Tuesday, October 13, 2015

ASHOORA KA FAZILAT


BISMILLAH

Shahrullahil Haram ka mahina hai,
ASHOORA KA DIN ARAHA HAI..

 IS DIN KI BOHUT FAZILAT aur AHMIYAT o AZMAT HAI ...

IS DIN MEIN KHAS ROZE KA IHTEMAM KARNA CHAHIYE

ISKI AHMIYA DEKHTE HAIN

Hazrat Ayesha Radhi Allahu Anha se Rivayat hai:Jab Nabi sallallahu alaihi wa sallam hijrat karne ke baad madina pahunche to aap sallallahu alaihi wa sallam ne Aashoore ke din roza rakha aur saar musalmano ko roza rakne ka hukm diya phir jab Ramzan mein roza rakna farz hogaya to aap sallallahu alaihi wa sallam ne ye ikhtiyar de diya ke jo chahe roza rakhe ya na rakhen...(Rawahu Bukhari wa Muslim)

Is hadees se pata chalta hai ke PEHLE AASHOORA KA ROZA FARZ THA baad mein yani san 2 hijri mein jab RAMZAN ke ROZE FARZ HUE TO YE MANSOOQ HOGAYA ...

IS  ROZE KE KAI FAZILAAT HAIN ...

YE ROZA PECHLE SAAL KE SABIQA GUNAH MUAF KAR TA HAI

Hazrat Abu Qatada Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi wasallam se Ashoora ke din ke rozey ke bare mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne faramaya ye Guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai...
(Sahih-Muslim, Hadees-no: 2747)

ALLAHU AKBAR , AGAR KOI SHAKS IS ROZE KO LA PARWAHI SE CHOAD DE TOH SOCHIYE USKA KITNA NUQSAN HOGA ...

Hazrat Abdullah ibn Abbas Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ke Nabi sallallahu alaihi wa sallam is roze ko talashte the πŸ“—(sahih Bukhar)

Hazrat Abu Huraira Radhi Allahu Anhu se rivayat hai Nabi sallallau alaihi wa sallam ne farmaya Ramzan ke baad sabse behtar aur Afzal roze MUHARRAM ke ROZE hain (At-Tirmidhi)

AASHOORE KI FAZILAT o AHMIYAT AUR AZMAT KA NAMOONA HAME IS HADEES se PATA CHALTA HAI ...

Ar-Rubayya Binte Mu'awwid Radhi Allahu Anha se rivayat hai ke: nabi sallallahu alaihi wa sallam ne AASHOORA ke din subha ansariyon ke muhaale aur ilaqe aur gharon mein ye paigham de kar bheja ki '' jisne ab tak kuch kha liya wo roza rakle aur jisne abtak nahi khaya to roza mukammal kar le''

ar- Hazrat Rubayya radhi Allahu Anha farmati hain ke hamne roza rakha balki apne bacho ko bhi roza rakhaya jab wo bhook se rone lage toh unhen hamne khilone de diye take wo in mein mashgool ho jayein phir jab sooraj ghuroob hua to hamne unhe khana pesh kiya...πŸ“™(sahih Al-Bukhari)

HAMARE ASLAF SAFAR MEIN BHI ASHOORE KA ROZA RAKTE THE

Jaise  Hazrat Abdullah ibn Abbas radhi Allahu anhu, Abu Ishaq as-Sabi'ee rahimaullah, Imam ibn hanbal rahimaullah, az-Zuhri rahimaullah...

Az-zuhri rahimallah farmate hain ke Allah ne ramzan ke roze safar mein gaza karne ka hukm diya lekim Ashoore ke bare mein koi hukm nahi hai, lihaza safar mein roza rakna afzal hai...

DO DIN ROZE KYUN

Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiAllahu Taala Anhu se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam Ne Aashurey ke din(10 Muharram) ka aur Huqm (Order) Kiya is Rozey ka, to logo ne Arz ki Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam ye din to aisa hai ki iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara,To Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne farmaya Ki Jab Agla Saal aayega to Inshallah Hum 9 ka Roza Rakhege,Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki wafaat ho gai.
(Sahih-Muslim, Hadees-no: 2666)

YAHI WAJAH HAI KE HUM  DO  ROZE RAKTE HAIN.

Ab sawal ye hai ke agar koi sirf aahoore ke din roza rakhe toh uska roza qubul hoga...

Haan agar koi sirf ashoore ko roza rakhe mujboori se toh wallahu a'lam bis sawab iska ajr usko milega lekin afzal ye hain wo do roze rakhe...

Hazrat Allam ibn Qayyim al jawzi rahimaullah apni kitab zaad al maad mein farmate hain ke agar koi 3 din yani ashoore se pehle wala aur ashoora aur iske baad wala din roza rakle toh bohut hi fazal hai...
Imam ibn hajar rahimaullah bhi si ke qail hain...

AAKHIR MEIN ALLAH SE DUA HAIN KE IN ROZON KE AHMIYAT JANTE HUE IN PAR AMAL KARNE ki TAUFEEQ ATA KARE ...AAMEEN YA ALLAH

No comments:

Post a Comment