Friday, October 16, 2015

↔RIYAKARI↔



BISMILLAH

Riya Arabi Zuban ka lafz "Raa" se hai yani Dekhna. Shariath mein iska mayene hote hain Jo Amal Allah k liye khalis hote hai ,jiska hukum Usne diya hai wo Amal ko Allah k siwa kisi aur k liye karey yani insano k liye karna taki insan khush hojaye ya Dunyavi faida ho usko Riya kehte hai yani Dikhawa .
Riya ki do Shaklein hosakti hain 1. Poora kaam hi Dikhawe k liye ho ya 2. Kuch hissa Allah k liye ho aur kuch Gair ullah k liye .
Riya ka taluq Dilse hota hai jistara Iman ka taluq hota hai to agr insan k Dilmein Niyyiat dikhawe ki ho to poora Amal hi barbad hojata hy q k Aamaal ka daromadar niyyat per hota hai .Poora Islam Niyyiat per Muyyaser hai lehaza Amal ka inhisar Niyyaton per hai aur Niyiat mein agr logon ka Dikhawa ho to qabul kaise hoga ? Agr ratti baraber bhi Dikhawa ho to Amal barbad hojayenge .Qabuliyiat ka inhisaar neik amal aur Niyyiat per hota hai .
Insan ka duniya mein bheje jane ka maqsad hi Ahsan Amal hai aur agr Niyyiat mein Riya shamil hojaye to Amal ko Daaghdaar bana deti hai .
Hazrat Umar Bin Khattab(Radi allahu anhu) se riwayat hai ki Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya:-
" Saare amal ka daromadaar niyyat per hai .Aadmi ke har amal per uski niyat dekhi jayegi".
{Sahih bukhari vol1,book1,hades1,
Sahih bukhari vol1,book1,hades 51
sahih bukhari vol3,book8,hades 46and 706
sahih bukhari vol 5, book 58,hades238
sunan nasai vol 4,book 27 hades 3467}
Riya ko Shirk e Khafi ( Khoofiya ,hidden Shirk) bhi kehte hain Ye humarey ander Ek Chenti ki tarha ahista ahista khamoshi k sath daqil hota hy aur jis tarha Kali raat mein Kale pather per Kali chenti dikhayi hi nahi deti isi tarha Riya ko pahchana bhi muhal hojata hai aur Amaal barbad krk chali jati hai.
Amaal ka poora Sawab zaya hojata hai .Duniya aur Akhirat mein Zillat ka sabab banti hai , jo shaks amaal ki badayi karta hai Allah Maqlooq k samne zalil aur ruswa karta hai & Jahanum mein jane ki Pahli waja Riya hogi .
Riya k wajuhat Khud pasandi ,lalach aur Logon ka dar (log kia kahenge) bante hain .
Riya insan 3 Marhalon mein karsakta hai .Kisi Amal ki ibteda hi Riya ho , Amal k beech mein aur Teesra Amal k baad Riya. Riya k Mazaher ye hai 1 Poore Jism se yani Namaz roza waghyra 2,Baat cheet 3,Pahnawa aur Rahen sehen 4,Dost ahbab .
Agar tumney shirk kiya to zaroor tumharey Amal barbad ho jayengey aur tum nuksaan uthane walon mein se ho jaogey
📖Al Quran, Az-Zumar (39) ,Verse 65
Mehbub Bin Labid Radi allahu anhu kehte hain Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaye, "Tumhare barey mein jis chiz ka sabse ziyada dar hai wo Shirk e Asghr hai". Sahaba ne arz kiya k Rasullalah Sallallahu Alaihi Wasallam Shirk Asghr kia hai? To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya," Riya (dikhawa) Qayamat k din jab logon ko unke Amaal ka badla diya ja raha hoga to Allah Riyakaron se kahega Jao un logon k pas jinko Dikhawe k liye Tum neik amal kia karte they aur phir dekho tum unse kia badla (ajr) paate ho .
(Musnad Ahmed, Silsila ahadees Alsihaha Jild 2 safa 951)
Allah Hum sabko Riyakari jaise Shirk se mehfuz rakhe aur khaalis Allah ki raza k liye Aamal e Saleha kerne ki Neik tawfeeq de aur Humse qabul farmaye. AAMEEN YA ALLAH

1 comment: