Tuesday, December 29, 2015

SHAITAANI WASWASE AUR UNKA ILAAJ

BISMILLAH

Hazrat Abu Hurairah r.a. Se riwayat hai ki Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ne Farmaya, “Beshak! Allah ne meri Ummat ko un waswaso se darguzar farmaya hai, Jo seeno me paida hote hain. Jab tak log un par Amal na kare, ya zubani Izhar na kare.

Sahih Al Bukhari, hadith-2528.

FIQAH Al HADITH:

1.Taibi Sharah Mishkaath me kalam ka khulasa ye hai ke, waswaso ki do qisme hai.

 AWWAL:
Jo baghair ikhtiyar ke, khud bakhud dil me paida hote hai, jis me aadmi ka zaati irada shamil nahi hota. Ye waswasa tamaam shariyato me Qabil e maafi hai.

DUWWAM:
Apne ikhtiyar aur Zaati Irade ke saath Dil me burai ka tasawwur paida karna. Ye waswasa Shariyat e Muhammadiya me is waqt tak qaabil e maafi hai, jab tak is waswase wala, zuban se izhaar ya Jismani Amal na karde.

2.Ummat e Muhammadiya SallAllahu Alaihi wasallam ko sabiqa ummato par Fazilat haasil hai.

Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ki Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ke paas kuch Sahaba r.a. tashreef laaye aur Aap sallAllahu Alaihi wasallam se pucha, “Hum apne Dilo me aisi baate mahsus karte hai jinhe hum bayaan karna bohot bada (gunah ya ghalat kaam ) samajhte hai.”
Aap SallAllahu Alaihi wasallam Ne farmaya,”Kya Tum ne aisa mahsus karliya hai?”
Unhone kaha,”Ji haan.”
Aap SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya,” Ye sareeh (waazeh) Eemaan hai.”

Sunan Abu Dawud, Hadith-5092. Sahih (Shaikh Albani)

FIQAH AL HADITH

1.Bure waswaso se nafrat karna Khalis Eemaan ki nishani hai.

2. Zaati o Khufiya Masail ke liye Ulma e haq ki taraf Rujoo karna, taake wo kitab o sunnat ka hukm batade, bilkul sahih tareeqa hai.

3.Sahaba karam r.a. Imaan ke Ãala tareen darjaat par faaiz the.

4.Bure waswaso se bachne ke liye har waqt Kitaab o sunnat par amal aur azkaar e sahiha o kalmaat e taiyyeba me masroof rahna chahiye.

Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ki Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya, “Tumhare paas shaitaan aata hai, to kahta hai, Ise kis ne paida kiya?❓ Ise kis ne paida kiya? Hatta ke wo kahta hai ki Tere Rabb ko kis ne paida kiya? ❓
Jab baat yahan tak pohoch jaye to ASTAGHFAAR karna chahiye aur is khayaal ruk Jana chahiye.

Sahih al Bukhari, hadith-3276.

FIQAH AL HADITH

1.Dilo me bure waswase dalne wala shaitaan hai.

2.Bure khayalaat se bachne ka behtareen tariqa ye hai me Aadmi, ÀUOOZUBILLAH padhe, ASTAGHFAAR kare aur dil me ALLAH s.w.t. ka khauf taari kare.

3. Bure khayalaat se bachne ke liye puri koshish karni chahiye warna àin mumkin hai ke ye khayalaat insaan ko Kufr, Shirk aur Gunaah ki taraf fer de aur wo halaak hojaye.

Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ke Rasool SallAllahu Alaihi wasallam Ne farmaya, “Log ek dusre se Sawal (par sawal) karte rahenge, hatta ke kaha jayega, Allah ne ye makhlooq paida ki hai, pass Allah ko kis ne paida kiya hai? Jo shakhs ye (shaitani waswasa) mahsus kare to kah de, “Main Allah aur us ke Rasool par imaan laaya hu.”

Sahih Muslim, hadith-242.

FIQAH AL HADITH

Shaitani sawalat aur ghalat waswasu se apne ap ko har mumkin tareeqe se bachana chahiye.

NOTE:
COME N JOIN OUR AKHIRAT KI TAYARI BLOG, GROUP, SISTERS GROUP N BROADCAST:

http://akhiratkitayari.blogspot.sg

Whatsapp group join krne kly
Is link FB PAGE INBOX MSG KREIN NAAM AUR PHONE NUMBER
https://www.facebook.com/pages/Akhirat-Ki-Tayari/861927490499974

Monday, December 28, 2015

MAYAT KO GHUSUL DYENA KA TARIQA

BISMILLAH

HAZRAT IBNI ABAS RADI ALLAAHO TA'ALA ANHO SE MARWI HAI KI ROSOOLLOLLAAH sallallaahu Alaihi Wasalam Ne us shakhs ky liye farmaya jou halati Ahraam me Sawari se gir kar jaan bahq hogaya tha
Usse Pani or bairi ky paton se ghusul do
Al Ja'ama Sahihah 1849
Kitaab ul hajj
Muslim 1206/abu Dawood 3238

Hazrat Ummi Atyaih Radi Allaahu Anhuma Se marwi hai ki Nabi RAHMAT Sallallaahu Alaihi Wasalam ne apni sahib Zaadi ky Mut'aliq farmaya usse teen ya Paanch Martabah ya isse bi ziyadah ghusul do
AL JAMI'A SAHIHA 1253
KITAAB UL JANAIZ

Hazrat Aaisha Sidiqah Radi Allaahu Ta'ala Anhuma se marwi hai ki ROSOOLLULLAAH Sallallaahu Alaihi Wasalam ne farmaya Mai'at ko ghusul daine ka sab se ziyadah mustahiq us ka ziyadah Qareebi Hai
Basharti ki usse ilim ho laikin agar ilim na ho tou fir jisse tum samjho ki usky paas Taqwa wa Amanat ka kuch hissa majood hai Ghusul de
Ahmad jild 6 hadees 119
Baihqi jild 3/Hadees 396

Hazrat Aaisha Sideeqah Radi Allaahu Ta'ala Anhuma se marwi hai ki Nabi Sallallaahu Alaihi Wassalam ne imhai farmaya agar tum mujh se pehle mar gayi Tou me tumhe ghusul don ga

Sahih Ibni Majah 1198
AHMAD JILD 6/HADEES 228
DAARMI. JILD 1/37

Hazrat FATIMAH Radi Allaahu Ta'ala Anhuma ne Wasiyet ki.. ki inhai Hazrat Ali Radi Allaahu Ta'ala Anhu ghusul dy
Daar Qatni Jild 2/hadees 79
Chinanchi Hazrat Ali Radi Allaahu Ta'a Anhu ne hi Hazrat Fatimah Radi Allaahu Ta'ala Anhuma ko ghusul diya

Hazrat Abu Bakr Sideeq Radi Allaahu Ta'ala Anhu ne Hazrat Asmaa Radi Allaahu Ta'ala Anhuma ko gousul diya

Bahaiqi Jild 3/ Hadees 397

Hazrat Umi Atyah Radi Allaahu Ta'ala Anhuma se marwi hai ki unho ne Rasoollullaah Sallallaahu Alaihi Wassalam ki baiti ko gousul daite howe unky baalon ko khola
Fir inhai doya fir 3 Maindhain bana di AAKHIR ME KAFOOR DALA

Al Jami'a Sahihah 1260

JIS TARAH AIK ZINDAH INSAAN GHUSULI JINABAT SE PEHLE WOZOU KARTA HAI USKY BA'AD SAARE JISIM PAR PANI BAHATA HAI MURDE KO BI ACHI TARAH WOUZO KARNA CHAHIYE FIR JISIM PAR PANI BAHA DAINA CHAHIYE
JAISE AHHADEES SE SABIT HAI 3 BAAR YA ISSE ZIYADAH TARTEEB DAHNE TARAF SE KARNA

KAFOOR LAGANE ME YEH HIKMAT BATLAYE GAYE HAI  KI MAIYEY KHOSHBO DAAR HOJAYE KYN KI FARISHTE HAZIR HOTE HAIN
AOR BILKHASOOS KAFOOR KA HI HOKUM DIYA GAYA HAI KYNKI ISKI KHOSIYET YEH HAI
KI JIS CHEEZ ME ISTAIMAL KIYA JATA HAI
WOH JALDI MOTGAIR NEHI HOTA AOR ISKA FAIDAH YEH BI BATLAYA JATA HAI KI USSE LAGANE KY BAAD KOYE MOUZI JAANWAR MAIYET KY QAREEB NEHI AATA.

CHAR SUNNATE DO-DO KARKE PADHNA AFZAL HAI

Assalam o Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu

BISMILLAH

Hazrat Abdullah ibn Umar r.a. se riwayat hai ki Rasool Allah sallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya: ‘Raat aur din ki (sunnat,nawafil) namaz do (2) do (2) rakatei’n (padhi jaati) hain.’

(Abu Dawood: Abwab al Tatwoo 1295) Imam Ibne Khuzaima aur Imam Ibne Hibban ne ise Saheeh kaha.

↪Is hadith se malum hua hai ki char sunnate do-do karke do salaamo ke sath padhni chaiye.

Naafe (Tabaee) se riwayat hai ki Abdullah ibn Umar r.a. din ko char-char rakate (sunnat) padhte the.

Musannaf ibn Abi Shaiba, Volume-2, page- 274, Hadith- 6634. Sanad Hasan.

Naafe riwayat karte hai ki Abdullah ibn Umar r.a. raat ko do-do rakate aur din ko char rakat (nawafil) padhte the, fir salaam ferte the.

Musannaf Abdul Razzak, 2/501, Hadith- 4225. Sanad Hasan.

↪Is hadith se malum hua ki ek salaam me char sunnat padhna bhi jayez hai. Lekin behtar yahi hai ki Marfu hadith ki wajah se witr ke alawah tamam sunnate aur nawafil do-do karke padhi jaye.

Hasan al Basri rahmatullah alaihe farmate hai: “صلوۃالنھار رکعتان رکعتان” Din ki namaaz do-do rakate hai.

Masaail Imam Ahmad wa Ishaaq bin rahviyah, riwayat Ishaq bin Mansur al-Kausaj 1/205, Fiqrah : 433 ; Sanad Sahih,

Imam Ahmad bin Hambal r.h. din ki nafil namaz do-do karke padhte the.
📚idan Fiqrah: 405

AKHRI TASHAHUD KI DUA

BISMILLAH

Kya namaz ke aakhri tashahhud me attahiyyat aur darood e ibrahimi ke padhne ke baad duaein hai? Agar hai to kounsi hai, kyunke kuch Imaam hazraat namaz ki akhry tashahhud kuch zyada hi lamba kar dete hai, aur muqtady ko ilm nahi hota ke Imaam kya kah rahe hai?

Alhamdulillah..

Hazrat Ummul Momineen Aisha r.a. kahti hain ke Rasool Allah sallAllahu Alaihi wasallam  namaz mein (aaqhri qaede mein) you’n dua farmate the:

” اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَفِتْنَةِ الْمَمَاتِ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْمَأْثَمِ وَالْمَغْرَمِ”

‘Allahumma Inni A’auzu Bika Min A’azabil Qabri wa A’auzu Bika min Fitnatil Maseehid Dajjal wa A’auzu bika min Fitnatil Mahya wal Mamaati Allahumma Inni A’auzu Bika Minal Ma,aathami wal Maghrami’.

Ya Ilaahi! Main Teri Panah Mein Aata Hu’n A’azaab Qabr Se Aur Teri Panah Mein Aata Hu’n Dajjal Ke Fitne Se Aur Teri Panah Mein Aata hu’n Maut o Hayaat Ke Fitne Se, Yaa Ilaahi Main Gunah Se Aur Qarz Se Teri Panah Maangta Hu’n.

