Monday, October 5, 2015

SURAH BAQRAH PART - 3 END

 (Sura-e-Baqara Madina mai Nazil hui, is mai doso-cheyasi (286) Aayatain hain)

02.201 Aur baaz log woh bhi hain jo kehtay hain aey humaray rab! Humen duniya mein neki dey aur aakhirat mein bhi bhalaee ata farma aur humen azab-e-jahannum say nujat dey.

02.202 Yeh woh log hain jin kay liye unn kay aemaal ka hissa hai aur Allah Taalaa jalad hisab lenay wala hai.

02.203 Aur Allah Taalaa ki yaad unn ginti kay chand dinon (ayyaam-e-tashreeq) mein kero do din ki jaldi kerney walay per bhi koi gunah nahi aur jo peechay reh jaye uss per bhi koi gunah nahi yeh perhezgar kay liye hai aur Allah Taalaa say dartay raho aur jaan rakho kay tum sab ussi ki taraf jama kiye jao gay.

02.204 Baaz logon ki dunyawi gharaz ki baaten aap ko khush ker deti hain aur woh apney dil ki baaton per Allah ko gawah kerta hai halankay dar asal woh zabardast jhagraloo hai.

02.205 Jab woh lot ker jata hai to zamin mein fasad phelaney ki aur kheti aur nasal ki barbadi ki koshish mein laga rehta hai aur Allah Taalaa fasad ko na pasand kerta hai.

02.206 Aur jab uss say kaha jaye kay Allah say darr to takabbur aur ta’assub ussay gunah per aamada ker deta hai aisay kay liye bus jahannum hi hai aur yaqeenan woh badtareen jagah hai.

02.207 Aur baaz log woh bhi hai jo Allah Taalaa ki raza mandi ki talab mein apni jaan tak baich detay daltay hain aur Allah Taalaa apney bandon per bari meharbani kerney wala hai.

02.208 Eman walo! Islam mein pooray pooray dakhil hojao aur shetan kay qadmon ki tabeydari na kero woh tumhara khula dushman hai.

02.209 Agar tum bawajoob tumharay daleel aajaney kay bhi phisal jao to jaan lo kay Allah Taalaa ghalbay wala aur hikmat wala hai.

02.210 Kiya logon ko iss baat ka intizar hai kay unn kay pass khud Allah Taalaa abar kay sayebanon mein aajaye aur farishtay bhi aur kaam inteha tak phoncha diya jaye Allah hi ki taraf tamam kaam lotaye jatay hain.

02.211 Bani israeel say poocho to kay hum ney unhen kiss qadar roshan nishaniyan ata farameen aur jo shaks Allah Taalaa ki nematon ko apney pass phonch janey kay baad badal dalay (woh jaan ley) kay Allah Taalaa sakht azabon wala hai.

02.212 Kafiron kay liye duniya ki zindagi khoob zeenat daar ki gaee hai woh eman walon say hansi mazaq kertay hain halankay perhezgar log qayamat kay din unn say aala hongay Allah Taalaa jisay chahata hai bey hisab rozi deta hai.

02.213 Dar-asal log aik hi giroh thay Allah Taalaa ney nabiyon ko khushkhabri denay aur daraney wala bana ker bheja aur unn kay sath sachi kitaben nazil farmaeen takay logon kay her ikhtilafi amar ka faisla hojaye. Aur sirf unhi logon ney jinhen kitab di gaee thi apney pass dalaeel aa chukney kay baad aapas kay bughz-o-aeynaad ki waja say iss mein ikhtilaf kiya iss liye Allah pak ney eman walon ki iss ikhtilaf mein bhi haq ki taraf apni mashiyat say rehbari ki aur Allah jiss ko chahaye seedhi raah ki taraf rehbari kerta hai.

02.214 Kiya tum yeh guman kiye bethay ho kay jannat mein chalay jao gay halankay abb tak tum per woh halaat nahi aaye jo tum say aglay logon per aaye thay. Unehn beemariyan aur musibaten phonchi aur woh yahan tak jhanjoray gaye kay rasool aur uss kay sath kay eman walay kehney lagay kay Allah ki madad kab aaye gi? Sun rakho kay Allah ki madad qarib hi hai.

02.215 Aap say poochtay hain kay woh kiya kharach keren? Aap keh dijiye kay jo maal tum kharach kero woh maa baap kay liye hai aur rishtay daron aur yateemon aur miskeenon aur musafiron kay liye hai aur tum jo kuch bhalaee kero gay Allah Taalaa to uss ka ilm hai.

