(Sura-e-Baqara Madina mai Nazil hui, is mai doso-cheyasi (286) Aayatain hain)
02.101 Jab kabhi inn kay pass Allah ka koi rasool inn ki kitab ki tasdeeq kerney wala aaya inn ehal-e-kitab kay aik firqay ney Allah ki kitab ko iss tarah peeth peechay daal diya goya jantay hi na thay.
02.102 Aur uss cheez kay peechay parr gaye jissay shayateen (hazrat) suleman ki hukoomat mein parhtay thay. Suleman ney to kufur na kiya tha bulkay yeh kufur shetanon ka tha woh logon ko jadoo sikhaya kertay thay aur babul mein haroot maroot do farishton per jo utaara gaya tha woh dono bhi kissi shaks ko uss waqt tak nahi sikhatay thay jab tak yeh na keh den kay hum to aik aazmaeesh hain tu kufur na ker phir log inn say woh seekhtay jiss say khawind-o-biwi mein judaee daal den aur dar-asal woh baghair Allah Taalaa ki marzi kay kissi ko koi nuksan nahi phoncha saktay yeh log woh seekhtay hain jo enhen nuksan phonchaye aur nafa na phoncha sakay aur woh bil yaqeen jantay hain kay iss key lenay walay ka aakhirat mein koi hissa nahi. Aur woh bad tareen cheez hai jiss kay badlay mein woh apney aap ko farokht ker rahey hain kaash kay yeh jantay hotay.
02.103 Agar yeh log sahib-e-eman mutaqqi bann jatay to Allah Taalaa ki taraf say behtareen sawab enehn milta agar yeh jantay hotay.
02.104 Aey eman walo! Tum nabi (PBUH ko) Raaeena na kaha kero un-zurna kaho yani humari taraf dekhiye aur suntay raha kero aur kafiron kay liye dard naak azab hai.
02.105 Na to ehal-e-kitab kay kafir aur na mushrikeen chahatay hain kay tum per tumharay rab ki koi bhalaee nazil ho (inn kay iss hasad say kiya hua) Allah Taalaa jissay chahaye apni rehmat-e-khusoosiyat say ata farmaye Allah Taalaa baray fazal wala hai.
02.106 Jiss aayat ko hum mansookh ker den ya bhula den iss say behtar ya iss jaisi aur latay hain kiya tu nahi janta kay Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
02.107 Kiya tujhay nahi maloom kay zamin-o-aasman ka mulk Allah hi kay liye hai aur Allah kay siwa tumhara koi wali aur madadgar nahi.
02.108 Kiya tum apney rasool say yehi poochna chahatay ho jo iss say pehlay musa (alh-e-salam) poocha gaya tha? (suno) eman ko kufur say badalney wala seedhi raah say bhatak jata hai.
02.109 Inn ehal-e-kitab kay aksay log ba wajood haq wazeh ho janey kay mehaz hasad-o-bughz ki bina per tumhen bhi eman say hata dena chahatay hain tum bhi moad kero aur choro yahan tak kay Allah Taalaa apna hukum laye. Yaqeenan Allah Taalaa her cheez per qudrat rakhta hai.
02.110 Tum namazen qaeem rakho aur zakat detay raha kero aur jo kuch bhalaee tum apney liye aagay bhejo gay sab kuch Allah kay pass paa lo gay be-shak Allah Taalaa tumharay aemaalon ko khoob dekh raha hai.
02.111 Yeh kehtay hain kay jannat mein yahud-o-nasaaraa kay siwa aur koi na jayega yeh sirf inn ki aarzooyen hain inn say kaho agar tum sachay ho to koi daleel to paish kero.
02.112 Suno! Jo bhi apney aap ko khuloos kay sath Allah kay samney jhuka dey. Be-shak ussay uss ka rab poora badla dey ga iss per na to koi khof hoga na ghum aur udasi.
02.113 Yahud kehtay hain kay nasrani haq per nahi aur nasrani kehtay hain kay yahudi haq per nahi halankay yeh sab log toraat parhtay hain issi tarah inn hi jaisi baat bey ilm bhi kehtay hain. Qayamat kay din Allah inn kay iss ikhtilaf ka faisla inn kay darmiyan ker dey ga.
02.114 Uss shaks say barh ker zalim kaun hai jo Allah Taalaa ki masjidon mein Allah Taalaa kay zikar kiye janey ko rokay aur unn ki barbadi ki kosish keray aisay logon ko khof khatay huye hi iss mein jana chahaiye inn kay liye duniya mein bhi ruswaee hai aur aakhirat mein bhi bara azab hai.