Aaisha r.a. ne arz ki Aey Allah ke Rasool! Aap qarz se bahot panah kyou’n maangte hain. Aap SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya: Jab aadmi qarzdar hota hai to wo jhut bolta hai aur wa’ada khilafi bhi karta hai.

(Bukhari: al Azan 832 – Muslim: al Masaajid 589).

 Isi tarah Nabi SallAllahu Alaihi wasallam ne Hazrat Abu Bakar r.z. ko bhi namaz me mangne ke liye dua sikhai thi jaise ke Sahih al Bukhari me hai ke Abu Bakr siddeeq r.a. kahte hai ke maine Rasool sallAllahu Alaihi wasallam se arz kiya, “Mujhe koi dua sikha de jise mai apni namaz me manga karu to Aap SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya,Tum kaho

” اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ جَهَنَّمَ وَمِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ وَمِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَالْمَمَاتِ وَمِنْ شَرِّ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ “

‘Allahumma Inni A’auzu bika Min A’azabi Jahannama Wa Min A’azabil Qabri wa Min Fitnatil Mahyaa wal Mamaati wa Min Sharri Fitnatil Maseehid Dajjal’.

Aey Allah! Main Jahannam Aur Qabro’n Ke Azab Se, Maut o Hayaat Ke Fitna aur Maseeh Dajjal Ke Shar Se Teri Panah Maangta Hu’n.

Sahih Muslim, hadith- 588.

Hazrat Sayyadna Ali bin Abi Taalib r.a. bayan karte hain ke Rasool Allah SallAllahu Alaihi wasallam Tashahud ke baad salam pherne se qabl ye dua padhte the:

Allahummagh Firli Maa Qaddamtu wa Maa Aqqhartu wa Maa Asrartu wa Maa A’alantu wa Maa Asraftu wa Maa Anta
A’alamu Bihi Minni Antal Muqaddimu wa Antal Muaqqhiru Laa Ilaaha Illa Anta.

Aey Allah! Tu Mere Agle Piche, Poshida aur Zaahir (Tamaam) Gunah Muaaf Farma Aur Jo Main Ne Ziyadati Ki Aur Wo Gunah Jo Tum Mujh Se Ziyada Jaanta hai (Wo Bhi Muaf Farma) Tuhee (Apni Dargah Izzat Mein) Aage Karne Wala Aur (Apni Baargah Jalaal Se) Peeche Karne Wala Hai. Sirf Tuhi (Saccha) Ma’abood Hai.

Sahih Muslim: Salatul Musafireen, hadith-771.

Hazrat Mahjan bin Al Adra’a r.a. bayan karte hain ke Rasool Allah SallAllahu Alaihi wasallam masjid mein dakhil hue to ek shaqs masjid ke aakhir mein ye dua kar raha tha:

Allahumma Inni As,aluka Yaa Allahul Ahadus Samadullazi Lam Yalid wa Lam Youlad wa Lam Yakullahu Kufuan Ahad An Taghfirlee zunoobi Innaka Antal Ghafoorur Raheem.

Aey Allah Main Tujhse Sawaal Karta Hu’n Is Baat Ke Saath Ke Tu Waahid, Akela aur Beniyaaz hai, Jis Ne Na Janaa (T: Has Not Given Birth To Anyone) Na Janaa Gaya (T: Has Neither Been Born) Aur Na Iska Koi Shareek Hai ke Tu Mujhe aur Mere Gunah Muaaf Karde Beshak Tu Bakshne Wala Bahot Maherban Hai.
Rasool Allah ne farmaya: Teri Bakshish hogai, Teri Bakshish hogai, Teri Bakshish hogai.

(Sunan Abu Dawood: 985 – Sunan Nasai: 1301 V3 P 52)

Hazrat Anas bin Maalik se riwayat hai ke main Rasool Allah SallAllahu Alaihi wasallam ke sath baitha hua tha aur ek aadmi namaz padh raha tha, is ne tassha‐hud mein ye dua ki:

Allahumma Inni Asaluka Bianna Lakal Hamda Laailaaha Illa Intal Mannanu Badeeus Samaawati wal Arzi Yazal Jalaali wal Ikraami Ya Haiyyu Ya Qayyumu Inni As,aluka.

Aey Allah Main Tujh Se Sawal Karta Hu’n Is Baat Ke Sath Ke Hamd Tere Ley Hai, Tere Alaawa Koi Ibaadat Ke Laaeq Nahi, Behad Ehsaan Karne Wala, Asmaano’n Aur Zameeno’n Ko Banaane Wala Buzrug Aur Izzat Wala, Zinda aur Qaaem Rakhne Wala Main Tujhse Sawal Karta Hu’n.
Rasool Allah ne farmaya: ‘Is zaat ki qasam jiske hath mein meri jaan hai isne Allah ke azeem namo’n ke sath dua ki
hai jo shaqs inke sath dua karta hai, Allah qubool karta hai aur jab wo maangta hai Allah a’ataa karta hai.’

(Sunan Nasaai: al Sahu 300)

Hazrat Abu Bakr Siddiq r.a. riwayat karte hain ke main ne kaha, Ya Rasool Allah! Namaz mein maangne ke liey mujhe (koi) dua sikhaiey (ke ise Attahiyyat aur Darood ke baad padha karu’n) to Aap sallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya! Padho:

‘Allahumma Inni Zalamtu Nafsi Zulman Katheerau’n walaa Yaghfiruzunooba Illa Anta Faghfirli Maghfiratam Min indika warhamni Innaka Antal Ghafoor ur Raheem’

Ya Allah! Bilaa Shuba Maine Apni Jaan Par Bahot Ziyada Zulm Kiya Hai. Aur Tere Siwa Gunaho’n Ko Koi Nahi Baqsh Sakta, Pas Apni Janab Se Mujhko Baqshde aur Mujhpar Raham Kar, Be Shak Tuhi Baqhashne Wala Maherban Hai.

Sahih al Bukhari: al Azan 834, Sahih Muslim: al Zikr wad Dua 2705.

Hazrat Abu Hurairah r.a. se marwi hai ke Aap SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya, “Jab tum maisekoi Tashahhud me baithe to char chizon se Allah ki panah mange- azaab e jahannam se, azaab e qabar se, zindagi wa maut ke fitne se, aur masih dajjaal ke shar se, iske baad apne liye jo chahe maangle.

Sunan Nisai hadith-1293.

NOTE:
COME N JOIN OUR AKHIRAT KI TAYARI BLOG, GROUP, SISTERS GROUP N BROADCAST:

http://akhiratkitayari.blogspot.sg

Whatsapp group join krne kly
Is link FB PAGE INBOX MSG KREIN NAAM AUR PHONE NUMBER
https://www.facebook.com/pages/Akhirat-Ki-Tayari/861927490499974

Sunday, December 20, 2015

KYA JASHN-E-MILAD UN NABI MANANA JAIZ HAI (sallallaahu alaihi wasallam)










BISMILLAH

 Abdulllah bin Umar r.z ki riwayat kardah sahih hadees se sabit hai ke rasool s.a.w ne farmaya: allah ne jis nabi ko bhi bheja is par wajib tha ke wo apni ummat ki har is bhalai ki janib rehnumai kare jaise wo in ke liye janta tha,
Aur inhe har burai se daraee jaise wo inke liye janta tha.
 Abdulllah bin Umar r.z ki riwayat kardah sahih hadees se sabit hai ke rasool s.a.w ne farmaya: allah ne jis nabi ko bhi bheja is par wajib tha ke wo apni ummat ki har is bhalai ki janib rehnumai kare jaise wo in ke liye janta tha,Aur inhe har burai se daraee jaise wo inke liye janta tha.Ise Imam Muslim ne apni sahih me riwayat kia hai.
(Sahih Muslim, hadith-1844)

 Janab ahmad raza khan barelvi naqal kartay hai

لم يفعله احد من القران الثلاثة انما حدث بعد

(Milaad shareef) teenow zamanow mai kissi nay naa kiya, baad mai aijaad huwa.
(JAA UL HAQ 1/236)

Janab ghulam rasool saeedi sahab yuw aitraaf haqeeqat kartay hai.
Salaf us saliheen yaani sahaba aur tabiyeen nay mehfil milaad nahih mun’aqid kiyeh
(SHARAH SAHEEH MUSLIM 3/189)

💠 in donow ibaratow se wazhay huwa k nabi s.a.w,sahaba, tabiyee nay milaad nahih manayee agar koi biddati quran wa hadees se yeh sabit karnay ki koshish ki nabi s.a.w,sahaba aur tabiyee nay milaad manayee to woh ahmad raza khan k fatway k khilaf hai

 ALLAMAH AINI AL HANAFI BIDDAT KI TAREEF YUW KARTAY HAI

وهي ما لم يكن له أصل في الكتاب والسنة وقيل إظهار شيء لم يكن في عهد رسول الله – صلى الله عليه وسلم – ولا في زمن الصحابة رضي الله تعالى عنهم

Biddat deen mai har us nayeh kaam ko kehtay hai jiski asal kitab wa sunnat mai naa hoo, ek qawl yeh bhi hai k aisi chees ka izhaar joh nabi s.a.w aur sahaba r.a k zamanay mai naa hoo.

( عمدة القاري شرح صحيح البخاري 25/38)

💠 ALLAH aur Rasool s.a.w. ne kya hame nahi bataya k kaun kaun si eid hain islam me? Kya hame lagta hai k hamare pyare nabi ne hum se koi Neki ka kam chupaya hai?

nauz billah aisa sonchna bhi gunha hai…. kya ham apne app ko ALLAH aur Rasool s.a.w. se bada mante hai, jo diL ne chaha wo karenge…??

 Kisi bhi Sahi Ahadees se Eid Milad Un Nabi saabit nahi hai. ye teesri eid Bidat hai aur Bidat seedhi JAHANNUM Lejati hai.

💠 milaad manana jaiz nahin hai kiun k hamre sahaba main se kisi ne nahin manaya.

 NOTE 

💠 12 Rabi-Ul-Awwal Ka Din Nabi(S.A.W) Ki Zindagi Main 63 Bar Aya..

💠Aur Khulafa-E-Rashideen Mai Se Abu Bakar(R.A)Ki Khilafat Main 2 Bar..

💠Hazrat Umar (R.A)Ki Khilafat Main 10 Bar..

💠Hazrat Usman (R.A) Ki Khilafat Main 12 Bar

💠Aur Ali (R.A) ki Khilafat Main 4 Bar Aya,

 Kya In Main Say Kisi Nay Bhi Eid-Milad-Un-Nabi Manaya

Kya Sahaba, Tabaen Or Aima-Arba Main Se Kisi Aik Ne Bhi Ye Din Manaya Nahi Na

💠To Jan Len Ke Ye Teesri Eid Biddat Hai aur “Har Biddat Gumrahi Hai Jis Ka Anjam Jahannum Ki Aag Hay”.

Jo jo kehta hai kh eid-milad-un-nabi manana jaiz hai to Un logo se guzarish hai ke woh is baat ko quran-o-hadees ki roshni mai saabit karde.

