Friday, October 16, 2015

RAMZAN KE FAZAAIL



BISMILLAH

Shaykh Abu Zaid Zameer

Allah ke Rasool SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
'Nakam ho gaya woh saksh jis par Ramzan ka mahina aakar chala gaya lekin woh apni magfirat nahi kara saka.'
(Tirmizi,Haakim) Rawi: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu
[Saheeh ul-Jami’ 3510] (Saheeh)

RAMZAN KE MAHINE MEIN BHI MEHROOM REHNE WALE-

Kaab bin Uzrah RadhiAllahu Anhu farmate hain: Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya:
"Minbar ke paas jama ho jao" Hum minbar ke kareeb jama ho gaye, jab Aap
 SallAllahu Alaihi Wasallam ne Minbar ke pehle jine par kadam rakha toh kaha: "AMEEN" phir doosre jine par kadam rakha toh kaha: "AMEEN" phir teesre jine par kadam rakha toh kaha: "AMEEN" phir jab Aap niche utre toh hum ne poochha: Ai Allah ke Rasool! humne aaj Aap se ek aisi baat suni jo is se pehle kabhi nahi suni?
 Aap ne farmaya: Jibrail Alayhis-Salam mere paas aaye aur kaha: DOORI HO US KE LIYE JIS NE RAMZAN KA MAHINA PAYA LEKIN PHIR BHI US KI MAGFIRAT NAHI HUI. Maine kaha:"AMEEN", jab Maine doosre jine par kadam rakha toh unhone kaha: DOORI HO US KE LIYE JIS KE SAAMNE AAP KA ZIKR HUA AUR WOH AAP PAR DAROOD NAHI BHEJA, Main ne kaha:"AMEEN", phir jab Maine teesre jine par kadam rakha toh unhone kaha: DOORI HO US KE LIYE JIS NE APNE WALIDAIN MEIN SE DONO KO YA KISI EK KO BUDHAPE KI HALAT MEIN PAYA AUR UN KE BAYIS WOH JANNAT MEIN DAKHIL NA HUWA, Maine kaha:"AMEEN". (Haakim)
[Saheeh At-Taghreeb 995] (Saheeh Ligairihi)

RAMZAN KE MAHINE KE FAZAAIL

1. Ramzan Barkaton Wala Mahina Hai-
Allah ke Rasool
 SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
'Tum par Ramzan aaya hai jo ek Mubarak mahina hai.'
(Musnad Ahmad, Nasa'i, Baihaqi fi sawbil imaan) Rawi: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu
[Saheeh ul-Jami' 55] (Saheeh)

2. Ramzan Quran Ke Nuzool Ka Mahina Hai-
Allah taala farmata hai:
“Ramzan woh mahina hai jis mein Quran nazil huwa, jo logon ke liye hidayat hai aur jis mein hidyat ke liye aur Haq wa Baatil mein farq karne ke liye nishaniyan hai.”
📖[Surah al-Baqarah (2); Ayat-185]

3. Ramzan Gunaho Ke Kaffare Ka Sabab Hai-
Allah ke Rasool
 SallAllahu Alaihi Wasallam  ne farmaya:
Panch namazein aur ek Jumu'ah doosre Jumu'ah tak, aur ek Ramzan doosre Ramzan tak hone wale wali khataon ka kaffara ban jata hai jab ki Aadmi kabira gunaho se bachta rahe.
(Muslim: At-Taharah 344) Rawi: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu.


 RAMZAN KE MAHINE MEIN SHARKASH SHAYATEEN QAID KAR DIYA JATA HAI-
Allah ke Rasool 
 SallAllahu Alaihi Wasallam  ne farmaya:Jab Ramzan ki pehli raat hoti hai toh Jinnon mein se sharkash shayateen ko zanjeeron mein jakad diya jata hai, Jahannum ke darwaze band kar diya jata hai, (mahine bhar) us ka koi darwajah nahin khulta aur Jannat ke darwaze khol diye jate hai (mahine bhar) us ka koi darwaza band nahi kiya jata, ek nidaa lagane wala nidaa lagata hai: Ai khayr ke talab karne wale, aage badh aur ai shar ka irada karne wale, ruk jaa, aur Allah kuchh logon ko Jahannum se azad kar deta hai.
(Tirmizi, Ibn Majah, Ibn Hibban, Haakim, Bayhaqi) Rawi: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu
[Saheeh ul-Jami' 759] (Hasan)

