Monday, September 28, 2015

AQEEDAH WASITIYAH


BISMILLAH

INTRODUCTION

Book Name -

"AQEEDAH WASITIYAH"
PART-1

Author Details -

Name -
Shaikul Islam Taqiuddin Abul Abbas Ahmed bin Abdul Halim bin Abdus Salaam Ibn Taymiyyah al Harrani rahimaullah

(Famous as Ibn Taymiyyah (ru))

Born -
10th Rabi al Awwal, 661 Hijri, Monday ke din
"HARRAN"shahar me paida hue the

667 Hijri Tartario (Mongols) ke zulm ke wajah se, Aap aur aapke waalid Damascus chale gaye

Died -
20th Dul Qa'dah 721 Hijri me unki wafaat hui.Us waqt wo Damascus ke jail me the

"Aqeedah Wasitiyah "likhne ki wajah -

Imam Ibn Taymiyyah (ru) farmate hai-

"Ek Shafai Qaazi (judge) jo WASIT shahar se tha (Jo Iraq me padhta hai) aur uska naam "RADIY AD DIN AL WASITI "tha woapne Haj me safar ke dauran Mujhse milne aaya.
Ye shaqs nek aur imaan wala tha.
Usne mujhse apne mulk (country) ke logo ke baare me shikayat ki.In logo par Mongols (Tartar) ki hukumat thi aur ye hukumat ghumrayi, be insaafi aur ilm aur imaan ko khatam kardene waali thi.

Usne mujhse (AHLUS SUNNAH) ke aqeede ke baare me likhne ko kaha, jo wo khud ke liye aur apne ghar waalo ke liye dalil bana kar rakhna chahta tha.
Par maine taalna chaha aur Kaha -
"Bahot saare aqeede likh diye gaye hai,Aap Ahlus Sunnah ke imaam se rujoo karein.

Lekin usne mujhse baar baar likhne ko kaha aur kaha ke oose wo aqeedah jaanna hai jo Mai likh kar dunga.

Isliye Maine ek hi roz me, din ke waqt (asr ki namaz ke baad) oose ( ye aqeedah) likh kar dediya.

Iske bahot saare copies poore Egypt, Iraq aur dusre ilaaqo me bat gayi.

(Majmua Al Fatawa Vol 8,Page -164)

NOTE-
Aqeedah Wasitiyah ki sharah jo aapke saamne pesh ki jaayengi wo do Imamo ki hongi -

1)Shaikh Muhammad bin Saleh Al Usaimin rahimaullah

2)Abdul Aziz Alhamdus Salman hafizaullah

Allah hum sabko Ahlus Sunnah ke sahih aqeede ko samajhne ki taufeeq de.
Aameen.
Shaikul Islam Imam ibn Taimiyah (ru) Aqeedah Wasitiyah ko shuru karte hue likhte hai -

"BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM"
(Shuru Karta hu Allah ke naam se jo Bada hi Maharbaan aur Bada hi Raham karne wala hai)

Allaah
Ye ISM AAZAM hai
(Allaah's greatest name)
Ye lafz "AL ILAH" se bana hai.
Iska matlab hai ke ALLAAH hi haqiqi ilah hai jiski ibaadat ki jaaye.

Ar -Rahmaan

Ye Allaah Ta'ala ke khususi naamo me se ek khaas naam hai jiska matlab hai -

"WASEEH RAHMAT WALA"
(one who possess vast Mercy)

Ar - Rahim

Ye Allaah ta'ala ka ek naam hai jiska matlab hai-
"Apni Rahmat ko apne bando me se jise chahe pahoncahne wala"

Ar - Rahman aur Ar -RAHIM me kya farq hai ??

Ulama ne likha hai
Ar -RAHMAN me Rahmat e Aamma (general mercy) hai matlab Allah ki ye Rahmat har chiz ke upar hai. Isme Muslim aur kaafir dono shaamil haiLekin
Ar - Rahim me Rahmat e Khassa (special mercy) hai jo sirf Imaan waalo ke saath khaas hai isme kaafir shaamil nahi hai.
Kal jab qayamat me kaafir Allah se jahannam ki aag se rehayi maangega to us waqt Allah unke baare me Rahmat se nahi Balke Adl (justice) se kaam lenge aur unko jahannam se kabhi nahi nikalenge,
lekin gunahgar momin ko Allaah kabhi na kabhi apni Rahmat se maaf karke jahannam se nikal kar jannat me daaldenge

NOTE -
Kisi bhi chiz ko padhne ya likhne se pahle poora BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM padhna ya likhna chahiye
Lekin iske ilawa kisi aur chiz ko shuru karne se pahle sirf BISMILLAH padhna chahiye ya poora BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM, to ispar ulama ka iqtilaf hai.
Shaikh al albani (ru) ne kaha hai ke zyada sahih baat hai sirf "BISMILLAH" padhna chahiye.
 

Shaikul Islam Imam ibn Taimiyah (ru) likhte hai -

"Alhamdulillaahil lazi Arsala Rasoolahu bil hudaa wa dinil haqqi liyuzhirahu aladdini kullihi wakafaa billaahi shahida"

(Sab taarif Allaah ke liye hai jisne apne Rasool ko hidayat aur deen e haq ke saath Bheja taake isey har deen par ghaalib kare aur Allaah Ta'ala kaafi hai gawahi dene wala)

ALHAMDULILLAH

Tamam shukr (Thanks) aur taarif (Praise) sirf Allah ke liye hai ya uske liye khaas hai kyu ki taarif ka asal haqdaar sirf Allaah hai, uske siwa koi iske layaq nahi hai,kyu ki har tarah ki ne'mate jinhe hum gin bhi nahi sakte aur Allaah ke siwa uski tadad ko koi nahi jaanta, wo sab Allaah ke taraf se hai.

Oosi ne apni ita'at karne ki tamam chize hume ata farmaye .

Oosi ne apne faraiz poore karne ke liye jismani ne'mate hume ata farmaye.

Phir duniya ke beshumaar ne'mate aur zindagi guzaarne ki tamam zarooriat humare maangne ke beghair hume hiba (gift) kiya.

Uski hameshgi (continuous) waali ne'mate yaani Jannat, hum kis tarah haasil kar sakte hai,wo bhi Usne hume sikha diya.

Pas hum to kahte hai ke ALLAAH Ta'ala hi har tarah ki taarif aur shukr ke layaq hai.

Kisi ke andar koi khoobi,husn ya Kamaal (Perfection) hai to wo bhi Allaah Ta'ala ka paida kiya hua hai isliye HAMD ka haqdaar bhi wahi hai.

Allaah Ta'ala ki HAMD uske kamaal (Perfection) aur uske inaam par ki jaati hai.

Hum Allah Ta'ala ki HAMD isliye karte hai ke Wo har aitebaar se Kaamilus sifaat hai (Perfect in HIS attributes )

Uski HAMD humlog isliye bhi karte hai ke USKA in'aam bhi kaamil (perfect) hai aur ihsaan bhi.