💠 I agree ke Mohammad (SAW) se mohabbat ka izhaar karna chahiye, har musalmaan ko karna chahiye, is mein koi shak nahi hona chahiye, or kasrat se darood-o-salam parhna chahiye, magar kia yeh mohabat ka tareeka sahi hein

kay ROAD BLOCKS KAR KAY, LOUD SPEAKERS PAR MUSIC KAY SAATH NAATAY PARHI JAI YA SHIRKIYA KALMAT GAAYE JAI

DANCE KIA JAI ?, ROAD PAR JALOOS NIKALTAY HEIN OR ZUBAAN PAR EK DOOSRAY SE HASI MAZAAK GALIYA SUB TARHA KI BATAY

💠 AISA TO NAHI HONA CHAHIYE, IS PAR ROSHNI DALIYE, AISA DIN GUZARNAY SE BEHTAR HEIN KE IS TARHA KHUSHI NA MANAYEE JAI, APNAY APNAY GHARON MEIN BAITH KAR KASRAT SE DAROOD PARHA JAI, JALOOS NIKALNA, HOSPITAL KAY TAMAM RASTON KO BLOCK KAR DENA ISE KOI HOSPITAL NA POHONCH SAKEGA, OR MAREEZ RAASTAY HI MEIN DUM TOR DEY,

💠YEH HAMARAY NABI (SAW) KI TALEEMAT NAHI HEIN, NABI (SAW) KI SUNNAT PAR AMAL KAR KE HI UN KO RAZEE KAR SAKTAY HEIN, WOH HUM KARTAY NAHI AUR NA KARNAY KO KEHTAY HEIN, HAAN JALOOS BARA HONA CHAHIYE, SPEAKER ZORDAR HONAY CHAHIYE, ETC ETC. AISI KHUSHI MANA KIS KAAM KI

 Note 

Durud padhne k liye bhi koi khas din mukarrar na ki jaye k wo rewaj ban jaye siwae agar wo saabit ho balki jitna zyada ho sake padha jaye, agar mumkin ho to roz padha jaye, zyada se zyada tadad me padha jaye.

Khushi to uske liye hai jo Allah aur uske Pyare Nabi Salalahu alayhi wassalam ki ita’at kare Aap se sahi muhabbat kare . Aap ka paiygam pure aalam mein pohchae.

 Aap saw se mohabbat ka taqaza Yeh hai k Unki taleemaat ko follow kia jae… sahih ahadith me kahi melad manany ka hukum nahi dia gaya …

ALLAH SWT hume Nabi S.A.W ki sunnato per chalne ki aur Bidat jaisi gumrahi se bachne ki tofeeq ata farmaye.

AAMEEN YA ALLAH

NOTE:
COME N JOIN OUR AKHIRAT KI TAYARI BLOG, GROUP, SISTERS GROUO N BROADCAST:

http://akhiratkitayari.blogspot.sg/

Whatsapp group join krne kly
Is link FB PAGE INBOX MSG KREIN NAAM AUR PHONE NUMBER
https://www.facebook.com/pages/Akhirat-Ki-Tayari/861927490499974

EID MILAD-E-NABIWI BIDAT














BISMILLAH

ALLAH KI KASAM EID MILAD-E-NABIWI BIDAT HAI AUR ISSKA ISLAM SE KOI TALUQ NAHI
Kuch Log Iss Bid'at Ko Quran Se Sabit Karne Ki Nakam Koshish Karte Hain Aur Qurani Ayaat Ka Mafhoom Badal Kar Pesh Karte Hain.Aur Yeh Sabit Karne Ki Koshish Karte Hain Ke Eid Milad-E-Nabiwi Manane Ka Hukam Quran Main Diya Gaya Hai.

POINT 1

Agr Waqai Allah Ny Quran Main Milad-E-Nabiwi Manane Ka Hukam Diya Hai To Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ney Kyo Nahi Us Hukam Pe Amal Karte Hue Milad Manaya Aur Logon Ko Iss Ka Tareeqa Btaya Jab Ke Allah Ney Nabi Pak Ko Hukam Diya Tha.?
"Rasool(Sallallahu Alaihay Wasallam) Jo Kuch Aap Ke Rab Ki Janib Se Aap Par Nazil Kiya Gaya Hai Aap (Woh Sab) Pohncha Dijiye..."(Al Quran, Surah Maidah 5, Ayat 67)
Iss Se Yeh Baat Saaf Zahir Hai Ke Aesa Koi Hukam Quran Main Nahi Ke Milaad Manao. Agar Hota To Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Us Pe Zaroor Amal Karte.

POINT 2

Agar Aesa Hukam Diya Gaya Hota To Sahaba-E-Karam Uss Pe Zaroor Amal Karte. Kyo Ke Nabi Pak Ke Bad Sabse Zyada Ilm Unke Pas Tha.

POINT 3

Agar Aesa Koi Hukam Diya Hota To Imam Abu Hanifah, Imam Maalik, Imam Shafa'i, Imam Ahmad, Imam Bukhari, Imam Muslim, Imam Abu Dawood, Imam Ibn Katheer Us Pe Zaroor Amal Karte. Jab Inn Sab Main Se Kisi Ney Bhi Eid Milaad-Un-Nabiwi Nahi Manai To Kia Hamare Pas Inn Se Zyada Quran Ki Samajh Hai?

POINT 4

Such To Yeh Hai Jo Shakhs Yeh Baat Kahta Hai Ke Allah Ney Quran Main Milaad-Un-Nabiwi Manany Ka Hukam Diya Hai Woh Allah Pe Tohmat Lagata Hai Kyo Ke Allah Ney To Aesa Koi Hukam Nahi Diya.

Woh Shakhs Nabi Pak Sallallahu Alaihay Wasallam Pe Tohmat Lagata Hai Ke Nabi Pak Sallallahu Alaihay Wasallam Ney Milaad Manane Ka Hukam Ham Tak Nahi Pohnchaya.

Woh Sahabah Pe Tohmat Lagata Hai Ke Unke Pas Deen Ka Ilm Nahi Tha Aur Quran Ki Samajh Nai Thi Tabhi Unho Ny Milaad Nahi Manaya.

Allah Swt Ne Ibadat (Nek Aamal) Muqarrar Kar Diya Hai.
"Humne Har Ek Ummat Keliye Ekraah (Ahkam-E-Shariyat) Muqarrar Kar Di Hai Aur Unhe Isi Par Chalna Hai"
📖(Al Quran, Surah Hajj 22, Ayat 67).

ISLAM MAI "Sirf Do" EIDEIN HAIN.

Rasool Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Jab Hijrat Farma Kar Madina Tashreef Laye Toh Dekha Yahan Ke Log Saal Me 2 Din Khel-Kood Karte Hain, Khushi Manate Hain.Aap ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Log’on Se Pucha, “Yeh 2 Din Kaise Hain ?”Log’on Ne Arz Ki, “Inn 2 Dino Me Hum Jahalat Ke Zamaane Me Khushiyan Manate The”.Aap ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, “Allah Ne In 2 Dino Ko Badal Kar Isse Behtar 2 Din Khushi Ke Liye Tumhe Diye. “Eid-Ul-Fitr(Ramzan Eid) Aur Eid-Ul-Azha(Qurbani Eid)”.
(Sunane Abi Dawood,Baab Salatul Eidain Jild-1, Safa-418,Hadees 1134, Sunan Nasa'i 1556)

Allah Ka Deen Mukammal Ho Chuka Hai. Ab 'Wahy' Ka Silsila Khatm Ho Gaya Kahin Aur Se Ya Kisi Aur Se Ab Hamare Liye Naya Deen Nahi Aa Sakta.

Irshad-E-Bari Taa'la Hai: Aaj Mai Nai Tumharai Liye Tumhara Deen Mukammal Kar Diya,Or Apni Naimat Tum Par Puri Kar Di,Or Islam Ko Bahasiyat Deen Tumharai Liye Pasnd Kara Li
📖(Al Quran Surah Maeda5, Ayat 3)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Mukammal Taur Pe Allah Ke Deen Ko Tafseel Se Bayan Farmaya Hai, Allah Ke Is Deen Ko Behtareen Aur Mukammal Taur Par "Samajhne Aur Amal Me Laane Wale, Sahaba(Ra) The".

Allah Ko Raazi Karna Hai To Allah Ke Deen Ko, Jaise Sahaba (Ra) Ne Samjha Waise Samajhna Hoga

"Allah Swt In Sab [Sahaba(Ra)] Se Raazi Ho Gaya Aur Woh Sab Us Se Raazi Ho Gaye, Aur Usne Inke Liye Jannatein Tayyarfarma Rakhi Hain"
📖(Al Quran, Surah Tawba9, Ayat, 100)

"Kya Aap Ne Un Logon Ko Nahi Dekha, Jo Allah Ki Ayaton Me Jhagda Kartehain, Wo Kahan Bhatke Jaa Rahe Hain?"
📖(Al Quran, Surah Ghafir 40, Ayat 69.)

Ahle-Biddat, Is Ayat [Surah Yunus 10, Ayat 58]Se Jashne Eid-Milad Aur Iske Ghalatrasoom Ka Jawaaz Saabit Karne Ki Koshish Karte Hain.

"Farma Dijiye! Allah Ke Is Fazl Aur 'Rehmat' Parlogo Ko, "Khush Hona Chahiye".
📖(Al Quran, Surah Yunus 10, Ayat 58)

Yahan 'Rehmat' Se Murad "Quran"Hai, Na Ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam' Ko Mukhatib Kiya Gaya Hai Aur Na Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki 'Wiladat' Ko Aur Na Hi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ke 'Yaum-E-Paidaaish' Ko. "Khush Hona" Us Kaifiyat Ka Naam Hai Jo Dil Me Mehsoos Ki Jaati Hai.

Ahle-Imaan Ko Kaha Jaa Raha Hai Ke quran, Allah Ka Khaas Fazl Hai Aur Allah Ki Rehmat Hai. Is Par Unko 'Khush Hona' Chahiye.

Khushi (Jashn) Manaane Ko Nahikaha Gaya.
Yahoodiyon Ke Naqsh-E-Kadam Parchalte Hue, Ahle-Biddat, Apni 'Biddat Ki Himaayat' Me, Allah Ki Kitaab(Quran) Ka Maa'na Ko Badal Kar, Logon Ko Gumraah Kar Rahe Hain.

"(Aye Musalmano!) Kya Tum Yeh Tawaqqu' Rakhte Ho, Ke Woh(Yahoodi) Tum Par Yakeen Karlenge ? In Me Se Ek Girohh Ke Log Aise The, Ke Allah Ka Kalaam (Torah) Sunte, Phir Isey 'Samajhne Ke Baad, Khud Badaldete', Halanke Woh Khoob Jaante The (Ke Haqeeqat Kya Hai Aur Woh Kyakar Rahe Hain)"
📖(Al Quran, Surah Baqara 2, Ayat 75)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya "Tum Pehli Ummato Ki Ek Ek Baalisht Aur Ek Ek Haath Ittebaa Karoge, Yahan Tak Ke Agar Woh Kisi Goh Ke Suraakh Me Daakhil Hue Honge, Tum 'Us Me Bhi Unki Itteba Karoge' Sahabi (Ra): Kya Is Se Muraad'yahood Wa Nasaara Hain? Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Haan, Bilkul."
(Sahih Bukhari 7320)

Eid-E-Milad Ki Biddat' "Ahle-Biddat", Apni Biddat Ko 'Zinda Rakhnekeliye', Quran Ko Tak Nahi Bakhsha.

Jashne Eid-Milad-Un-Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Biddat Ko Zinda Rakhne Ki Naakam Koshish Karte Hue, 📖(Surah Yunus10, Ayat 58)
Ke Alawa Kai Aur Qurani Aayaton Ko Bhi Ba-Taur Saboot Pesh Kar, Awaam Ko Gumrah Karte Hain.
Chand Aayatein Pesh Hain:
📖(Al Quran, Surah Al-Fath 4, Ayat 28)

"Wohi Hai, Jisne Apne Rasool Ko Hidayat Aurdeen-E-Haqq Ataa Farma Kar Bheja Taake Isey Tamaam Adyan Parghalib Karde. Aur Allah Hi Gawaah Kaafi Hai."
📖(Al Quran, Surah As-Saff 61, Ayat 6)

"Jab Eisa (As) Ne Kaha; .....Aur Us Rasool Ki Basharat Sunaane Wala Hun Jo Mere Baad Tashreef Laa Rahehain, Jinka Naam Ahmad Hai.Phir Jab Wo Waazeh Nishaaniyan Le Kar Unke Paas Tashreef Le Aaye, To Woh Kehne Lage, 'Yeh To Khula Jadoo Hai'."
📖(Al Quran, Surah Ad-Dhuha 93, Ayat 11)

"Beshak! Tumhaare Paas, Tum Me Se Ek Rasool Tashreef Laaye Hain. Tumhaari Takleef Aur Mashaqqat Me Padna, Un Par Sakht Guzarta Hai. Woh Tumhare Liye Bade Taalib Aur Aarzoo-Mand Rehte Hain. Momino Ke Liye Nihayat Shafeeq, Be-Hadd Rehem Farmane Wale Hain."
📖(Al Quran, Surah Aal-E-Imran 3, 164)

"Allah Ka Ehsaan, Ke Usne Musalmaano Ke Liye Unhi Me Se Ek Rasool Bheja."
📖(Al Quran, Surah Al-Anbiya 21, Ayat 107)

"Aur Hum (Allah) Ne Aap Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko, Tamaam Jahaanon Keliye Rehmat Bana Kar Bheja."

