslim, Nasai, ibn Maaja, ibn khuzaima, abi yaala aur AL bazar wagaira to wo AHLE HADEES ke mazhab par the, Ulama me se kisi ki taqleed karne waale muqallid nahi the............ "
(Majmua Al fatawa vol - 20,page-40)
Imam Qutaiba bin Saeed(rahimaullah)ne farmaya-
"Agar tu kisi aadmi ko dekhe ke wo Ahle Hadees se mohabbat karta hai.....to (samajh le ke)wo shaks Sunnat par(chal raha)hai.
(Sharfu Ashabil Hadees lil khatib al baghdadi ,Hadees:143)
Imam Ahmed bin Sinan Al Wasti (rahimaullah)ne farmaya-
"Duniya me koi bhi aisa bid'ati nahi jo Ahle Hadees se bugz nahi rakhta."
(Marifatu Uloomil Hadees Lil Hakim, pag-4,sanad Sahih)
Ummat ke in Bade Bade Imam aur Mohaddisin ke qaul se hume ye sab baat pata chali-
1. Ahlus Sunnah Wal Jamat hi Firqa Najiya hai aur Is Firqa KO AHLE HADEES,ASHABE HADEES,SALAFI aur AHLUL ASAR bhi kaha jata hai.
2. Jo log ye kahte hain ke Hume khud ko sirf Muslim kahna chahiye, Ahle Hadees ya Ahlus Sunnnah nahi to inka ye qaul Baatil aur mardood hai kyu ki Firqa Najiya ke liye Lafz e Ahle Hadees ya Ahlus Sunnah Ya Salafi kahne par Ummat ke Imamo ka ijma hai aur Ijma hujjat hai.
3. Jo log ye kahte hain ke AHLE HADEES se muraad sirf Mohaddsisin hai to inka ye qaul baatil hai kyu ki agar ye maan liya jaaye ke Ahle Hadees se muraad Mohaddisin hain to isse ye saabit hoga ke FIRQA NAJIYA (Qayamat ke din Nijat pane waalo me)me sirf Mohaddisin hi log honge aur isme Fuqaha ,Mufassirin,aur Sahih ul Aqaid Muslim shaamil nahi hai.
Aur jo log Khud ko Ahlus Sunnah kahte hain to unhe khud ko ye kahne ka haq haasil nahi hoga kyu ki Ahlus Sunnah ka dusra naam Ahlul Hadees hai ,aur ye log Ahle Hadees se muraad sirf mohaddisin lete hain,to fir Ahlus Sunnah se muraad bhi Mohaddisin hue!!
Aur koi bhi is baat ko nahi maan sakta.
AHLE HADEES har wo shaks hai jo Kitab o Sunnat ko Salaf us Salehin ke faham par samajhta hai aur uspar amal karta hai.
Imam Ahmed ibn Hambal (ru) farmate hain-
"Humare nazdeek ASahabul Hadees (Ahle hadees) wo shaks hai jo hadees par amal karta hai. "
(Manaqib Al imam Ahmed li ibn AL jawzi page - 208,sahih)
4. Jo log ye kahte hain ki Ahle Hadees Angrez ke hukumat (British rule) ke daur me paida hue hain to inka ye qaul duniya ka sabse bada jhut hai.
Humne Aimma ke aqwal se ye saabit kardiya hai ki Ahle Hadees Naaji firqa hai aur ye jama'at e haq Allaah ke Rasool ke daur se lekar Qayamat qayam hone se pahle tak is duniya me maujood honge aur haq par qayam rahenge.
Allaah hum sab KO Firqa Naajia (Ahlus Sunnah) ke manhaj ko samajhne ki ,uspar Amal karne ki aur uspar qayam rahne ki taufeeq de.
AAMEEN YA ALLAH.
Shaikul Islam Imam ibn Taimiyah (ru) likhte hai -
Amma Ba'ad
Fa Haaza' I'tiqadul firqatin Najiyatil mansoorah ilaa qiyamis Sa'ah,AHLIS SUNNATI WAL JAMA'AH"
Wahuwal Imaanu Billaahi, wa Malayikatihi,wa Kutubihi, wa Rasulihi,wal ba'si ba'dal mauti,wal Imaanu bil Qadari khairihi wa sharrehi
(Ye Firqa Najiya -AHLUS SUNNAH WAL JAMA'AH ka Aqeedah hai jis ki madad Qayamat tak ki jaati rahegi
Aur wo hai Allaah par Imaan lana,Uske farishto par Imaan lana,Uski Kitaabo par Imaan lana, Uske Rasulo par Imaan lana,Maut ke baad fir zinda hone par Imaan,aur Achchi -Boori Taqdeer par Imaan lana.
SHARAH
Humare liye Aqeede ki tafseel Nabi (sallallahu Alaihi Wasallam) ne Jibrail (alaihis Salam) ke sawalao ke jawabat me bayan farmaye hai.
Jibrael (alaihis salam) ne Aap (sallallahu alaihi wasallam) se poocha-
Islam kya hai?
Imaan kya hai?
Ihsaan kya hai?
Aur Qayamat kab aayegi?
Aap (sallallahu alaihi wasallam) ne Imaan ke baare me iss sawal ke
Jawab me farmaya-
IMAAN ye hai ke tu -
Allaah Ta'alaa par ,
Uske farishto par,
Usko Kitaabo par,
Uske Rasoolo par,
Qayamat ke din par aur
Achchi aur boori Taqdeer par Imaan laye .
(Sahih Muslim,Hadees No:93)
Al IMAANU BILLAHI
(ALLAAH TA'ALAA PAR IMAAN)
Allaah par imaan chaar chizo par mushtamil hai.
Allaah ke Wajood (Existence) par Imaan lana.
Uski Rabubiyat par Imaan lana,yaani Is baat par Imaan lana ke Wo Rabb hai aur Uski Rububiyat me Uska koi shareek (partner) nahi hai.
Uski Uloohiyat par Imaan lana, yaani is baat par Imaan ki har tarah ki ibaadat ka haqdaar sirf aur sirf Allaah hai aur Uski Ibadaat me Uska koi sharik nahi hai.
Uske Asma wa Sifaat (Names and Attributes) par Imaan lana.
Jo log Allaah Baari Ta'alaa ke Wajood (existence) par Imaan nahi rakhte wo Musalman nahi hai.
Example-
ATHEISTS-Ye log Allaah ke wajood ka inkaar karte hai aur kahte hai ye Kayinaat apne se wajood me aayi hai.
Jo shaqs Allaah Ta'alaa ke wajood par to Imaan rakhta hai,magar Allaah ki Rububiyat me Usko Akela nahi maanta aur Uska sharik banata hai to wo Musalman nahi hai.
Example-
Hindus, etc.:Ye log Bahot saare ilah (Maabud) par Imaan rakhte hai .
Jo shaks In dono baato par Imaan rakhta ho lekin Allaah ki Uloohiyat me usko Akela nahi maanta aur Uska sharik banata hai yaani ghair ullah ki bhi ibadat karta hai to ye bhi Musalman nahi hai.
Example-
Wo Naam Nihaad Musalman jo pareshanio me Allaah ko chor kar Ya Ali Madad!,Ya Gaus Madad!,Ya khwaja Madad ka naara lagate hai aur Mazaar waalo se dua, fariyad aur umeed karte hai.
Isi Tarah ek shaks ka Allaah Ta'alaa ke wajood par bhi Imaan hai,wo Rububiyat aur Uloohiyat me bhi Allaah ko Akela maanta hai aur inme Uska koi sharik nahi banata, magar Allaah ke Asma was Sifaat par Imaan nahi lata,to ye shaks bhi Musalman nahi hai.
Example-
Koi kahe ke Mai Allaah ke Haatho (Hands) par,Uske Chahre (Face) par Imaan nahi lata,
Ya Kahe ke Mai Nahi maanta ke Allaah Raham karta hai,ya Apne Bando se Muhabbat karta hai,wagaira.
Allaah hum sab KO Firqa Naajia (Ahlus Sunnah) ke Aqeede ko samajhne ki ,aur uspar qayam rahne ki taufeeq de.
AAMEEN YA ALLAH.
WAJOOD E BASRI TA'ALAA PAR AQLI (LOGICAL) DALIL
Hum unlogo (Athiests) se sawal karte hai jinka Aqeeda ye hai ke Allaah Ta'alaa ka wajood nahi hai?
Kya ye kayinaat khud se ban gayi ya achanak wajood me aagayi??
Agar ye kaha jaaye ke ye khud se wajood me aagayi to ye aqal ke aitebaar se galat hai kyu ki jab ye pahle thi hi nahi, to achanak wajood me kaise aasakti hai
Wo chiz jo maujood na ho,jab tak wajood me na aajaye, uski koi haqiqat nahi hoti.
Jab kayinaat ka koi wajood hi nahi tha to usne apne aap ko kaise banadiya??
Lehaza,Ye Mumkin hi nahi hai.
Aur agar kaha jaaye ke
achanak wajood me aagayi to ye bhi mumkin nahi hai aur ye aqal ke khilaaf hai.
Ae WAJOOD E BAARI TA'ALAA ke Munkir! !
Kya ye missile,cars,bikes, aeroplanes,ya aur bhi dusri chize ittefaqan aur achanak wajood me aagayi?
Agar jawab NA me hai, aur yaqinan Jawab NA me hi hoga, to fir ye,Asmaan, Zameen,Pahad,Samundar,Sura
Ye na pahle mumkin tha aur na aayinda kabhi ye mumkin hoga.
Kisi Dehati insaan se poocha gaya-
"Toone apne Rabb ko kaise pahchana?
Usne kaha -
"Qadam ke nishaan Chalne par dalalat karta hai ,Kya ye ooncha aasmaan, raasto waali zameen,aur Maujo waale samundar SAMEE'Y (sunne wala) WA BASEER (dekhne wali) zaat yaani ALLAAH TA'ALAA par dalalat nahi karti.!!
