Tuesday, September 22, 2015

SALAT E WITR KA BAYAN


BISMILLAH

3 REKAT NAMAZ WITR 2 SALAM ME

1⃣-Hazrat Abu Huraira r.a se Rewayat hai,Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam ) ne Farmaya : ''3 Rekat witr us tarah Na Padho k Namaz Magrib ki Musabihat ho jaye''
(yaani Magrib ki Namaz ki tarah Nahi padna chaye)

[Dare-Kutni jild-2,safa-24,
Sareh Maene al asa'ar jild-1,safa-292, Sunan lil Bahki jild-3,safa-31,Hakim jild-1,safa-304, Imam Hakim r.al ne Es Hadees ko Saiken ki Sart per Sahi kaha hai Aur Imam Durekutni r.al ne es rewayat ko Seka karar deya hai.]

2⃣-Hazrat Abdullah bin Umar r.a se Rewayat hai Farmate hai : ''Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) Namaz witr ki 2 rekat me Salam se Fasla karte''
[ Ibn Hibban hadees no-678, Tahawi jild-1,hadees no-278,279, Ibn Adi jild-7,safa-2551,Tal­­­kisk hadees no-117, Hafiz Ibn Hazar r.al ne : fatul al ba'ari jild-2,safa-386me ese Sahi kaha hai ]

Mazkura hadees k Mahfoom ye hai k Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) 3 witr es tarah padte k 2 rekat padker Salam ferte , Aur fer uth ker 3sri Rekat Alag se Ada Farmate .

3 REKAT Witr ek SALAM ME JAIZ HAI

Eske khilaf ek Salam me 3 rekat Namaz witr padne k v Sawab melta hai :

Chunache Hazrat Abi bin Kaib r.a se rewayat hai ,Farmate hai :
''Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) Witr ki pahle Rekat me ''Sabbihis-m RabbikalAala'' dusri me ''Kul ya ayyuhulKaafiroon'' aur teesri me ''QulHuwallahu ahad'' ki Telawat Farmate the' Aur Akher me (ek he martaba) Salam ferte the''
[Sunan Nisai jild-1 safa-191 kitab Kayam al lail hadees no-1683, Shaikh Albani r.al ne Sahi kaha hai]

📝 NOTE :

Is se Malum hua k Namaz e Witr ek Salam me v jaiz hai 'Mager Afzal 2 Salam me hai, baharhaal hum me se Aksar loog puri Zendagu Serf ek he Rekat Namaz witr padte Chale aa rahe hai ye Tareka Durust Nahi hai , kuki Ahadees me 5,7, aur 9 Rekat k v Sabut Melta hai , es leye humko chayye k kam se kam kavi kavi 3 or 5 Rekat v padha kare.

1, 3, 5, Rekay Witr ki Dallil
Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam ) ne Mukhtalif Ahwa'al o Waqt me Namaz Witr 1, 3, 5, 7 or 9 Rekat v padhe hai

CHUNACHE :
Hazrat Abu Ayub r.a se Rewayat hai Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) ne Farmaya :
''Namaz witr he Musalman per Hak hai, jo 5 rekat padna chahe ' wo 5 rekat padhe ' Aur jo 3 Rekat padna chahe wo 3 Rekat padhe Aur jo 1 rekat padna chahe wo 1 Rekat padle''


[Sunan ibn Daood jild-1 safa-201 kitab al witr hadees no-1212,1422, Sunan Ibn Maza jild-1 safa-84 kitab Iqamat Al salat hadees no-1180,1190, Sunan Nishai kitab Qayam al Lail hadees no-1691,1692,1693,1694,1711, Musnad Ahmed jild-5 safa-418 hadees no-22443, Sunan al Darmi kitab Al salat hadees no-1536,1626, Shaikh Albani r.al se Sahi kaha hai]

7 AUR 9 REKAT NAMAZ E WITR

Hazrat Aisha Siddiq r.a se rewayat hai Farmate hai :
''Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) 9 rekat Namaz witr padte '' 7 rekat me Attaheyat me Nahi baith te balke'' 8wi Rekat k baad ''Attaheyat me '' Baithte'' Aur Attaheyat padte fer khara ho jate Aur 9wi Rekat padte Aur ''Akhre Kaida me'' baith jate fer Attaheyat wagaira dua pad ker Salam ferte, Amirul mominnen Hazrat Aisha siddiq r.a Farmate hai : jab Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) bare Umr ko pahuche ' Aur Gost varne ki wajah se jism bojal ho gaya to 7 rekat Witr padte the'' Aur Namaz witr yaani 9 rekat k Salam k baad Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) baith ker 2 rekat Namaz padte the ' es tarah kul 13 Rekat hue.''