02.115 Aur mashriq aur maghrib ka maalik Allah hi hai. Tum jidhar bhi mun kero udhar hi Allah ka mun hai Allah Taalaa kushadgi aur wusat wala aur baray ilm wala hai.
02.116 Yeh kehtay hain kay Allah Taalaa ki aulad hai (nahi bulkay) woh pak hai zamin-o-aasman ki tamam makhlooq uss ki milkiyat mein hai aur her aik uss ka farmanbardar hai.
02.117 Woh zamin aur aasmanon ka ibtida’an peda kerney wala hai woh jiss kaam ko kerna chahye keh deta hai kay hoja bus woh wahin hojata hai.
02.118 Issi tarah bey ilm logon ney bhi kaha kay khud Allah Taalaa hum say baaten kiyon nahi kerta ya humaray pass koi nishani kiyon nahi aati? Issi tarah aisi hi baat inn kay aglon ney bhi kahi thi unn kay aur inn kay dil yaksan hogaye. Hum ney to yaqeen kerney walon kay liye nishaniyan biyan ker den.
02.119 Hum ney aap ko haq kay sath khushkhabri denay wala aur daraney wala bana ker bheja hai aur jahannumiyon kay baray mein aap say pursish nahi hogi.
02.120 Aap say yahud-o-nasaaraa hergiz razi nahi hongay jab tak kay aap inn kay mazaahib kay tabey na bann jayen aap keh dijiye kay Allah ki hidayat hi hidayat hai aur agar aap ney apney pass ba wajood ilm aajaney kay phir inn ki khuwaishon ki pairwee ki to Allah kay pass aap ka na to koi wali hoga aur na madadgar.
02.121 Jinhen hum ney kitab di hai aur woh issay parhney kay haq kay sath parhtay hain woh iss kitab per bhi eman rakhtay hain aur jo iss kay sath kufur keray woh nuksan wala hai.
02.122 Aey aulad-e-yaqoob! Mein ney jo nematen tum per inam ki hain unhen yaad kero aur mein to tumhen tamam jahanon per fazilat dey rakhi thi.
02.123 Uss din say daro jiss din koi nafss kissi nafss ko kuch faeeda na phoncha sakay ga na kissi shaks say koi fidya qabool kiya jayega na ussay koi shifaat nafa dey gi na unn ki madad ki jayegi.
02.124 Jab ibrhim (alh-e-salam) ko unn kay rab ney kaee kaee baaton say aazmaya aur unhon ney sab ko poora ker diya to Allah ney farmaya mein tumhen logon ka imam bana doon ga araz kerney lagay aur meri aulad ko farmaya mera wada zalimon say nahi.
02.125 Hum ney bait-ullah ko logon kay liye sawab aur aman-o-aman ki jagah banaee tum muqam-e-ibrahim ko jaye namaz muqarrar ker lo hum ney ibrahim (alh-e-salam) aur ismail (alh-e-salam) say wada liya kay tum meray ghar ko tawaf kerney walon aur aeytikaaf kerney walon aur rukoo sajda kerney walon kay pak saaf rakho.
02.126 Jab ibrahim ney kaha aey perwerdigar! Tu iss jagah ko aman wala shehar bana aur yahan kay bashindon ko jo Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhney walay hon phalon ki roziyan dey. Allah Taalaa ney farmaya: mein kafiron ko bhi thora faeeda doon ga phir unhen aag kay azab ki taraf bey bus ker doon ga yeh phonchney ki jagah buri hai.
02.127 Ibrahim (alh-e-salam) aur ismail (alh-e-salam) kaaba ki bunyaden aur deewaren uthatay jatay thay aur kehtay jaa rahey thay kay humaray perwerdigar! Tu hum say qabool farma tu hi sunnay wala aur janney wala hai.
02.128 Aey humaray rab! Humen apne farmanbardar bana ley aur humari aulad mein say bhi aik jamat ko apni ita’at guzaar rakh aur humen apni ibadaten sikha aur humari tauba qabool farma tu tauba qabool farmaney wala aur reham-o-karam kerney wala hai.
02.129 Aey humaray rab! Inn mein inhi mein say rasool bhej jo inn kay pass teri aayaten parhay enhen kitab-o-hikmat sikhaye aur enhen pak keray yaqeena tu ghalbay wala aur hikmat wala hai.