Alfaaz Ibn Khuzaima ke hain isi tarah ikhtesar ke saath Bukhari wa Muslim mein hai.
Nasa'i ke alfaaz hai:
Is (mahine) mein sharkash shayateen ko qaid kiya jata hai.
[Nasa'i Bitahqeeqil Albani 2106] Rawi: Abu Hurairah (Saheeh)

Ibn Khuzaima Rahimahullah farmate hain:
Aap
 SallAllahu Alaihi Wasallam ke is farman "Shaytaan qaid kar diya jata hai" se muraad woh Jinn hai jo sharkash hote hain na ki tamam Shayateen, is liye ke Shaytaan ka itlaaq baaz Jinnon par bhi hota hai.
[Saheeh Ibn Khuzaima: Jild.3, Safa 188]

ROZE KE FAZAIL

1. Roze Ki Tarah Koi Amal Nahi-
Abu Umama RadhiAllahu Anhu se riwayat hai, farmate hain:
Main ne kaha:(Ai Allah ke Rasool,) mujhe koi hukum dijiye ki main (barahe rast usey) Aap se akhaj karoon. Aap ne farmaya: Roze ka ihtemam karo kyunki roze ki tarah aur koi amal nahi.
(Musnad Ahmad, Nasa'i, Ibn Hibban, Haakim) Rawi: Abu Umama
[Saheeh ul-Jami' 4044] (Saheeh)

2. Roza Maghfirat Ka Jariya Hai-
Allah ke Rasool
 SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
Jis ne Imaan ke saath aur Sawab ki niyat se Ramzan ke Roze rakhe us ke pichhle saare Gunah muaaf kar diye jate hain.
[Bukhari: Al-Imaan 38,
Muslim: Salatul Musafirin wa Kasriha 1268] Rawi: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu

3. Roza Jahannum Se Azadi Ka Sabab Hai-
Allah ke Rasool
 SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
'Allah taala har Iftaar ke waqt Jahannum se kuchh logon ko azad karta hai aur yeh (Ramzan ki) har raat ko hota hai.'
(Ibn Majah) Rawi: Jabir (Musnad Ahmad, Tabarani, Ibn Majah) Rawi: Abu Umama
[Saheeh ul-Jami' 2170] (Hasan)

4. Roza Jahannum Se Dhal Hai-
Allah ke Rasool
 SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
'Roza dhal hai jis ke jariye banda Jahannum se apni hifazat karta hai.'*
(Tabarani) Rawi: Usman bin Abil Aas
[Saheeh ul-Jami' 3867] (Hasan)

Munawi farmate hain:
Bachao se duniya mein nafarmani se hifazat jaise sahwaton ko katna aur Aajaa ki gunahon se hifazat karna aur akhirat mein Jahannum se hifazat muraad hai.
(Faizul Qadeer: 3865)

Allah ke Rasool 
SallAllahu Alaihi Wasallam  ne farmaya:
Roza dhal hai, aur Jahannum se bachao ke liye ek mazboot qila hai.
(Musnad Ahmad, Sawbil Imaan lilBayhaqi) An Abi Hurairah
[Saheeh ul-Jami' 3880] (Hasan)

5. Roza nafs ki bimariyon ka ilaaj aur Taqwa ka sabab hai-
Allah Taala ne farmaya:
Ai imaan walon tum par Roze farz kar diye gaye waise hi jaise tum se pehle logon par farz kiye gaye the, taki tum Taqwa ki raah ikhtiyar karo.
📖[Surah al-Baqarah (2); Ayat-183]

Allah ke Rasool
 SallAllahu Alaihi Wasallam  ne farmaya: Sabr ke mahine (Ramzan) ke Roze aur har maah ke teen(3) Roze seene mein maujood kharabiyon ko nikal deta hai.
(Al-Bazzar) An Alee wa Ibn Abbas
(Al-Baghawee, al-Bawardee, Tabaranee) An Namr bin Taulib
[Saheeh ul-Jami' 3804] (Saheeh)