Isi liye Allaah Ta'alaa ne Quran e Majid me farmaya-
أَمْ خُلِقُوا مِنْ غَيْرِ شَىْءٍ أَمْ هُمُ الْخٰلِقُونَ
أَمْ خَلَقُوا السَّمٰوٰتِ وَالْأَرْضَ ۚ بَل لَّايُوقِنُون
(Kya Wo beghair kisi (paida karne waale) ke khud bakhud paida hogaye hai? Ya ye khud paida karne waale hai?
Kya unhone Aasmano aur Zamino ko paida kiya hai?
Balke ye log yaqeen na karne waale log hai.
(At-Tur : 35-36)
Saabit hua ke aqal wajood e Baari Ta'alaa par yaqini taur par dalalat karta hai.
Ek Class ke dauran Mere aur Mere Autocad Teacher ke bich me Allaah ke wajood ke baare me baat cheet
Sir- Kya tum God par yaqin rakhte ho?
Me - Yes Sir,Karte hai.Isme koi shak nahi.
Sir - Kaise bol sakte ho ke God hai?
Kya tumne ya Kisi aur ne God ko kabhi dekha hai?
Me - Sir ,Ye Universe ka wajood (existence) is par dalil hai ke iska banane wala koi hai aur wahi God (Allaah) hai.
Sir- Nahi universe khud se bana hai, iska banane wala koi nahi hai.
Me -Sir , Aaj k bade bade Scientists is baat par ittefaq kar chooke hai ke Universe ki shuruat (begining)hai aur Universe create hua hai.
Scientists ne Kaha hai ke Shuru me asmaan aur zameen sab ek saath mila hua tha aur fir ek dhamaka hua aur Fir ye Universe wajood me aaya.
Ise wo log" BIG BANG THEORY" kahte hai.
Allaah ne Quran e Majeed me iska zikr kiya hai-
أَوَلَمْ يَرَ الَّذِينَ كَفَرُوٓا أَنَّ السَّمٰوٰتِ وَالْأَرْضَ كَانَتَا رَتْقًا فَفَتَقْنٰهُمَا ۖ وَجَعَلْنَا مِنَ الْمَآءِ كُلَّ شَىْءٍ حَىٍّ ۖ أَفَلَا يُؤْمِنُونَ
(Kya ye kaafir log Nahi dekhte ke Aasmaan aur Zameen ek dusre se mile hue the,phir Humne unhe juda kardiya,aur Har zinda chiz ko Humne paani se paida kiya hai.Kya ye log phir bhi Imaan nahi laate.)
(Surah Ambiyaa:30)
Sir- Mai nahi maanta.
Mai maanta hu ye Universe khud se bana hai.
Fir Mere Sir ne mujhe order diya ke Computer pe Design Banao.
To Mai Computer ko dekhne laga, lekin design nahi bana raha tha.
Todhe der baad
Sir- Kya hua design kyu nahi bana rahe ho ?
Me-Sir mai Intezar kar raha hu.
Sir-Kis chiz ke liye?
Me- Computer me desdesign khud se banne ke intezar me hu?
Sir- Arre,tum designer ho, design tum banaoge,Computer khud se kaise banayega ?
Me - Sir, Aap ne kaha todhe der pahle ke itna Bada Universe jisme Laakho Laakh Galaxies hai,Har galaxi me Laakho laakh Sitaare hai jo Suraj se bhi bade hai,ye Asmaan aur Zameen, Insaan aur janwar,wagaira sab khud se bana hai !!
Kya ek chota sa design khud se nahi ban sakta!!
Sir felt embarrassed aur dusre students smile karne lage.
Sir ne muskuraate hue apne local language me kaha-
"Mujhe baja rahe ho".
Aur wo fir khamosh hogaye
Me - Sir jis tarah ek chota sa design bina designer ke nahi ban sakta, waise hi ye itna bada Universe khud se nahi ban sakta,iska banane wala koi hai aur hum Oose Allaah kahte hai.
Allaah hum sabko Allaah ki Zaat par mukammal Tariqe se Imaan laane ki taufeeq de aur dusro ko samjhane ki taufeeq de.
AAMEEN YA ALLAH.
ALLAH TA'ALAA KE WAJOOD PAR HISSI DALIL
(Y'ani ALLAH ke qudrat ko mahsoos kar ke us ke wajood par iman )
Wajood e Baari Ta'alaa par Hissi Dalil ye hai ke Insaan Allaah Ta'alaa se dua karta hai aur Allaah ko Ya Rabb! Ya Rabb! Kah kar pukarta hai aur Usse kisi chiz ka sawal karta hai,to Allaah uski Duao ko Qubul karta hai aur oose wo chiz Allaah dedeta hai.
Ye Hissi dalil hai,Banda Allaah Ta'alaa se dua karta hai aur Wo uski dua ko qubul karta hai aur insaan ye sab apni aankho se dekhta hai aur khud hume pahle ke logo se bhi soona hai aur abhi ke log ise mahsus karte hai ke Allaah Bando ki Duayein Qubul farmaya karta hai.
Ek Hadees me aaya hai -
Rasool Allaah (sallallahu alaihi wasallam) Jumuah ke din logo ke saamne khutba derahe the.Is dauran ek A'rabi Masjid me daakhil hua aur kahne laga-
"Maal,Maweshi (jaanwar) sab halak hogaye hai,raaste band hogaye hai, (Ae Allaah ke Rasool (sallallahu alaihi wasallam) ,Aap Allaah Ta'alaa se baarish ki dua kijiye."
Hazrat Anas (raziallahu Ta'ala anhu) ka bayan hai-
"Allaah ki qasam! Us waqt aasmaan par badal ka tookda tak maujood nahi tha,Rasool Allaah (sallallahu alaihi wasallam) ne jaise hi dua farmayi, achanak baadal asmaan me nikla aur idhar udhar phail gaya,wo kadka,chamka aur fir zabardast baarish hone lagi."
Aap (sallallahu alaihi wasallam) mimbar se neeche ootre to Aap ke Daadhi Mubarak se baarish ka paani tapak raha tha.
(Sahih Al Bukhari -Hadees No:1033)
Ye waqiya Wajood e Baari Ta'alaa par Hissi Dalil hai.
Quran e Majeed me is tarah ki bahot saare waqiya hai jaha pe Ambiya (alaihis Salatu was Salam) ki duao ko Allaah ne qubul farmaya hai.
Ibrahim (alaihis salam) ka waqiya
قَالُوا حَرِّقُوهُ وَانصُرُوٓا ءَالِهَتَكُمْ إِن كُنتُمْ فٰعِلِينَ
قُلْنَا يٰنَارُ كُونِى بَرْدًا وَسَلٰمًا عَلٰىٓ إِبْرٰهِيم
َوَأَرَادُوا بِهِۦ كَيْدًا فَجَعَلْنٰهُمُ الْأَخْسَرِينَ
[Ibrahim (alahis salam) ke qaum] waalo kahne lage ke Ise Jalado aur apne Khudao ki madad karo, agar tumhe kuch karna hi hai.
Humne farmadiya -Ae Aag! Tu thandi padh ja aur Ibrahim (alahis salam) ke liye Salamti (aur aaram)ki chiz banja!
Goya unhone Ibrahim (alahis salam) ka boora chaha, lekin Humne unhe nakaam kardiya
(Al-Anbiyaa : 68-70)
Nooh(alahis salam) ki dua
وَنُوحًا إِذْ نَادٰى مِن قَبْلُ فَاسْتَجَبْنَا لَهُۥ فَنَجَّيْنٰهُ وَأَهْلَهُۥ مِنَ الْكَرْبِ الْعَظِيمِ
Nooh (alahis salam) ke oos waqt ko Yaad kijiye jabke usne usse pahle Dua ki, Humne uski dua qubul farmayi aur oose aur uske ghar waalo ko bade karb se nijaat di.
(Al-Anbiyaa : 76)
Ayyub(alahis salam) ki dua
وَأَيُّوبَ إِذْ نَادٰى رَبَّهُۥٓ أَنِّى مَسَّنِىَ الضُّرُّ وَأَنتَ أَرْحَمُ الرّٰحِمِينَ
فَاسْتَجَبْنَا لَهُۥ فَكَشَفْنَا مَا بِهِۦ مِن ضُرٍّ ۖ وَءَاتَيْنٰهُ أَهْلَهُۥ وَمِثْلَهُم مَّعَهُمْ رَحْمَةً مِّنْ عِندِنَا وَذِكْرٰى لِلْعٰبِدِينَ
Ayyub (alaihis salam) ki us halat ko yaad karo jabke Usne apne Parwardigar ko pukara ke Mujhe ye bimari lag gayi hai aur Tu bahot zyada Raham karne wala hai.
To humne Uski soonli aur jo dukh unhe tha, oose door kardiya aur usko ahal wa aiyyal ata farmaye .....
(Al-Anbiyaa : 83-84)
Yunus(alaihis salam) ki dua
وَذَا النُّونِ إِذ ذَّهَبَ مُغٰضِبًا فَظَنَّ أَن لَّن نَّقْدِرَ عَلَيْهِ فَنَادٰى فِى الظُّلُمٰتِ أَن لَّآ إِلٰهَ إِلَّآ أَنتَ سُبْحٰنَكَ إِنِّى كُنتُ مِنَ الظّٰلِمِينَ
فَاسْتَجَبْنَا لَهُۥ وَنَجَّيْنٰهُ مِنَ الْغَمِّ ۚ وَكَذٰلِكَ نُۨجِى الْمُؤْمِنِينَ
Machli waale (Hazrat Yunus alaihis salam) ko yaad karo! Jabke wo gussa se chal diya aur khayal kiya ke hum Oose nahi pakad sakenge.Bil Aakhir wo andhero ke andar se (Yani machli ke pet se) pukaar ootha ke Ae Allaah tere siwa koi Ibadat ke layaq nahi,Tu paak hai, beshak maj zaalimo me hogaya.