Allah Ta'ala farmate hai-

"Tumhare paas jo bhi nehmat hai, wo Allaah ki taraf se hai, fir jab tumko takleef pahonchti hai to tum Oosi ke saamne rotey hue chale aate ho."
(Surah Nahl:53)

Allaah Ta'ala ki apne bando par sabse se badi ne'mat ye hai ke Usne apne bando ko hidayat dene ke liye Ambiya aur Rasool bheja.

Yahi wajah hai ke Muallif (ru) (Author) Allaah Ta'ala ke is azeem ihsaan par Allaah Ta'ala ki HAMD bayan karte hai.

NOTE -
Alhamdulillah ki ye tafseer teen kitaab se li gayi hai -
Sharah Aqeedah Wasitiyah by Shyikh Usaymin (ru)
Ahsanul Bayan
Tafseer ibn kaseer.
 
Shaikul Islam Imam ibn Taimiyah (ru) likhte hai -

"Alhamdulillaahil lazi Arsala Rasoolahu bil hudaa wa dinil haqqi liyuzhirahu aladdini kullihi wakafaa billaahi shahida"

(Sab taarif Allaah ke liye hai jisne apne Rasool ko hidayat aur deen e haq ke saath Bheja taake isey har deen par ghaalib kare aur Allaah Ta'ala kaafi hai gawahi dene wala)

SHARAH

Tamam Rasoolo ko Allaah Ta'ala ne hidayat aur deen e haq ke saath hi bheja tha magar jis zaat ke saath Allaah Ta'ala ne Risalat ki takmeel farmayi (Completed Messengership)
wo Muhammad (sallallaahu alaihi wasalam) hai.

Aap aakhri Nabi hai aur Aapke baad AllaahTa'ala ne Nabuwat ka silsila ko khatam kardiya hai.

RASOOL AUR NABI ME FARQ

RASOOL: Aisa mard insaan jiske upar Shariyat WAHI ki jaaye aur us shariyat ki tabligh ka usko hukm bhi diya jaaye.
Inhe Rasool kaha jata hai.

Examples :
Nooh (as),
Ibrahim (as),
Moosa(as),
Isa(as),
Muhammad (saw) wagaira.

NABI : Aisa mard insaan jiske upar WAHI ki jaaye lekin uski tabligh ka usko hukm na diya jaaye.

Inhe Nabi kaha jata hai.
Nabi naya shariyat lekar naahi aate,balke poorane shariyat par amal karte hai.

Examples:
Aadam (as),
Haroon (as),
Sulaiman (as) wagaira

NOTE -
Har Rasool, Nabi hote hai par Har Nabi,Rasool nahi hote

Jo ye kaha jata hai ke ALLAAH ne 1 lakh 24 hazaar Nabiyo ko aur 313 Rasoolo ko duniya me bheja hai, to ye baat galat hai.
Is baare me jo hadees Aayi hai wo Zaif e jiddan(very week) hai.

Isliye Hume ye kahna chahiye ke Allaah hi behtar Jaante hai ke duniya me kitne Nabi aur Rasool bheje gaye hai.

Pahle Nabi: Aadam (as) hai
Aakhri Nabi :
Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) hai.
Shaikul Islam Imam ibn Taimiyah (ru) likhte hai -

"Alhamdulillaahil lazi Arsala Rasoolahu bil hudaa wa dinil haqqi liyuzhirahu aladdini kullihi wakafaa billaahi shahida"

(Sab taarif Allaah ke liye hai jisne apne Rasool ko hidayat aur deen e haq ke saath Bheja taake isey har deen par ghaalib kare aur Allaah Ta'ala kaafi hai gawahi dene wala)

Sharah

HIDAYAT KYA HAI? 

Hidayat ka logawi (dictionary) meaning hai -

Dalalat wa Rahnumayi karna aur Waaze bayan karna. 

Hidayat ke do aqsaam (types) hai-

Pahla kism-

Hidayat e Dalalat ya Hidayat e Rahnumayi-

Isse muraad wo hidayat hai jispar Ambiya, Rasool. Aur unke maanne waale (Allaah ke hukm se) Qudrat aur taaqat rakhte hai.

Allah Quran me farmate hai-
"Aur har qaum ke liye Haadi (hidayat dene wala) hai.
(Surah Raad :7)

Allaah farmate hai-
Beshak Aap (Muhammad (saw)) Seerat -e -mustakim ki rahbari karte hai.
(Surah Shura :52)

Allah ke Rasool (saw) ne Hazrat Ali (ra) se kaha -
Agar Allaah Ta'ala tere zariye
Kisi ko hidayat dedein, to ye tere liye surk oonto (red camel) se bhi behtar hai 
Sahih Al Bukhari :3009)

Isi liye Muhammad (saw) ko aur Qur'aan ko HAADI (hidayat dene wala) kaha jaata hai, kyu ki ye logo ko haq ke taraf Rahnumayi karte hai.

Dusra kism (type)

Hidayat e Taufeeq:

Ispar ALLAH ke siwaa koi bhi qudrat aur taakat nahi rakhta.
Hidayat ki taufeeq sirf aur sirf Allaah hi jise chahe de sakte hai.

Allaah Quran me farmate hai -
Aap (Ae Muhammad (saw)) jise chahe hidayat nahi de sakte, lekin Allaah Ta'ala hi jise chahe hidayat de sakte hai.
(Surah Al Qasas verse :56) 

Allaah farmate hai-
"Aapke (Ae Muhammad (saw)) zimme ye nahi ke aap unhe hidayat de,lekin hidayat Allaah deta hai. 
(Surah Baqarah verse 272)

Ibn Taymiyyah (ru) ke is khutbe me hidayat se muraad wo hidayat hai jise Muhammad (saw) laaye the, yaani suchchi khabre (true information) 
Ilm nafey (Profitable knowledge),Sahih Imaan (Right faith) aur nek amal (Good deeds).

IN SHORT
Rasool, Ambiya aur unke maanne waale logo ko hidayat ki taraf rahbari karte hai lekin Hidayat ki taufeeq sirf aur sirf Allaah jise chahte hai oose ata karte hai.
AShaikul Islam Imam ibn Taimiyah (ru) likhte hai -

"Alhamdulillaahil lazi Arsala Rasoolahu bil hudaa wa dinil haqqi liyuzhirahu aladdini kullihi wakafaa billaahi shahida"

(Sab taarif Allaah ke liye hai jisne apne Rasool ko hidayat aur deen e haq ke saath Bheja taake isey har deen par ghaalib kare aur Allaah Ta'ala kaafi hai gawahi dene wala)

Sharah

YAHA PE DEEN KA KYA MATLAB HAI? 

Yaha pe Deen ka matlab hai-
"Har wo hukm aur Shariyat jise Allaah ne Apne Rasool Muhammad (saw) ko dekar bheja hai, Chahe wo aqeedah (belief) se jooda hua ho ya qaul (statement) se ya amal (deed) se.

"Liyuzhirahu aladdini kullihi" ka kya matlab hai? 

Iska matlab ye hai ke ALLAAH dalail aur baraheen ke saath is Deen e Islam ko dusre tamam Deeno par Gaalib (manifest) kardega.