[Muslim jild-1 safa-256 kitab Al musafiren hadees no-1233 , Sunan Ibn Daood kitab al Salat hadees no-1060,1144,1145,1147, Sunan Nishai kitab Qayam al lail hadees no-1583,1690,1699,1700,1701,1703,1703,1705, Musnad Ahmed hadees no-23134 , Sunan Al Adrmi kitab Al salat hadees no-1439]

1 TASHUD se 5 REKAT WITRO ME

Hazrat Aisha Siddiq r.a se Rewayat hai Farmate hai :
''Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) Raat me kul 13 Rekat padte ' Aur unme 5 rekat Namaz Witr padte the ' Aur un 5 rekat Witro me ' kisi v Rekat me ''Tashahud k leye'' Na baithte Mager Akher me.''


[Muslim jild-1,Safa-254kitab Al Musafirin hadees no-737,1217, jamai Tirmizi kitab al Salat hadees no-421, Sunan Nishai kitab Qayam al lail hadees no 1698,Sunan ibn Daood kitab Al salat hadees no-1140,1152,Sunan Al darmi kitab al salat hadees no-1535]

1 RAAT ME 1 E WITR
1⃣-Hazrat Talq bin Ali r.a se Rewayat hai ' Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) ne Farmay :
''Yaani 1 Raat me Dobara Witr Nahi hai''
[Suana Ibn Daood jild-1 safa-203 abwab al witr hadees no-1227,1439,Jamai tirmizi kitab al salat hadees no-227,432,Sunan Nishai kitab al Qayam al lail hadees no-1661,1681,Musnad Ahmed jild-4safa-23, Shaikh Albani r.al ne Sahi kaha hai]

2.-Hazrat Abdulla bin Umr r.a se rewayat hai Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) ne Farmaya :
''Raat me apne Akhre Namaz Witr ko banao''
[Bukhari jild-1 safa-136,kitab al jamat hadees no-943,998,Muslim jild-1 safa-257 kitab al musafirin hadees no-751,752,Sunan Abi Daood hadees no-1438,Sunan Abu daood jild-2 hadees no-333,Musnad Ahmed jild-2 hadees no-143, sunan al Bahki jild-3,safa-34]

Is leye Ager koi Saks Namaz padker soo jaye fer Raat ko pichle pahar uth ker Nawafil Ada kare wo Akher me Dobara Witr Nahi padega kuki Hazrat Talq bin Ali r.a se Rewayat hai ' Rasul Allah (s.a.w) ne Farmay :
''Yaani 1 Raat me Dobara Witr Nahi hai''
[Suana Ibn Daood jild-1 safa-203 abwab al witr hadees no-1227,1439,Jamai tirmizi kitab al salat hadees no-227,432,Sunan Nishai kitab al Qayam al lail hadees no-1661,1681,Musnad Ahmed jild-4safa-23, Shaikh Albani r.al ne Sahi kaha hai]

NAMAZ WITR K WAQT

Witr k waqt 'Namaz e Isha k baad se Tulu Fazar tak hai,Es k Dallil ye hai :

1⃣-Hazrat Karza bin Huzaifa r.a se Marwi hai Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam ) ne Irshad Farmaya :
''Yaani Namaz Witr k Waqt Namaz e Isha k Baad se Tulu Fazar tak hai''
[Sunan Abi Daood jild-1 safa-200 kitab al salat hadees no-1418,jamai Tirmizi jild-1 safa-60 kitab al salat hadees no -452, Sunan Ibn Maza jild-1 safa-83 kitab Iqamat al salat hadees no-1168]