In Qur'ani Aayaton Me Se, Kisi Ek Aayat Me Bhi, Pyare Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke "Yaum-E-Paidaaish" Ka Zikr Nahin Hai.

Jab Zikr Hi Nahin Hai, Phir To'jashn Manaane' Ki Baat Jahaalat Hai.

Quran Aur Allah Ke Deen Ko, 'Apne Aur Apne Bade/Buzurg/Maulviyon Ke Zehnon' Se Samajhne Ka Nateeja Hai Ke, Jhooti Daleelein Pesh Karke, 'Allah Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Aur Sahaba(Ra) Par' Bohtan Bandhna Aur Phir Siraat-E-Mustaqeem Se Bhatakjaana Hai.

"Agar Woh(Log) Waise Imaan Laayein, Jaisa Sahaba(Ra) Ne Imaan Laaya To Phir Waaqi'i Hidayat Paajayenge."
📖(Al Quran, Surah Baqara 2, Ayat 137)

"Aur Us Se Badh Kar Zaalim Kaunhoga, Jo Allah Par Jhoota Bohtaan Baandhe"
📖(Al Quran, Surah Anaam 6, Ayat 93)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Jo Shakhs Meri Taraf Aisi Baat Mansoob Kare, Jise Maine Nahin Kaha Hai, Woh Apna Thikana Jahannum Me Bana Le. (Sahih Bukhari 109.)
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Agar Tum, Apne Bhai Ke Baare Me Woh Baat Bayan Karo, Jo Us Ke Andar Maujood Na Ho, To Goya Tumne Us Par Bohtaan Baandha.
(Sahih Muslim 6758)

Wallah, Tehqeeq Karein! "Aye Imaan Walo! Agar Tumhare Paas Koi Fasiq Koi Khabar Laaye, To Khoob Tehqeeq Kar Liya Karo. Aisa Na Ho Ke Laa-Ilmi Me Tum Kisi Qaum Ko Nuqsaan Pahunchao Aur Phir Apne Kiye Par Pachtaate Reh Jaao"
📖(Al Quran, Surah Hujraat, 49, 6)

Kisne Aap Ko Eid Milad Ke Jashn Ka Hukm De Diya?

"Unhone (Allah Ko Chhod Kar) Apne Ulema Aur Zaahidon Ko Rabb Bana Liya Hai"
📖(Al Quran, Surah Tawba, 9, Ayat 31)

(Is Ayat Ko Sun Kar) Adiyy Ibn Hatim(Ra), Nabi(Saw) Se Farmaya:-"Yahood-Wa-Nasara Ne To Apneulema Ki Kabhi Ibaadat Nahi Ki.Phir Yeh Kyon Kaha Gaya Ke Unhone Apne Ulema Ko Rabb Banaliya ? Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ne Kaha: 'Unke Ulema Ne', Jis Cheez Ko Halaal Qaraar Diya, Usko Unhone Halaal, Aur Jis Cheez Ho Haraam Kar Diya,Usko Haraam Hi Samjha Yehi Inki Ibaadat Karna Hai"
(Sunan Tirmizi 3095)

Tum Us (Qur'an) Ki Pairvi Karo, Jo Tumhare Rabb Ki Taraf Se Utara Gaya Hai Aur Baatil Haakimon Aur Doston Ke Peeche Mat Chalo Tum Bahut Kam Naseehat Qabool Karte Ho.
📖(Al Quran, Surah Araf 7, Ayat 3)

Aur Duniya Me 'Aksar Log' Aise Hain Agar Aap Inka Kehna Maanne Lagein, To Wo Aapko Allah Ki Raah Se Gumraah Kar Denge.
📖(Al Quran, Surah Anaam 6, Ayat 116)

Aye Nabi Aap Farma Dijiye! Kya Hum Tumhein Aise Logon Se Khabardaar Kar Dein, Jo Aamal Ke Hisaab Se Sakht Khasaara Paane Wale Hain? Yeh Woh Log Hain Jinki Saari Koshishein Duniya Ki Zindagi Me Hi Barbaad Ho Gayi Aur Woh Yeh Khayaal Karte Rahe Ke Hum Bade Achche Kaam Anjaam De Rahe Hain'.
📖(Al Quran, Surah Kahf 18, 103-104)

Abdullah Ibn Umar(Ra) Farmate Hain: Tamaam Biddatein Gumraahi Hain, Agarche "Ba-Zaahir Woh, Logon Ko Achchi Lagein".
(Daarimi 82.)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Mujh Se Pehle Jitne Bhi Anbiya(As) Guzre, In Par Waajib Tha Ke Jo Bhi Khair-Wa-Bhalaai Inke Liye Jaanta Tha Apni Ummat Ki Us Taraf Rehnumaai Kare Aur Jo Bhi Sharr Inke Liye Jaanta Tha Unhe Us Par Mutanabba(Aagaah) Kare.
(Sahih Muslim 4882)

Kya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ne, Woh Tamaam Baatein Ummat Ko Nahi Batlaayi, Jin Par Ummat Ko Amal Karna Tha?

Maine, Har Woh Cheez Jo Jannat Ki Taraf Le Jaane Wali Hai, Aur Har Woh Cheez Jo Jahannum Se Door Karne Wali Hai, Batlaa Di Hai. (Musannnaf Abdur-Razzak 20,100)
Main Tumko Aise Raaste(Deen) Par Chhod Kar Jaa Raha Hun, Jis Ki Raat Uske Din Ki Tarah Roshan Hai.
(Musnad Ahmad 17,182)

Koyi Bhi Kaam Neki Samajh Kar Sawaab Ki Niyyat Se Kiya Jaye, Jiske Karne Ka Hukm, Na Allah Taala Ke Kalaam Yani Quran-E-Kareem Me Maujood Ho, Na Rasoollallah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Sunnat Yani Hadees-E-Mubaraka Me Maujood Ho Aur Na Hi Sahaba-E-Kraam (Ra) Ke Tarikhe Me Maujood Ho, Usko Biddat Kehte Hai

Rasulullah Salallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya : "Kullu Bidaatin Zalala Wa Zalalatin Fin Naar" Deen Me Har Naye Bath Bidd'at Gumrahi Hai, Or Hr Gumrahi Jahn'um Main Ley Kare Jany Wali Hay."

Rasool Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya: Hamare Is Deen Me Apni Taraf Se Koi Nayi Cheez Paida Ki, Jo Is Me Se Nahi Hai Toh Wo Mardood Hai (Yani Wo Deen Se Kharij Hai), Har Nayi Cheez ( Jo Deen Me Paida Ho) Biddat Hai Aur Har Biddat, Gumrahi Hai Aur Har Gumrahi, Jahannam Me Lee Jaati Hai.
(Sahih Bukhari-2696, Sahih Muslim-1718,Sunnan Nasai-3/188)

Allah Sy Dua Hy K Allah Hum Sab Ko Biddaton Sy Buchny Ki Taufeeq Ataa Frmaye, Or Humain Siraat E Mustaqeem Pr Chalaye, Aameen Yaa Rabbal Alameen
Wa Maa Alainaa Illal Balaagh Ul Mubeen.

NOTE
Ye Ba dalil post Islah e Muslimeen k liye upload kiya gaya hai aur jo log Bahes aur Badkalami ka muzahera karengey wo darasal Qurani ayat aur Hadees ki behurmati karengey aur wahi sabse badey GUSTAAQ khudko Sabit karengey .



NOTE:
COME N JOIN OUR AKHIRAT KI TAYARI BLOG, GROUP, SISTERS GROUO N BROADCAST:

http://akhiratkitayari.blogspot.sg/

Whatsapp group join krne kly
Is link FB PAGE INBOX MSG KREIN NAAM AUR PHONE NUMBER
https://www.facebook.com/pages/Akhirat-Ki-Tayari/861927490499974

UNITY OF UMMAH - MANHAJ E SALAF











Assalam o Alaikum warahmatullahi wabarakatuhu

BISMILLAH

UMMAT MAY EKHTELAAF – MAGAR KYUN ?



UMMAT MAY ITTEHAAD – MAGAR KAISE ?



ISLAM KYA HAI ‘AUR’ USKO KAISE SAMJHIEN

↪Kuch log ya kae sare log aaj ittehaad ki baat toh zaroor karte hain aur takhreeban har koi yahi chahta aur kehta hai ke “ummat e muslima ek hojae, ham sab may ittehaad paida hojae”… 

phir bhi ham ek nahi… 

ham sirf chahtey aur kehte hain ke ham ek hojaen…

Magar
Kya sirf chahne aur kehne se hum ek hojainge..?

Nahi



sirf chahne aur kehne se ye hargiz mumkin nahi... toh phir hum aisa kya kare ke hum sub ek hojaen??? Wo kaunsa tareekha hai, wo kaunsa ilaaj hai, wo kaunsa zariya hai, wo kaunsa raasta hai jisse ham sab ek ho sakte hain?

JAWAAB

ISKA SIRF EK WAHED TAREEKHA YAHI HAI KE HUM 
SUB EK PLATFORM, EK MANHAJ, EK RAASTEY, EK TAREEKHE, EK SONCH PAR MAZBOOTI SE JAM JAEN -- kyun ke jab hamara platform ek hoga, hamara manhaj ek hoga, hamara raasta ek hoga, 

hamara har tareekha ek hoga,

 hamari sonch ek hogi toh hamara maqsad bhi ek hoga aur (in-sha-Allah) ham sab may ekhtelaaf nahi hoga aur ham sab ek hojaenge, ham sab may ittehaad (unity) paida hojaega… 

AUR WO PLATFORM KOI AUR HO HI NAHI SAKTA SIWAE:
SACHE DEEN-E-HAQ ^ISLAM KE… yane ham sab ko sachche deen islam par mazbooti se jam jana hoga….

yahan ek baat wazeh rahe ke hamari ittehaad(unity) se muraad ye nahi ke sare musalmaan ek tarah ka libaas pehenna shuru kardien, ya ek tarah ki topi pehenna shuru kardien, ya ek tarah ki ghiza khana shuru kardien, 


ya ek saath eid/jashn manae.. jo ke shariyath ko matloob hi nahi… balke hamari ittehaad(unity) se muraad wahi hai jo haqiqath may shariyath ko matloob hai aur jisko Allah(rab-ul-izzath) ne 📖[surah aale imran: 
ayath no. 103] 
mai bayaan kiya hai ke: 

“Allah ki rassi (yane quran aur ahadees) ko sab mil kar mazbooti se thaamlo aur phoot na dalo (yane firqon may na bato)…” lehaza is-hi liye hamne ittehaad(unity) ka zariya aur paimana sirf deen(quran aur sahih ahadees) ko ek manhaj (fehem/tareekhe) par samajhte hue mazbooti se jamjane ko hi bataya hai...

KYA AAJ/AB HUM SAB SACHE DEEN PAR NAHI HAIN?