To Humne uski pukaar soonli aur oose gum se nijaat dedi,aur Hum Iman waalo ko isi tarah bacha liya karte hai
(Al-Anbiyaa : 87-88)
Zakariya (alahis salam) ki dua.
وَزَكَرِيَّآ إِذْ نَادٰى رَبَّهُۥ رَبِّ لَا تَذَرْنِى فَرْدًا وَأَنتَ خَيْرُ الْوٰرِثِينَ
فَاسْتَجَبْنَا لَهُۥ وَوَهَبْنَا لَهُۥ يَحْيٰى وَأَصْلَحْنَا لَهُۥ زَوْجَهُۥٓ َۚ
.
Aur Zakariya (alahis salam) ko yaad karo jab usne apne Rabb se dua ki ke Ae Mere Parwardigar!Mujhe Tanha na chor,Tu sabse behtar Waaris hai.
Humne uski dua Qubul farma kar oose Yahya(alaihis salam) ata farmaya aur unki biwi ko unke liye dusrust kardiya...
(Al-Anbiyaa : 89-90)
Ye Waqiyaat Wajood e Baari Ta'alaa par yaqini dalil hai .Isme Dalil hai ke Allaah ka wajood hai aur Wo Allaah apne bando ki duao ko soonta hai aur usko qubul bhi karta hai.
Allaah hum sabko Allaah ki Zaat par mukammal Tariqe se Imaan laane ki taufeeq de aur dusro ko samjhane ki taufeeq de.
AAMEEN YA ALLAH.
ALLAH TA'ALAA KE WAJOOD PAR FITRAT KI DALIL
Fitrat e Salima waale aksar log Allaah Ta'alaa par Imaan rakhte hai, yaha tak ke janwar bhi Wajood e Baari Ta'alaa par yaqeen rakhte hai.
Hazrat Sulaiman (alaihis salam) ek baar barish ki dua karne ke liye bahar nikle to ek cheewnti (ant) ko dekha jo peeth ke bal let kar aasmaan ki taraf taange(legs) oothaye hue kah rahi hai-
Ya Allaah!Hum bhi tere makhlooq hai,humein bhi baarish ki zaroorat hai, ise humse na rokh.Ye soon kar Hazrat Sulaiman (alahis salam) ne farmaya: wapas Laut chalo,tum dusro ki dua se (yaani ant ki dua k wajah se) paani pilaye jaaoge.
(Ijtama' Al jewsh of Imam Ibn Qayyim page:321)
Allaah Ta'alaa ki Tawheed par imaan ek Fitri chiz hai.
Iske baare me Allaah ne Quran e Majeed me farmaya -
وَإِذْ أَخَذَ رَبُّكَ مِنۢ بَنِىٓ ءَادَمَ مِن ظُهُورِهِمْ ذُرِّيَّتَهُمْ وَأَشْهَدَهُمْ عَلٰىٓ أَنفُسِهِمْ أَلَسْتُ بِرَبِّكُمْ ۖ قَالُوا بَلٰى ۛ شَهِدْنَآ ۛ أَن تَقُولُوا يَوْمَ الْقِيٰمَةِ إِنَّا كُنَّا عَنْ هٰذَا غٰفِلِين
أَوْ تَقُولُوٓا إِنَّمَآ أَشْرَكَ ءَابَآؤُنَا مِن قَبْلُ وَكُنَّا ذُرِّيَّةً مِّنۢ بَعْدِهِمْ ۖ أَفَتُهْلِكُنَا بِمَا فَعَلَ الْمُبْطِلُون
("Aur jab aapke Rabb ne Aulaad e Aadam ki peeth se unki aulaad ko nikala aur gawah banaya unko unki zaato par ke -Kya Mai tumhara Rabb nahi hoon?
Sabne jawab diya -Kyu Nahi (Aap hi humare Rabb hai)!aur hum sab gawah bante hai.Aur ye isliye ke tum Qayamat ke din ye na kah sako ke yaqinan hum to isse be khabar the.
Ya yu na kah sako ke Shirk to isse pahle humare baap dadao ne kiya tha aur hum unke baa'd (unki) aulaad the.)
(Surah Al-A'raaf : 172-173)
Allaah ne Quran e Majeed me Ek aur jagah farmaya:
فَأَقِمْ وَجْهَكَ لِلدِّينِ حَنِيفًا ۚ فِطْرَتَ اللَّهِ الَّتِى فَطَرَ النَّاسَ عَلَيْهَاَ
("Pas ek saw hokar apna mooh deen e hanif ki taraf mutawajja kardein.Allaah Ta'alaa ki wo Fitrat jis par Usne logo ko paida kiya hai.")
(Surah Rum :30)
Ek Hadees me aaya hai ke-
Allaah ke Rasool (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya-
"Har bachcha FITRAT (Deen e Islam) par paida hota hai, pas Uske Maa -Baap usko Yahoodi (jews) ya Nasraani (christians)ya Majoosi (Pagans) bana dete hai.
(Sahih Al Bukhari,Hadees:1359)
Aur Ek rawayat me aaya hai ke-
Pas Shaitaan unko unke DEEN (FITRAT) se ghumra kardeta hai.
(Sahih Muslim)
Ye aayatein aur hadeese is baat par dalalat karti hak ke Wajood e Baari Ta'alaa aur Uski Rabubiyat ki gawahi dena Insaan ki fitrat me daal diya gaya hai.
Allaah Ta'alaa ne Aulaad e Aadam ko unke peeth se nikal kar unhe Apni Rabubiyat ka gawah banaya ho ya Usne Apni Zaat ka iqrar unke fitrat me rakh diya ho,in dono surto me ye is baat ki dalil hai ke insaan fitri taur par apne Rabb ko pahchanta hai.
WAJOOD E BAARI TA'ALAA PAR SHARAYI DALIL
Jaha tak Shara' ka talluq hai to Ambiyaa (Alaihis Salatu Was Salam) jo Shariyat le kar aaye wo is baat par dalalat karti hai ke Unhe bhejne wala RABB bada hi Rahim wa Karim hai.
Aur Is ki sabse badi Dalil Quran e Majeed hai jisne Jin aur Insaan ko is baat ko maane par majboor kardiya ke Ye Quran Allaah Rabbul Izzat ka Kalam hai aur Is jaisa Kalam koi insaan ya jinn ya tamam makhlooq milkar nahi la sakte.
Allaah hum sabko Allaah ki Zaat par mukammal Tariqe se Imaan laane ki taufeeq de aur dusro ko samjhane ki taufeeq de.
AAMEEN YA ALLAH.
TAWHEED E RUBUBIYAT KYA HAI?
Bande ka ye aqeedah rakhna ke Allaah Subhanahu wa ta'alaa hi RABB hai Aur Khaalique,
Maalik,Raaziq aur Tadbeer me Allaah Ta'alaa ko ek mana jaaye yaa'ni Tamam makhluqaat [Arsh,Kursi,suraj,chand,
sitaare,Insaan,jin, jaanwar wagaira] ko paida karne,Rizq dene aur Sab kaam ki tadbeer karne me Wo munfarad aur Akela hai aur Wo akela hi Sabka Maalik hai.
In sab chizo me Uska koi bhi sharik nahi hai.
Us akele Allaah ne hi tamam makhluqaat ko ne'mato se nawaza hai aur oosi ne Apni khaas makhluq yaani Ambiyaa (alahis Salatu Was Salam) aur unke pairokaar ko Sahih Aqeedah,Behtreen Akhlaque,Olum e Nafe'ya (faidah dene wala ilm) aur Amal e Saleh ki taufeeq ata ki.
NOTE-
Tadbeer matlab-"Kisi bhi nizam ko achi tarah chalana."
Allaah hi tamam chizo ka RABB hai -
الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعٰلَمِينَ
Sab Taa'rife Allaah Ta'alaa ke liye hai jo Tamam Jahano ka Rabb hai.
(AL-Faatiha,Verse:2)
Allaah hi Har chiz ka KHALIQUE HAI-
اللَّهُ خٰلِقُ كُلِّ شَىْءٍ ۖ وَهُوَ عَلٰى كُلِّ شَىْءٍ وَكِيلٌ
Allaah tamam chizo ka paida karne wala hai
(Az-Zumar :Verse:62)
اللَّهُ الَّذِي خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ وَمَا بَيْنَهُمَا فِي سِتَّةِ أَيَّامٍ ثُمَّ اسْتَوَىٰ عَلَى الْعَرْشَِ
Aur Allaah Ta'alaa wo hai jisne Aasmaan aur Zameen ko aur jo kuch unke darmiyan hai sab kuch ko 6 din me paida kardiya aur phir Arsh par mustawi hua.
(Surah As-Sajda, Verse:4)
Allaah hi sab chizo MAALIK hai-
لِّلَّهِ مُلْكُ السَّمٰوٰتِ وَالْأَرْضِ ۚ يَخْلُقُ مَا يَشَآءُ َۚ
Aasmano ki aur Zameen ki Saltanat Allaah Ta'alaa hi ke liye hai,Wo jo chahta hai paida karta hai.
(Ash-Shura :Verse:49)
Allaah Qayamat ke deen ka bhi MAALIK hai-
مٰلِكِ يَوْمِ الدِّينِ
(Allaah hi) Qayamat ke din ka Maalik (hai).