"Wakafaa billaahi shahida " ka kya matlab hai?? 

Allaah Ta'ala ka Shahadat dene me kaafi hona, Apni sadaqat (suchchayi) ko saabit karne ke liye hai.

Allaah Ta'ala farmate hai-
"Aap (Ae Muhammad (saw)) kahiye ke sabse badi chiz gawahi dene ke liye kya hai? "

Aap (ae Muhammad (saw)) kahiye - 
"Mere aur tumhare darmiyan ALLAAH gawah hai."
(Surah Ana'am, verse :19)

Allaah Ta'ala ke naamo me "ASH-SHAHID" se muraad wo zaat e aqdas hai jisse koi chiz ghaib aur chipi (Hidden) hui na ho.

Allaah Ta'ala tamam zaahir aur chipi hui chizo ko jaanne wala hai.
Tamam sooni jaane waali baato ko sunne wala hai,
Tamam dekhi jaane waalo chizo ko dekhne wala hai,
Aur koi bhi chiz Uske ilm ke bahar nahi hai.
Wo Maazi (past), Haal (present) aur mustaqbil (future) ki tamam chizo ko jaanne wala hai
Shaikul Islam Imam ibn Taimiyah (ru) likhte hai -

"Wa ash hadu alla ilaaha il lallaah wahdahu, la sharika lahu,iqraran bihi wa tawheedan"

(Mai gawahi deta hu ke Allaah ke ilawa koi ma'abood e barhaq nahi hai,Wo akela hai, Uska koi sharik nahi hai. 
Iska iqrar karte hue aur Uski tawheed ko maante hue) 

Sharah

"Ash Hadu " ka kya matlab hai?

"Ash Hadu "ka matlab ye hai ke -
"Mai apne dil se iqrar karta hu aur zaban se iska izhaar karta hu."
Ye is liye kyu ki Shahadat dil me maujood kisi chiz ka izhaar ka naam hai.

"Lailaha il lallaah " ka kya matlab hai? 

Iska matlab hai ke-
"ALLAAH Ta'ala ke siwa koi bhi ma'abood e barhaq nahi hai. "
Yaani Allaah Ta'ala ke siwa koi bhi ibadat ke layaq nahi hai.
Wo akela hai aur koi bhi uski ibadat me uska sharik nahi hai,Jis tarah Uski badshahi aur Uski Rububiyat me uska koi sharik nahi hai.

Kalma "LAILAHA IL LALLAAH " ke kitne arkaan hai? Aur wo kya hai? 

Do arkaan hai.
Pahla NAFI (negation)
Dusra ISBAAT (affirmation) 

Kalma LA ILAHA IL LALLAAH 
me lafz "La ilaha "- Allaah ke ilawa pooje jaane waali tamam chizo ki nafi (negates) kar raha hai
Aur
Lafz 
"IL LALLAAH"-
Allaah ki ibadat ki isbat (affirm) kar raha hai
 Shaikul Islam Imam ibn Taimiyah (ru) likhte hai -

"Wa ash hadu alla ilaaha il lallaah wahdahu, la sharika lahu,iqraran bihi wa tawheedan"

(Mai gawahi deta hu ke Allaah ke ilawa koi ma'abood e barhaq nahi hai,Wo akela hai, Uska koi sharik nahi hai.
Iska iqrar karte hue aur Uski tawheed ko maante hue)

Sharah

Kalma LA ILAHA IL LALLAAH Ke kitne shuroot (conditions) hai ??
Aur Wo kya kya hai?? Uske opposite kya kya chize hai??

Kalma LA ILAHA IL LALLAAH ke saath (7) shuroot (conditions) hai.

Agar koi shaqs LA ILAHA IL LALLAAH ki Shahadat deta hai lekin wo in saath (7) shuroot (conditions) ko ada (fulfill) nahi karta, to uska ye Shahadat dena bekaar hai.

Wo Saath shuroot ye hai -

Al-`Ilm -
uske oppsite Jahalat hai

Al-Yaqeen -
uske oppsite SHAK (doubt) hai

Al-Ikhlaas -
uske oppsite SHIRK hai.

As-Sidq (SUCHCHAYI) -
uske oppsite JHUT hai

Al-Inqiad
(FARMABARDARI)- uske opposite NAFARMANI hai

Al-Mahabbah
(MOHABBAT) -
uske opposite NAFRAT hai

Al-Qubool -
uske opposite INKAAR hai.

English

La ilaha illAllah has seven (7) conditions.

The testification does not benefit those, who (merely) utter the testification, unless he fulfills all seven conditions;

Those seven conditions are as follows -

Al-`Ilm
(Knowledge that negates ignorance)

Al-Yaqeen
(Certainty that negates doubt )

Al-Qubool (Acceptance that negates rejection)

Al-Ikhlaas (Sincerity which negates shirk)

Al-Inqiad
(Submission to its rightful requirements, which are the duties that must be performed with sincerity to Allah (alone) seeking His pleasure in such a way that negates abandonment

As-Sidq
(Truthfulness that negates Falsehood (meaning hypocrisy)

Al-Mahabbah
( Love that negates its opposite, which is hatred)

ALLAH hum sabko kalma "LA ILAHA IL LALLAAH " ko sahih se samajhne ki taufeeq de.

AAMEEN YA ALLAH
 
KALMA "LA ILAHA IL LALLAAH "ke saath Shuroot hai

DUSRI SHART

Al-YAQEEN
(Certainty) 

"LA ILAHA IL LALLAAH" ki Shahadat dene wale ko iske matlab par poora YAQEEN hona chahiye. 
Oose is baat ka poora yaqeen hona chahiye ke ALLAAH Ta'ala ke siwa koi bhi ibadat ke layaq nahi hai aur uski Rububiyat, Uloohiyat aur Uske Asma was Sifaat me uska koi bhi sharik nahi hai.

Aur agar oose in baato par shak ho,to fir uska ye shahadat dena oose koi faidah nahi pahonchayega.

Allaah Ta'ala Quran e Majid me farmate hai-

إِنَّمَا الْمُؤْمِنُونَ الَّذِينَ ءَامَنُوا بِاللَّهِ وَرَسُولِهِۦ ثُمَّ لَمْ يَرْتَابُوا 

(Imaan waale sirf wo hai jo Allaah aur Uske Rasool (saw) par imaan laaye aur fir uspe shak na kare)

(Al-Hujuraat : 15)

Pas, agar usne in baato par shaq kiya to fir wo MUNAFIQ hai.

Allaah ke Rasool (saw) ne Abu Huraira (ra) se farmaya -

"Agar Tumhe is deewar ke peeche koi bhi shaqs mile aur wo poore YAQEEN ke saath, apne dil se "LA ILAHA IL LALLAAH "
ki gawahi de, to oose Jannat ki khushkhabri de dena.

(SAHIH MUSLIM, Kitabul Imaan 
Hadees :147)

Pas,agar koi shaqs apne dil se "LA ILAHA IL LALLAAH" ke matlab par yaqeen na kare aur oose ispar shaq ho to wo jannat me jaane ka haqdaar nahi hai,

Jannat ke haqdar to wo hai jo apne dil se,poore yaqeen ke saath "LA ILAHA IL LALLAAH " Imaan laaye aur oose isme kisi kism ka shak na ho.