Iska jawaab ye hai ke

haan hum sub (yane saari ki saari ummat) aaj sache deen par nahi hai, 

Aur yahi wajah hai ke aaj hum har jagah kaate jarahe hain, maare jarahe hain, hamney apna viqar khodiya hai, har jagah ham be-izzat kiye jarahe hain...

Kyun ke Humney us deen ko chord diya jo ALLAH(rab-ul-izzath) ne nazil kiya, Nabi-e-rehmath(sallAllahu Alaihi wasallam) ne qaol-o-fae’l (ehkaam aur amal) ke zariye hamtak pahuncha diya, aur sahaba(rz) ne amal karke dikhladiya....

Aap khud ghaor karien, aap khud sonchiye ke…

Jab Hum Sab ka Rab ek, Nabi ek, rasool ek (sallAllahu Alaihi wasallam), deen ek, Quran ek, Qibla ek, kaa'ba ek, maqsad (yane jannat) ek... phir ham sab ek kyun nahi?

{in sub ka ek hona hi khud ek khuli daleel (proof) hai ke humsab bhi ek ho, hamara har Aqeeda ek jaisa ho, har i’badath ek tareekhy ki ho

Lekin
Aaj hum Ek nahi, hamare MANHAJ Alag Alag, hamare AQEEDEY alag alag, hamari NAMAZIEN alag alag, hamare ROZEY alag alag, 
al-gharz hamari har I’BADATIEN alag alag..

 Aaj hum ek nahi, hamare MANHAJ alag alag, hamare AQEEDEY alag alag, hamari NAMAZIEN alag alag, hamare ROZEY alag alag, al-gharz hamari har I’BADATIEN alag alag....

Iski misaal ya daleel ye hai ke…

Hum sab maante toh hain ke: Allah EK hai, wahi hamara Rab hai…

Lekin

Us-hi ek ALLAH ke bare may hamare aqeedey (beliefs) alag alag hain… jaisa ke:

Koi kehta hai ke, Allah arsh par mustavi hai,,, 
koi kehta hai ke, nahi Allah har jagah maujood hai,,, 
koi kehta hai ke Allah sirf paak jagah par maujood hai,,,
koi kehta hai ke, har cheez Allah hai, ya Allah hi ka noor hai,,, 
koi kehta hai ke, Allah bada beniyaaz hai jo apne bandon ki duaon ko suntan hai,,, 
koi kehta hai ke, Allah baghair waseeley ke dua nahi sunta...

Ek Allah ke baare mai hamare itne alag alag aqeeday?Nauzubillah!.

Is-hi tarah: 
Hum sub ke nabi-e-kareem(sallAllahu Alaihi wasallam) ek hain…
Lekin aaj dekhiye... us-hi EK pyare nabi(sallAllahu Alaihi wasallam) ke bare may Hamare kitne alag alag aqeedey hain...

Koi kehta hai ke, Nabi(sallAllahu Alaihi wasallam) wafaath paagae, duniya se rukhsath hogae, 
Koi kehta hai ke, Nahi, nabi(sallAllahu Alaihi wasallam) zinda hai, 
Koi kehta hai ke nabi(sallAllahu Alaihi wasallam) har jagah tashreef laatey hain, 
Koi kehta hai ke nabi(sallallahu Alaihi wasallam) ghaeb ki har baatien jaantey they, 
Koi kehta hai ke nabi(sallAllahu Alaihi wasallam) noor they, bashar nahi they, 
Koi kehta hai ke har cheez nabi(sallAllahu Alaihi wasallam) ka noor hai, 
Koi kehta hai ke nabi(sallallahu Alaihi wasallam) mukhtaar-e-kul hai… 
Koi kehta hai, dua may nabi(sallallahu Alaihi wasallam) ka aur auliya Allah ka waseela lene zaroori hai, 
Koi kehta hai, nabi(saws) ki paidaish ke din Milaad manana chahiye……

Aur is-hi tarah

Koi kehta hai ke dargah par jana chahiye, 
Koi kehta hai ke taweez lagana chahiye, 
Koi kehta hai khane par, insaan ki laash par aur dua may bhi fatiha dena chahiye, 
Is-hi tarah Koi kehta hai ki gyaarwi, baarwi, kundey, zyarath, daswan, beeswan, chaleeswan, waghaira waghaira karna chahiye/zaruri hai...

Koi shirk ki dawath deta hai toh koi bid’aa’t ki dawath deta hai...

AUR KOI IN SUB SE MANA KARRAHA HAI.....

YE SUB KYA HAI? 
ITNA ZYADA EKHTELAAF (differences)?AAKHIR KYUN?WAJAH KYA HAI?

Kya ye log qur’an aur ahadees ko nahi maante?......

HARGIS NAHI!

⏩BALKE TA’JJUB TOH YE HAI KE YE SUB KEHNE WALE QUR’AN AUR AHADEES SE HI APNI BAAT KI DALEEL (PROOF) DETE HAIN.... WO APNI BAAT QUR’AN KI KISI NA KISI AYATH SE, YA KISI NA KISI HADEES SE SABIT KARNE KI KOSHISH KARTE HAIN... SUB YAHI KEHTE HAIN KE DEEN NAAM HAI SIRF DO CHEEZON KA “QUR’AN AUR AHADEES”.... aur ham ye bachpan se suntey aarahe hain ke deen naam hai sirf do cheezon ka “qur’an aur ahadees”…

Toh...!

Ek baat toh samajh aati hai....Ke Baat toh sabhi QUR’AN aur AHADEES hi ki kartey hain....

Phir ye ekhtelaaf (diffrences) kyun aur kaise paida hogaye?

Itne alag alag aqeedey aur itna zyada ekhtelaaf kyun aur kaise?

Kya sub ka qur’an alag alag hai?

Hadeesien alag alag hai?
 Al-gharz kya sub ka deen alag alag hai?

Nahi

Aisa bhi nahi hai... Toh phir AISI DOOSRI WAJAH kya hai ke jiske binah par aur jiski wajah se ye sub horaha hai?

WALLAH

Agar hum is sawal ka sahih jawaab aur iska sahih hal talaash karlien, Toh, In sha Allah: Hum sab ek hojainge... hum sab kaamiyaab hojainge...
AUR, is sawaal ka jawaab khud ek doosra sawaal hai..... 


wo ye ke:

“HUM DEEN-E-ISLAM (yane qur’an aur ahadees) KO KAISE SAMAJH RAHE HAIN?”

Haan

Yahi ek asal sawaal hai jis ko hum samajh jaen aur iska sahih jawaab/hal talaash karlien toh ye saare ikhtelaaf (differences) mit jaengen, hum sab ek hojaenge aur saari dooriyaan khatam hojaengi, jiska nateeja ye hoga ke deen saari duniya par ghaalib aajaega aur humsab duniya-o-aakhirath dono may kaamiyaab hojaenge....


>yahan ek baat wazeh rahe ke hamari ittehaad(unity) se muraad ye nahi ke sare musalmaan ek tarah ka libaas pehenna shuru kardien, ya ek tarah ki topi pehenna shuru kardien, ya ek tarah ki ghiza khana shuru kardien, ya ek saath eid/jashn manae.. 

jo ke shariyath ko matloob hi nahi… 

balke hamari ittehaad(unity) se muraad wahi hai jo haqiqath may shariyath ko matloob hai aur jisko Allah(rab-ul-izzath) ne [surah aale imran: ayath no. 103] may bayaan kiya hai ke: “Allah ki rassi (yane quran aur ahadees) ko sab mil kar mazbooti se thaamlo aur phoot na dalo (yane firqon may na bato)…

” lehaza is-hi liye hamne ittehaad(unity) ka zariya aur paimana sirf deen(quran aur sahih ahadees) ko ek manhaj (fehem/tareekhe) par samajhte hue mazbooti se jamjane ko hi bataya hai...

>Kya aaj/ab HUM SAB SACHCHE DEEN par nahi hain???

>Iska jawaab ye hai ke: haan hum sub (yane saari ki saari ummat) aaj sachche deen par nahi hai,
Aur yahi wajah hai ke aaj hum har jagah kaate jarahe hain, maare jarahe hain, hamney apna viqar khodiya hai, har jagah ham be-izzat kiye jarahe hain...
>Kyun ke Humney us deen ko chohrd diya jo ALLAH(rab-ul-izzath) ne nazil kiya, Nabi-e-rehmath(saws) ne qaol-o-fae’l (ehkaam aur amal) ke zariye hamtak pahuncha diya, aur sahaba(rz) ne amal karke dikhladiya....
>Aap khud ghaor karien, aap khud sonchiye: ke…

>Jab Hum Sab ka: Rab ek, Nabi ek, rasool ek (saws), deen ek, Quran ek, Qibla ek, kaa'ba ek, maqsad (yane jannat) ek... phir ham sab ek kyun nahi???…

{in sub ka ek hona hi khud ek khuli daleel (proof) hai ke humsab bhi ek ho, hamara har aqeeda ek jaisa ho, har i’badath ek tareekhy ki ho}…

Lekin! 
aaj hum ek nahi, hamare MANHAJ alag alag, hamare AQEEDEY alag alag, hamari NAMAZIEN alag alag, hamare ROZEY alag alag, al-gharz hamari har I’BADATIEN alag alag....

>aaj hum ek nahi, hamare MANHAJ alag alag, hamare AQEEDEY alag alag, hamari NAMAZIEN alag alag, hamare ROZEY alag alag, al-gharz hamari har I’BADATIEN alag alag....

>Iski misaal ya daleel ye hai ke…

>Hum sab maante toh hain ke: Allah EK hai, wahi hamara Rab hai…

>Lekin! us-hi ek ALLAH ke bare may hamare aqeedey (beliefs) alag alag hain… jaisa ke:

Koi kehta hai ke, Allah arsh par mustavi hai,,,
koi kehta hai ke, nahi Allah har jagah maujood hai,,,
koi kehta hai ke Allah sirf paak jagah par maujood hai,,,
koi kehta hai ke, har cheez Allah hai, ya Allah hi ka noor hai,,,
koi kehta hai ke, Allah bada beniyaaz hai jo apne bandon ki duaon ko suntan hai,,,
koi kehta hai ke, Allah baghair waseeley ke dua nahi sunta...
Ek Allah ke baare mai hamare itne alag alag aqeeday??? 

Nauzubillah!!!.


>Is-hi tarah: Hum sub ke nabi-e-kareem(saws) ek hain…
Lekin aaj dekhiye... us-hi EK pyare nabi(saws) ke bare may Hamare kitne alag alag aqeedey hain...
Koi kehta hai ke, Nabi(saws) wafaath paagae, duniya se rukhsath hogae,
Koi kehta hai ke, Nahi, nabi(saws) zinda hai,
Koi kehta hai ke nabi(saws) har jagah tashreef laatey hain,
Koi kehta hai ke nabi(saws) ghaeb ki har baatien jaantey they,
Koi kehta hai ke nabi(saws) noor they, bashar nahi they,
Koi kehta hai ke har cheez nabi(saws) ka noor hai,
Koi kehta hai ke nabi(saws) mukhtaar-e-kul hai…
Koi kehta hai, dua may nabi(saws) ka aur auliya Allah ka waseela lene zaroori hai,
Koi kehta hai, nabi(saws) ki paidaish ke din Milaad manana chahiye……
Aur is-hi tarah:-
Koi kehta hai ke dargah par jana chahiye,
Koi kehta hai ke taweez lagana chahiye,
Koi kehta hai khane par, insaan ki laash par aur dua may bhi fatiha dena chahiye, 

Is-hi tarah Koi kehta hai ki gyaarwi, baarwi, kundey, zyarath, daswan, beeswan, chaleeswan, waghaira waghaira karna chahiye/zaruri hai...
>Koi shirk ki dawath deta hai toh koi bid’aa’t ki dawath deta hai...