02.216 Tum per jihad farz kiya gaya go woh tumhen dushwar maloom ho mumkin hai tum kissi cheez ko buri jano aur wohi tumharay liye bhali ho aur yeh bhi mumkin hai kay tum kissi cheez ko achi samjho halankay woh tumharay liye buri ho haqeeqi ilm Allah hi ko hai tum mehaz bey khabar ho.

02.217 Log aap say hurmat walay maheenon mein laraee ki babat sawal kertay hain aap keh dijiye kay inn mein laraee kerna bara gunah hai lekin Allah ki raah say rokna uss kay sath kufur kerna aur masjid-e-haram say rokna aur wahan kay rehney walon ko wahan say nikalna Allah kay nazdeek uss say bhi bara gunah hai yeh fitna qatal say bhi bara gunah hai yeh log tum say laraee bhiraee kertay hi rahen gay yahan tak kay agar hosakay to tumhen tumharay deen say murtid ker den aur tum mein say jo log apney deen say palat jayen aur issi kufur ki halat mein maren unn kay aemaal-e-duyawi aur ukhrawi sab ghaarat hojayen gay. Yeh log jahannumi hongay aur hamesha hamesha jahannum mein hi rahen gay.

02.218 Alabatta eman laney walay hijrat kerney walay Allah ki raah mein jihad kerney walay hi rehmat-e-elahee kay umeedwar hain Allah Taalaa boht bakshney wala aur boht meharbani kerney wala hai.

02.219 Log aap say sharab aur juye ka masla poochtay hain aap keh dijiye inn dono mein boht bara gunah hai aur logon ko iss say dunyawi faeeda bhi hota hai lekin inn ka gunah unn kay nafay say boht ziyada hai. Aap say yeh bhi daryaft kertay hain kay kiya kuch kharach keren? To aap keh dijiye hajat say zaeed cheez, Allah Taalaa issi taraf apney ehkaam saaf saaf tumharay liye biyan farma raha hai takay tum soch samajh sako.

02.220 Duniya aur aakhirat kay umoor ko. Aur tujh say yateemon kay baray mein bhi sawal kertay hain aap keh dijiye kay inn ki khair khuwahi behtar hai tum agar inn ka maal apney maal mein mila bhi lo to woh tumharay bhai hain bad niyat aur nek niyat her aik ko Allah khoob janta hai aur agar Allah chahata to tumhen mushaqqat mein daal deta yaqeenan Allah Taalaa ghalbay wala hikmat wala hai.

02.221 Aur shirk kerney wali aurton say tawaqt-e-kay woh eman na layen tum nikkah na kero eman walo londi bhi shiek kerney wali aazad aurat say boht behtar hai go tumhen mushrika hi achi lagti ho aur na shirk kerney walay mardon kay nikkah mein apni aurton ko do jab tak woh eman na layen eman wala ghulam aazad mushrik say behtar hai go mushrik tumhen acha lagay. Yeh log jahannum ki taraf bulatay hain aur Allah jannat ki taraf aur apni bakshish ki taraf apney hukum say bulata hai woh apni aayaten logon kay liye biyan farma raha hai takay woh naseehat hasil keren.

02.222 Aap say haiz kay baray mein sawal kertay hain keh dijiyewoh gandagi hai haiz halaton mein aurton say alag raho aur jab tak woh pak na hojayen unn kay qarib na jao han jab woh pak hojayen o unn kay pass jao jahan say Allah ney tumhen ijazat di hai Allah tauba kerney walon ko aur pak rehney walon ko pasand farmata hai.

02.223 Tumhari biwiyan tumhari khetiyan hain apni khetiyon mein jiss tarah chahao aao aur apney liye (naik amaal) aagay bhejo aur Allah Taalaa say dartay raha kero aur jaan rakho kay tum uss say milney walay ho aur eman walon ko khushkhabri suna dijiye.

02.224 Aur Allah Taalaa ko apni qasmon ka iss tarah nishana na banao kay bhalaee aur perhezgari aur logon kay darmiyan ki islaah ko chor betho aur Allah Taalaa sunney wala janney wala hai.

02.225 Allah Taalaa tumhen tumhari unn qasmon per na pakray ga jo pukhta na hon haan uss ki pakar uss cheez per hai jo tumharay dilon ka fail ho Allah Taalaa bakshney wala aur burdbaar hai.

