Tuesday, October 13, 2015

IKHLAAQ KI FAZILAT


BISMILLAH

MUSALMAANON KE IKHLAAQ , ISLAAM KI SAAT HIDAAYATEN :

Hazrat Al-Bara' bin `Azib Rad. se Riwaayat hai ki..
Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne ham ko

1) Mareez ki ayaadat,
2) Janaaze me shirkat,
3) Chheenk ka jawaab dene, (i.e., by saying to him: Yarhamuk-Allah after he says: Al-hamdu lillah)
4) Qasam dene waale ki qasam poori karne,
5) Mazloom ki madad karne,
6) Daawat qabool karne aur salaam karne ka hukm ko Raa’ej karne ka hukm diya hai.
[ Sahih Al-Bukhari & Sahih Al-Muslim ]
[ Riyad as-salihin # Book 7, Hadith # 894 ]

MUSALMAAN KE HAQOOQ :
Hazrat Abu Hurairah Rad. se riwaayat hai ki..
Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WSALLAM ne farmaaya ki..
“ Musalmaan par musalmaan ke paanch haq hain.

1) Salaam ka jawaab dena,
2) Mareez ki ayaadat karna,
3) Janaaze ke hamraah jaana,
4) Daawat qabool karna,
5) Chheenk ka jawaab dena. (i.e., by saying to him: Yarhamuk-Allah after he says: Al-hamdu lillah) “
[ Sahih Al-Bukhari & Sahih Al-Muslim ]
[ Riyad as-salihin # Book 7, Hadith # 895 ]

BANDE SE KHUDA KA TA'ALLUQ :
Hazrat Abu Hurairah Rad. se riwaayat hai ki..
Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne farmaaya..
“ Qayaamat ke din Allah ta'alaa farmaayega..

“ Aye Adam ke bete main bimaar hua toone meri ayaadat na ki..

Bandah : “ Aye mere parwardigaar Tu Saare jahaan ko paalne waala hai teri mizaaj pursi kaise karta..”

Allah ta'alaa : “ Kya tujhe nahin maaloom ki mera falaan bandah bimaar hua toone uski
ayaadat nahin ki ? Agar tu uski ayaadat ke liye jaata to tu mujhe uske paas paata. ”

Allah ta'alaa : “ Aye Ibn Aadam ! Maine tujhse khaane ka sawaal kiya aur tune mujhko khana nahi khilaaya.

Bandah : “ Ya mere Rubb..Bhala main tujh ko khaana kaise khilaata tutho khud Rab bil alameen hai. ”

Allah ta'alaa : “ Tujhe khabar nahin ki mere falaan bande ne tujhse khaana maanga tha toone usko na khilaay, agar tu usko khilaa deta to tu usko mere paas paata. ”

Allah ta'alaa : Aye aadam ke bĂȘte maine tujh se paani maanga, tone mujhe paani na pilaaya.

Bandah : “ Aye mere Rab tu saare jahaan ka paalne waala hai. Bhala main tujh ko paani kaise pilaata. ”

Allah ta'alaa : “ Mere falaan bande ne tujh se paani manga tha tune na pilaaya samajhle ki
agar tu usko paani pilaa deta to tu usko mere paas paata.
[ Sahih Al-Muslim ]
[ Riyad as-salihin # Book 7, Hadith # 896 ]

TEEN WASIYAATE :
Hazrat Abu Mooa Rad. se riwaayat hai ki..
Rasoolullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne farmaaya..

“ Mareez ki ayaadat karo, bhooke ko khaana khilaao aur qaidi ko rihaa karo.
[ Sahih Al-Bukhari ]
[ Riyad as-salihin # Book 7, Hadith # 897 ]

AYAADAT KI FAZILAT :
Hazrat Thauban Rad. se riwaayat hai ki..
Rasulullah SALLALLAHU ALAI WASALLAM ne farmaaya..
“ Musalmaan jab apne musalmaan bhai ki ayaadat karta hai to waapas hone tak barabar Jannat ki kho-shah chinime raha hai.

Logon ne arz kiya.. “ Ya Rasoolullah SALALLLAHU ALAI WASALLAM ! Jannat ki kho-shah chini ka kya matlab ??

Farmaaya “ Janant me mewaa chunchunkar khana.“ (picking the fresh fruits from the garden of Jannah)

[ Sahih Al-Muslim ]
[ Riyad as-salihin # Book 7, Hadith # 898 ]

No comments:

Post a Comment