2⃣-Hazrat Abu Saeed khudri r.a se Rewayat hai Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam ) ne Farmaya :
''Subah se pahle Namaz e Witr Ada keya karo''
[Muslim jild-1 safa-253 kitab al musafirin hadees no-754,1253, jamai Tirmizi kitab al salat hadees no 430,467,Sunan Nishai kitab Qayam al lail hadees no-1666,1665, Sunan Ibn Maza kitab iqamat al salat hadees no-1179,1189, Musnad Ahmed hadees no-10675,10986,10896]

jise Andesa ho k wo Raat k akher Waqt me beda'ar nahi ho sake ga tou use chaye k wo Namaz Witr padker sooe, leken Ager wo andesa na ho tou Raat k Akher hisse me he Namaz Witr k padna Afzal hai, jaisa k hazrat Jabir bin Abdullah r.a se Rewayat hai' Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) ne Irshad Farmaya :
''tum me se jise Andesa(Sak) ho k wo Raat k Akhe hissa me jaag Nahi sakega tou ' wo Awwal Sab he Namaz witr padle fer soo jaye''.
[Muslim jild-1 safa-253 kitab al musafirin hadees no-755,1255,1252,Jamai Tirmizi kitab al salat hadees no-418,455,Sunan Ibn Maza kitab Iqamat al salat hadees no-1177,1187]


WITR ME DUA E QUNUT KAB AL RUKU (YAANI RUKU SE PAHLE PADNA DUA E QUNUT )

1-Qunut Witr ' Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) se Serf Ruku se pahle Sabit hai, Jaisa k Hazrat Abi bin Kaib r.a se Rewayat hai :
''Beshaq Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) Witr padte tou Ruku se pahle Qunut karte''.

[Sahi Ibn Maza hadees no-970,Sunan Ibn Maza jild-1 safa-84 kitab Iqamat al salat hadees no-1182, Shaikh Albani ne sahi kaha hai]

2⃣-Hazrat Asim bin Sabit r.a se Rewayat hai ' Farmate hai k Maine Hazrat Anas bin Malik r.a se Daryaft keya Dua e Qunut k bare me k 'Kabl al ruku padhe ya baad al ruku' tou Hazrat Anas bin Malik r.a ne Jawab me Farmaya ''Qabla'' yaani Ruku se pahle''.
[Bukhari jild-1 safa-136,kitab al witr hadees no-1002, Musnad Ahmed hadees no-12244,Sunan Al darmi kitab al salat hadees no-1548]

⏩Is hadees se ye Baat wajeh ho gaye k us ''Qunut e Ratba'' ko Ruku se pahle padna he Hasan or Afzal hai , Dua e Qunut ruku k baad v padna Sahi hadees se sabit hai leken ye ''Qunut e Ratba'' Nahi hai , bakle wo ''Qunu e Na'azla'' hai.

KYA ? QUNUT WITR RUKU k BAAD PADHE JA SAKTE HAI ? 

Ha Ruku k baad Qunut ki ja sakte hai (Mager Afzal Nahi hai) Jaisa k Kulfa e Arba wagaira k Amal se ye baat Sabit hai.
[Nil Al Awta'ar lil Sukani jild-2,safa-258]

Kya Qunut Witr ke leye Hanth Uthana Chayye ?

kisi v Sahi hadees me Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) se Qunut witr ke leye Hanth uthana Sabit Nahi hai . (Qunut e Ratba me ) Chunche Sunan Nishai me Hazrat Anas bin Malik r.a se Marwi hai Farmate hai :
''Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) serf Namaz e Estiskha me Hanth Utha ker Dua karte the.''
[Sahi Nishai hadees no-1649,Sunan Nishai jild-1 safa-171 kitab al Estiskha baab kaifa ya rafu hadees no-1516 , Shaikh Albani r.al es hadees ko sahi kaha hai]

📝 NOTE

Qunut e Ratba usko kahte hai jo hum Rojana Namaz Witr k Akher me Ruku se pahle pada karte hai.