02.226 Jo log apni biwiyon say (talluq na rakhney) qasmen khayen unn kay liye chaar maheeney ki iddat hai phir agar woh lot aayen to Allah Taalaa bhi bakshney wala meharban hai.

02.227 Aur agar tallaq ka hi qasad ker len to Allah Taalaa sunney wala janney wala hai.

02.228 Tallaq wali aurten apney aap ko teen haiz tak rokay rakhen unhen halal nahi kay Allah ney unn kay reham mein jo paida kiya ho ussay chupayen agar unhen Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman ho unn kay khawind iss muddat mein unhen lota lenay kay pooray haq daar hain agar unn ka irada islaah ka ho. Aur aurton kay bhi wesay hi haq hain jaisay unn per mardon kay hain achai kay sath. Haan mardon ko aurton per fazeelat hai aur Allah Taalaa ghalib hai aur hikmat wala hai.

02.229 Yeh tallaqen do martaba hain phir ya to achai say rokna ya umdagi kay sath chor dena aur tumhen halal nahi kay tum ney unhen jo dey diya hai uss mein say kuch bhi lo haan yeh aur baat hai kay dono ko Allah ki hudood qaeem na rakh sakney ka khof ho iss liye agar tumhen darr ho kay yeh dono Allah ki haden qaeem na rakh saken gay to aurat rehaee paney kay liye kuch dey dalay iss mein dono per gunah nahi yeh Allah ki hudood hain khabardar inn say aagay na barhna aur jo log Allah ki haddon say tajawuz ker jayen woh zalim hain.

02.230 Phir agar iss ko (teesri baar) tallaq dey dey to abb iss kay liye halal nahi jab tak kay woh aurat iss kay siwa doosray say nikkah na keray phir agar woh bhi tallaq dey dey to inn dono ko mail jol ker lenay mein koi gunah nahi ba shart-e-kay yeh jaan len kay Allah ki haddon ko qaeem rakh saken gay yeh Allah Taalaa ki hudood hain jinhen woh janney walon kay liye biyan farma raha hai.

02.231 Jab tum aurton ko tallaq do aur woh apni iddat khatam kerney per aayen to abb enehn achi tarah basao ya bhalaee kay sath alag ker do aur enhen takleef phonchaney ki gharaz say zulm-o-ziyadti kay liye na roko jo shaks aisa keray uss ney apni jaan per zulm kiya. Tum Allah kay ehkaam ko hansi khel na banao aur Allah kay ehsan jo tum per hai yaad kero aur jo kuch kiab-o-hikmat uss ney nazil farmaee hai jiss say tumehn naseehat ker raha hai ussay bhi. Aur Allah Taalaa say dartay raha kero aur jaan rakho kay Allah Taalaa her cheez ko janta hai.

02.232 Aur jab tum apni aurton ko tallaq do aur woh apni iddat poori ker len o unhen unn kay khawindon say nikkah kerney say na roko jab kay woh aapas mein dastoor kay mutabiq raza mand hon. Yeh naseehat unhen ki jati hai jinhen tum mein say Allah Taalaa per aur qayamat kay din per yaqeen-o-eman ho iss mein tumhari behtareen safaee aur pakeezgi hai. Allah Taalaa janta hai aur tum nahi jantay.

02.233 Mayen apni aulad ko do saal kamil doodh pilayen jin ka irada doodh pilaney ki muddat bilkul poori kerney ka ho aur jin kay bachay hain unn kay zimmay unn ka roti kapra hai jo mutabiq dastoor kay ho. Her shaks utni hi takleef diya jata hai jitni uss ki taqat ho. Maa ko uss kay bachay ki waja say ya baap ko uss ki aulad ki waja say koi zarar na phonchaya jaye waris per bhi issi jaisi zimmay dari hai phir agar dono (yani maa baap) apni raza mandi aur bahumi mashwaray say doodh churana chayen to dono per kuch gunah nahi aur agar tumhara irada apni aulad ko doodh pilwaney ka ho to bhi tum per koi gunah nahi jab kay tum unn ko muabiq dastoor kay jo dena ho woh inn kay hawalay ker do Allah Taalaa say dartay raho aur jantay raho kay Allah Taalaa tumharay aemaal ki dekh bhaal ker raha hai.