Allaah hum sabko kalma "LA ILAHA IL LALLAAH " ko sahih se samajhne ki taufeeq de.
AAMEEN YA ALLAH.

KALMA "LA ILAHA IL LALLAAH "ke saath Shuroot hai

TEESRI SHART

Al-QABOOL
(Acceptance) 

Kalma "LA ILAHA IL LALLAAH " padhne waale ko har oos baat ko Apne Dil se QABOOL karna hoga Jo KALMA humse chahta hai. 
Jaise hume is baat ko Apne Dil se QABOOL karna hoga ke "Koi bhi ibaadat ke layaq nahi hai,siwaye Allaah Ta'ala ke aur Allaah ki ibadat me Uska koi bhi sharik nahi hai"

Kyuki, Jo log sirf Kalma ko apne zaban se padh to lete hai lekin uske matlab aur taqazo ko qabool nahi karte aur naahi ispar amal karte hai to ye log aise hai jaise Allaah Ta'ala ne Qur'aan me kaha hai-

إِنَّهُمْ كَانُوٓا إِذَا قِيلَ لَهُمْ لَآ إِلٰهَ إِلَّا اللَّهُ يَسْتَكْبِرُون

وَيَقُولُونَ أَئِنَّا لَتَارِكُوٓا ءَالِهَتِنَا لِشَاعِرٍ مَّجْنُونٍ

َ
Ye wo (log) hai ke jab unse kaha jata hai ke LA ILAHA IL LALLAAH to ye takabbur (ghamand) karte the, 
Aur kahte the ke kya hum apne Ma'aboodo ko ek deewane shayar (mad poet) ki baat par chod dein? 

(As-Saaffaat : 35-36)

Is daur me Qabro aur Mazaro ko poojne waalo ka yahi haal hai, Ye log kahte to hai -"LA ILAHA IL LALLAAH " lekin Qabro aur Mazaro ko poojne se nahi rukte. 
Ye log in Qabar waalo ko Allaah ki Rububiyat, Uloohiyat aur Uske Asma was Sifaat me Uska sharik tahrate hai.

Aise log haqiqat me Kalma "LA ILAHA IL LALLAAH" ke matlab aur taqazo ko QABOOL nahi karte. 

Inka ye "LA ILAHA IL LALLAAH "padhna, inhe koi faidah nahi pahonchayega.

Allaah hum sabko kalma "LA ILAHA IL LALLAAH " ko sahih se samajhne ki taufeeq de.
AAMEEN YA ALLAH.
KALMA "LA ILAHA IL LALLAAH "ke saath Shuroot hai

CHAUTI SHART

Al-INQIYAD
(Submission)

Kalma "LA ILAHA IL LALLAAH "ke sharto me se ek shart ye hai ke hum Kalma padhne ke baad Allaah ke suchcha farma bardaar bande ban jaaye,Shariyat ka taabedar hojaye. 
Allaah ke hukmo par amal kare aur Uske mana karda chizo se rook jaaye. 
Agar jo aisa karega to usne Allaah ka wada(promise) leliya ke wo azaabo se bach jayega

Allaah Ta'ala Quran e Majid me farmate hai-

وَمَن يُسْلِمْ وَجْهَهُۥٓ إِلَى اللَّهِ وَهُوَ مُحْسِنٌ فَقَدِ اسْتَمْسَكَ بِالْعُرْوَةِ الْوُثْقٰى ۗ
"Aur jo shaqs apne aap ko Allaah ke Taabe karde (One who submits to Allaah) aur ho bhi wo nek kaam karne wala, (to) yaqinan usne mazboot kada thaam liya ( then he has grasped the most trustworthy handhold)"

( Surah Luqman : 22)

Wo log jo Kalma padhlene ke baad Allaah ke taabedar aur uske farmabardaar nahi bante aur Allaah ke hukmo par amal nahi karte aur naahi haram kaamo se bachte hai to inka ye kalma padhna unhe jahannam ki aag se nahi bacha payega.
Unka imaan naaqis (imcomplete) hai.

PAANCHWI SHART

AS -SIDQ (Truthfulness)

Jab Kalma LA ILAHA IL LALLAAH ki shahadat di jaaye, to shahadat dene wale ko apne dil me is baat ka poora yaqeen hona chahiye ke wo Suchche dil se is baat ka iqrar karta hai ke ALLAAH Ta'ala ke siwa koi bhi ibadat ke layaq nahi hai aur uski Rububiyat , Uloohiyat aur Uske Asma was Sifaat me Uska koi sharik nahi hai. 

Aur wo log jo Kalma ki Shahadat to apni zaban se padh dete hai lekin unke dilo me is Shahadat ki suchchayi ka yaqeen nahi hota, to aise log 
JHOOTE MUNAFIQ HAI.
Inlogo ka ye shahadat dena unhe koi faidah nahi pahonchayega. 

Allaah Ta'ala Quran e Majid me farmate hai-

وَمِنَ النَّاسِ مَن يَقُولُ ءَامَنَّا بِاللَّهِ وَبِالْيَوْمِ الْءَاخِرِ وَمَا هُم بِمُؤْمِنِينَ

يُخٰدِعُونَ اللَّهَ وَالَّذِينَ ءَامَنُوا وَمَا يَخْدَعُونَ إِلَّآ أَنفُسَهُمْ وَمَا يَشْعُرُونَ

فِى قُلُوبِهِم مَّرَضٌ فَزَادَهُمُ اللَّهُ مَرَضًا ۖ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌۢ بِمَا كَانُوا يَكْذِبُونَ

"Baaz log kahte hai ke Hum Allaah Ta'ala par aur Qayamat ke din par Imaan rakhte hai,lekin asal me wo Imaan waale nahi hai.
Wo Allaah Ta'ala ko aur Imaan waalo ko dhoka dete hai,lekin asal me wo khud apne Aap ko dhoka de rahe hai,magar samajhte nahi.
Unke dilo me bimaari thi (hypocrisy), Allaah Ta'ala ne unke bimaari (hypocrisy) me aur izafa kardiya aur unke jhoot ki wajah se unke liye dard naak azaab hai"
(Surah Baqara :8-10)

Allaah hum sabko kalma "LA ILAHA IL LALLAAH " ko sahih se samajhne ki taufeeq de.
.AAMEEN YA ALLAH.

KALMA "LA ILAHA IL LALLAAH "ke saath Shuroot hai

CHATI (6th) SHART

IKHLAAS
(Sincerity )

Kalma "LA ILAHA IL LALLAAH "ki Shahadat dene wala poore Ikhlaas ke saath Shahadat de.Uska ye Shahadat sirf Allaah ki Reza ke liye hona chahiye , naake insaano ko khush karne ke liye, ya dikhawa ke liye ya fir Shohrat (fame) ke liye. 
Kalma padhne ke baad uska har amal sirf aur sirf Allaah ke liye aur Uski Reza ke liye hona chahiye aur usme kisi kism ka RIYA (dikhawa) nahi hona chahiye. 