02.130 Deen-e-ibrahim say wohi bey raghabti keray ga jo mehaz bey waqoof ho hum ney to ussay duniya mein bhi bar gazeedah kiya tha aur aakhirat mein bhi woh nekon kaaron mein say hai.
02.131 Jab kabhi bhi unhen unn kay rab ney kaha farmanbardar hoja unhon ney kaha mein ney rab-ul-aalameen ki farmanbardari.
02.132 Issi ki wasiyat ibrahim aur yaqoob ney apni aulad ko ki kay humaray bacho! Allah Taalaa ney tumharay liye iss deen ko pasand farma liya hai khabradar! Tum musalman hi marna.
02.133 Kiya (hazrat) yaqoob kay intiqal kay waqt tum mojood thay? Jab unhon ney apni aulad ko kaha kay meray baad tum kiss ki ibadat kero gay? To sab ney jawab diya kayk aap kay mabood ki aur aap kay aaba-o-ajdaad ibrahim (alh-e-salam) aur ismail (alh-e-salam) aur ishaq (alh-e-salam) kay mabood ki jo mabood aik hi hai aur hum ussi kay farmanbardar rahen gay.
02.134 Yeh jamat to guzar chuki jo unhon ney kaha woh unn kay liye hai aur jo tum kero gay woh tumharay liye hai. Unn kay aemaal kay baray mein tum nahi poochay jao gay.
02.135 Yeh kehtay hain kay yahud-o-nasaaraa bann jao to hidayat pao gay. Tum kaho bulkay sahih raah per millat-e-ibrahimi walay hain aur ibrahim khalis Allah kay paristaar thay aur mushrik na thay.
02.136 Aey musalmano! Tum sab kaho kay hum Allah per eman laye aur uss cheez per bhi jo humari taraf utari gaee aur jo cheez ibrahim ismail ishaq yaqoob (aleyhim-us-salam) aur inn ki aulad per utari gaee aur jo kuch Allah ki janib say musa aur essa (aleyhim-us-salam) aur doosray anbiya (aleyhim-us-salam) diye gaye. Hum inn say mein say kissi kay darmiyan farq nahi kertay hum Allah kay farmanbardar hain.
02.137 Agar woh tum jaisa eman layen to hidayat payen aur agar mun moren to woh sareeh ikhtilaf mein hain Allah Taalaa inn say un qarib aap ki kifayat keray ga aur woh khoob sunnay aur janney wala hai.
02.138 Allah ka rang ikhtiyar kero aur Allah Taalaa say acha rang kiss ka hoga? Hum to ussi ki ibadat kerney walay hain.
02.139 Aap keh dijiye kay kiya tum hum say Allah kay baray mein jhagartay ho jo humara aur tumhara rab hai humaray liye humaray aemaal hain aur tumharay liye tumharay aemaal hum to ussi kay liye mukhlis hain.
02.140 Kiya tum kehtay ho kay ibrahim aur ismail aur ishaq aur yaqoob (aleyhim-us-salam) aur unn ki aulad yahudi ya nasrani thay? Keh do kiya tum ziyada jantay ho ya Allah Taalaa? Allah kay pass shahdat chupney walay say ziyada zalim aur kaun hai? Aur Allah tumharay kaamon say ghafil nahi.
02.141 Yeh ummat hai jo guzar chuki jo unhon ney kiya unn kay liye hai aur jo tum ney kiya tumharay liye tum unn kay aemaal kay baray mein sawal na kiye jao gay.
02.142 Un qarib nadan log kahen gay kay jiss qabeelay per yeh thay iss say enhen kiss cheez na hataya? Aap keh dijiye kay mashriq-o-maghrib ka maalik Allah Taalaa hi hai woh jissay chahaye seedhi raah ki hidayat ker dey.
02.143 Hum ney issi tarah tumhen aadil ummat banaya hai takay tum logon per gawah hojao aur rasool (PBUH) tum per gawah hojayen jiss qiblay per tum pehlay say thay ussay hum ney iss liye muqarrar kiya tha kay hum jaan len kay rasool ka sacha tabey daar kaun hai aur kaun hai jo apni aeyrhiyon kay ball palat jata hai go yeh kaam mushkil hai magar jinhen Allah ney hidayat di hai (unn per koi mushkil nahi) Allah Taalaa tumharay aemaal zaya na keray ga Allah Taalaa logon kay sath shafqat aur meharbani kerney wala hai.
02.144 Hum aap kay chehray ko baar baar aasman ki taraf uthtay uthtay huye dekh rahey hain abb hum aap ko uss qiblay ki janib mutawajja keren gay jiss say aap khush hojayen aap apna mun masjid-e-haram ki taraf pher len aur aap jahan kahin hon apna mun ussi taraf phera keren. Ehal-e-kitab ko iss baat kay Allah ki taraf say bar haq honey ka qataee ilm hai aur Allah Taalaa unn aemaal say ghafil nahi jo yeh kertay hain.
02.145 Aur aap agar cheh ehal-e-kitab ko tamam daleelen dey den lekin woh aap kay qiblay ki pairwi nahi keren gay aur na aap inn kay qiblay ko manney walay hain aur na yeh aapas mein aik doosray kay qiblay ko manney walay hain aur agar aap ba wajood yeh kay aap kay pass ilm aa chuka phir bhi inn ki khuwaishon kay peechay lag jayen to bil yaqeen aap bhi zalimon mein say hojayen.
02.146 Jinhen hum ney kitab di hai woh to issay aisa pehchantay hain jaisay koi apney bachon ko pehchaney inn kay aik jamat haq ko pehchan ker phri chupati hai.
02.147 Aap kay rab ki taraf say yeh sira sir haq hai khabardaar aap shak kerney walon mein say na hona.
02.148 Her shaks aik na aik tarf mutawajja horaha hai tum nekiyon ki taraf doro. Jahan kahin bhi tum hogay Allah tumhen ley aaye ga. Allah Taalaa her cheez per qadir hai.
02.149 Aap jahan say niklay apna mun (namaz kay liye) masjid-e-haram ki taraf ker liya keren yehi haq hai aap kay rab ki taraf say jo kuch tum ker rahey ho uss say Allah Taalaa bey khabar nahi.
02.150 Aur jiss jagah say aap niklen apna mun masjid-e-haram ki taraf pher len aur jahan kahin tum ho apney chehray issi taraf kiya kero takay logon ki koi hujjat tum per baqi na reh jaye siwaye unn logon kay jinhon ney inn mein say zulm kiya hai tum inn say na daro mujh hi say daro aur takay mein apni nemat tum per poori keroon aur iss liye bhi kay tum raah-e-raast pao.
02.151 Jiss tarah hum ney tum mein tumhin mein say rasool bheja jo humari aayaten tumharay samney tilawat kerta hai aur tumhen kitab-o-hikmat aur woh cheezen sikhata hai jin say tum bey ilm nahi.
02.152 Iss liye tum mera ziker kero mein bhi tumhen yaad keroon ga meri shukar guzari kero aur na shukri say bacho.
02.153 Aey eman walo! Sabar aur namaz kay zariye madad chahao Allah Taalaa sabar kerney walon ka sath deta hai.
02.154 Aur Allah Taalaa ki raah kay shaheedon ko murda mat kaho woh zinda hain lekin tum nahi samajhtay.
02.155 Aur hum kissi na kissi tarah tumhari aazmaish zaroor keren gay dushman kay darr say bhook piyas say maal-o-jaan aur phalon ki kami say aur unn sabar kerney walon ko khushkhabri dey dijiye.
02.156 Jinhen jab koi musibat aati hai to keh diya kertay hain kay hum to khud Allah Taalaa ki milkiyat hain aur hum ussi ki taraf lotney walay hain.
02.157 Unn per unn kay rab ki nawazishen aur rehmaten hain aur yehi log hidayat yaafta hain.
02.158 Safa aur marwa Allah Taalaa ki nishaniyon mein say hain iss liye bait ullah ka hajj aur umrah kerney walay per inn ka tawaf ker lenay mein bhi koi gunah nahi apni khushi say bhalaee kerney walon ka Allah qadar daan hai aur unhen khoob janney wala hai.
02.159 Jo log humari utari hui daleelon aur hidayat ko chupatay hain ba wajood yeh kay hum ussay apni kitab mein logon kay liye biyan ker chukay hain unn logon per Allah ki aur tamam laanat kerney walon ki laanat hai.
02.160 Magar woh log jo tauba ker len aur islaah ker len aur biyan ker den to mein unn ki tauba qabool ker leta hun aur mein tauba qabool kerney wala aur reham-o-karam kerney wala hun.