02.234 Tum mein say jo log fot ho jayen aur biwiyan chor jayen woh aurten apney aap ko chaar maheeney aur das (din) iddat mein rakhen phir jab muddat khatam ker len to jo achai kay sath woh apney liye keren uss mein tum per koi gunah nahi aur Allah Taalaa tumharay her amal say khabardar hai.

02.235 Tum per iss mein koi gunah nahi kay tum isharatan kanayatan inn aurton say nikkah ki babat kaho ya apney dil mein posheeda irada kero Allah Taalaa ko ilm hai kay kay tum zaroor inn ko yaad kero gay lekin tum inn say posheeda waday na ker lo haan yeh aur baat hai kay tum bhali baat bola kero aur aqad nikkah jab tak kay iddat khatam na hojaye pukhta na kero jaan rakho kay Allah Taalaa ko tumharay dilon ki baaton ka bhi ilm hai tum uss say khof khatay raha kero aur yeh bhi jaan rakho kay Allah Taalaa bakshish aur hilm wala hai.

02.236 Agar tum aurton ko baghair haath lagaye aur baghair mehar muqarrar kiye tallaq dey do to bhi tum per koi gunah nahi haan unhen kuch na kuch faeeda do. Khushal apney andaz say aur tangdast apni taqat kay mutabiq dasatoor kay mutabiq acha faeeda dey. Bhalaee kerney walon per yeh lazim hai.

02.237 Aur agar tum aurton ko iss say pehlay tallaq dey do kay tum ney unhen haath lagaya ho aur tum ney unn ka mehar bhi muqarrar ker diya ho to muqarrar mehar ka aadha mehar dey do yeh aur baat hai kay woh khud moaf ker den ya woh shaks moaf ker dey jiss kay haath mein nikkah ki girah hai tumhara moaf ker dena taqwa say boht nazdeek hai aur aapas ki fazeelat aur buzrugi ko faramosh na kero yaqeenan Allah Taalaa tumharay aemaal ko dekh raha hai.

02.238 Namazon ki hofazat kero bilkhusoos darmiyan wali namaz ki aur Allah Taalaa kay liye ba adab kharay raha kero.

02.239 Agar tumhen khof ho to paidal hi sahih ya sawari hi sahih haan jab aman hojaye to Allah ka zikar kero jiss tarah ka uss ney tumhen uss baat ki taleem di jissay tum nahi jantay thay.

02.240 Jo log tum mein say fot hojayen aur biwiyan chor jayen woh waseeyat ker jayen kay unn ki biwiyan saal bhar tak faeeda uthayen unhen koi na nikalay haan agar woh khud nikal jayen to tum per iss mein koi gunah nahi jo woh apney liye achai say keren Allah Taalaa ghalib aur hakeem hai.

02.241 Tallaq waliyon ko achi tarah faeeda dena perhezgaron per lazim hai.

02.242 Allah Taalaa issi tarah apni aayaten tum per zahir ker raha farma raha hai takay tum samjho.

02.243 Kiya tum ney unhen nahi dekha jo hazaron ki tadaad mein thay aur maut kay darr kay maaray apney gharon say nikal kharay huye thay Allah Taalaa ney unhen farmaya marr jao phir unhen zinda ker diya be-shak Allah Taalaa logon per bara fazal wala hai lekin aksar log na shukray hain.

02.244 Allah ki raah mein jihad kero aur jaan lo kay Allah Taalaa sunta janta hai.

02.245 Aisa bhi koi hai jo Allah Taalaa ko acha qarz dey pus Allah Taalaa ussay boht barha charha ker ata farmaye Allah hi tangi aur kushadgi kerta hai aur tum sab ussi ki taraf lotaye jao gay.

02.246 Kiya aap ney (hazrat) musa kay baad wali bani israeel ki jamat ko nahi dekha jab kay unhon ney apney payghumbar say kaha kay kissi ko humara badshah bana dijiye takay hum Allah ki raah mein jihad keren. Payghumbar ney kaha mumkin hai jihad farz hojaney kay baad tum jihad na kero unhon ney kaha bhala hum Allah ki raah mein jihad kiyon na keren gay? Hum to apney gharon say ujaray gaye hain aur bachon say door ker diye gaye hain. Phir jab unn per jihad farz hua to siwaye thoray say logon kay sab phir gaye aur Allah Taalaa zalimon ko khoob janta hai.