(Al-Faatiha : Verse:4)
Allaah hi RAAZIQ hai-
اللَّهُ لَطِيفٌۢ بِعِبَادِهِۦ يَرْزُقُ مَن يَشَآءُ ۖ وَهُوَ الْقَوِىُّ الْعَزِيزُ
Allaah Ta'alaa apne bando par bada hi lutf karne wala hai, jise chahta hai Rozi ata karta hai.Aur wo badi taqat, bade gaalba wala hai.
(Ash-Shura : Verse:19)
Allaah hi sab chizo ka Tadbeer karne wala hai-
يُدَبِّرُ الْأَمْرَ مِنَ السَّمَاءِ إِلَى الْأَرْضِ َ
Wo (Allaah) Aasmaan se lekar zameen tak (har) kaam ki tadbeer karta hai.
(Surah As-Sajda,Verse 5:)
Jo log RABB ki jagah LORD likhte hai to ye galat hai kyu ki Lord ka matlab sirf Maalik hota hai, halanke RABB ek jame'y lafz hai jiska matlab hota hai -
Khalique
Raaziq
Maalik
Aur Har kaam ki tadbeer karne wala.
Isliye Rabb ko Rabb hi likha jaaye,Lord nahi.
Allaah hume Tawheed ko sahih se samajhne ki taufeeq de.
AAMEEN YA ALLAH.
Ek sawal ye paida hota hai ke Hadees e Rasool me bahot jagah par makhlooq ko Khalique kaha gaya hai-
MASLAN (FOR EXAMPLE )
Allah ke Rasool (sallallahu alaihi wasallam) farmate hai-
" إِنَّ أَصْحَابَ هَذِهِ الصُّوَرِ يُعَذَّبُونَ يَوْمَ القِيَامَةِ، وَيُقَالُ لَهُمْ: أَحْيُوا مَا خَلَقْتُمْ
"(Qayamat) ke din unse (picture makers se) kaha jayega ke jise tum ne paida (takhlique) kiya hai,oose zinda karo."
(Sahih Al Bukhari :5951)
Hadees e Qudsi mai hai:-
قَالَ: سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَقُولُ: «وَمَنْ أَظْلَمُ مِمَّنْ ذَهَبَ يَخْلُقُ كَخَلْقِي، فَلْيَخْلُقُوا حَبَّةً، وَلْيَخْلُقُوا ذَرَّةً»
Allaah Ta'alaa farmate hai-
"Usse badh kar zaalim kaun hai jo Meri tarah paida (takhlique) karna chahe!!!!"
(Sahih Al Bukhari :5953)
Lekin isse pahle humne "Tawheed e Rububiyat" waale post me likha tha ke KHALIQUE sirf aur sirf ALLAAH TA'ALAA hai.
To ab in dono baato me tatbiq ki kya soorat hai yaani in dono statements ko kaise samjha jaaye
Iska jawab ye hai ke KAHLIQUE se muraad kisi chiz ko A'dm se wajood me laana hai (Yaani ek non-existence chiz ko existence me lana hai),aur ye Allaah Ta'alaa ke saath khaas hai.
Lekin insaan jo chiz banata hai wo sirf ek chiz ki shakal,naqsha aur uski soorat ko badal kar ek nayi shakal,soorat aur naqsha dedeta, aur isi liye wo haqiqat me Khaalique nahi hai.
Ise sirf Takween (formation)
ke aitebaar se Khalaq ka naam diya gaya hai.
Maslan agar koi ek lakdi ka darwaza banaye, to kaha jayega ke isne darwaza Khalaq kiya.
Magar is darwaze ko banane ke liye jo jo materials istemal hue hain un sab chizo ko A'dm se Wajood me laane wala sirf aur sirf Allaah hai.Insaan ne sirf oon sab chizo ko milakar ek nayi shakal aur soorat dediya hai.
Insaan jis qadar bhi maharat haasil karle,wo sab milkar bhi ek makhkhi paida nahi kar sakte aur makhkhi to door ki baat hai,ek zarre (atom) ke barabar chiz bhi paida nahi kar sakte.
Allaah Ta'alaa Quran e Majeed me farmate hai-
يٰٓأَيُّهَا النَّاسُ ضُرِبَ مَثَلٌ فَاسْتَمِعُوا لَهُۥٓ ۚ إِنَّ الَّذِينَ تَدْعُونَ مِن دُونِ اللَّهِ لَن يَخْلُقُوا ذُبَابًا وَلَوِ اجْتَمَعُوا لَهُۥ ۖ وَإِن يَسْلُبْهُمُ الذُّبَابُ شَيْـًٔا لَّا يَسْتَنقِذُوهُ مِنْهُ ۚ ضَعُفَ الطَّالِبُ وَالْمَطْلُوبُ
Ae Logo! Ek misaal biyan ki ja rahi hai,zara kaan laga kar soon lo! .
Allaah Ta'alaa ke siwaa jin jin ko tum pukarte rahe ho wo ek makkhi bhi to paida nahi kar sakte,agar saare ke saare hi jama' hojaye.
Balke agar makkhi unse koi chiz le bhaage to ye to oose bhi usse cheen nahi sakte.
Bada Kamzor hai wo jo maang raha hai aur bada hi kamzor hai wo jisse maanga ja raha hai.
(Surah Al-Hajj : 73)
Agar makhkhi kisi taqatwar hukmaran (King) ke jism par baith kar uski khushbu le oode ya uske khaane par baith kar usse kuch le jaaye to wo usse ye chize wapas lene ki taqat nahi rakhta.
Jab haal ye hai to hume maanna padhega ke Allaah Tabarak wa Ta'alaa hi akela KHALIQUE hai.
Allaah hume Tawheed ko sahih se samajhne ki taufeeq de.
AAMEEN YA ALLAH.
Ek Sawal ye bhi paida hota hai ke Allaah Subhanau Wa Ta'alaa ne Quran e Majeed me bahot jagaho par Insaano ko MAALIK qarar diya hai.
Allaah Ta'alaa farmate hai-
أَوْ مَا مَلَكْتُم مَّفَاتِحَهُۥَٓ
Ya un gharo se jin ke chaabiyo ke tum Maalik ho.
(Or [from houses] whose keys you possess )
( Surah An-Noor : 61)
Allaah ne dusre jagah par kaha-
إِلَّا عَلٰىٓ أَزْوٰجِهِمْ أَوْ مَا مَلَكَتْ أَيْمٰنُهُمْ فَإِنَّهُمْ غَيْرُ مَلُومِينَ
Ya apni biwiyo aur ke ya jinke MAALIK banr hai unke daaye haath.
(Surah Al-Muminoon : 6)
Aur Humne isse Pahle "TAWHEED E RUBUBIYAT " waale post me likha tha ke MAALIK sirf aur sirf Allaah Ta'alaa hai.
To ab in dono baato me tatbiq ki soorat kya hai
ISKA JAWAB HUM DO TARAH SE DE SAKTE HAI.
1. PAHLA-
Kisk chiz ka insaan ki Milkiyat me hona aam (general) aur hamageer nahi hota,isliye ke ek insaan apni chizo ka to Maalik hota hai magar dusre insaan ki chizo ka Maalik nahi hota.
Jabke Allaah Ta'alaa ki Milkiyat me har chiz hai.Allaah Ta'alaa ki Milkiyat ziyada hamageer (bahot bada) bhi hai aur zyada waseey bhi hai aur oosi Milkiyat hi,Milk e Tam hai yaani Allaah Ta'ala kisi bhi chiz ko puri tarah ulat fer karne ka haq rakhta hai. Aur Wo ispar Qaadir hai.
2. DUSRA -
Kisi chiz par insaan ki Milkiyat aisi Haqiqi Milkiyat nahi hai ke Wo isme apni marzi se jis tarah chahe hukm kar sake.
Wo isme oosi tarah hukm karsakta hai jis tarah Shariyat ne iska hukm diya aur MAALIK E HAQIQI yaani ALLAAH TA'ALAA ne uski ijazat di hai.
MASLAN (For example)-
Agar mai ek rupya ko Do rupya ke badle me bechu to Mai iska Maalik nahi hu aur naahi ye mere liye halal hai,kyu ki ye Interest hai jo ke hum musalmano par Haram hai.
Iska matlab hua ke meri Milkiyat Naaqis (incomplete) hai.
Aur insaan Taqdeer ke hawale se bhi uske baare me kisi chiz ka Maalik nahi hai,isliye ke Tasarruf (Kisi chiz ko chalane ya kisi chiz ke halat ko badalne) ka ikhtiyaar sirf Allaah Ta'alaa hi ko haasil hai.
MASLAN (For example)-
✳Insaan ke hukm par uska gulaam naahi tandurust (healthy) ho sakta hai,aur naahi insaan ke kahne par uska tandurust gulaam bimaar padhega.
Jabke Allaah Ta'alaa agar kisi bimaar ko tandurust hone ya kisi tandurust ko bimaar hone ka hukm dedein to unke liye Iske hukm ko maanna laazmi hogi.
Ye isliye ke haqiqi Tasarruf (kisi chiz ko chalana ya kisi chiz ke halat ko badalna) Allaah Ta'alaa ke ikhtiyar me hai naake kisi insaan ke ikhtiyaar me.
Insaan ki Milkiyat tasarruf (kisi chiz ko chalana ya kisi chiz ke halat ko tabdil karne) ke aitebaar se adhuri (imcomplete) hai aur naahi uski Milkiyat sab chizo par hai.
In baato se ye baat waaze hojati hai ke Allaah Ta'alaa hi sab chizo ka akela aur haqiqi MAALIK hai.
Allaah hume Tawheed ko sahih se samajhne ki taufeeq de.
AAMEEN YA ALLAH.
TAWHEED E ULOOHIYYAT ka matlab kya hai?
