Tuesday, September 22, 2015

SHADI KE BAAD SHAUHAR KA NAAM APNEY NAAM k SAATH LAGANA KAISA HAI .



PLEASE ISAY PARAI KRE
AUR BEHNO, BHAIO APNI MAAH, BEHAN KO SAMJAYE

BISMILLAH

Jo AURTEIN APNEY WALID KA NAAM HATA KR SHAUHAR KA NAAM ADOPT KRTIN HAIN SHAADI k BAAD WO ZARA GAUR KAREN ki YE HARAAM HAI .

Misaal k taur pe, shaadi se pehley unka naam "Fatima maqsood Ali" shaadi hui Sajid Siddique, se, ab naam badal kr "Fatima Sajid Siddique" ya sirf "Fatima Sajid".

Ye haraam hai. iski ijazat nahi ki koi apney baap (Walid) ka naam hata kar apney shauhar ka naam ya apney shauhar k khaandaan ka naam apney agey lagaey ye kuffar ka tareeka hai hame iseko apnaney se bachna chahiye.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki HADITH KI ROSHNI ME DEKHYE .

⏩Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ka irshad hai: "Jisney apney naam ko apney walid k naam k alawa apney naam me kisi dosrey ka naam (jo uska baap nahi) jodra us par Allah ki or farishton ki lanat hai "
(Reported by Ibn Maajah, 2599)

Hazrat Abu Dharr (Radiallahu Anhu) ne suna ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya : “ Kisi admi ne apne walid k siwa apni shinakth kisi or k saath milaee usne kufr kiya. Jisney us shaks se apney to jorda jo uska baap nahi wo apna theekana Jahannam me bana ley.”
[Bukhari 3508 and Muslim 61]

Hazrat Sa’d ibn Abi Waqqaas or Hazrat Abu Bakar (Radiallahu Anhuma) ne kaha ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya ki: “Jo ye kehta hai ki wo musalman hai or wo kisi k saath khud ko jordta (attach) hai jo uska baap nahi ye jaan kar ki wo uska haqiqi baap nahi, JANNAT uske liye Haraam hai”
[Bukhaari 4072 and Muslim 63]

Issey zada or kya warning ho sakti hai..

🚫Ye kuffar ka tareeka tha or aaj hamari behney bade shauk se isko apnati hain yaad rahey Baap ka rishta kisi bhi naey rishtey k aney k baad khatam nahi hota or aulad ki shinakth or pehchan uske walid k naam se hi hogi, or apne shauhar ka naam apne naam k saath lagana ye Kufr or haraam ka bais hai.

Shauhar or Biwi ka khoon ka rishta nahi hota
✅Aur naam sirf khoon k rishtey se hi jorda ja sakta hai.
Agar kisi wajah se uska talaq hoga to us surat me wo kitney naamo ko change kareygi ?

📝 Agar shauhar ka naam lagana sahi hota to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki biwiyon ne bhi apna naam badla hota kyn ki unke shauhar to duniya k Afzal Tareen shaks they.

Hz. Khadeeja (Radiallahu Anha) hamesha Khadeeja bin Khuwalid rahin ,
Hazrat Aysha (Radiallahu Anha) hamesha ta umr Aysha bint Abu Baker rahin.
yahan tak ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki wo biwiyan jinke baap kafir they apney unke naam ka lakab bhi kabhi tabdeel nahi kiya.

📝 EXAMPLE :
Saffiya bint Huyayy (Radiallahu Anha)
( Huyayy Yahoodi tha or Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ka jani dusman bhi tha)

Jannat mey Aurton ki sardar Hz Fatima (Radiallahu Anha) hamesha Fatima Bint Muhammad rahin unhoney Hz Ali (Radiallahu Anhu) k NAAM k SAATH APNEY NAAM KO KABHI NAHI JORDA .

Jis behan ne galti se aisa kiya hai wo Allah se sacchi tauba karey or apne walid ka naam wapas apne naam se jordey. hame apney amalon ka hisab Allah ko deyna hai or ye sarsar allah or uske rasool ki nafarmani hai.

Allah hame samjhney or is par amal krney ki taufeeq dey.
AAMEEN YA ALLAH

No comments:

Post a Comment