02.247 Aur unhen unn kay nabi ney farmaya kay Allah Taalaa ney taloot ko tumahra badshah bana diya hai to kehney lagay bhala uss ki hum per hukoomat kaisay ho sakti hai? Uss say to boht ziyada haq daar badshaat kay hum hain uss ko to maali kushadgi bhi nahi di gaee. Nabi ney farmaya suno Allah Taalaa ney ussi ko tum per bar gazeedah kiya hai aur ussay ilmi aur jismani bartari bhi ata farmaee hai baat yeh hai kay Allah jisay chahaye apna mulk dey Allah Taalaa kushadgi wala aur ilm wala hai.

02.248 Unn kay nabi ney unhen phir kaha kay uss ki badshaat ki zahiri nishani yeh hai kay tumharay pass woh sandooq aa jaye ga jiss mein tumharay rab ki taraf say dil jamaee aur aal-e-musa aur aal-e-haroon ka baqiya tarqa hai farishtay ussay utha ker layen gay. Yaqeenan yeh to tumharay liye khuli daleel hai agar tum eman laye ho.

02.249 Jab (hazrat) taloot lashkaron ko ley ker niklay to kaha suno Allah Taalaa tumhen aik nehar say aazmaney wala hai jiss ney uss mein say pani pi liya woh mera nahi aur jo ussay na chakhay woh mera hai haan yeh aur baat hai kay apney haath say aik chillo bhar ley. Lekin siwaye chand kay baqi sab ney woh pani pi liya (hazrat) taloot momineen samet jab nehar say guzar gaye to woh kehney lagay aaj to hum mein taqat nahi kay jaloot aur uss kay lashkaron say laren. Lekin Allah Taalaa ki mulaqat ka yaqeen rakhney walon ney kaha basa oqat choti aur thori si jamaten bari aur boht si jamaton per Allah kay hukum say ghalba paa leti hain Allah Taalaa sabar kerney walon kay sath hai.

02.250 Jab unn ka jaloot aur uss kay lashkar say muqabla hua to unhon ney dua maangi kay aey perwerdigar humen sabar dey sabit qadmi dey aur qom-e-kuffaar per humari madad farma.
02.251 Chunacha Allah Taalaa kay hukum say unhon ney jalootiyon ko shikast dey di aur (hazrat) dawood (alh-e-salam) ko mamlikat-o-hikmat aur jitna kuch chaha ilm bhi ata farmaya. Agar Allah Taalaa baaz logon ko baaz say dafa na kerta to zamin mein fasad phel jata lekin Allah Taalaa duniya walon per bara fazal-o-karam kerney wala hai.

02.252 Yeh Allah Taalaa ki aayaten hain jinhen hum haqqaaniyat kay sath aap per parhtay hain bil yaqeen aap rasoolon mein say hain.

02.253 Yeh rasool hain jin mein say hum ney baaz ko baaz per fazilat di hai inn mein say baaz woh hain jin say Allah Taalaa ney baat cheet ki hai aur baaz kay darjay buland kiye hain aur hum ney essa bin marium ko moajzaat ata farmaye aur rooh-ul-qudus say unn ki taeed ki. Agar Allah Taalaa chahata to unn kay baad aaney walay apney pass daleel aajaney kay baad hegiz aapas mein laraee bhiraee na kertay lekin unn logon ney ikhtilaf kiya inn mein say baaz to momin huye aur baaz kafir aur agar Allah Taalaa chahata to yeh aapas mein na lartay lekin Allah Taalaa jo chahata hai kerta hai.

02.254 Aey eman walon hum ney tumhen dey rakha hai uss mein say kharach kertay raho iss say pehlay kay woh din aaye jiss mein na tijarat hai na dosti aur shifaat aur kafir hi zalim hain.

02.255 Allah Taalaa hi mabood-e-bar haq hai jiss kay siwa koi mabood nahi jo zinda aur sab kay thamney wala hai jissay na oongh aaye na neend uss ki milkiyat mein zamin aur aasmanon ki tamam cheezen hain. Kaun hai jo uss ki ijazat kay baghair uss kay samney shifaat ker sakay woh janta hai jo inn kay samney hai aur jo inn kay peechay hai aur woh iss kay ilm mein say kissi cheez ka ehaata nahi ker saktay magar jitna woh chahaye uss ki kursi ki wusat ney zamin-o-aasman ko gher rakha hai aur Allah Taalaa inn ki hifazat say na thakta na uktata hai woh to boht buland aur boht bara hai.

