Monday, September 28, 2015

BIDDAT KISE KEHTE HAI-2



BISMILLAH

Hazrat AYESHA(radhiallahu ta’ala anhA)
Riwayat karti hai Huzur nabie kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
jo hamare deen me koi aisai nayi (new) baat paida kare jo isme na ho
wo radd hai,
[SAHIS BUKHARI 2/959 page-255
>MUSLIM 3/1343 page-1718
>ABU DAUD 5/12 page-4606


Hazrat JAREER IBNE ABDULLAH (radhiallahu ta’ala anhu)
Riwayat karte hai Huzur nabie kareem
Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shakhs ISLAM mai
kisi achhe kaam ki BUNIYAD dale to uske lie uske apne Aamal ka bhi
sawab hai aur jo uske baad uspar amal karenge unkabhi hai,
aur uske sawab mai koi kami bhi na ki jayegi,

aur jisne ISLAM mai kisi buri baat ki shuru’at ki to uspar uske
apne amal ka bhi GUNAH milega aur jo uspar amal
krenge unka bhi gunah usko milega bager iske k uske gunah mai
bhi koi kami na ki jayegi
>SAHIH MUSLIM kitabul zakat
jild-2 hadis-704 page-1017
>SUNANE NASAI 5/75 page-2554
>IBNE MAJAH 1/74,75 page-203,206,207
>DARMI 1/140 page-512
>AHMED BIN HAMBAL jild-4/358

Hazrat ABU HURAIRAH (radhiallahu ta’ala anhu)
Riwayat karte hai Huzur nabie kareem
Sallallahu Alaihi Wasallamne farmaya Jisne hidayat ki taraf bulaya
uske lie us raste par chalne walo ki mishl sawab hai
aur unke sawab mese kuch bhi kam na hoga aur jisne Gunah ki dawat di
usse uske lie bhi itna gunah hai jitna uske is bure amal karne walo
par hai aus unke gunah me bhi koi kami na hogi

>SAHIH MUSLIM kitabul ilm
jild-4 hadis-2060 page-2674
>TIRMIZI 5/43 page-2674
>ABU DAUD 4/201 page-4609
>IBNE MAJAH Muqaddama
1/75
>IBNE HABBAN 1/318
>DARMI 1/141
>AHMED BIN HAMBAL 2/397
>ABU YALA 11/373
>ASQALANI FAT’HUL BARI 9/127
>SARAH ZURQANI 2/62
-----------------------------------------------

Hazrat JAREER IBNE ABDULLAH (radhiallahu ta’ala anhu)
Riwayat karte hai Ki Huzur nabie kareem
Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
jisne koi Achha tarika jaari kia fir us par amal kia gaya to
uske lie apna SAWAB bhi hai aur uspar amal krne walo ke
barabar bhi milega jabki unke sawab mai koi kami na ki jayegi
aur jisne bura TARIQA jaari fir wo amal apnaya to uske lie
apna gunah bhi hai aur un saare logo ke gunah ke barabar bhi
ispar amal karenge bager iske k unke gunah mai koi kami na hogi
>TIRMIZI jild-5 hadis-43 page-2675
>ASQALANI FAT’HUL BARI jild-12/hadis 302

Hazrat BILAAL BIN HARIS (radhiallahu ta’ala anhu)
Riwayat karte hai Huzur nabi kareem
Sallallahu AlaihiWasallam ne farmaya jisne mere baad koi aisi
sunnat zindah ki jo murdah ho chuki thi to uske lie bhi
itna hi ajar hoga jitna uspar amal krne walo k lie,
uske bawjud unke ajaro sawab
mai koi kami nahi ayegi aur jisne gumrahi ki
BID’AT nikali jise ALLAH aur uska RASOOL
pasand nahi krte to uspar itna hi gunah hai jitna us bure kaam
krne walo par hoga aur uske is Gunah me kuch b kami na ki jayegi,
>TIRMIZI jild-5 hadis-45
page-2677
>IBNE MAJAH 1/76 page-209,210
>TIBRANI 17/16 page-10
>BEHAQI 1/231
>AT’TARGHIB WAT’TARHIB 1/49 page-97

Jo Bidat Quran ya Sunnat ya Sahaba-e-Kiramkiriwayaat ya
Ulama ke Aqwaal se takra jaye,
wo Biddat gumrahi hai

ALLAH IN SARE MASAIL KO
SAMAJHNE
YAAD RAKHNE AUR ISSE BHI
ZIYADAH AMAL KI
TOUFIQ ATAA FARMAYE
AAMEEN SUMAAMEEN

No comments:

Post a Comment