ANSWER-
Is baat ka ilm aur aiteraaf ke har qism ki Ibadat chahe wo Qauli ho,Feli ho ya Maali ho,har tarah ki ibadat me Allaah Ta'alaa ko yakta (akela) maana jaaye,aur isme kisi ko Iske saath sharik na tahraya jaaye,yaani Aap Allaah Ta'alaa ke siwa kisi ki ibadat na karein,Naahi farishte ki aur na kisi Nabi ki,na kisi Wali ki aur na kisi shaikh ki,na baap ki aur naahi maa ki,sirf aur sirf Allaah subhanu wa Ta'alaa hi ki ibadat ki jaaye.
Aur Allaah Ta'alaa ke liye apne Deen ko khaalis rakha jaaye .
ALLAAH TA'ALAA Quran e Majeed me farmate hai-
وَمَا أُمِرُوا إِلَّا لِيَعْبُدُوا اللَّهَ مُخْلِصِينَ لَهُ الدِّينَِ
" Inhe iske siwa koi hukm nahi diya gaya ke sirf Allaah ki ibadat karein,Iske liye Deen ko khaalis rakhein."
(Surah Al-Bayyina, Verse 5:)
Isi wajah se Tawheed ki is qism ko TAWHEED E. ULOOHIYAT kaha jata hai,aur ise TAWHEED E IBADAT bhi kaha jata hai.
NOTE-
Yahi wo Tawheed ki qism hai jise Ambiyaa Alaihis Salatu was Salaam lekar aaye the aur wo logo ko isi ki dawat dete the.
Tawheed ki yahi wo qism hai jiski dawat 13 saal tak Makkah me di gai aur islam ki digar ibadatein baad me Farz ki gai .
Yahi wo qism hai jiski tahqeeq ke liye jangein ladi gai,Gazwat aur saraya kiye giye .
Gazwa- Wo jung jisme Allaah ke Rasool sallallahu alaihi wa sallam ne hissa liya.
Saraya-Wo jung jisme Allaah ke Rasool sallallahu alaihi wa sallam ne hissa nahi liya.
Aur aaj duniya mein jitne tarah ke shirk paye jate hain wo sab Tawheed Uloohiyyat ko na samajhne ki wajah se hai
Qura'n ki Makki Surato ko dekhne ke baad ye baatein waazey hojaati hai.
Allaah Ta'alaa Quraan e Majid me farmate hai-
وَلَقَدْ بَعَثْنَا فِى كُلِّ أُمَّةٍ رَّسُولًا أَنِ اعْبُدُوا اللَّهَ وَاجْتَنِبُوا الطّٰغُوتَ ۖ ِ
"Humne har ummat me Rasool bheja, ke logo !sirf Allaah ki ibadat karo aur uske siwa tamam (baatil ) Ma'boodo se bacho."
(Surah An-Nahl : 36)
وَلَقَدْ أَرْسَلْنَا نُوحًا إِلٰى قَوْمِهِۦ فَقَالَ يٰقَوْمِ اعْبُدُوا اللَّهَ مَا لَكُم مِّنْ إِلٰهٍ غَيْرُهُۥٓ ۖ أَفَلَا تَتَّقُونَ
"Yaqinan Humne Nooh (alaihis salam) ko iske qaum ki taraf Rasool banakar bheja.Usne kaha,Ae Mere Qaum ke logo!Allah ki ibadat karo,aur Uske siwa tumhara koi Mabood e Barhaq nahi. Kya Tum Taqwa nahi rakhte?
(Surah Al-Muminoon : 23)
وَإِلٰى ثَمُودَ أَخَاهُمْ صٰلِحًا ۗ قَالَ يٰقَوْمِ اعْبُدُوا اللَّهَ مَا لَكُم مِّنْ إِلٰهٍ غَيْرُهُۥ ۖ
"Aur humne Qaum e Samood ki Taraf inke bhai Salih (alahis salam) ko bheja.Inhone farmaya -"Ae mere Qaum!Tum Allaah ki ibadat karo,Uske siwa koi tumhara Mabood e barhaq nahi."
(Surah Al-A'raaf : 73)
وَإِلٰى مَدْيَنَ أَخَاهُمْ شُعَيْبًا ۗ قَالَ يٰقَوْمِ اعْبُدُوا اللَّهَ مَا لَكُم مِّنْ إِلٰهٍ غَيْرُهُۥ ۖ
"Aur humne Madyan ki Taraf unke bhai Shoaib (alahis salam) ko bheja.Unhone farmaya -Ae mere Qaum!Tum Allaah ki ibadat karo,Uske siwa koi tumhara Mabood e barhaq nahi."
(Surah Al-A'raaf : 85)
مَا تَعْبُدُونَ مِن دُونِهِۦٓ إِلَّآ أَسْمَآءً سَمَّيْتُمُوهَآ أَنتُمْ وَءَابَآؤُكُم مَّآ أَنزَلَ اللَّهُ بِهَا مِن سُلْطٰنٍ ۚ إِنِ الْحُكْمُ إِلَّا لِلَّهِ ۚ أَمَرَ أَلَّا تَعْبُدُوٓا إِلَّآ إِيَّاهُ ۚ ذٰلِكَ الدِّينُ الْقَيِّمُ وَلٰكِنَّ أَكْثَرَ النَّاسِ لَا يَعْلَمُونَ
"Iske siwa tum jinko ibdata kar rahe ho wo sab naam hi naam hai jo tumne aur tumhare baab dadao ne banali hai.Allaah Ta'alaa ne inki koi dalil naazil nahi farmayi.
Farmabardari sirf Allaah Ta'alaa hi ke liye hai.Iska Farman hai ke tum sab Iske siwa kisi aur ki ibadat na karo, yahi Deen durust hai, lekin aksar log nahi jaante."
(Surah Yusuf : 40)
Allaah hume Tawheed ko sahih se samajhne ki taufeeq de.
AAMEEN YA ALLAH.
IBADAT se kya muraad hai?
ANSWER-
Allaah Ta'alaa ne jin chizo ko karne ka hukm diya hai uspar amal karna aur jin chizo se roka hai usse ruk jana,aur Allaah se Muhabbat aur Uski Tazim karte hue apne aap ko Uske saamne intehayi darje ki zillat wa inkasari ko zaahir karna yaani apne aap ko uske saamne bahot chota zaahir karna.
Shaikul Islam Imam Ibn Taymiya (rahimaullah) Ibadat ki taarif yu karte hai-
Har wo chiz jise Allaah pasand karta ho aur usse Muhabbat karta ho, chahe wo aqwaal ho Zaahiri amaal ho ya Batini (inside) Amaal.
Ibadat Do azim baato par mabni (depend) hai-
MUHABBAT
TA'ZEEM.
Jab Allaah Ta'alaa se Muhabbat karenge to Uske paas maujood chizo (maslan Jannat,Uski nehmatein aur Deedar e Ilahi wagaira) se ragbat (chahat) dikhayenge,aur un chizo ko paane ki koshish karenge aur us raaste par chalne ki koshish karenge jinse intak pahoncha ja sake aur mukammal tariqe par Allaah ki ita'at karenge.
Allaah Ta'alaa Quran e Majeed me farmate hai-
وَمِنَ النَّاسِ مَن يَتَّخِذُ مِن دُونِ اللَّهِ أَندَادًا يُحِبُّونَهُمْ كَحُبِّ اللَّهِ ۖ وَالَّذِينَ ءَامَنُوٓا أَشَدُّ حُبًّا لِّلَّهِ ۗ
Baaz log aise bhi hai jo Allaah ta'alaa ke sharik banakar unse aisi muhabbat rakhte hai,jaisi Muhabbat Allaah Ta'alaa se honi chahiye.Aur Imaan waale Allaah ki Muhabbat me bahot sakht hote hai.
(Surah Al-Baqara : 165)
Isi Tarah Jab aap Allaah Ta'alaa ki ta'zeem karenge to usse darenge aur Jab bhi kisi gunah ko karne ka irada karenge to Allaah Ta'alaa ki a'zmat ka ihsas karte hue us gunah se nafrat karne lagenge.
Allaah Ta'alaa Quran e Majeed me farmate hai-
وَلَقَدْ هَمَّتْ بِهِۦ ۖ وَهَمَّ بِهَا لَوْلَآ أَن رَّءَا بُرْهٰنَ رَبِّهِۦ ۚ كَذٰلِكَ لِنَصْرِفَ عَنْهُ السُّوٓءَ وَالْفَحْشَآءَ ۚ إِنَّهُۥ مِنْ عِبَادِنَا الْمُخْلَصِين
َ
(Us aurat ne Yusuf (alahis salam) ki taraf ka qasad kiya aur Yusuf (alahis salam) uska qasad karte agar wo apne Parwardigar" ki dalil na dekhte.Yu nahi hua is waaste ke Hum usse burayi aur behayayi door kardein.Beshak wo humare choone hue bando me se the.)
[And she certainly determined [to seduce] him, and he would have inclined to her had he not seen the proof of his Lord. And thus [it was] that We should avert from him evil and immorality. Indeed, he was of Our chosen servants]
(Surah Yusuf : 24)
Ek aur jagah Allaah farmate hai-
ۚ إِنَّهُمْ كَانُوا يُسٰرِعُونَ فِى الْخَيْرٰتِ وَيَدْعُونَنَا رَغَبًا وَرَهَبًا ۖ وَكَانُوا لَنَا خٰشِعِينَ
(Ye buzurg log nek kaamo ki taraf jaldi karte the aur hume umeed aur darr aur khauf se pookarte the.Aur humare saamne aajizi karne waale the.)
[ Indeed, they used to hasten to good deeds and supplicate Us in hope and fear, and they were to Us humbly submissive.]
(Surah Al-Anbiyaa : 90)
Ye Allaah Ta'alaa ka aap par azeem ihsaan hoga ke jab aap gunah ka iradaa karenge to Allaah Ta'alaa ko apne saamne paayenge,aur phir Uske darr aur khauf ki wajah se us gunah ko karne se ruk jaayenge.