Allaah Ta'ala Quran e Majid me farmate hai-

وَمَآ أُمِرُوٓا إِلَّا لِيَعْبُدُوا اللَّهَ مُخْلِصِينَ لَهُ الدِّينَ حُنَفَآءَ 

"Unhe iske siwa koi hukm nahi diya gaya ke sirf Allaah ki ibadat karein, (aur) oosi ke liye deen ko khaalis rakhe Ibrahim Hanif ke deen par"

(SURAH BAIYYANA,Verse:5) ِ

إِنَّآ أَنزَلْنَآ إِلَيْكَ الْكِتٰبَ بِالْحَقِّ فَاعْبُدِ اللَّهَ مُخْلِصًا لَّهُ الدِّين
َ
"Yaqinan Humne is kitaab (Quran) ko aap ki taraf haq ke saath naazil farmaya hai,pas Aap Allaah hi ki ibadat karein, oosi ke liye deen ko khaalis karte hue."

(Surah Az-Zumar,verse:2)

Jo log duniya ko dikhane ke liye ye Shahadat dete hai to unka ye Kalma padhna unhe kuch faidah nahi pahonchayega aur naahi unka koi nek amal qabul hoga.

SAATWEEN (7th)SHART

MUHABBAH
(Love)

Shahadat dene wale ko apni shahadat se Muhabbat honi chahiye aur oose Allaah se is tarah Muhabbat karna chahiye jaise Usko Muhabbat karne ka haq hai,
Aur unlogo se bhi muhabbat honi chahiye jo Kalma "LA ILAHA IL LALLAAH "ke taqazo ko poora karte hai aur unpar amal karte hai.

Allaah Ta'ala Quran e Majid me farmate hai-

وَمِنَ النَّاسِ مَن يَتَّخِذُ مِن دُونِ اللَّهِ أَندَادًا يُحِبُّونَهُمْ كَحُبِّ اللَّهِ ۖ وَالَّذِينَ ءَامَنُوٓا أَشَدُّ حُبًّا لِّلَّهِ ۗ 

"Baaz log aise bhi hai jo dusro ko Allaah ka sharik banakar unse aisi Muhabbat rakhte hai,jaisi Muhabbat Allaah se honi chahiye,aur Imaan waale Allaah ki Muhabbat me bahot sakht hote hai. 
(Surah Baqarah,Verse :165)

Pas, Imaan waale Allaah se khaalis Muhabbat karte hai lekin jo log Mushrik hai wo Allaah ke saath saath apne jhutein Ma'abudo se bhi waisi Muhabbat karte hai jaisi Muhabbat sirf Allaah se honi chahiye. 
Aise logo ka Shahadat dena unhe koi faidah nahi pahonchayega.

ALHAMDULILLAH aaj "LA ILAHA IL LALLAAH " ke saatho shuroot ka explanation mukammal hogaya hai.
Allaah hum sabko kalma "LA ILAHA IL LALLAAH " ko sahih se samajhne ki taufeeq de.
AAMEEN YA ALLAH.

Kalma "LA ILAHA IL LALLAAH "ke saatho Shuroot ke baare me padhkar ye baat ab waaze hogayi hogi ke Agar koi shaks sirf apni zaban se "LA ILAHA IL LALLAAH" padh leta hai lekin oose na iska ma'na aur matlab pata hota hai, naahi usko apni is shahadat par yaqeen hota hai aur naahi uska dil iske baatini aur zaahiri taqazo ko maanne ke liye taiyyar hota hai aur naahi wo ispar amal karta hai,
to aise shaqs ka Ye Shahadat dena oose koi faidah nahi pahonchayega aur Qayamat ke din wo Jahannam ka indhan (fuel) hi banega.

AllahTa'ala Quran e Majid me farmate hai-

إِلَّا مَن شَهِدَ بِالْحَقِّ وَهُمْ يَعْلَمُونَ

Ha,Shafa'at ka mustahiq wo hai jo haq baat ki shahadat dein aur unhe ilm bhi ho.

( Surah Az-Zukhruf : 86)

فَاعْلَمْ أَنَّهُۥ لَآ إِلٰهَ إِلَّا اللَّهُ وَاسْتَغْفِرْ لِذَنۢبِكَ وَلِلْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنٰتِ ۗ وَاللَّهُ يَعْلَمُ مُتَقَلَّبَكُمْ وَمَثْوٰىكُمْ

Ae (Muhammad (sallallaahu alaihi wasalam) Aap jaanlein, Allaah ke siwa koi haqiqi ibadat ke layaq nahi hai. 

( Surah Muhammad : 19)

In do aayato se pata chala ke Kalma ki Shahadat sirf zaban se dedena hi kaafi nahi , balke usko Kalma ke tamam taqazo ko poora karna hoga.

Isme un logo ke liye gaur karne ki baat hai jo ghair muslimo ko Islam ki taraf bulaate hai, lekin unka maqsad sirf itna hi hota hai ke wo kisi tarah bhi unse Kalma padhwade aur apne diary me ek naam darj karle ke unhone ek aur shaks ko kalma padhwadiya.

Lekin hota ye hai ke wo Kalma padhne wala haqiqat me Islam me daakhil hi nahi hota kyu ki usne kalma to padhliya hota hai lekin shirk se tawbah nahi karta, naahi wo Kalma ke Saat Shurut me se se kisi ek shart ko ada karta hai.
Aur kalma padhwane ke baad, ye log us shaks se koi talluq bhi nahi rakhte, naahi inhe ye fikr hoti hai ke kya wo Kalma padhne ke baad Islam ke ahkamo par amal kar raha hai ya nahi.

Maine (Alqamar ibn Entakhab) khud baaz logo ko is tarah ki dawat dete hue paya hai.

Allaah hume Manhaj e Salaf par dawat ka kaam karne ki taufeeq de.
AAMEEN YA ALLAH.
Shaikul Islam Imam ibn Taimiyah (ru) likhte hain-

"WA AHSHADU ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHU"

("aur Mai gawahi deta hu ke Muhammad (sallallaahu alaihi wasalam) Uske (Allaah)ke bande aur Uske Rasool hain.")

Sharah

Muhammad (sallallaahu alaihi wasalam) Allaah ke bande hai.Iska kya matlab hai??

Muhammad (sallallaahu alaihi wasalam) Allaah ke bande hai aur is abdiyat (yani Allaah ke bande hone)
ke taqaze ke tahat Aap na to apne liye aur naahi kisi dusre ke liye faidah ya nuqsan ke malik hai. Aap(sallallaahu alaihi wasalam) khud Allaah Ta'ala ke mohtaj hai. Aap Allaah ki ibadat karte the, Usse maangnte the, Usse Dua karte the, Usse umeed rakhte the aur Allaah se darte the. 