02.256 Deen kay baray mein koi zabardasti nahi hodayat zalalat say roshan ho chuki hai iss liye jo shaks Allah Taalaa kay siwa doosray maboodon ka inkar ker kay Allah Taalaa per eman laye uss ney mazboot karay ko thaam liya jo kabhi na tootay ga aur Allah Taalaa sunney wala janney wala hai.

02.257 Eman laney walon ka kaar saaz Allah Taalaa khud hai woh eunhen andheron say roshni ki taraf nikal ley jata hai aur kafiron kay auliya shayateen hain. Woh enhen roshni say nikal ker andheron ki taraf ley jatay hain yeh log jahannumi hain jo hamesha issi mein paray rahen gay.

02.258 Kiya tu ney ussay nahi dekha jo saltanat paa ker ibrahim (alh-e-salam) say uss kay rab kay baray mein jhagar raha tha jab ibrahim (alh-e-salam) ney kaha mera rab to woh hai jo jilata aur maarta hai woh kehney laga mein bhi jilata aur maarta hun ibrahim (alh-e-salam) ney kaha Allah Taalaa sooraj ko mashriq ki taraf say ley aata hai tu issay maghrib ki janib say ley aa. Abb to woh kafir bhoncka reh gaya aur Allah Taalaa zalimon ko hidayat nahi deta.

02.259 Ya uss shaks ki manind kay jiss ka guzar uss basti per hua jo chatt kay bal ondhi pari hui thi woh kehney laga iss ki maut kay baad Allah Taalaa issay kiss tarah zinda keray ga? To Allah Taalaa ney ussay maar diya so saal kay liye phir ussay uthaya pooha kitni muddat tujh pe guzri? Kehney laga aik din ya din ka kuch hissa farmaya bulkay tu so saal tak raha phir abb tu apney khaney peenay ko dekh kay bilkul kharab nahi hua aur apney gadhay ko bhi dekh hum tujhay logon kay liye aik nishani banatay hain tu dekh kay hum haddiyon ko kiss tarah uthatay hain phir unn per gosht charhatay hain jab yeh sab zahir ho chuka to kehney laga mein janta hun kay Allah Taalaa her cheez per qadir hai.

02.260 Aur jab ibrahim (alh-e-salam) ney kaha aey meray perwerdigar! Mujhay dikha tu murdon ko kiss tarah zinda keray ga? (janab-e-bari taalaa ney) farmaya kiya tumhen eman nahi? Jawab diya eman to hai lekin meray dil ko taskeen hojayegi farmaya chaar parind lo unn kay tukray ker dalo phir her pahar per inn ka aik aik tukra rakh do phir enehn pukaro tumharay pass dortay huye aajayen gay aur jaan rakho kay Allah Taalaa ghalib hai hikmaton wala hai.

02.261 Jo log apna maal Allah Taalaa ki raah mein kharach kertay hain uss ki misal uss daney jaisi hai jiss mein saat baliyan niklen aur her bali mein so daney hon aur Allah Taalaa jissay chahaye barha charha ker dey aur Allah Taalaa kushadgi wala aur ilm wala hai.

02.262 Jo log apna maal Allah Taalaa ki raah mein kharach kertay hain phir uss kay baad na to ehsan jatatay hain aur na ezza detay hain unn ka ajar unn kay rab kay pass hai unn per na to kuch khof hai na woh udas hongay.

02.263 Naram baat kehna aur moaf ker dena uss sadqay say behtar hai jiss kay baad ezza rasani ho aur Allah Taalaa bey niaz aur burdbaar hai.

02.264 Aey eman walon apni kheyraat ko ehsan jata ker aur ezza phoncha ker barbad na kero! Jiss tarah woh shaks apna maal logon kay dikhaway kay liye kharach keray aur na Allah Taalaa per eman rakhay na qayamat per uss ki misal uss saaf pathar ki tarah hai jiss per thori si mitti ho phir uss per zor daar meenh barsay aur woh issay bilkul saaf aur sakht chor dey inn riya kaaron ko apni kamaee mein say kuch cheez haath nahi lagti aur Allah Taalaa kafiron ki qom ko (seedhi) raah nahi dikhata.

02.265 Unn logon ki misal jo apna maal Allah Taalaa ki raza mandi ki talab mein dil ki khushi aur yaqeen kay sath kharach kertay hain uss baagh jaisi hai jo oonchi zamin per ho aur zor daar barish uss per barsay aur woh apna phal dugna laway aur agar uss per barish na bhi barsay o phuwar hi kafi hai aur Allah tumharay kaam dekh raha hai.