6. Ikhlaas ke saath Roza rakhne wale ki fazilat-
Allah ke Rasool
 SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
Allah Taala farmata hai: Roza mere liye hai aur Main hi is ka badla doonga (kyunki) Rozedaar mere hi khatir apni sahwat, apna khana pina chhodta hai aur Rozedaaar ke liye Do(2) khusiyan hai, ek khusi iftaar ke waqt aur ek khusi us waqt jab woh apne Rabb se milega aur Rozedaar ke munh ki badboo Allah ke nazdeek musk ki khusboo se bhi jyada umda hai.
[Bukhari:al-Tawheed 7492; Muslim:al-Siwam1946] An Abee Hurairah

7. Sehree ki fazilat-
Allah ke Rasool 
SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
Sehree kiya karo is liye ki sehree mein barkat rakhi gayi hai.
[Bukhari: Al-Sawm 1923; Muslim:al-Siwam1835]
Rawi: Anas

Allah ke Rasool
 SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
Sehree khana barkat hai, lihaja usey na chhodo chahe tum pani ka ek ghoont hi pi lo, is liye ki Allah aur us ke farishte sehree karne walon par salamati bhejte hain.
(Musnad Ahmad) An Abee Sa'eed
[Saheeh ul-Jami' 3683] (Hasan)


8. Roza mein BHOOL kar kuchh kha pi lene wale par koi gunah nahi-
Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya:
Jis ne BHOOL kar Roze ke halat mein kuchh kha pi le toh woh apna Roza poora kare kyunki isey toh Allah ne khilaya pilaya hai.
[Bukhari: 6669; Muslim: al-Siwam 171-(1155)] An Abee Hurairah

9. Us Shaksh Ki Fazilat Jis Ka Khatma Roze Par Ho-
Allah ke Rasool 
 SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
'Jis ka khatma kisi din ke roze par ho woh Jannat mein dakhil hoga.'
(Al Bazzar) Rawi: Huzaifa
[Saheeh ul-Jami’ 6224] (Saheeh)

10. Rozedar Baab Raiyyan se Jannat mein dakhil honge-
Allah ke Rasool
 SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
Jannat mein ek darwaza "Raiyyan" hai jis se Qiyamat ke din Rozedar dakhil honge, un ke siwa us se koi dakhil nahi hoga. Kaha jayega: Kahan hain Rozedar? woh khade honge aur us se dakhil ho jayenge, un ke dakhil hone ke baad darwaza band kar diya jayega phir us darwaza se koi dakhil na hoga.
[Bukhari: al-Saum 1896; Muslim: al-Siwam 1947] An Sahl bin Saad

QIYAM E RAMAZAN KE FAZAAIL
1.Qiyam e Ramazan ki Fazilat-
Allah ke Rasool
 SallAllahu Alaihi Wasallam   ne farmaya:
Jis ne Imaan aur sawab ki niyat se Ramzan ka Qiyam kiya us ke pichhle saare gunah muaaf kar diya jayenge.
[Bukhari: Salat ut-Taraweeh 2009; Muslim:
Salatul Musafirin wa Kasriha 1267] Alfaaz Muslim ke hain

2.Ramazan mein Imaam ke saath Qiyam e Ramazan ki Fazilat-
Allah ke Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya:
Jo Imaan ke saath Namaaz padhe yahan tak ki Imaam Namaaz poori kar le, us ke liye poori raat Qiyam ka sawab likha jata hai.
(Tirmizi) An Abee Dharr
[Sunan Tirmizi bitahqeeqil Albani 806; Irwa' Jild 2 Safa 193] (Saheeh)

3.Qiyam e Ramazan ka ihtemam karne ki Fazilat-
Amr bin Murra al-Juhni Radhiallahu Anhu farmate hain:
Quzawah qabile se ek shaksh Allah ke Rasool ﷺ ke paas aaye aur Aap se kaha: Ai Allah ke Rasool! Bhala batlaiye Agar main gawahi doon ki Allah ke siwa koi Mabood barhaq nahi aur Aap Allah ke Rasool hain, Paanch waqt ki Namaazein bhi padhoon, Ramazan ke Roze bhi rakhoon aur Qiyam e Ramazan ka bhhi ihtemam karoon aur Zakat bhi doon (toh us par mujhe kya milega)? Nabi ﷺ ne jawab diya: Jis ka khatma is amal par ho woh Siddiqeen aur Sohadaa mein hoga.
(Ibn Khuzaima, al-Bazzar, Ibn Hibban) Alfaaz Ibn Khuzaima ke hain
[Saheeh Ibn Khuzaima 2212; Saheeh ut-Targheeb 1003] (Hasan)