Qunut e Nazla usko kahte hai jab koi Hadsa pess Aa jaye tou Farz Namaz me Ruku k baad padha jata hai.

QUNUT e RATBA Aur QUNUT e NAZLA Me 4 CHIZO me FARK HAI :


1.-Qunut e Ratba me Hanth Na uthane k Jekar hai
Aur Qunut e Na'azla me Hanth Uthane k jekar hai

2.-Qunut e Ratba me Maksus Dua k Jekar hai.
Aur Qunut e Na'azla me Gair-Maksus Dua k jekar hai.

3-Qunut e Ratba me Ruku se pahle Dua e Qunut padne k jekar hai.
Aur Qunut e Na'azla me Ruku k baad k jekar hai.

4-Qunut Ratba 'Namaz Witr me khaas ,
Aur Qunut e Na'azla Farz Namazo me khaas.

Aap ager Sunan Abu Daood jild-1 safa-202 kitab Al witr ,baab Al Qunut fi al Witr hadees no-1426 me Gour farmaye ge tou kam-az-kam 3 jagah per ye Jarur melega k Qunut Witr Ruku se pahle hai Na k Ruku k baad.

KYA DUA E QUNUT RAMZAN k BAAD PADNA CHAYE ?

Jo bhai es baat k Qayal hai k Ramzan al Mubaraq me Dua e Qunut Naserf Ramzan k baad pada jaye 'Aur Dalil me Abu daood ki 2 hadees (1428-1429) pess karte hai, jisme Naserf Ramzan k baad Qunut k jekar hai, Mager Afsos hai k wo 2no hadees Zaif hai , kuki Pahle hadees me Hazrat Abi bin kaib r.a se rewayat karne wale Baaz al sahab Mazul hai , aur Dusre hadees me ''Hasan Basri r.al Aur Hazrat Umar bin khattab r.a k Darmiyan Sanad me Inqita hai , Es leye 2no hadeeso se Estedaal Durust Nahi hai.

QUNUT E WITR KI DUA

Hazrat hasan bin Ali r.a se Rewayat hai Farmate hai :
''Yaani mujhe Rsaul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) ne chand kalimat sekhaye jinhe may Witr me padha karta hu wo kalimat ye hai :
“Allaahumma ihdini feemanhadayta wa ‘aafini feeman‘aafayta wa tawallani feemantawallayta wa baarik li feemaa’tayta, wa qini sharra maqadayta , fa innaka taqdi wa layuqda ‘alayk, wa innahu laayadhillu man waalayta wa laaya’izzu man ‘aadayta,tabaarakta Rabbana wata’aalayta .''
''Wa Sallal lahu alan Nabi''
''Wa Sallal lahu alan Nabi'' padne k Sawab (Sahi ibn khuzaima 110) me Hazrat Abi bin Kaab r.a se Sabit hai, k wo Hazrat Umar bin kattab r.a k Dour me Mahe-Ramzan me Qayam al lail karte Aur Qunut me Rasul Allah (SallAllahu Alaihi wasallam) per Darood padte the, yaani ''Wa Sallal lahu alan Nabi'' kahte the.
''wa innahu laayadhillu man waalayta'' k Baad '' wa laaya’izzu man ‘aadayta'' k Alfaz Sunan Bahqi ki rewayat me hai.
[Sunan lil Bahqi jild-2 safa-209][Ref : Narrated by Abu Dawood,1213; al-Nasaa’i, 1725; classedas saheeh by al-Albaani in al-Irwa’, 429]

WITR K SALAM K BAAD KI DUA

Hazrat Abi bin Kaa-ab r.a. se Riwayat hai ki RasoolAllah (SallAllahu Alaihi wasallam witr se salaam fer kar teen baar ye padhte- “Subhan-al Malikil Quddus” yaani paak hai Badsha 'Nehayat Paak.

[Sunan Abu Daud jild-1 safa-202, kitab al witr hadees no-1218,1430 , Ibn Hibban hadees no-677, Shaikh Albani r.al se ese sahi kaha hai]Namaz e witr bayan]

No comments:

Post a Comment