Isliye Aap Rahbat (umeed),khauf ,Muhabbat aur Ragbat (chahat) ke saath Allaah Ta'alaa ki ibadat karein.
Ibadat kahte kise hai,jab ye baat hum par waaze hogayi hai to ab hume har tarah ki ibadat ,poore Ikhlaas ke saath sirf aur sirf Allaah ke liye hi karni hai aur kisi ko bhi in ibadato me Allaah ka sharik nahi tahrana hai.
Allaah hume Tawheed ko sahih se samajhne ki taufeeq de.
AAMEEN YA ALLAH.
Agar ye kaha jaaye je Quran e Majeed me bahot jagaho par khud Allaah Ta'alaa ne apne siwa dusre ma'boodo ka isbaat (affirm) kiya hai.
MASLAN (For EXAMPLE )-
Allaah Ta'alaa Qura'n e Majeed me farmate hai-
Jo shaks Allaah Ta'alaa ke saath dusre Ma'boodo ko pukarte hai jiski koi dalil uske paas nahi, pas uska hisaab to uske Rabb ke upar hi hai.
(SurahAl-Muminoon : 117)
Ek jagah Allaah Ta'alaa farmate hai-َّ
Humne unpar koi zulm nahi kiya,balke khud unhone hi apne upar zulm kiya aur unhe unke Ma'boodo ne koi faidah nahi pahonchaya,jinhe wo Allaah ke siwa pukaarte the ......
(Surah Hud : 101)
LEKIN
Allaah Ta'alaa ne Quraan e Majeed me ye bhi farmaya hai ke Allaah Ta'alaa ke siwa dusra koi Mabood nahi hai.
Maslan (for example)
Allaah Ta'alaa Quran e Majeed me farmate hai-
Tumse pahle bhi Jo Rasool Humne bheja, uski taraf yahi Wahi naazil farmayi ke -"Mere siwa koi Mabood (e barhaq ) nahi, pas tum sab meri hi Ibadat karo.
(Surah Al-Anbiyaa : 25)
Dusre jagah Allaah Ta'alaa farmate hai-
Allaah Ta'alaa, farishte aur Ahle Ilm is baat ki gawahi dete hai ke Allaah ke siwa koi Ma'bood nahi.
(Surah Aal-i-Imraan : 18)
Kalma Shahadat me bhi hum gawahi dete hai ke-
"LAILAHA ILLALLAH"
Allaah ke ilawa koi Ma'bood nahi hai.
To ab in dinodono baato me tatbeeq (solution) ki kya soorat hai?
ANSWER-
Iska jawab ye hai ke Ghairullah ki Uloohiyat, Uloohiyat Batila hai yaani Allaah ke siwa jin jin chizo ki ibadat ki jarahi hai wo tamam jhoote Mabood hai jinhe logo ne apne nafs ki pairwi karte hue banaliye hai.
Allaah Quran e karim me farmate hai-ٓ
Dar asal ye sirf Naam hai jo tumne aur tumhare baap dadao ne unke liye rakhliye hai,Allaah ne unki koi dalil nahi utari.
Ye log to sirf atkal ke aur apni nafsiyani khawahisho ke peeche padhe hue hai....
(Surah An-Najm : 23)
Pata chala inki Uloohiyat baatil hai.
Agarcha Unki ibadat ki gayi aur ghumrah logo ne Uske Saamne zillat aur inkasari ka izhaar bhi kiya, magar wo tamam chiz Mabood banne ke qaabil nahi the.Logo ne unki ibadat to ki lekin haqiqat me wo jhoote Mabood the.
Allaah Quran e Majeed me farmate hai-
Ye sab is wajah se hai ke Allaah Ta'alaa HAQ hai aur Uske siwa jin jin ko log pukarte hai wo sab BAATIL hai.......
(Surah Luqman : 30)
Saabit hua ke Allaah Ta'alaa hi haqiqi Mabood hai aur uske siwa jin jin chizo ki ibadat ki jaati hai wo tamam Baatil Mabood hai.
Ye tamam chiz milkar bhi ek makhhi bhi paida nahi kar sakte aur Makhkhi to door ki baat hai ek zarra (atom) bhi paida nahi kar sakte.
Allaah Ta'alaa farmate hai-
Logo ek Misaal bayan ki jarahi hai,zara kaan laga kar sunlo!
Allaah Ta'alaa ke siwa jin jin ko tum pukarte rahe ho wo ek makhkhi bhi paida nahi kar sakte, chahe saare ke saare hi jama' ho jaaye.Balke agar Makhkhi unse koi chiz le bhaage to ye to oose bhi usse cheen nahi sakte.Bada kamzor hai jo maang raha hai aur bada kamzor hai wo jisse maanga ja raha hai.
(Surah Al-Hajj : 73)
NOTE-
Yahi wajah hai
"LAILAHA ILALLAH "
Ka tarjuma -
"Nahi hai koi Mabood siwaye Allaah ke"-galat hai ,
aur iska sahih tarjuma ye hoga-
"Nahi hai koi Mabood e Barhaq siwaye Allaah ke"
Tarjuma me lafz "BARHAQ" ka izafa kiya jaata hai.
Kyu ki hume ye pata hai ke ghumra logo ne Allaah ke ilawa baaz chizo ki ibadat ki aur unki ibadat karke unhe apna Mabood bana liya.lekin ye mabood baatil hai aur haqiqi Mabood sirf aur sirf Allaah hai, aur sirf wahi har tarah ki ibadat ke layaq hai.
Aur hum kalma me baatil Maboodo ka inkaar karte hai aur Allaah Ta'alaa ko haqiqi mabood tasleem karte hai.
Allaah hume Tawheed ko sahih se samajhne ki taufeeq de.
AAMEEN YA ALLAH.
MALAIKA (Farishto) PAR IMAAN
Malaika Aalam e Ghaib (unseen world) se Ta'lluq rakhte hai jinhe Allaah Ta'alaa ne Noor se paida farmaya hai aur unhe aajizi wa inkisaari ke saath apna ita'at guzar banaya hai aur ye kabhi Allaah ki nafarmani nahi karte.
Allaah Ta'alaa Quran e Majid me farmate hai-
يٰٓأَيُّهَا الَّذِينَ ءَامَنُوا قُوٓا أَنفُسَكُمْ وَأَهْلِيكُمْ نَارًا وَقُودُهَا النَّاسُ وَالْحِجَارَةُ عَلَيْهَا مَلٰٓئِكَةٌ غِلَاظٌ شِدَادٌ لَّا يَعْصُونَ اللَّهَ مَآ أَمَرَهُمْ وَيَفْعَلُونَ مَا يُؤْمَرُونَ
Ae Imaan waalo! Tum apne aap ko aur apne ghar waalo ko oos aag se bachao jiska Indhan Insaan aur patthar hai,jispar sakht dil mazboot farishte muqarrar hai,jinhe jo hukm Allaah Ta'alaa deta hai,uski nafaramani nahi karte,aur wo karte hai jiska unhe hukm diya jata hai.
(Surah At-Tahrim : 6)
Allah ne Malaika ko alag alag zimmedariya di hai jaise-
Jibrael (alahis salam)- In par wahi ki zimmedari aayad ki gayi hai,jise wo Allaah Ta'alaa se lekar Uske Rasoolo tak pahonchate rahe hai.
Israfeel (alahis salam)- Inki zimmedari SOOR phukna hai.
Mikayeel(alahis salam)-
Baarish barsaane aur Nabatat se muta'luqqa (related) zimmedariya unhe di gayi hai.
Baaz farishto ko Insaan ki roohein qabz karne ka kaam diya gaya hai.
(Surah Sajda :11)
Agar insaan jannati hai to-
MALUKUL MAUT us insaan ke jism se rooh ko nikal kar dusre farishto ko dedeta hai jo uske rooh ko lekar Illiyin me pahonchadeta hai.
Agar Marne wala Momin nahi tha to
MALUKUL MAUT uski rooh nikal kar,dusre farishto kk dedeta hai jo uski rooh ko Sijjin me pahoncha dete hai.
Kuch Malaika Zameen par chalte phirte rahte hai aur Allaah ke zikr ki halqo ki talash me rahte hai,jaha kahi Ilm wa zikr ka halqa milta hai,waha bait jaate hai.
(Bukhari :6308)
Isi tarah Kuch farishte insaan ke amaal likhne ki zimmedari ada karte hai jinhe KIRAMAN KATIBIN kaha jata hai.
(Surah Infitar :10-12,
Surah Qaaf :18)
Kuch farishte Insaan ki hifazat ke liye shab wa roz (deen aur raat) me baari baari unke paas aate rahte hai.
(Surah Raad:11)
Kuch aise bhi hai jo Aasmaan me Allaah Ta'alaa ke saamne Rukoo aur Sujood karte rahte hai.
(Tirmizi :2312)
Kuch Malaika ko Jannat me aur Kuch ko jahannam me kaam diya gaya hai.
Jahnnam ke khaazim (Gate keeper) ka naam-MALIK hai.
Isi tarah aur bhi farishte hai jise Allaah ne dusre kaamo me laga rakha hai.
Baaz ke baare me Allaah ne hume bataya hai aur baaz ke baare me nahi,aur unke baare me sirf Allaah hi jaanta hai.
Humara Imaan tamam Farishto ke upar hai,ke farishte Allaah ke ek makhlooque hai aur inka wajood haq hai.
Allaah tu hume imaan ki halat me zinda rakh aur imaan ki halat me maut de.
AAMEEN YA ALLAH.
MALAIKA (Farishto) PAR IMAAN
Agar koi sawal kare ke Kya Malaika ko Aqal hoti hai ?
Iske jawab me Shaikh Saleh Al Usaimin rahimaullah farmate hai-
To usse ye poocha jayega ke kya aap ke paas Aqal hai?