02.266 Kiya tum mein say koi yeh bhi chahata hai kay uss ka khujooron aur angooron ka baagh ho jiss mein nehren beh rahi hon aur her qisam kay phal mojood hon uss shaks ka burhapa aagaya ho uss kay nannhay nannhay say bachay bhi hon aur achanak baagh ko bagoola lag jaye jiss mein aag bhi ho pus woh baagh jal jaye issi tarah Allah Taalaa tumhara liye aayaten biyan kerta hai takay tum ghor-o-fikar kero.

02.267 Aey eman walo! Apni pakeeza kamaee mein say aur zamin mein say tumharay liye humari nikali hui cheezon mein kharach kero inn mein say buri cheezon kay kharach kerney ka qasad na kerna jissay tum khud lenay walay nahi ho haan agar aankhen band ker lo to aur jaan lo kay Allah Taalaa bey perwah aur khoobiyon wala hai.

02.268 Shetan tumhen faqeeri say dhamkata hai aur bey hayaee ka hukum deta hai aur Allah Taalaa tum say apni bakshish aur fazal ka wada kerta hai Allah Taalaa wusat wala aur ilm wala hai.

02.269 Woh jissay chahaye hikmat aur danaee deta hai aur jo shaks hikmat aur samajh diya jaye woh boht sari bhalaee diya gaya aur naseehat sirf aqal mand hi hasil kertay hain.

02.270 Tum jitna kuch kharach kero yani kheyraat aur jo kuch naza maano ussay Allah Taalaa bakhoobi janta hai aur zalimon ka koi madadgar nahi.

02.271 Agar tum sadqay kheyraat ko zahir kero to woh bhi acha hai aur agar tum issay posheeda posheeda miskeenon ko dey do to yeh tumharay haq mein behtar hai Allah Taalaa tumharay gunahon ko mita dey ga aur Allah Taalaa tumharay tamam aemaal ki khabar rakhney wala hai.

02.272 Enhen hidayat per laa khara kerna teray zimmay nahi bulkay hidayat Allah Taalaa deta hai jissay chahata hai aur tum jo bhali cheez Allah ki raah mein do gay uss ka faeeda khud pao gay. Tumhen sirf Allah ki raza mandi ki talab kay liye hi kharach kerna chahaiye tum jo kuch maal kharach kero gay uss ka poora poora badla umhen diya jaye ga aur tumhara haq na maara jaye ga.

02.273 Sadqaat kay mustahiq sirf woh ghurba hain jo Allah ki raah mein rok diye gaye hain jo mulk mein chal phir nahi saktay nadan log inn ki bey sawali ki waja say enhen maal daar khayal kertay hain app inn kay chehray dekh ker qayafa say enhen pehchan len gay woh logon say chimat ker sawal nahi kertay tum jo kuch maal kharach kero to Allah Taalaa uss ka janney wala hai.

02.274 Jo log apney maalon ko raat din chupay khulay kharach kertay hain unn kay liye unn kay rab taalaa kay pass ajar hai aur na unhen khof hai aur na ghumgeeni.

02.275 Sood khor log na kharay hongay maar ussi tarah jiss tarah woh khara hota hai jissay shetan chu ker khabti bana dey yeh iss liye kay yeh kaha kertay thay kay tijarat bhi to sood hi ki tarah hai halankay Allah Taalaa ney tijarat ko halal kiya aur sood ko haram jo shaks apney pass aaee hui Allah Taalaa ki naseehat sunn ker ruk gaya uss kay liye woh hai jo guzra aur uss ka moamla Allah Taalaa ki taraf hai aur jo phir doobara (haram ki taraf) lota woh jahannumi hai aisay log hamesha hi uss mein rahen gay.
02.276 Allah Taalaa sood ko mitata aur sadqay ko barhata hai aur Allah Taalaa kissi na shukray aur gunehgar say mohabbat nahi kerta.

02.277 Be-shak jo log eman kay sath (sunnat kay mutabiq) nek kaam kertay hain namazon ko qaeem kertay aur zakat ada kertay hain unn ka ajar unn kay rab taalaa kay pass hai unn per na to koi khof hai na udasi aur ghum.

02.278 Aey eman walo! Allah Taalaa say daro aur jo sood baqi reh gaya hai woh chor do agar tum sach much eman walay ho.

02.279 Aur agar aisa nahi kertay to Allah Taalaa say aur uss kay rasool say larney kay liye tayyar hojao haan agar tauba kerlo to tumhara asal maal tumhara hi hai na tum zulm kero na tum per zulm kiya jaye.