>AUR KOI IN SUB SE MANA KARRAHA HAI.....

>>YE SUB KYA HAI???????? 

ITNA ZYADA EKHTELAAF (differences)?? :: AaKHIR KYUN?? :: 

WAJAH KYA HAI??

>Kya ye log qur’an aur ahadees ko nahi maante??? 

>> HARGIS NAHII!

>BALKE TA’JJUB TOH YE HAI KE YE SUB KEHNE WALE QUR’AN AUR AHADEES SE HI APNI BAAT KI DALEEL (PROOF) DETE HAIN.... WO APNI BAAT QUR’AN KI KISI NA KISI AYATH SE, YA KISI NA KISI HADEES SE SABIT KARNE KI KOSHISH KARTE HAIN...

 SUB YAHI KEHTE HAIN KE DEEN NAAM HAI SIRF DO CHEEZON KA “QUR’AN AUR AHADEES”.... aur ham ye bachpan se suntey aarahe hain ke deen naam hai sirf do cheezon ka “qur’an aur ahadees”…

>Toh!... ek baat toh samajh aati hai....Ke Baat toh sabhi QUR’AN aur AHADEES hi ki kartey hain....
>Phir ye ekhtelaaf (diffrences) kyun aur kaise paida hogaye???

>Itne alag alag aqeedey aur itna zyada ekhtelaaf kyun aur kaise??

>Kya sub ka qur’an alag alag hai? Hadeesien alag alag hai? Al-gharz kya sub ka deen alag alag hai???

>Nahi! Aisa bhi nahi hai... Toh phir AISI DOOSRI WAJAH kya hai ke jiske binah par aur jiski wajah se ye sub horaha hai??????

*>>WALLAH! agar hum is sawal ka sahih jawaab aur iska sahih hal talaash karlien, Toh, In sha Allah: Hum sab ek hojainge... hum sab kaamiyaab hojainge...

AUR, is sawaal ka jawaab khud ek doosra sawaal hai..... wo ye ke:
“HUM DEEN-E-ISLAM (yane qur’an aur ahadees) KO KAISE SAMAJH RAHE HAIN???”

>Haan! Yahi ek asal sawaal hai jis ko hum samajh jaen aur iska sahih jawaab/hal talaash karlien toh ye saare ikhtelaaf (differences) mit jaengen, 

hum sab ek hojaenge aur saari dooriyaan khatam hojaengi, jiska nateeja ye hoga ke deen saari duniya par ghaalib aajaega aur humsab duniya-o-aakhirath dono may kaamiyaab hojaenge.... (in sha ALLAH!)….

>HUM ISLAM KO KAISE SAMJHIEN???

> Jaise ke Har shaqs quran aur sunnath (ahadees) hi ki baat karta hai...
Phir bhi aaj ummath may ittehaad (unity) nahi hai aur kaafi ikhtelaaf (differences) hai...
Toh baat samajh aati hai ke,
Mas’ala (yane Problem) hamare : DEEN (qur’an aur sahih ahadees) KO SAHIH NAHI SAMAJHNE KI WAJAH SE HAI

>Ab aap sonchiye: kya aap bhi deen ko sahih taor par samajh rahe hain, jaisa ke uske samajhne ka haq hai???

>Kya ye wahi deen hai jo ALLAH ke nabi(saws) aur sahaba(rz) ke zamane/daor may tha????

>>> Jawaab talaash kijiye

*>Alhamdulillah! Is-hi jawaab may aap ki madad aur rehnumae karne ke liye ye posts likhey jarahe hain :

> Toh aaeye ham sabse pehle ye pata karte hain ke islam kya hai aur ye sub se ehem baat hai jo hamey hamesha zehen may rakhni hai: wo ye ke:

>HUMARA DEEN ‘QALIS’ WAHI HAI, SIRF WAHI HAI, JO:
ALLAH(swt) NE NABI-E-KAREEM(SAWS) KI ZAAT-E-AQDAS PAR NAZIL KIYA (qur’an aur ahadees ki shakal may), NABI-E-KAREEM(SAWS) NE SAHABA(RZ) KO SAMJHAYA, AUR US-HI KE MUTABIQ KHUD NABI-E-KAREEM(SAWS) NE AUR SAHABA(RZ) NE AMAL KARKE DIKHLADIYA....

>YANE: “AAJ BHI- HAR WO CHEEZ/AMAL/IBADATH/NIYYATH DEEN HAI JO NABI(SAWS) AUR SAHABA(RZ) KE DAUR MAY DEEN KI HAISIYATH SE THA aur HAR WO CHEEZ/AMAL/IBADATH/NIYYATH DEEN HARGIS NAHI HOSAKTA JO US DAUR MAY DEEN KI HAISIYATH SE NAHI THA”....

>AUR YE BHI HAMESHA YAAD RAKHE: KE HAMARA DEEN NABI(SAWS) AUR SAHABA(RZ) KE DAUR MAY HI “MUKAMMAL” (COMPLETE) HO CHUKA HAI…

>JAISA KE ALLAH(swt) NE FARMAYA:
“…aaj main ne tumhaare liye deen ko kaamil (compelete) kar diya aur tum par apna in’aam bharpoor kar diya aur tumhaare liye Islam ke deen hone par raza mandh ho gaya…”… [surah al-mai’dah: ayath no. 3].

Ye ayath nabi(saws) aur sahaba(rz) hi ke daor may toh nazil hue thi aur ye takhreeban sabhi jaante hain ke is ayath ka nuzool hajjatul wida ke maokhe par hua tha aur ALLAH ke nabi(saws) ne hajjatul wida ke apne us khutbe may wahan maujood sabhi sahaba(rz) se kuch is-hi tarah pucha ke:

“…tumse mere bare may bhi pucha jaega, batao! tum mere bare may kya kahoge?”:
Tab wahan maojood saare sahaba(rz) ne ba ek waqt, ba awaaz-e-bulannd kaha ke: “ham gawahi dete hain ke aap ne hamtak Allah ka deen puri tarah se pahuncha diya hai”...

 phir rasool Allah(saws) ne farmaya: “aye Allah tu gawah rehna, aye Allah tu gawah rehna, aye Allah tu gawah rehna”… [khutba e hajjatul wida zaroor padien]…

>Aur isi tarah ek aur ayath may Allah(swt) ne farmaya:
“aye rasool (saws) jo kuch bhi aap ki taraf aap ke rab ki jaanib se naazil kiya gaya hai (yane Qur’an aur Ahadees), Usey (doosron tak) pahuncha di jiye, agar aap ne aisa na kiya to aap ne Allah ki risaalath ka haq ada nahi Kiya…”
 [surah al-mai’dah: ayath no. 67]…

>Aur hamara ye emaan hai ke hamare Aqa(saws) ne apni risaalath (prophet hood) ka haq baqubi aur puri puri tarah se ada kiya hai aur is tarah ada kiya hai ke jiski misaal na pehle kabhi thi na ab hai aur na taa-qayamat ho sakti hai..... 

aur hamara ye bhi emaan hai ke Allah(swt) aur rasool Allah(saws) ne hamien har wo cheez, har wo amal, har wo ibadath batladiya hai jo hamey jannat may leja sakta hai aur jahannum se bacha sakta hai, is-hi tarah har wo cheez, har wo amal, har wo ibadath batladiya hai jo hamey jannat se door karsakta hai aur jahannum may dalwa sakta hai… 
mukhtasar ye ke hamari najaat aur kaamiyaabi ka har zariya aur har tareekha qur’an aur sahih ahadees may maojood hai…
 jiski daleel(proof) ye hadees-e-shareef bhi hai jismay Rasool Allah(saws) ne farmaya: “jannat se khareeb karne wali aur jahannam se door karne wali har cheez khule taor par batla digae hai”… 
[ye hadees shareef al-mu’jam al-kabeer lit-tibrani may ba-riwayath abuzar(rz), ba-sanad sahih maojood hai]…

>Lehaza isse ye waze’h (clear) hota hai ke humara deen NABI(SAWS) AUR SAHABA(RZ) KE DAUR MAY HI “MUKAMMAL(COMPLETE) HO CHUKA HAI.... yani ab koi bhi ismay kisi qism ki koi zyaadati ya kisi qism ki koi kami hargis nahi karsakta....
aur agar koi bhi deen may naya kaam ejaad kare toh wo Allah aur uske rasool(saws) ko aur saare sahaba(rz) ko jhutla raha hai ke shahid deen mukammal nahi hua ya phir ye batana chah raha hai ke shahid Allah(swt) hamey batana bhool gae ya nabi (saws) ne hamsey chupa liya (nauzubillah!):

>LEHAZA!: “AAJ BHI- HAR WO CHEEZ, HAR WO AMAL, HAR WO NIYYATH, HAR WO I’BADATH DEEN HAI JO NABI(SAWS) AUR SAHABA(RZ) KE DAUR MAY DEEN KI HAISIYATH SE THA aur HAR WO AMAL DEEN HARGIS NAHI HOSAKTA JO US DAUR MAY DEEN KI HAISIYATH SE NAHI THA” aur “HUMARA DEEN ‘QALIS’ WAHI HAI JO ALLAH(SWT) NE NABI(SAWS) KI ZAAT-E-AQDAS PAR NAZIL KIYA (qur’an aur ahadees ki shakal may), aur NABI(SAWS) NE WAHI DEEN SAHABA(RZ) KO SAMJHAYA, AUR US-HI DEEN KE MUTABIQ KHUD NABI(SAWS) NE AUR SAHABA(RZ) NE AMAL KARKE DIKHLADIYA”... 

“isse hatkar koi aur doosri ya teesri cheez deen hargis nahi hosakti bhale wo ba-zahir (dikhne may) kitni bhi achchi (nek) maloom kyun na hoti ho”...

 aur agar koi shaqs aisa koi bhi naya amal ya I’badath deen samajh kar sawaab ki niyath se kare ya koi bhi amal/ibadath/sunnat jiska masnoon tareekha batladiyagaya ho usmey koi tabdeeli (kami ya zyadati) kare jiska deen ( qur’an aur sahih ahadees) may koi saboot (daleel) nahi milta ho toh wo shaqs bid’ath karraha hai aur nabi(saws) ne bid’ath aur bid’ati ke bare may daraya hai aur farmaya ke:
“jise Allah hidayath de usey koi gumrah karne wala nahi aur jise Allah gumrah kare usey koi hidayath dene wala nahi,
 yaqeen rakho ke sab se sachchi baat Allah ki kitaab (yane qur’an) hai aur sab se behtar tareekha muhammed (saws) ka tareekha (yane sunnath) hai, 
sab se bura amal (deen may) nae cheez ejaad karna hai, har nae cheez bid’ath hai, 

har bid’ath gumrahi hai aur har gumrahi jahannam may lejane wali hai”…[ye hadees shareef sunan nasa’I, jild 1, kitaab as-salaat-ul-eidien may ba-sanad sahih maojood hai]…

>Lehaza! Deen may (yane Allah ke nazdeek) wahi amal/ibadath/niyyath qabil-e-qabool hai, nek hai aur sawaab ka zariya hai jo sirf Allah ki raza (yane iqlaas) ke saath kiya jae aur Qur’an-o-sunnat se saabit ho aur har wo amal/ibadath/niyyath mardood hai, na-qabil-e-qabool hai jisme ye dono maojood na ho yane iqlaas aur mohr-e-nabuwat…

>Sawaal:- Humare paida hone ka maqsad kya hai???

>Jawaab:- ALLAH(swt) farmate hain: “mainey jinnaath aur insaano ko mahez isi liye paida kiya hai ke wo sirf meri I’baadath karien” [surah zariyath: ayath no. 56].
Toh! Ab…..

>> Kya Allah ne humey paida kar ke yunhi chohrdiya? 
Ke jaao, Jaise chahe meri baandagi karlo? Jaise chahe meri i’badath karlo?