RAMAZAN MEIN TILAWAT E QUR'AN KE FAZAAIL

1.Qiyamat ke din Roze aur Qur'an sifarish karenge-
Allah ke Rasool SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
Roze aur Qur'an Qiyamat ke din bande ke liye sifarish karenge. Roze kahega: Ai Rabb, maine is bande ko din mein khane se aur sahwaton se roke rakha lihaja us ke haqq mein meri sifarish qabool farma, Qur'an kahega: Ai mere Rabb, maine isey raat mein neend se dur rakha lihaja us ke haqq mein meri sifarish qabool farma. Is par un dono ki sifarish qabool karli jayegi.
(Musnad Ahmad, Tabarani, Haakim, Sawbil Imaan lil-Bayhaqi) An Ibn 'Umar Radhiallahu Anhu
[Saheeh ul-Jami' 3882] (Saheeh)

2.Nabi ka Ramazan ki raaton mein Qur'an ki tilawat wa mudarsat karna-
Allah ke Rasool
 SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
Jibrail har saal Mere saath ek martaba Qur'an ka daur kiya karte the, is saal unhone do(2) martaba Mere saath Qur'an ka daur kiya hai, Main samajhta hoon ki ab Mere wafat ka waqt aa gaya hai.
[Bukhari: Manaqib 3624; Muslim: Fazaail e Sahaba 4487] An Aishah Radhiallahu Anha

RAMAZAN MEIN DUAA KE FAZAAIL


1.Rozedar ki Duaa qabool hoti hai-
Allah ke Rasool 
 SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
Teen(3) Duaayein qabool ki jaati hain, Rozedar ki Duaa, Mazloom ki Duaa, aur Musafir ki Duaa.
(Al-Uqailee Fee Az-Zoufaa, Al-Bayhaqi Fee Sawbil Imaan) Rawi Abu Hurairah Radhiallahu Anhu
[Saheeh ul-Jami' 3030] (Saheeh)

2. Roze ki farziat ke baad fauri taur par Duaa ki qabooliyat ka tazkira!
Allah Taala ne farmaya:
Aur jab Mere bande Aap se Mere baare mein poochein toh Aap kahiye ki Main toh qareeb hun, pukarne wale ki pukar sunta hoon jab bhi woh pukare lihaja unhein bhi chahiye ki woh Meri baat manein aur Mujh par imaan rakhein taki hidayat payein.
📖[Surah al-Baqarah(2); Ayat-186]

RAMAZAN MEIN SAKHAWAT KE FAZAAIL
1. Nabi
 SallAllahu Alaihi Wasallam ka Ramzan mein sakhawat mein badh jana-
Ibn Abbas Radhiallahu Anhu farmate hain ki Allah ke Nabi SallAllahu Alaihi Wasallam logon mein sab se jyada sakhi thein aur Aap ki sakhawat us waqt badh jati jab Aap Ramzan mein Jibrail se mila karte, aur Jibrail Ramzan mein har raat Aap se mulaqat kiya karte yahan tak ki mahina khatam ho jata. Allah ke Nabi SallAllahu Alaihi Wasallam Jibrail ko Qur'an sunaya karte thein, pas jab Aap Jibrail se milte toh Aap ki sakhawat tez hawa se bhi jyada badh jati.
[Bukhari: as-Sauum 1902; Muslim: al-Fazaail 4268]

2. Rozedar ko Iftaar karane ki Fazilat-
Allah ke Rasool
 SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
Jo kisi Rozedar ko Iftaar karaye uske liye us Rozedar ke misl sawab hai lekin us Rozedar ke sawab mein koi kami nahi ki jayegi.
(Musnad Ahmad, Tirmizi, Ibn Majah, Ibn Hibban) An Jiyad bin Khalid
[Saheeh ul-Jami' 4615] (Saheeh).

No comments:

Post a Comment