Allaah Ta'ala ne aapko ye ailaan karne ko kaha -

قُل لَّآ أَمْلِكُ لِنَفْسِى نَفْعًا وَلَا ضَرًّا إِلَّا مَا شَآءَ اللَّهُ ۚ وَلَوْ كُنتُ أَعْلَمُ الْغَيْبَ لَاسْتَكْثَرْتُ مِنَ الْخَيْرِ وَمَا مَسَّنِىَ السُّوٓءُ ۚ َ
("Aap [Ae Muhammad (sallallaahu alaihi wasalam) ] kah dijiye ke Mai khud apni jaan ke liye kisi faida ya nuqsaan ka maalik nahi hu magar utna jitna Allaah ne chaha ho aur agar mai Ghaib (unseen) jaanta hota to zaroor bahot se faide haasil karleta.")

(Surah Al-A'raaf: 188)

Aur dusri jagah kaha -

قُل لَّآ أَقُولُ لَكُمْ عِندِى خَزَآئِنُ اللَّهِ وَلَآ أَعْلَمُ الْغَيْبَ وَلَآ أَقُولُ لَكُمْ إِنِّى مَلَكٌ ۖ إِنْ أَتَّبِعُ إِلَّا مَا يُوحٰىٓ إِلَىَّ ۚ 

("Aap [Ae Muhammad (sallallaahu alaihi wasalam) ] kah dijiye ke Mai tumse nahi kahta ke mere paas Allaah ke khazane (treasure)hai aur na mai Ghaib (unseen) jaanta hu aur na tumse ye kahta hu ke mai farishta hu.Mai sirf uski ittibah karta hu jo meri taraf wahi ki jaati hai.")

(Surah Al-An'aam:50)

Aap (sallallaahu alaihi wasalam ) ko ye kahne ka bhi hukm diya gaya -

قُلْ إِنِّى لَآ أَمْلِكُ لَكُمْ ضَرًّا وَلَا رَشَدًا

قُلْ إِنِّى لَن يُجِيرَنِى مِنَ اللَّهِ أَحَدٌ وَلَنْ أَجِدَ مِن دُونِهِۦ مُلْتَحَدًا

("Aap [Ae Muhammad (sallallaahu alaihi wasalam) ] kah dijiye ke yaqinan mai tumhe nuqsaan ya faida dene ka kuch ikhtiyar nahi rakhta. 
Aap kah dijiye ke mujhe hargiz Allaah se koi bhi nahi bacha sakta aur na mai Uske siwa koi Panah (refuge) ki jagah pata hu.")

(Surah 
Al-Jinn : 21-22)

In aayato se pata chala ke Muhammad (sallallaahu alaihi wasalam) Allaah ke bande hai aur is abdiyat ka taqaza ye hai ke ALLAAH ki Rububiyat ke umoor me se Aap (sallallaahu alaihi wasalam) kisi bhi chiz me koi haq nahi rakhte. 

Jab Muhammad (sallallaahu alaihi wasalam) ka ye aalam hai to phir unke ummati ke baare me aapka kya khayal hai?? 

Yaqinan wo log na to apne liye kisi faida ya nuqsan ka malik hai aur naahi dusre logo ko faida ya nuqsan pahoncha sakte hain. 

Isse unlogo ki jahalat aur gumrahi khul kar saamne aajati hai jo gam aur pareshani me Allaah Ta'ala ko chod kar unlogo ko mushkil koshayi ke liye pukaarte hai jinke baare me unka dawaa hai ke wo Awliya Allaah hai,lekin haqiqat to ye hai ke ye log to ek makkhi ke bhi maalik nahi hai, ye log khud Allaah ke mohtaj hai, Lehaza unse fariyad karna aur musibat me inhe pukarna gumrahi aur shirk e Akbar hai

Allaah hum sabko sache dil se tamam mamlat me Nabi (sallallaahu alaihi wasalam) ki ittibah karne wala banade aur hume Nabi (sallallaahu alaihi wasalam) ki Muhabbat me ghulu karne se bachale. 
AAMEEN YA ALLAH.
Shaikul Islam Imam ibn Taimiyah (ru) likhte hain-

"WA AHSHADU ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHU"

("aur Mai gawahi deta hu ke Muhammad (sallallaahu alaihi wasallam) Uske (Allaah)ke bande aur Uske Rasool hain.")

Sharah

RASOOLUHU

Ye wo azeem wasf (sifat) hai ke MUHAMMAD (sallallaahu alaihi wasallam) ke baad isse koi bhi muttasif nahi hoga, isliye ke aap Khatamun Nabiyeen (Seal of The Prophets) hai,
jin ke saath Allaah Ta'ala ne Naboowat (Prohethood) aur Risalat dono ka khatma kardiya

Allaah Ta'ala Quran e Majid me farmate hai-

مَّا كَانَ مُحَمَّدٌ أَبَآ أَحَدٍ مِّن رِّجَالِكُمْ وَلٰكِن رَّسُولَ اللَّهِ وَخَاتَمَ النَّبِيِّۦنَ ۗ وَكَانَ اللَّهُ بِكُلِّ شَىْءٍ عَلِيمًا

("Logo Muhammad (sallallaahu alaihi wasalam) tumhare mardo me se kisi ke baap nahi hai lekin Aap Allaah ke Rasool hai aur Tamam Nabio ke Khatam karne waale (Khatamun Nabiyeen) hai,aur Allaah har chiz ko bakhubi jaanne wala hai.")

(Al-Ahzaab : 40)

Allah ne Qur'aan me Nabi(sallallaahu alaihi wasalam) ko Khatamun Nabiyeen qarar diya hai.
Aur hume ye pata hai k Har Rasool, Nabi hote hai lehaza jab Duniya me koi aur Nabi nahi aayega, to isse saabit hua ke ab koi Rasool bhi nahi aasakta.

Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) ne bahot baar Sahaba ko bataya hai ke Aap, Allaah ke aakhri Nabi aur Rasool hai aur iske baad koi Nabi ya Rasool nahi aane wala hai.

Aur jo Naboowat ka dawah kare wo jhuta dajjal hai aur wo pakka Kaafir hai.

Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) ne farmaya ke-

"Aur Qareeb hai Meri ummat me 30 dajjal (jhoote shaks) aayenge, jinme se har shaqs Nabi hone ka (jhuta)dawa karega. "
[Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) ne farmaya]

"Mai Khatamun Nabiyeen hu,mere baad koi Nabi nahi."

(Sunan At -Tirmizi
Sanad Sahih) 

Aap Allaah Ta'ala ke wo Rasool hai ke jis maqam aur martaba par aap pahonche, us maqam aur martaba par koi bhi insaan ya Nabi nahi pahonch saka ya sakege.
Aur jaha tak humein ilm hai koi Farishta bhi waha tak na pahonch saka. 
Aap saath asmaano se bhi upar tak pahonche aur Allaah Ta'ala se barahe raast (Direct) baat kiye. 
Aap (sallallaahu alaihi wasallam) ko tamam insaan aur jin ki taraf Rasool banakar bheja gaya aur Aapne aise aise mo'jizaat (miracles) Allah ke hukm se dikhaye jo Aap se pahle kisi Rasool ya Nabi ne nahi dikhaya. 