Ye sawal to koi Deewana (bewaquf) shaks hi kar sakta hai.
Allaah Ta'alaa farmate hai-
ٌ لَّا يَعْصُونَ اللَّهَ مَآ أَمَرَهُمْ وَيَفْعَلُونَ مَا يُؤْمَرُونَ
They (Malaika) do not disobey Allah in what He commands them but do what they are commanded.
(Surah At-Tahrim : 6)
Agar wo Aqal se mahroom hote to kya in lafzo se unki ta'reef ki ja sakti hai?
Allaah Ta'alaa farmate hai-
يُسَبِّحُونَ الَّيْلَ وَالنَّهَارَ لَا يَفْتُرُونَ
They exalt [Him] night and day [and] do not slacken.
Aur jo Tableegh Wahi ka kaam anjaam detein hai,kya wo Aqal se mahroom hai?
Kya jo shaks ke paas khud Aqal wa shaoor na ho, ye kahne ka haq rakhta hai ke Malaika Aqal waale nahi hai?
Shaikh Abu Horaira Hafizahu Allaah is par tabsara karte hue farmate hai-
Yahan ye batana maqsood hai ke kya farishte aqal wale hain ya wo kisi Robot ki tarah hain ke kisi kam par command de diya aur wo lage hue hain!!
Allaah farmate hai-
لا يعصون الله ماامرهم
(Malaika)Allaah ke hukm ki nafarmani nahi karte.
Agar wo aqal wale na hote to ye kahne ki kya zarurat thi ke wo nafarmani nahin karte
Fir Aadam (alaihis salam) ka qissa dekhein -
Farishto ne Allaah se kaha hum Teri tasbih karte hai
Wo log jo zameen pe khun kharaba karenge tu unko kyu paida karna chata hai?
(See-Surah Baqarah Verse:30)
Ye sawal koi be aqal karega?
Koi robat karega ???
Be shak wo Aqal waale hai jo Allaah ke farmabardari me lage hue hai
Allaah tu hume imaan ki halat me zinda rakh aur imaan ki halat me maut de.
AAMEEN YA ALLAH.
ALLAAH KI KITAABO PAR IMAAN⭐
Allaah Ta'alaa Quran e Majid me farmate hai-
لَقَدْ أَرْسَلْنَا رُسُلَنَا بِالْبَيِّنٰتِ وَأَنزَلْنَا مَعَهُمُ الْكِتٰبَ وَالْمِيزَانَ لِيَقُومَ النَّاسُ بِالْقِسْطِ ۖ
We have already sent Our messengers with clear evidences and sent down with them the Scripture and the balance that the people may maintain [their affairs] in justice.
(Surah Al-Hadid : 25)
Isse saabit hota hai ke Har Rasool par Kitaab Naazil hua hai,magar hum un tamam kitabo ka ilm nahi rakhte.
Hume sirf in kitaabo ka Ilm rakhte hai-
Hazrat Ibrahim alaihis salam aur Hazrat Moosa alaihis salam ke Sahife,
Taurat jo Moosa alaihis salam par naazil hui,
Injil jo Isa alahis salam par naazil hui.
Zaboor jo Dawood alahis salam par naazil hui,Aur
Quran jo Aakhri Nabi Muhammad sallallaahu alaihi wasallam par naazil hui.
Hum Allaah ki har ek Kitaab par imaan rakhte hai jise Allaah Ta'alaa ne apne kisi bhi Rasool par ootara agarche hume uska ilm na hi ho.
Allaah tu hume imaan ki halat me zinda rakh aur imaan ki halat me maut de.
AAMEEN YA ALLAH.
ALLAAH KE RASOOLO PAR IMAAN
Yaani Hum Allaah Ta'alaa ke tamam Rasoolo par Imaan rakhte hai aur ye wo log hai jinki taraf Usne shariyat ko wahi kiya aur phir unhe unki tabligh ka hukm diya
Pahle Rasool Nooh alahis Salam hai aur
Aakhri Rasool Muhammad sallallaahu alaihi wasallam hai.
Nooh alaihis Salam ke Pahle Rasool hone ki dalil
Allaah Ta'alaa Quran e Majid me farmate hai-
إِنَّآ أَوْحَيْنَآ إِلَيْكَ كَمَآ أَوْحَيْنَآ إِلٰى نُوحٍ وَالنَّبِيِّۦنَ مِنۢ بَعْدِهِۦ ۚ وَأَوْحَيْنَآ إِلٰىٓ إِبْرٰهِيمَ وَإِسْمٰعِيلَ وَإِسْحٰقَ وَيَعْقُوبَ وَالْأَسْبَاطِ وَعِيسٰى وَأَيُّوبَ وَيُونُسَ وَهٰرُونَ وَسُلَيْمٰنَ ۚ وَءَاتَيْنَا دَاوُۥدَ زَبُورًا
Hum ne aap ki taraf wahi ki jaise Nuh ki taraf ki thi, aur un ke baad dusre nabiyon ki taraf ki thi, aur Hum ne wahi ki thi Ibrahim, Ismael, Ishaaq, Yaqub, kitaraf, aur aulad-e-Yaqub ki taraf, aur Isa, Ayyub, Yunus, Harun ki taraf aur Sulaimaan ki taraf aur humne Dawood ko zaboor ata ki.
(An-Nisaa : 163)
Shaikh Saleh Al Usaimin rahimaullah farmate hai-
Is wahi se muraad Wahi Risalat hai
Hadees e Shafa'at me
Allaah ke Rasool sallallaahu alaihi wasallam ka farmaan hai-
Log Nooh alahis salam se kahenge:
Aap pahle Rasool hai, jinhe Allaah ne zamin waalo ki taraf bheja.
(Sahih Al Bukhari)
Quran ki aayat aur Hadees se ye baat bilkul waaze hai ke Nooh alaihis salam hi pahle Rasool hai.
Rahe Aadam alaihis salam to wo Rasool nahi balke Pahle Nabi hai
Jaha tak Idris alaihis salam ki baat hai
To Aksar moarrikhin (Historian) aur Mufassirin ke nazdiq Aap Hazrat Nooh alaihis salam se pahle guzre hai aur unka shumar Nooh alaihis salam ke ijdad me hota hai,lekin ye qaul kamzor hai aur iska radd Quran aur Hadees se hoti hai.
Sahih baat yahi hai ke Nooh alahis salam hi pahle Rasool hai
Aakhri Rasool Muhammad sallallaahu alaihi wasallam hai.
Iske upar beshumar dalail hai aur ispar ummat ka ijma bhi hai.Jo Muhammad sallallaahu alaihi wasallam ko aakhri Nabi ya aakhri Rasool na maane to wo Pakka Kaafir hai.
Un Dalilo me se ek dalil Quran ki ye aayat hai-
Allaah Ta'alaa farmate hai-
مَّا كَانَ مُحَمَّدٌ أَبَآ أَحَدٍ مِّن رِّجَالِكُمْ وَلٰكِن رَّسُولَ اللَّهِ وَخَاتَمَ النَّبِيِّۦنَ ۗ وَكَانَ اللَّهُ بِكُلِّ شَىْءٍ عَلِيمًا
Muhammad tumhare mardon me kisi ka baap nahi hai , laikin Allaah ke Rasool hai aur sab nabiyon ke khatam par hai aur Allaah he har cheez se khoob waaqif hai.
(Al-Ahzaab : 40)
Allaah Ta'alaa ne aapko Khatamal Mursalin (yaani aakhri Rasool ) nahi kaha balke Katamun Nabiyin kaha isliye ke jab Muhammad sallallaahu alaihi wasallam ke aane se Nabuwat ka silsila khatam hogaya to, saath hi saath Risalat ka silsila bhi khatam hogaya,kyu ki Har Rasool Nabi hota hai,jab Nabi hi nahi aa sakte to Rasool kaha se aayenge.!!
Allaah tu hume imaan ki halat me zinda rakh aur imaan ki halat me maut de.
AAMEEN YA ALLAH.
Is jagah ye sawal oothaya ja sakta hai ke Isa alahis Salam ka nuzool aakhri zamane me hoga aur wo Rasool hai to phir aakhri Nabi Muhammad sallallaahu alaihi wasallam kaise hue?
Shaikh Saleh Al Usaimin rahimaullah farmate hai-
"Iska jawab ye hai ke Isa alahis salam kisi nayi shariyat ke saath nuzool nahi honge balke wo Nabi sallallaahu alaihi wasallam ki Shariyat ke mutabiq faisla karenge."'
Aur Quran o Hadees aur Ijma e Ummat se ye baat saabit ho chuki hai ke aakhri Nabi, Muhammad sallallaahu alahi wasallam hai ,unke baad, Qayamat tak koi Nabi paida nahi ho sakta aur naahi koi nayi shariyat aane waali hai
Al-Safaareeni (may Allaah have mercy on him) said:
The ummah is unanimously agreed that he(Isa alaihis Salam) will descend and none of those who follow sharee’ah disagreed with that. Rather it was denied by the philosophers and heretics whose dissent is of no importance. There is consensus among the ummah that he will descend and will rule according to the sharee’ah of Muhammad (peace and blessings of Allaah be upon him). No new law will be revealed when he descends from heaven.
Lawaami’ al-Anwaar al-Bahiyyah (2/94, 95)
Allaah tu hume imaan ki halat me zinda rakh aur imaan ki halat me maut de.
AAMEEN YA ALLAH.
Agar ye kaha jaaye ke ye baat muttafaq alaih hai ke Is Ummat ke bahtreen Ummati Abu Bakr Siddique raziallahu anhu hai Jabke Isa Alahis Salam ,Muhammad sallallaahu alaihi wasallam ki Shariyat ke mutabiq faisla denge aur Aap sallallaahu alahi wasallam ki Ittibah karenge to phir humara ye kahna kis tarah Sahih ho sakta hai ke Is Ummat ke bahtreen ummati Abu Bakar Siddique raziallahu anhu hai?