 Jaise chahe mere deen (qur’an aur ahadees) ko samajhlo aur uspar waise hi amal karlo???

“Hargiz Nahiii!”…

>Balke! Allah(swt) ne hamey iska bhi jawaab diya hai magar afsoos, Hum Allah ke kalaam ko samajh kar pardhien tab naa... Allah(swt) hum se kya chahte hain: ke hum uske deen ko kaise samjhien? aur us par kaise amal karien? ye Hamey pata hi nahi...

>Iska jawaab ye hai ke: *hamey deen (qur’an aur sahih ahadees) ko waise hi samajhna hoga jaise ke sahaba(rz) ne samjha, aur us par waise hi amal karna hoga jaise sahaba(rz) ne kiya,,,

 jaise ke hamko pata hai ke aaj ummat may ikhtelaaf(differences) deen ko sahi nahi samajhne ki wajah se hai toh hamko hamari samajh sahi karni hogi aur iske liye HUMKO YAHI SAHABA(RZ) KA MANHAJ (unki SAMAJH, unka TAREEKHA) IKHTIYAAR KARNA HOGA*…

>iska matlab ye hai ke hamey deen ke har mua’mle may sabse pehle toh ye dekhna hoga ke kya ye cheez ya ye amal jo ham deen samajh kar karrahe hain wo waqae deen may hai ya nahi? 

Yane kya ye qur’an aur sahih ahadees may maojood hai ya nahi?... 

phir iske baad agar wo cheez ya wo amal ki daleel (proof/saboot) miljae toh hamey ye dekhna hoga ke sahaba(rz) ka us cheez ya us amal ko lekar kya aqeedah tha aur unki samajh, unka amal, aur unka tareekha kaisa tha…

>SAHABA(rz) HI KYUN??? Deen(quran aur ahadees) ko samajhne ke liye Unhi (sahaba(rz)) ka MANHAJ (yane unhi ka raasta/samajh/fehem/tareekha) kyun???...
>ISKA MUKHTASARAN JAWAAB (daleel/proof) QUR’AAN AUR AHADEES SHAREEF SE MALOOM KARTE HAIN...

>>Daleel (proof) no. 1: Allah(swt) farmate hain:

“agar ‘wo’ ‘TUM’ jaisa emaan laae, to hidaayath paaye, aur agar mu moda to wo sarih eqtelaaf (khuli gumrahi) may hai…”. [surah baqarah: ayath no. 137]…

>WAZAHAT:-
 Is ayath may jo lafz “wo” hai usse muraad HUMSAB (yane mai aur aap aur saari ummat) hai, aur jo lafz “TUM” hai usse muraad SAHABA(rz) hain (kyun ke jis waqt ya jis daur may ye ayaath nazil hue us waqt emaan wale koi aur nahi sirf sahaba(rz) hi they)…

 yane! 
Allah(swt) ne ye sharth rakhi hai ke humsab us waqt tak hidayath par nahi hosakte jab tak ke humsab sahaba(rz) ki tarah emaan na laae, jab tak ke ham deen ke har mua’mle (har aqeedey aur amal) may sahaba(rz) hi ki tarah Aamanna wa sadaqna na kahien aur unhi ki tarah uspar amal na karien…

>>Daleel (proof) no. 2: Allah(swt) farmate hain:

“aur jo muhaajireen aur ansaar (sahaba) sabeq aur muqaddam (first to embrace islam) hai aur jitne log eqlaas (faith) ke saat un ke pairav (followers) hai Allah un sab se raazi hua aur wo sab us-se raazi hue aur Allah ne un ke liye aise baagh tayyar kar rakhe hain jinke neeche nehrien jaari hongi jin mein wo hamesha rahenge, ye badi kaamyaabi hai”. [Surah At-Tawbah: ayath no. 100]...
>Wazahat:- Muhaajireen un sahaba ko kaha jata hai jo makkah se hijrath karke madinah munawwara aaye aur ansaar un sahaba ko kaha jata hai jo pehle se hi madinah munawwara may they... is ayath may waaze’ (clear) hai ke Allah(swt) sahaba(rz) se aur unke pairav (followers) se raazi hai/hoga aur wahi log jannati hain…

>>Daleel (proof) no. 3: Allah(swt) farmate hain:

“jo shaqs raah-e-hidaayath ke waazeh (clear) ho jaane ke baad Rasool (sallallahu alaihi wasallam) ki mukhalifath (nafarmani) kare aur tamaam MOMINO ( yane sahaba) ki raah chohrd kar chaley, hum usey udhar hee mutawajje kar denge (udhar hi laga denge) jidhar wo khud mutawajje hua aur dozakh mein daal denge, wo bahoth hee buri jagah hai”... [Soorah An-Nisaa: ayath no. 115]...

>WAZAHAT:-
 Is ayath may bhi MOMINO se muraad koi aur nahi balke sahaba(rz) hi ki jamaat hai, kyun ke jis waqt ya jis daur may ye ayaath nazil hue us waqt momin koi aur nahi sirf sahaba(rz) hi they aur agar hum ghaur kare toh is ayath may kae nukhte (points) hain jise samajhna behad zaroori hai, jaise ke:

> Point 1). Allah(swt) ne is ayath may waaze’(clear) kardiya ke haq ke waaze’ ho jane ke baad [yane aap ke saamne quran ki koi ayath ya aap(saws) ki koi sahih hadees ajane ke baad bhi (jo ke sahaba(rz) ke manhaj/fehem par samjhi ya samjhae gae ho)] agar aap apne tareekh/amal ko chohrd kar haq ki taraf nahi aae (aur bahane banae) toh thikana jahannam hoga...

> Point 2). Sahaba(rz) ke raaste ko chohrdna khud nabi-e-kareem(saws) ki mukhalifath karna hai...

> Point 3). Agar koi shaks sahaba(rz) ke raaste ko chohrdta hai toh zahir hai ke wo deen par amal karne ke liye koi na koi doosra raasta zaroor apnaega jise wo sahih samajhta hoga, 
toh!
 Allah (rab-ul-izzath) bhi usey us-hi raastey (tareekhe/mazhab) par lagadenge aur wo usey hi sahih samajhta rahega yahan tak ke wo jahannam may chala jaega…

>>Daleel (proof) no. 4 : (Ahadees ke mafhoom se)

>Mash’hoor riwayatien jo har masjid may padi jati hain jis may aap(saws) ne kuch ishi tarah farmaya ke:
1). Yahoodiyaun (jews) ne 71 firqe (sects) banaliye,
 nasraniyon (chiristans) ne 72 firqe banaliye aur meri ummat 73 firqaun may batjaegi… [ba-sanad Hasan: Abi dawood: kitab al-sunnah: ba riwayath Abu huraira(rz) #4596]…

2). …Aap(saws) ne farmaya, Khabardaar! Tumse pehle ahle kitaab 72 firqaun may batgae aur ye ummat 73 firqaun may bat jaegi ,
 72 jahannam may jaenge aur 1 jannat may… (yane saare ke saare jahannam may daaldiye jaenge siwae ek (1) ke)… [ba-sanad Hasan: (Abi dawood: kitab al-sunnah: ba riwayath Abu ‘Amir al-Hawdhani(rz) #4597), (musnad ahmad(4/102))]…

3). (ek doosri riwayath may) Jab aap(saws) se us ek jamaat ke barey may puchagaya (ke wo kaunsi jamaat hogi jo jahannum may nahi daali jaegi aur jannath may daali jaegi) toh aap(saws) ne farmaya ke: wo jamaat, wahi hogi jo us-hi deen par khayam aur dayam rahegi jis par aaj MAI aur mere SAHABA hai… [ba-sanad Hasan: (Tirmizi(5/62)), (Hakim(1/128))]…

4). (is-hi tarah ek aur riwayath may aap(saws) ne naseehat karte hue kuch is-hi tarha farmaya ke) …mere baad aaney wale log kaafi zyada ekhtelaaf dekhenge, toh bas us waqt tum meri sunnat aur mere hidayath yaafta khulafa-e-rashideen (sahaba) ki sunnat ko mazbooti se thaam lena”…
 [ba-sanad sahih: (abi-dawood: kitab al-sunnah: ba riwayath Irbad ibn Sariyah(rz) #4607), (Tirmizi #2676)]…

>WAZAHAT :- 
In ahadees ko samajhna behad zaroori hai: sabse pehle, aap(saws) ne ye kaha ke 73 firqe(sects) honge iska matlab ye nahi ke 73 firqe banao magar yaad rakhiye nabi-e-rehmath(saws) ki zubaan-e-mubarak se siwae haq aur sach ke kuch nahi nikalta, toh agar aap ne kaha ke 73 firqe banege toh wo toh bankar hi rahenge aur un 73 firqaon may se sirf ek hi jannath may jaega,

 yaad rakhien ‘SIRF EK (1)’… aur (qurbaan jaen aap(saws) ki taalimaath par ke aap ne hamey yoonhi nahi chohrd diya balke) saat may aap(saws) ne ye bhi saaf taor par farma diya ke wo jamaat wahi hogi jo us-hi deen par hogi jis par nabi(saws) aur sahaba(rz) they [yane us jamaat ke imam koi aur nahi balke khud aap(saws) honge aur wo jamaat sahaba(rz) ke tareekhe/manhaj/fehem ko hamesha thaamey rahegi yane wo jamaat apna har amal aur har ibadath nabi(saws) ki taalimaath aur sahaba(rz) ke fehem ke mutabiq hi karegi]...

>LEHAZA! DEEN KO SAMAJHNE KE LIYE SAHABA(RZ) KE MANHAJ KO CHOHRDNE SE BADI GHALATI YA BEWAQUFI KOI AUR NAHI HOSAKTI KYUN KE UNKE EMAAN AUR MANHAJ KE HAQ AUR SAHIH HONE KI GAWAHI KHUD ALLAH (rabb-ul-izzath) NE AUR NABI-E-KAREEM (saws) NE DI HAI…

>Toh! Ye thi channd daleelien (proofs) qur’an aur ahadees ki raoshni may: ab iske baad bhi kisi ke zehen may shaitaan phir se ye waswasa daale ke sahaba(rz) hi kyun? Toh unke liye pesh hai kuch “AQLI (logical)”
 daleelien...
>Hamey sahaba(rz) ke tareekhe/manhaj/fehem par isliye chalna chahiye aur zaroori hai kyun ke:
1). jis waqt deen (qur’an aur ahadees) nazil hue wo un-hi ka daur tha aur unhone hi sabse pehle deen seekha aur jis zabaan (language) may deen utra (yane arabi) us zabaan ke wo mahir (expert) they, 
toh unse behtar toh koi aur deen (qur’an aur ahadees) ko nahi samajh sakta.

2). Unhone taleem/ilm seedhe aap(saws) se haasil kiya, aur jiske mu’allim (teacher) khud aap(saws) ho unke gumrah hone ya ghalath hone ka sawaal door door tak paida nahi hota.

3). Ab mera aap se ek sawaal hai: jaise ke aap bhi jaangae ho ke sab firqe qur’an aur hadees ko samajhte hain aur us-hi ke mutabikh apni baat/amal ki daleel bhi qur’an aur hadees se hi dete hain....

 jaise ke... 

Qadriyah, jehmiyah, khawarij, moa’tazila [ye purane daor ke khatarnaak firqe they jo aaj ba-zahir maojood toh nahi hai magar in ke aqaed (beliefs) aaj ke kae sare firqon may paae jatey hain], 

is-hi tarah maojooda daor ke gumrah firqe jaise shiya (raafzi), qadiyani, munkireen-e-hadees...
waghaira waghaira... 
in tamaam baatil/gumrah firqaon ne bhi qur’an aur ahadees ko samajhkar us-hi se apne sahi hone ki daleelien bhi di hain...