Un mojizaat me se sabse azeem Mojizah QURAN E MAJID hai. 

Allaah Ta'ala Quran e Majid me farmate hai-

وَقَالُوا لَوْلَآ أُنزِلَ عَلَيْهِ ءَايٰتٌ مِّن رَّبِّهِۦ ۖ قُلْ إِنَّمَا الْءَايٰتُ عِندَ اللَّهِ وَإِنَّمَآ أَنَا۠ نَذِيرٌ مُّبِينٌ

أَوَلَمْ يَكْفِهِمْ أَنَّآ أَنزَلْنَا عَلَيْكَ الْكِتٰبَ يُتْلٰى عَلَيْهِمْ ۚ إِنَّ فِى ذٰلِكَ لَرَحْمَةً وَذِكْرٰى لِقَوْمٍ يُؤْمِنُون 

"(Aur unhone kaha ke ispar kuch nishanat (yaani Mojize) uske Rabb ki taraf se kyu nahi ootare gaye.
Aap kah dijiye ke nishanat to Sab Allaah Ta'ala ke paas hai, mai to sirf khullam khulla aagah kardene wala hu.

Kya unhe ye kaafi nahi ke humne aap par KITAAB(Quran) naazil farmadi jo unpar padhi ja rahi hai, Usme Rahmat bhi hai aur Nasihat bhi hai imaan waalo ke liye.)"

( Al-Ankaboot : 50-51)

Allaah hum sabko sache dil se tamam mamlat me Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) ki ittiba karne wala banade aur hume Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) ki Muhabbat me ghulu karne se bachale. 
AAMEEN YA ALLAH.
Shaikul Islam Imam ibn Taimiyah (ru) likhte hain-

"WA AHSHADU ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHU"

("aur Mai gawahi deta hu ke Muhammad (sallallaahu alaihi wasallam) Uske (Allaah)ke bande aur Uske Rasool hain.")

Sharah

Nabi (Sallallaahu alaihi wasallam) ke liye dono sifat yaani Abdiyat aur Risalat ko ek saath jodne me kya hikmat hai ??

Isme hikmat aur raaz ye hai ke ye ausaaf (attributes) bande ke liye Alaa tareen wasf (attribute) hain,jo uske liye bayan kiye ja sakte hain aur Rasool Allaah (Sallallaahu alaihi wasallam) to poori kaayinat me se in ausaaf (attributes) me mukammal hain .

Aur isme unlogo ke liye tambeeh maujood hai jinhone Muhabbat ke naam par gulu karte hue Muhammad (Sallallaahu alaihi wasallam) ko unke asal maqam aur martabe (status) se buland kardiya hai aur Aapko Naoozubillah ,Allaah Ta'ala ka sharik tak bana diya hai.
Aap ko "Mushkil kusha","Hajat Rawa", "Pareshani Door karne wala","Aalimul Ghaib" wagaira qarar dekar Aapko Allaah Ta'ala ka sharik bana diya hai kyu ki ye tamam sifaat Sirf aur sirf Allaah Ta'ala ke liye khaas hain .Allaah Ta'ala , Rabb hai aur Muhammad (Sallallaahu alaihi wasallam) Rabb ke sabse Mahboob aur aziz bande hai.

Nabi (Sallallaahu alaihi wasallam) ne farmaya-

"Meri shaan me gulu na Karo jis tarah Nasranio (christains) ne Mariam (alaihs salam)ke bete (Eesa alaihis salam)ki shaan me gulu kiya(aur unhe Allaah ka beta banadiya,Naaozubillah),lekin Mai sirf Allaah ka ek banda hu,lehaza tumlog mujhe Allaah ka banda aur uska Rasool kaho"

(Sahih Bukhari:3445)

Aur unlogo ke liye bhi tambeeh hai jinhone aapki layi hui shariat par amal karna hi chhod diya hai aur aise baato par etemaad kar chuke hain Jo aapki layi hui shariat ke mukhalif hai.

Ye log apne imamo , peer o murshid, leaders wagairah ke qaul ko Nabi (saw) ke qaul par muqaddam samajhte hain.
Inke dil aise tedhe ho gaye hain key yeh log nauzubillah Nabi (saw) ki hadees ka inkaar toh kar dete hai lekin apne imamon ke qaul ko radd karna unki tauheen samajhte hain.

ye log kaise Imaan waale ho sakte hain jabke 
Allaah Ta'ala Quran e Majid me farmate hai-


فَلَا وَرَبِّكَ لَا يُؤْمِنُونَ حَتّٰى يُحَكِّمُوكَ فِيمَا شَجَرَ بَيْنَهُمْ ثُمَّ لَا يَجِدُوا فِىٓ أَنفُسِهِمْ حَرَجًا مِّمَّا قَضَيْتَ وَيُسَلِّمُوا تَسْلِيمًا

Qasam hai Tere Rabb ki! Yeh log momin nahi ho sakte jab tak ke tamaam ikhtilaaf mein Aap ko faisla karne wala na maan lein ,phir jo faisla aap inn mein kardein unse apne dil me kisi tarah ki tangi aur na khushi na paaye aur farmabardaari ke saath qubool karlein.

(Surah An-Nisaa : 65)

Lekin jo asal Imaan waale hote hain ,unki sifaat to ye hoti hain ke jab Allaah ki aayat ya Nabi(saw)ki sunnat unke saamne pesh ki jaati hai To wo kahte hain-ۦ 

ۚ وَقَالُوا سَمِعْنَا وَأَطَعْنَا ُۖ
Humne Soona aur Humne Imaan laya.

Allaah hum sabko sache dil se tamam mamlat me Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) ki ittiba karne wala banade aur hume Nabi (sallallaahu alaihi wasallam) ki Muhabbat me ghulu karne se bachale. 
AAMEEN YA ALLAH.
Shaikhul Islam Imam ibn Taimiyah (ru) likhte hai-

"Sallallaahu alaihi wa alaa aalihi wa sahbihi wasallama tasliman mazidan
Amma Ba'ad
Fa Haaza' I'tiqadul firqatin Najiyatil mansoorah ilaa qiyamis Sa'ah ,AHLIS SUNNATI WAL JAMA'AH"

(Allaah Ta'alaa Aap par ,aapke maanne waalo par aur Aap ke Sahaba par Salaah bheje aur Zyada Salam bhi.
Amma Ba'ad
Ye Firqa Najiya (Nijaat paane wala firqa),AHLUS SUNNAH WAL JAMAH ka Aqeedah hai jis ki madad Qayamat tak ki jaati rahegi)

Sharah

FIRQATUN NAJIA- (Nijaat paane wala firqa)

Ye firqa (jamat) duniya me biddat aur khurafat se mahfuz rahta hai aur aakhirat me Jahannam ki aag se mahfuz rahega.

Nabi (Sallallaahu alaihi wasallam) ne farmaya-
Meri ummat 73 firqo me bat jaayegi ,unme se sab jahannam me jayenge siwaye EK ke.
Sahaba ne poocha -Ya Rasool Allaah ,wo Jama'at kaunsi hai ?