JAWAB
Shaikh Saleh Al Usaimin rahimaullah farmate hai -
"Iska jawab teen tarah se diya ja sakta hai-
PAHLA :
Isa alahis salam mustaqil Rasool hai aur aapka shumaar ULUL AZM Rasoolo me hota hai.
Lehaza Isa alahis Salam aur Is Ummat e Mohammadia ke logo ke beech me maqarana (compare) karane ke baare me socha bhi nahi ja sakta.
is liye ye aiteraz bekaar hai.
DUSRA :
Abu Bakr raziallahu anhu Bahtreen Ummati hai,Isa Alahis Salam ke baad.
TEESRA-
Isa alaihis Salam Is ummat ke fard nahi,jab Aap Nuzul farmayenge to Aap Muhammad sallallaahu alahi wasallam ki shariyat ki ittibah karenge jo Qayamat tak baaqi rahega.
Yaani-
Isa alaihis Salam Rasool hai aur aap Ulul Azm Rasoolo me hai, lekin jab aap Qayamat se Pahle Duniya me nuzool karenge to aap ba haisiyat ek Haakim ke is duniya par hukumat karenge aur adl aur insaaf qayam karenge aur aap ye hukumat Quran o hadees ke mutabiq karenge, koi nayi shariat lekar nahi aayenge.
Lekin iska ye matlab nahi ke Allaah ne jo maqam aur martaba aapko diya hai Ulul Azm Rasool hone ka to wo aapse chin lenge.
Aapka maqam aur martaba Wahi rahega.
To phir Abu Bakr siddique raziallahu anhu se Isa alahis salam ko compare karna fizul hai kyu ki Abu Bakr siddique ek Ummati hai aur Isa Alahis Salam Ulul Azm Rasool.
NOTE-
ULUL AZM RASOOL :
"Matlb ye wo rasool hain jo azm o himmat wale the aur ALLAH ke raste mein aane wali mosibaton par bht sabr karne wale bhi صلوات ربي والسلام عليهم
Aur wo 5 hai.
Nuh, Ibraheem ,Musa, Isa Mohammad alahim salat o wassalam
Agar koi ye aiteraz pesh kare ke Isa Alahis Salam kis tarah Muhammad sallahu alaihi ki Ittibah karne waale honhe jabke Wo Pig ko qatal karenge,Saleeb (Cross) todhenge aur Islam ke ilawa kuch bhi qubul nahi karenge.
Lekin Islam AHLE KITAAB ko JIZIYA ke badle Hifazat deta hai?
ANSWER
Shaikh Saleh Al Usaimin rahimaullah farmate hai-
Iske Jawab me ye kaha jayega ke Nabi sallallaahu alaihi wasallam ka in baato ko hume batana AAP sallallaahu alaihi wasallam ki taraf se iske qubul hone ki dalil hai.
Jo Aap ki shariyat ka hukm qarar payega aur Jab Isa Alaihis Salam Aasmaan se nuzool karenge to Islam ka pahla qaul ke Ahle Kitaab se Jiziya lekar unki hifazat ki jayegi ,mansookh hojayega aur Naya hukm ye hoga ke Jiziya Qubul nahi ki jayegi ,sirf aur sirf Islam qubul kiya jayega
Agar Imaan laaye to thik,warna Jung karna hoga.
Allaah tu hume imaan ki halat me zinda rakh aur imaan ki halat me maut de.
AAMEEN YA ALLAH.
MAUT KE BAAD QABRO SE ZINDA NIKALNA
Ye Ahlus Sunnah wal Jama'at ka Aqeedah hai ke marne ke baad logo ko unki qabro se zinda nikala jayega.
Aur ye baat Kitab o Sunnat aur Ijma Ummat (consensus of the Muslims) se saabit hai.
Balke ispar Yahood(Jews) o Nassara(Christians) ka bhi Ijma hai.
Humara aur Unka aqeedah hai ke ek din aane wala hai yaani Qayamat ka din jab logo ko dubara zinda kiya jayega aur unhe unke amaal ka badla diya jayega.
Allaah subhanahu wa Ta'alaa Quran me farmate hai-
زَعَمَ الَّذِينَ كَفَرُوٓا أَن لَّن يُبْعَثُوا ۚ قُلْ بَلٰى وَرَبِّى لَتُبْعَثُنَّ ثُمَّ لَتُنَبَّؤُنَّ بِمَا عَمِلْتُمْ ۚ وَذٰلِكَ عَلَى اللَّهِ يَسِيرٌ
"Kafiron ka ye aqeedah hai ke wo dubara hargiz nahi uthaye jayenge,
(Ae Muhammad sallallahu alaihi wasallam) Keh dijiye ke mere Parwardigar ki kasam tum zarur dubara uthaye jaoge , phir jo jo kaam tum karte rahe , wo tum ko bata diye jayenge, aur ye baat Allaah ke liye asaan hai"
(At-Taghaabun : 7)
Ek jagah farmate hai-
ثُمَّ إِنَّكُم بَعْدَ ذٰلِكَ لَمَيِّتُونَ
ثُمَّ إِنَّكُمْ يَوْمَ الْقِيٰمَةِ تُبْعَثُونَ
"Phir tum is ke baad zaroor mar jaaoge
Phir tum qayamat ke roz dubara zinda kiye jaoge."
(Al-Muminoon : 15-16)
Aur ye bhi farmaya-
يَوْمَئِذٍ يَصْدُرُ النَّاسُ أَشْتَاتًا لِّيُرَوْا أَعْمٰلَهُمْ
فَمَن يَعْمَلْ مِثْقَالَ ذَرَّةٍ خَيْرًا يَرَهُۥ
وَمَن يَعْمَلْ مِثْقَالَ ذَرَّةٍ شَرًّا يَرَهُۥ
"Us roz log giroh dar giroh wapas aaenge taake apne amaal ko dekhen
So jis kise ne zarra barabar bhi koyi neki ki hogi wo dekh lega
Aur jis ne zarra barabar burayi ki hogi wo usko dekh lega."
(Az-Zalzala : 6-8)
Beshumar hadeeso se ye aqeedah saabit hai.
Hadees ki kisi bhi kitaab me in ahadeeso ko dekha ja sakta hai.
Ye aqeedah Imaan me se hai ke marne ke baad, Qayamat ke din hum phir se zinda kiye jayenge aur hume apne amaal ke mutabiq Jaza ya saza diya jayega .
Jisne is Aqeede ka inkaar kiya,wo daaire Islam se khaarij hai.Wo Momin nahi balke Kaafir Hai
Allaah tu hume imaan ki halat me zinda rakh aur imaan ki halat me maut de aur hume Qayamat ke din. Jahannam se bacha kar Jannat me daal dein.
AAMEEN YA ALLAH.
Ae Ibn Adam! Tujhe ye yaad rahe ke tujhe Qayamat me Allaah ke saamne khada hona hai,taake tu uske liye taiyyari kar sake.
Tujhe iska khauf hona chahiye ke teri mulaqat Allaah se hone waali hai,
aur tere paas nek amal naam ki koi chiz nahi hai!!
Kabhi tumne socha ke aakhirat ke liye tumne kya tayari ki aur mulaqat ke din ke liye kya amal kya?
Aaj aksar log ko ye fikr to khaaye ja rahi hai ke unhone duniya ke liye kya kiya hai,lekin unhe ye bhi maalum nahi ke jis duniya ke liye wo is qadar mehnat kar raha hai,Kya wo oose haasil kar bhi payega ya nahi?
Insaan duniyawi kaam ke liye plan karta hai ke kal ye karna hai aur parso ye,lekin agar oose maut aajaye to wo oose na kal kar sakta hai na uske baad,magar aakhirat ke baare me kuch plan nahi karte,halanke wahi unka asal thikana hoga.
Allaah Ta'alaa Quran e Majeed me farmate hai-
بَلْ قُلُوبُهُمْ فِى غَمْرَةٍ مِّنْ هٰذَا وَلَهُمْ أَعْمٰلٌ مِّن دُونِ ذٰلِكَ هُمْ لَهَا عٰمِلُونَ
Balke unke dil khayaanat me pade hue hainis deen se, aur unke siwa aur a'maal bhi hain jo ye karte hain
(Al-Muminoon : 63)
Aur farmaya-
لَّقَدْ كُنتَ فِى غَفْلَةٍ مِّنْ هٰذَا فَكَشَفْنَا عَنكَ غِطَآءَكَ فَبَصَرُكَ الْيَوْمَ حَدِيدٌ
Tu is din se ghaafil tha , ab hum ne tujh par tera parda utha diya hai, to aj teri nigah tez hai
(Qaaf : 22)
Aur ye bhi farmaya-
اقْتَرَبَ لِلنَّاسِ حِسَابُهُمْ وَهُمْ فِى غَفْلَةٍ مُّعْرِضُون
َ
Logon ke liye hisab ki ghadi qarib agai hai ,aur ye gaflat me pade mooh mod rahe hain.
(Al-Anbiyaa : 1)
Lehaza Qayamat ka qayam hona haq hai,aur tamam Ahle Iman ka isi par imaan hai .To hume chahiye ke hum aakhirat ki taiyyari kare,oos aakhirat ki jaha humara asal thikana hoga.
Allaah tu hume imaan ki halat me zinda rakh aur imaan ki halat me maut de aur hume Qayamat ke din Jahannam se bacha kar Jannat me daal dein.
AAMEEN YA ALLAH
Nazar Saani (Cross checked) by-
Shaikh Abu Horaira Hafizahu Allaah
(Student of Medinah University)
No comments:
Post a Comment