Monday, October 5, 2015

HADITH SAHIH MUSLIM



BISMILLAH

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat us waqt tak qayam na hogi jab tak ki yahudiyon se tumhari jung na ho , aur wo paththar bhi us waqt ( ALLAH ke hukm se) bol uthenge jiske peeche yahudi chupe hoga  ki Eh Musalman ye yahudi mere peeche chupa baitha hai isko Qatl kar de
Sahih Bukhari, Vol 4, 2926

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya qayamat qayam na hogi yahan tak ki musalman yahudiyo se ladenge phir musalman unko Qatl karenge yahan tak ki yahudi kisi paththar ya darakht ki aad mein chupega to wo paththar ya darkht bolega Eh musalman eh Allah ke bande ye mere peeche ek yahudi hai idhar aa aur use Qatl kar magar garqad ka darakht nahi bolega ( ye ek kaantedar darakht hai jo baitul muqaddas ki taraf bahut hota hai) wo yahuditon ka darakht hai 
Sahih Muslim, Vol 6, 7339

Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Do din ke roze se mana farmaya hai (ek) Eid Al-fitar aur (dusra) Eid Al-Zuha 
Sahih Muslim, Vol 3, 2676

Amr bin Al As Radi alllahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi
wasallam ne farmaya hamare aur Ahal-e-Kitab ke Roze mein Sehri ke luqmey ka farq hai 
Sahih Muslim,Vol 3, 2550 

Anas radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam
 ne farmaya Sehri khaya karo kyuki Sehri ke khane mein barkat hai - 
Sahih Muslim,Vol 3, 2549

Hazrat Abu hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jo koi apney bhai ko lohey se (yani hathyaar se ) daraye to farishtey us par laanat kartey hain jab tak ki aisa karne se ruk na jaye agarche wo uska saga bhai ho. 
Sahih Muslim, Vol 6, 6666 


Ma'qil bin Yasar Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Nabee Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Fasaad aur fitne ke waqt Ibaadat karne ka sawab aisa hai jaise mere paaas(meri taraf) Hijrat karne ka. 
Sahih Muslim, 7400 

Hazrat Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne  farmaya main Aulad Aadam ka sardar hunga Qayamat ke din. aur  sabse pahle mein Shafa’at karunga aur sabse pahle meri shafaat Qubul hogi 
Sahih Muslim, Vol 6,  5940 

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahao alaihi wasallam ne farmaya meri ummat mein bahut chahne wale mere wo log honge jo mere baad paida honge unmein se har koi ye khwahish rakhega  ki kaash apne gharwalon aur maal sabko sadqa kar de aur mujhko dekh le
Sahih Muslim , Vol 6, 7145

Abdullah bin Umar Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne chandi ki ek angoothi banayee wo aapke haath mein thi, phir Abu Bakr Radhi Allahu Anhu ke haath mein rahi, phir Umar  Radhi Allahu Anhu ke haath mein rahi phir uthman Radhi Allahu Anhu ke haath mein rahi phir unke haath se aris ke kuwe mein gir gayee us angoothi par “Muhammad Rasool ALLAH” likha hua tha
Sahih Muslim, 5476

Anas bin Malik Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki  Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne logon se farmaya  ki maine ek angoothi banwayee hai chandi ki aur usmein “Muhammad Rasool ALLAH” khudwaya hai to koi apni angoothi mein ye na khudwaye.
Sahih Muslim, 5478

Uqba. b. Amir Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Nazar (mannat (Vow)) ka kaffara wahi hai jo Qasam ka kaffara hai
Sahih Muslim, Vol4, 4253

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne mana farmaya hai Nazar se ( Yani Mannat (Vow) se )   farmaya nazar (mannat) kisi aisee cheez ko aadmee ke nazdeek nahi karti jo ALLAH subhanahu ne uski taqdeer mein na likhi ho, lekin agar Nazar taqdeer ke muwafiq hoti hai to bakhil ke pass se wo maal nikalta hai jisko wo nikalna nahi chahta tha
Sahih Muslim, Vol 4, 4242, 4243

Anas and Abu Hurairah Radhi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne ek budhe ko dekha jo apne dono beton ke beech mein tek lagaye(sahara liye) chal raha tha Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya isko kya hua hai uske beton ne kaha ki isne nazar ( mannat) li hai  (Paidal hajj par jane ki)  to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya eh budhe Sawari par baith ja kyunki ALLAH subhanahu mohtaj nahi hai tera aur teri Nazar(mannat) ka
Sahih Muslim,  Vol 4, 4247,4248

----------------------------------------------

TASHREEH (Explanation) AS PERTHE BOOK OFSAHIH BUKHARI:
Aksar log yu to ALLAH ki raah mein paisa kharch nahi karte jab koi Museebat aa jati hai to us Waqt tarah tarah ki mannatein mante hain , magar nazar aur mannat man ne se Taqdeer nahi palat sakti hota wohi hai jo Taqdeer mein hai . Aap Sallallahu Alalihi Wasallam ne aisee nazar se mana farmaya jismein banda ye soche ki meri is nazar se bala tal jayegi ,lekin Agar koi ye sochkar Nazar mane ki jo ALLAH ne kismat mein likh diya hai wohi hoga to aisee nazar mana nahi jaise ki Nawafil Roza, Nawafil Namaz etc. aur iska pura karna Wajib hai. jaisy kiImran Alaihi salam ki biwi ne nazar mani thi ki  jo mere pet mein bachcha hai main use duniya ke kaamo se aazad karke teri nazar kar dungi
Al Quran : Jab Imran Alaihi salam ki biwi na kaha ki Ek RAB jo (bachcha) mere pet mein hai main usko teri nazar karti hu use duniya ke kaamon se aazad rakhungi
Surah Aal-e-Imran (3) Verse 35
Maryam radi Allahu anha ko ALLAH subahnahu ne hukm diya ki “Agar tum kisi aadmi ko dekho to kahna ki maine ALLAH ke liye roze ki mannat mani hai”
Surah Maryam (19) , Verse 26
Aur ek dusri jagah ALLAH ne neik logon ki taarif mein ye farmaya hai ki
“Wo (neik log) Apni mannatein puri karte hain aur us ( Qayamat ke) din se darte hain jiski museebat har jagah phaili huyee hogi”
 Al-Insan (76), Verse  7
---------------------------------------------------

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya us shaksh ko dekho jo tum mein se kam ho ( Maal aur Daulat mein, aur Husn wa Jamaal mein aur Aulad mein) aur usko mat dekho jo tumse ziyada hai aur aisa karoge to ALLAH taaala ki Naimat ko apne upar haqeer ( yani kam) nahi samjhoge 
Sahih Muslim, Vol 6, 7430

Abu Hurairah Radi allahu taala anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya wo shaksh jannat mein nahi jayega jiska humsaya (Padosi) uske makar-o-fasad (yani Zulm-Sitam se) se mehfooz na ho.
Sahih Muslim, Vol 1, 172

No comments:

Post a Comment