02.161 Yaqeenan jo kuffaar apney kufur mein hi marr jayen unn per Allah Taalaa ki farishton ki aur tamam logon ki laanat hai.
02.162 Jiss mein yeh hamesha rahen gay na unn say azab halka kiya jayega aur na unhen dheel di jaye gi.
02.163 Tum sab ka mabood aik hi mabood hai uss kay siwa koi mabood-e-bar haq nahi woh boht reham kerney wala aur bara meharban hai.
02.164 Aasmanon aur zamin ki pedaeesh raat din ka hair pher kashtiyon ka logon ko nafa denay wali cheezon ko liye huye samandar mein chalna aasman say pani utaar ker murda zamin ko zinda ker dena iss mein her qisam kay janwaron ko phela dena hawaon kay rukh badalna aur badal jo aasmana ur zamin kay darmiyan musakhhar hain unn mein aqal mandon kay liye qudrat-e-elahee ki nishaniyan hain.
02.165 Baaz log aisay bhi hain jo Allah kay shareek auron ko thehra ker uss say aisi mohabbat rakhtay hain jaisi mohabbat Allah say honi chahaiye aur eman walay Allah ki mohabbat mein boht sakht hotay hain kaash kay mushrik log jantay jab kay Allah kay azab ko dekh ker (jaan len gay) kay tamam taqat Allah hi ko hai aur Allah Taalaa sakht azab denay wala hai (to hergiz shirk na kertay).
02.166 Jiss waqt paishwa log apney tabey daron say bey zaar hojayen gay aur azab ko apni aankhon say dekh len gay aur kul rishtay naatay toot jayen gay.
02.167 Aur tabey daar log kehney lagen gay kaash hum duniya ki taraf doobara jayen to hum bhi inn say aisay hi bey zaar hojayen jaisay yeh hum say hain issi tarah Allah Taalaa unhen unn kay aemaal dikhaye ga unn ko hasrat dilaney ko yeh hergiz jahannum say na niklen gay.
02.168 Logn! Zamin mein jitni bhi halal aur pakeezah cheezen hain unhen khao piyo aur shetani raah per na chalo woh tumhara khula hua dushman hai.
02.169 Woh tumhen sirf buraee aur bey hayaee ka aur Allah Taalaa per unn baaton kay kehnay ka hukum deta hai jin ka tumhen ilm nahi.
02.170 Aur inn say jab kabhi kaha jata hai kay Allah Taalaa ki utari hui kitab ki tabeydari kero to jawab detay hain kay hum to iss tareeqay ki pairwi keren gay jiss per hum ney apney baap dadon ko paya go inn kay baap daday bey aqal aur gum kerda raahon mein hon.
02.171 Kuffaar ki misal unn janwaron ki tarah hai jo apney charwahey ki sirf pukar aur aawaz hi ko suntay hain (samajhtay nahi) woh behray goongay andhay hain enhan aqal nahi.
02.172 Aey eman walo! Jo pajeeza cheezen hum ney tumhen dey rakhi hain unhen khao piyo aur Allah Taalaa ka shukar kero agar tum khaas ussi ki ibadat kertay ho.
02.173 Tum per murda aur (baha hua) khoon aur sooar ka gosht aur her woh cheez jiss per Allah kay siwa doosron ka naam pukara gaya ho haram hai phir jo majboor hojaye aur hadd say barhney wala aur ziyadti kerney wala na ho uss per inn kay khaney mein koi gunah nahi Allah Taalaa baksish kerney wala meharban hai.
02.174 Be-shak jo log Allah Taalaa ki utari hui kitab chupatay hain ussay thori thori si qeemat per baichtay hain yaqeen mano kay yeh apney pet mein aag bhar rahey hain qayamat kay din Allah unn say baat bhi na keray ga na unhen pak keray ga bulkay unn kay liye dard naak azab hai.
02.175 Yeh woh log hain jinhon ney gumrahi ko hidayat kay badlay aur azab ko maghfirat kay badlay khareed liya hai yeh log aag ka azab kitan bardasht kerney walay hain.
02.176 Inn azabon ka baees yeh hi hai kay Allah Taalaa ney sachi kitab utari aur iss kitab mein ikhtilaf kerney walay yaqeenan door kay khilaf mein hain.