Aap(Sallallaahu alaihi wasallam) ne farmaya:

"Jo is tariqe par ho jispar Mai aur mere Sahaba hai."

(Tirmizi :2641,Hasan )

Ye hadees lafz NAJIYA ki tafseer karti hai ,jo shaqs Is tariqe par hai jispar Nabi (Sallallaahu alaihi wasallam) aur Aap ke Sahaba keram the to
aisa shaqs biddat se mahfuz rahega .Jab wo duniya me biddat se mahfuz rahega to aakhirat me Jahannam ki aag se mahfuz rahega.

"Mansoorati ilaa qiyamis Saa ati"-(Qayamat tak unki madad ki jayegi)

Shaikhul Islam ibn Taymiya (Ru)ki ye baat is hadees se makhuz (duduced) hai-

Aap (Sallallaahu alaihi wasallam) ne farmaya -

"Meri ummat ka ek giroh(group) hamesha haq par gaalib rahega aur unki madad ki jaayegi yaha tak ki qayamat aajaye"

(Sunan Tirmiz :2192,Sahih)

Aur jiski Madad ka zimma Allaah lele ,wahi har waqt gaalib rahenge.

Allaah Quran e Majid me farmate hai-

ۖ فَأَيَّدْنَا الَّذِينَ ءَامَنُوا عَلٰى عَدُوِّهِمْ فَأَصْبَحُوا ظٰهِرِين

"(To Humne momino ki unke dushmano ke muqable mein madad ki ,pas wo gaalib aagaye)"

(Surah As-Saff : 14)

Is giroh ki madad Allaah karta hai,Uske farishte aur Ahle Imaan karte hair,Qayamat hone tak is giroh ki madad ki jaati rahegi,Rabb Ta'alaa ki taraf se bhi,Farishto ki taraf se aur Momin bando ki taraf se bhi,yaha tak ke Insaano ki madad Jinnat bhi kiya karte hai,wo unki madad karte hai aur unke dushmano ko khaufzada karte hain.

EK DOUBT AUR USKA JAWAB

"Yaani Qayamat tak iski madad ki jaate rahegi "
Isme ek doubt paida ho sakta hai aur wo ye hai ke Rasool Allah (Sallallaahu alaihi wasallam)ne farmaya :-

"Qayamat bad tareen qism ke logo par qayam hoga"

(Sahih Muslim:2949)

"Aur Qayamat qayam nahi hogi yaha tak zameen me Allaah Allaah kahbe wala ek bhi aadmi baqi nahi hoga ."

(Sahih Muslim :148)

to fir is hadees me ye jo kaha gaya hai ke" Is haq jamaat ki madad Qayamat tak ki jaayegi,"
to in dono hadeeso me tatbiq kaise di jaayegi(solution kaise niklega)??

Iska answer ye hai ke-
Isse qayamat qayam hone k qareeb muraad hai.
Yaani qayamat qayam hone ke qareeb tak unki madad ki jaati rahegi,fir Aisa waqt aajayega k Duniya me Allaah Allaah tak nahi kiya jaayega aur sirf bad tareen log bach jayenge,aur fir inlogo par Qayamat aayegi

Allaah hum sab KO Firqa Naajia (Ahlus Sunnah Wal Jamat) ke manhaj ko samajhne ki,uspar amal karne ki aur uspar qayam rahne ki taufeeq de.
AAMEEN YA ALLAH.
Shaikul Islam Imam ibn Taimiyah (ru) likhte hai -

"Sallallaahu alaihi wa alaa aalihi wa sahbihi wasallama tasliman mazidan
Amma Ba'ad
Fa Haaza' I'tiqadul firqatin Najiyatil mansoorah ilaa qiyamis Saa ah ,AHLIS SUNNATI WAL JAMA'AH"

(Allaah Ta'alaa Aap par ,aapke maanne waalo par aur Aap ke Sahaba par Salaah bheje aur Zyada Salam bhi.
Amma Ba'ad
Ye Firqa Najiya (Nijaat paane wala firqa),AHLUS SUNNAH WAL JAMAH ka Aqeedah hai jis ki madad Qayamat tak ki jaati rahegi)

Sharah

AHLUS SUNNAH WAL JAMA'AT

Ye Jama'at e Haq hai jo Quran aur Hadees ko Salaf us Salehin (Sahaba,Tabeyin aur Taba tabeyin) ke tariqe par samajhte hai.
Inka Aqeedah ,manhaj aur akhlaque waisa hi hai jaisa Salaf us Salehin ka tha.
Yahi wo jama'at hai Jise TAIFA MANSOORA (Madad kj jaane waali jama'at) aur FIRQA NAJIYA(Nejat paane wala firqa) bhi kaha jata hai

Unhe Sunnat ki taraf mansoob karne ki wajah ye hai ke wo Sunnat se Muhabbat karte hai aur uspar amal karte hai .

aur JAMAAT ki taraf mansoob karne ki wajah ye hai ke ye log Sunnat par jama' hogaye hai.

Yahi wajah hai ke ye Jamaat ,Ahle biddat ki
tarah iftiraq (division) ka shikaar nahi hua.
Jahmia,Mo'tazelah,Rawafiz,aur dusre biddati giroh, tafarqa baazi (division) ka shikaar hogaye ,jabke Ahlus Sunnah wal Jamat Haq par qayam raha.

Ahlus Sunnah Ke darmiyan kuch forui maslo par ikhtilaf hota raha hai magar is ikhtilaaf ki wajah se wo log ek dusre ko "GHUMRA" qarar nahi dete.

Shaikhul Islam Ibn Taiymiya (ru)ki bato se malum hota hai ki Ashayera aur Maturidiya ko Ahlus Sunnah me shumaar nahi kiya jata,isliye ke wo Aqeede me Nabi (Sallallaahu alaihi wasallam)aur Aap ke sahaba keram ke tariqe ke mukhalif hai .

Ahlus Sunnah wal Jama'at hi ,aqeede me SALAFI hai ,yaha tak ke Qayamat tak aane waale log bhi Salafi hi honge basharte ke wo Nabi(Sallallaahu alaihi wasallam) aur Aap ke Sahaba keram ke tariqe par chalte rahe.

Note-

Jahmia,Mo'tazelah,Rawafiz -

Ye Biddati firqo ke naam hai jinhone Ahlus Sunnah ke manhaj se hat kar Baatil aqeede bana liye aur gumra hogaye.

SALAFI- 

Salafi wo log hai jo Quran o Hadees ko Salaf Us Salehin ke tariqe par samajhte hai.
Ahlus Sunnah hi Salafi hai aur Inhe AHLE HADEES ya ASHABUL HADEES bhi kaha jata hai.

Allaah hum sab KO Firqa Naajia (Ahlus Sunnah) ke manhaj ko samajhne ki ,uspar Amal karne ki aur uspar qayam rahne ki taufeeq de.
AAMEEN YA ALLAH.

Nazar saani(cross checked) done by-
Shaikh Abu Huraira Hafizahu Allaah 
(Student of Medinah University)

NOTE: CONTINUE TO READ NEXT PART

No comments:

Post a Comment