02.280 Aur agar koi tangi wala ho to ussay aasani tak mohlat deni chahaiye aur sadqa kero to tumharya liye boht hi behtar hai agar tum mein ilm ho.

02.281 Aur uss din say daro jiss mein tum sab Allah ki taraf lotaye jao gay aur her shaks ko uss kay aemaal ka poora poora badla diya jayega aur unn per zulm nahi kiya jaye ga.

02.282 Aey eman walon! Jab tum aapas mein tum aik doosray say miyaad-e-muqarrar per qaraz ka moamla kero to issay likh liya kero aur likhney walay ko chahaiye kay tumhara aapas ka moamla adal say likhay kaaib ko chahaiye kay likhney say inkar na keray jaisay Allah Taalaa ney ussay sikhaya hai pus ussay bhi likh dena chahaiye aur jiss kay zimmay haq ho woh likhwaye aur apney Allah say daray jo uss ka rab hai aur haq mein say kuch ghataye nahi haan jiss shkas kay zimmay haq hai woh agar nadan ho ya kamzor ho ya likhwaney ki taqat na rakhta ho to uss ka wali adal kay sath likhwa dey aur apney mein say do mard gawah rakh lo agar do mard na hon to aik mard aur do aurten jinhen tum gawahon mein sy pasand ker lo takay aik ki bhool chook ko doosri yaad dila dey aur gawahon ko chahaiye kay woh jab bulayen jayen to inkar na keren aur qaraz ko jiss ko muddat muqarrar hai khuwa chota ho ya bara ho likhney mein kahili na kero Allah Taalaa key nazdeek yeh baat boht insaf wali hai aur gawahi ko bhi durust rakhney wali aur shak-o-shuba say bhi bachaney wali hai haan yeh aur baat hai kay woh moamla naqad tijarat ki shakal mein ho jo aapas mein tum lain dain ker rahey ho to tum per iss kay na likhney mein koi gunah nahi. Khareed-o-farokht kay waqt bhi gawah muqarrar ker liya kero aur (yaad rakho kay) na to likhney walay ko nuksan phonchaya jaye na gawah ko aur agar tum yeh kero to yeh tumhari khuli na farmani hai Allah Taalaa say daro Allah tumhen taleem dey raha hai aur Allah Taalaa her cheez ko khoob janney wala hai.

02.283 Aur agar tum safar mein ho aur likhney wala na pao to rehan qabzay mein rakh liya kero haan agar aapas mein aik doosray say mutmaeen ho to jissay amanat di gaee hai woh ussay ada ker dey aur Allah Taalaa say darat rahey jo uss ka rab hai aur gawahi ko na chupao aur jo issay chupa ley woh gunehgar dil wala hai aur jo kuch tum kertay ho ussay Allah Taalaa khoob janta hai.

02.284 Aasmanon aur zamin ki her cheez Allah Taalaa hi ki milkiyat hai. Tumharay dilon mein jo kuch hai ussay tum zahir kero ya chupao Allah Taalaa uss ka hisab tum say ley ga. Phir jissay chahaye bakshay aur jissay chahaye saza dey aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai.

02.285 Rasool eman laya uss cheez pe jo uss per Allah Taalaa ki janib say utri aur momin bhi eman laye yeh sab Allah Taalaa aur uss kay farishton per aur uss ki kitabon per aur uss kay rasoolon per eman laye uss kay rasoolon mein say kissi mein hum tafareeq nahi kertay unhon ney keh diya kay hum ney suna aur itaat ki hum teri bakshish talab kertay hain aey humaray rab! Aur humen teri taraf hi lotna hai.

02.286 Allah Taalaa kissi jaan ko uss ki taqat say ziyada akleef nahi deta jo neki woh keray woh uss kay liye aur jo buraee woh keray woh uss per hai aey humaray rab! Agar hum bhool gaye hon ya khata ki ho to humen na pakarna aey humaray rab! Hum per woh bojh na daal jo hum say pehlay logon pe dala tha aey humaray rab! Hum per woh bojh na daal jiss ki humen taqat na ho aur hum say dar guzar farma! Aur humen baksh dey aur hum per reham ker! Tu hi humara maalik hai humen kafiron ki qom per ghalba ata farma.

No comments:

Post a Comment