02.177 Sari achaee mashriq-o-maghrib ki taraf mun kerney mein hi nahi bulkay acha woh shaks hai jo Allah Taalaa per qayamat kay din per aur farishton per kitab ullah per aur nabiyon per eman rakhney wala ho jo maal say mohabbat kerney kay bawajood qarabat daron yateemon miskeenon musafiron aur sawal kerney walon ko dey ghulamon ko aazad keray namaz ki pabandi aur zakat ki adaeegi keray jab wada keray tab ussay poora keray tangdast dukh dard aur laraee kay waqt sabar keray yehi sachay log hain aur yehi perhezgar hain.
02.178 Aey eman walon! Tum per maqtoolon ka qisass lena farz kiya gaya hai aazad aazad kay badlay ghulam ghulam kay badlay aurat aurat kay badlay. Haan jiss kissi ko uss kay bhai kay badlay moafi dey di jaye ussay bhalaee ki ittaba kerni chahaiye aur aasani kay sath deeyat ada kerni chahaiye. Tumharay rab ki taraf say yeh takhfeef aur rehmat hai iss kay baad bhi jo sirkashi keray ussay dard naak azab hoga.
02.179 Aqal mandon! Qisass mein tumharay liye zindagi hai iss baees tum (qatal-e-na haq say) ruko gay.
02.180 Tum per farz ker diya gaya hai kay jab tum mein say koi marney lagay aur maal chor jata ho to apney maa baap aur qarabat daron kay liye achai kay sath waseeyat ker jaye perhezgaron per yeh haq aur sabit hai.
02.181 Abb jo shaks issay sunney kay baad badal dey uss ka gunah badlaney walay per hi hoga waqaee Allah Taalaa sunney wala janney wala hai.
02.182 Haan jo shaks waeeyat kerney walay ki janib daari ya gunah ki waseeyat ker denay say daray pus woh inn mein aapas mein islaah kera dey to uss per gunah nahi Allah Taalaa bakshney wala meharban hai.
02.183 Aey eman walo! Tum per rozay rakhna farz kiya gaya jiss tarah tum say pehlay logon per farz kiye gaye thay takay tum taqwa ikhtiyar kero.
02.184 Ginti kay chand hi din hain lekin tum mein say jo shaks beemar ho ya safar mein ho to woh aur dinon mein ginti ko poora ker ley aur iss ki taqat rakhney walay fidiye mein aik miskeen ko khana den phir jo shaks neki mein sabqat keray woh ussi kay liye behtar hai lekin tumharay haq mein behtareen kaam rozay rakhna hi hai agar tum ba ilm ho.
02.185 Maah-e-ramzan woh hai jiss mein quran utaara gaya jo logon ko hidayat kerney wala hai aur jiss mein hidayat ki aur haq-o-baatil ki tameez ki nishaniyan hain tum mein say jo shaks iss maheeney ko paye ussay roza rakhna chahaiye haan jo beemar ho ya musafir ho ussay doosray dinon mein yeh ginti poori kerni chahaiye Allah Taalaa ka irada tumharay sath aasani ka hai sakhti ka nahi woh chahata hai kay tum ginti poori ker lo aur Allah Taalaa ki di hui hidayat per uss ki baraiyan biyan kero aur uss ka shukar kero.
02.186 Jab meray banday meray baray mein aap say sawal keren to aap keh den kay mein boht hi qarib hun her pukarney walay ki pukar ko jab kabhi woh mujhay pukaray qabool kerta hun iss liye logon ko bhi chahaiye kay woh meri baat maan liya keren aur mujh per eman rakhen yehi unn ki bhalaee ka baees hai.
02.187 Rozay ki raaton mein apni biwiyon say milna tumharay liye halal kiya gaya woh tumhara libas hain aur tum unn kay libas ho tumhari posheeda khayanaton ka Allah Taalaa ko ilm hai uss ney tumhari tauba qabool farma ker tum say dar guzar farma liya abb tumhen inn say mubashirat ki aur Allah Taalaa ki likhi hui cheez ko talash kerney ki ijazat hai tum khatay peetay raho yahan tak kay subha ka safaid dhaga siyah dhagay say zahir hojaye. Phir raat tak rozay ko poora kero aur aurton say uss waqt mubashirat na kero jab kay tum masjidon mein aeytikaaf mein ho. Yeh Allah Taalaa ki hudood hain tum unn kay qarib bhi na jao. Issi tarah Allah Taalaa apni aayaten logon kay liye biyan farmata hai takay woh bachen.
02.188 Aur aik doosray ka maal na haq na khaya kero na hakimon ko rishwat phoncha ker kissi ka kuch maal zulm-o-sitam say apna liya kero halankay tum jantay ho.
02.189 Log aap say chaand kay baray mein sawal kertay hain aap keh dijiye kay yeh logon (ki ibadat) kay waqton aur hajj kay mausam kay liye hai (ehraam ki halat main) aur gharon kay peechay say tumhara aana kuch neki nahi bulkay neki wala woh hai jo muttaqi ho. Aur gharon mein to darwazon say aaya kero aur Allah say dartay raho takay tum kaamyaab hojao.
02.190 Laro Allah ki raah mein unn say jo tum say lartay hain aur ziyadti na kero Allah Taalaa ziyadti kerney walon ko pasand nahi fermata.
02.191 Enhen maaro jahan bhi pao aur enhen nikalo jahan say enhon ney tumhen nikala hai aur (suno) fitna qatal say ziyada sakht hai aur masjid-e-haram kay pass inn say laraee na kero jabtak kay yeh khu tum say na laren agar yeh tum say laren to tum bhi enhen maaro kafiron ka badla yehi hai.
02.192 Agar yeh baaz aajyen to Allah Taalaa bakshney wala meharban hai.
02.193 Inn say laro jabtak kay fitna na mitt jaye aur Allah Taalaa ka deen ghalib na aajaye agar yeh ruk jayen (to tum bhi ruk jao) ziyadti to sirf zalimon per hi hai.
02.194 Hurmat walay maheeney hurmat walay maheenon kay badlay hain aur hurmaten adlay badlay ki hain jo tum per ziyadti keray tum bhi ussi tarah ussi ki misil ziyadti kero jo tum per ki hai aur Allah Taalaa say dartay raha kero aur jaan rakho kay Allah Taalaa perhezgaron kay sath hai.
02.195 Allah Taalaa ki raah mein kharach kero aur apney haathon halakat mein na paro aur sulook-o-ehsan kero Allah Taalaa ehsan kerney walon ko dost rakhta hai.
02.196 Hajj aur umray ko Allah Taalaa kay liye poora kero haan agar tum rok liye jao to jo qurbani mayyassar ho ussay ker daalo aur apney sir na mundwao jabtak kay qurbani qurban gaah tak na phonch jaye albatta tum mein say jo beemar ho ya uss kay sir mein koi takleef ho (jiss ki waja say sir munda ley) to uss per diya hai khuwa rozay rakh ley khuwa sadqa dey dey khuwa qurabi keray pus tum amann ki halat mein hojao to jo shaks umray say ley ker hajj tak tamatto keray pus ussay jo qurabni mayyassar ho ker dalay jissay taqat hi na ho to woh teen rozay to hajj kay dinon mein rakh ley aur saat wapsi mein yeh pooray das hogaye. Yeh hukum unn kay liye hai jo masjid-e-haram kay rehney walay na hon logo! Allah say dartay raho aur jaan lo kay Allah Taalaa sakht azab wala hai.
02.197 Hajj kay maheenay muqarrar hain iss liye jo shaks inn mein hajj lazim ker ley woh apni biwi say milaap kerney gunah kerney aur laraee kerney say bachta rahey tum jo neki kero gay uss say Allah Taalaa ba khabar hai aur apney sath safar kharach ley liya kero sab say behtar tosha Allah Taalaa ka darr hai aur aey aqal mando! Mujh say dartay raha kero.
02.198 Tum per apney rab ka fazal ka talash kerney mein koi gunah nahi jab tum arfaat say loto to to mash’ar-e-haram kay pass zikar-e-elahee kero aur uss ka zikar kero jaisay kay uss ney tumhen hidayat di halankay tum iss say pehlay raah bhoolay huye thay.
02.199 Phir tum uss jagah loto jiss jagah sab log lot’tay hain aur Allah Taalaa say talab-e-bakshish kertay raho yaqeenan Allah Taalaa bakshney wala meharban hai.
02.200 Phir jab tum arkaan-e-hajj ada ker chuko to Allah Taalaa ka zikar kero jiss tarah tum apney baap dadon ka zikar kiya kertay thay bulkay iss say bhi ziyada baaz log woh bhi hain jo kehtay hain aey humaray rab! Humen duniya mein dey. Aisay logon ka aakhirat mein koi hissa nahi.
No comments:
Post a Comment