 Iske bil-muqabil sahaba(rz) ne bhi deen (qur’an aur ahadees) ko samjha aur us par amal kiya hai...

>Toh ab aap khud bataeye ke aap kiske manhaj (fehem/samajh) ke saath jana chahenge?
 Kaun haqiqat may haq/hidayath par hai?
 Kaun haqiqath may kaamiyaab hai? Kya wo sahaba(rz) ki jamaat nahi???
 “Bila-shuba, be-shak! wo sirf sahaba(rz) hi ki jamaat hai”

>LEHAZA! IN TAMAAM DALEELAON SE YAHI SABIT HOTA HAI KE HUM US WAQT TAK HIDAYATH PAR HARGIS NAHI HOSAKTE JABTAK KE SAHABA(RZ) KE TAREEKHE/MANHAJ/FEHEM PAR NA JAM JAE... SAB TOH DEEN QUR’AN AUR AHADEES HI KO KEHTE HAI PAR PHIR BHI ITNA JO IKHTELAAF HAI WO HAMARE DEEN KO SAHABA(RZ) KI TARAH NAHI SAMAJHNE KI WAJAH SE HAI... 

HUMKO DEEN (QUR’AN aur AHADEES) KO SAMAJHNE KE LIYE SAHABA(RZ) KA FEHEM/TAREEKHA/MANHAJ APNANA LAZIM HAI, BEHAD ZAROORI HAI....
 IS-HI FEHEM KO CHOHRDNE KI WAJAH SE ITNA SARA IKHTELAAF PAIDA HOGAYA HAI (AUR HUMSAB FIRQON(SECTS) MAY BATGAE HAIN AUR HAMSAB MAY ITTEHAAD (UNITY) NAHI HAI)...

>Logon ne sahaba(rz) ke tareekhe, unka manhaj (jo aaj bhi ahadees may puri hifazath se maujood hai) unko chohrd kar deen ko samajhne ke nae nae tareekhe apna liye... jaise ke... 
Kisine, apna dimaag/zehen/logic laga kar samajhne ki koshish ki aur gumrah hogae,
 toh kisi ne ek shaqs ko muta’yin (select) karliya ke ye humko deen (qur’an aur ahadees) ka matlab jaise batlaenge/samjhaenge hum waise hi maanege aur uspar waise hi amal karienge aur wo shaqs unke IMAAM SAHAAB, SHAIK-UL-ISLAM, SHAH SAHAAB, PEER SAHAAB, MOLWI SAHAAB,
 HAZRATH QIBLA...waghaira waghaira... KEHLAE…. 

AUR JAB HUMNEY IN SABSE BINA TEHQEEQ (RESEARCH) KIYE YA BINA DALEEL KE DEEN LENA SHURU KARDIYA TAB SE UMMAT GUMRAHI KA SHIKAAR HOGAE AUR UMMAT KA ZAWAAL SHURU HOGAYA…

>AUR EK HAQIQATH BATATA CHALUN KE HUMKO IN IMAAM SAHAAB, SHAIK-UL-ISLAM, SHAH SAHAAB, PEER SAHAAB, MOLWI SAHAAB, HAZRATH QIBLA… waghaira waghaira... SE KOI PARESHANI HARGIS NAHI HOTI/HOGI MAGAR US WAQT TAK KE JAB TAK YE APNI BAAT KO QUR’AN AUR SAHIH AHADEES KI RAOSHNI MAY SABIT NA KARDIEN JO SAHABA(RZ) KE FEHEM PAR MABNI(BASED) HO, magar afsoos ke inmayse aksar apni hi sonch/samajh ko tarjeeh dete hain (appreciate karte hain)....

>Magar ye baat yaad rakhien ke deen haasil karne aur deen seekhne ke liye in IMAAM SAHAAB, SHAIK-UL-ISLAM, ULAMA-E-KARAAM, AALIM-E-DEEN... 

waghaira waghaira...

 ki bhi behad zaroorath hoti hai kyun ke har insaan may itni salahiyath nahi hoti ke wo deen ke har har mua’mle may khud akela gehri tehqeeq karsake, lehaza kae saare masael may ulama se ruju hona behad zaroori hota hai aur un ulama ki apni ek shaan hoti hai,
 unka apna ek ala mukhaam-o-martaba hota hai aur unki izzat-o-ehteraam karna aur unki baat maanna zaroori hota hai, 

jaisa ke ALLAH(swt) ne farmya:
“aye imaan waalo farma-bardaari karo Allah ta’ala ki aur farma-bardaari karo rasool (sallallahu alaihi wasallam) ki aur tum mein se ‘eqtiyaar rakhne waalon’ ki, phir agar kisi cheez may iqtelaaf karo to usey lautaao, 

Allah ta’ala ki taraf aur rasool(saws) ki taraf agar tumhe Allah ta’ala par aur qayaamath ke din par imaan hai, ye bahuth behtar hai aur ba-etebaar anjaam ke bahuth accha hai”…[surah nisa: ayath no. 59]...

>Is ayath may ALLAH(swt) ne saaf farmadiya ke hamey har haal may ALLAH aur uske rasool(saws) ki ita’at karni hogi aur saat may EQTIYAAR RAKHNE WAALon ki (jisme haakim-e-waqt, khalifa, imaam-e-waqt, auliya Allah, aalim-e-deen, ulama... sab ajaten hain) lehaza unki bhi ita’at karni hogi aur lazim hai…

 LEKIN! In sab ki ita’at Allah aur uske Rasool(saws) ki ita’at ke baad hogi (jaise ke khud tarteeb-e-ayath hai, yane ayath ka sequence hai), AUR ISKE BAAD GHAUR TALAB BAAT JO ALLAH NE IS-HI AYATH MAY KAHI WO YE KE: AGAR UNMAY (yane haakim-e-waqt, khalifa, imaam-e-waqt, auliya Allah, aalim-e-deen, ulama waghaira waghaira may) KOI BHI QISM KA EKHTELAAF PAAE [yane unki koi bhi baat qur’an aur sahih hadees se takrae (jo ba-haisiyath-e-bashar yane aam insaan hone ke naate mumkin hai kyun ke ma’soom sirf farishtey aur ambiya(a.s) hote hain)] TOH USEY ALLAH AUR USKE RASOOL(SAWS) KE PAAS LAUTANA CHAHIYE aur us eqtelaaf ko, us mas’ale ko hal karna chahiye.... 

yane un sab ki ita’at sirf us waqt tak hi jaez hai jab tak ke wo hamey deen/masael “QAAL ALLAH aur QAAL RASOOL ALLAH(SAWS)” (yane qur’an aur sahih ahadees jo sahaba(rz) ke manhaj par mabni ho) ki raoshni may bataen aur samjhaen... aur yahi badi ghalati yahood aur nasara (jews & Christians) ne ki thi ke unhone apne ulama ki har baat ko deen samajh liya tha aur apne ulama se baghair daleel ke deen lena shuru kardiya tha aur shaqsiyath parasti may mubtela hogae they, jisko Allah(rabb-ul-izzath) ne quran may kae jagah bayan kiya: jaisa ke [surah Tawbah: ayath no. 31]

“In logon ney Allah ko chohrd kar apne aalimon aur darweshon ko apna rabb banaliya hai…”
(Is Ayat ko sun kar)
Adiyy Ibn Hatim(rz) ne Nabi-e-kareem(saws) se kaha:-“Yahood-o-Nasara ne to apne UlaMa ki kabhi IBAADAT NAHI ki, Phir ye kyun kaha gaya ke unhone apne UlaMa ko apna RABB banaliya??”...(iske jawaab may)
Nabi-e-kareem(saws) ne farmaya: ‘Unke UlaMa ne’, jis cheez ko Halaal qaraar diya, usko unhone Halaal, Aur jis cheez ko HaraaM kar diya,usko HaraaM hi saMjha, Yehi inki Ibaadat karna hai”… [TirMizi 3095]…

>[yaad rahe ke quran majeed may kae mukhamaat par yahood-o-nasara aur doosri kae saari pichli qaomon ka zikr kiya gaya hai, unke waqiyaath(qisse) aur unke a’amaal bayaan kiye gae hain, aur in sab ko bayaan karne ka maqsad ye nahi ke quran ko mota kiya jae (yane quran ko moti kitaab banaya jae) balke uska maqsad-e-aaien yahi hai ke ham unke un waqiyaath aur a’amaal ko apne liye aina (mirror) banae aur usmay apna chehra dekhien, ke kahin ham may bhi wo buraeyan maojood toh nahi? Aur un tamaam buraeyon se hamesha door rahe]…
Lehaza ye puri baat kehne ka ek hi matlab aur maqsad hai ke hum deen ko sahi tareekhe se samjhien jo wahed sahaba(rz) ka tareekha hai... tabhi saare ikhtelaaf mit jaengen, hum sab ek hojaenge, nek hojaenge aur saari dooriyaan khatam hojaengi jiska nateeja ye hoga ke deen saari duniya par ghaalib aajaega aur humsab duniya-o-aakhirath dono may kaamiyaab hojaenge.... (in sha ALLAH!)…

YAAD RAKIYE: 

jab bhi aap deen ki koi baat kahin pardhien ya kisi aalim se deen ki koi baat suney toh puri tarah se tehqeeq karien, agar wo aapko koi ayath batae toh unse bade adab-o-ehteraam se us ayath ka sahih maena aur mafhoom (jo sahaba(rz) se sabit ho) poochle, agar uspar koi hadees bhi maujood hoto us hadees ki raoshni may bhi us ayath ko samjhane keliye kahiye.... aur agar wo koi hadees aap ko batae toh khud us hadees ko laney wale aur riwayath karne wale allama ki
kigae tashreeh (explanation) puchiye....

>Masalan (for example) agar aalim sahaab aap ko koi hadees-e-shareef sunae aur bole ki : 

“ye (falaan) hadees falaan (xyz) sahabi ne riwayath ki hai aur abi dawood may maujood hai”... toh tab aap unse puchiye ke wo sahabi ne us hadees ke baare may kya kaha? Kya kuch rae/comment diya hai? Aur ye puchiye ke : apni kitaab “abi dawood” may lane wale (likhne wale) khud “abu dawood(rh)” ne is hadees ki kya tashreeh (explanation) ki hai?,

 kya kuch kalaam kiya hai? aur kya rae/comment diya hai? Ke ye hadees sahih hai ya zae’ef ya kuch aur?....

>KYUN KE ALHAMDULILLAH AHADEES AAJ BHI US-HI QADAR MEHFOOZ HAI JIS QADAR SAHABA(RZ), TABAE AUR TAB-E-TABAE KE DAUR MAY THI AUR JIS JIS MUHADDIS NE APNI KISI HADEES KI KITAAB MAY JO BHI HADEES DARJ (record) KI HAI UNHONE YA UNKE BAAD AANEY WALE MUHADDISON NE US HADEES KE SAATH SAATH US KI SANAD (chain of narration/narrators, yane Nabi(saws) se suni hui hadees kis kis shaqs se hote hue hamtak pahunchi, un tamaam logon ka silsila) aur uski HAISIYATH (yane SAHIH, HASSAN, ZAEEF...) AUR USKA BAYAAN (yane EXPLANATION) JO SAHABA(RZ) MAY THA WO BHI DARJ(record) KARDIYA HAI..... aur aaj ke aksar gumrah aalim yahi chupa kar ummat ko gumrah kar rahe hain, bewaqoof bana rahe hain... hoshiyaar rahien... aur baaz masoom logon ko ye
kehkar bhi gumrah kiya jata hai… ke:
“ye dekho ye log hadees ko bhi zaef kehrahe hain, kya Allah ke nabi(saws) bhi zaef baat karte they? nauzubillah”…
>toh! Aise hazraath se arz hai ke: jo koi bhi ye aqeedah rakhta hai ke nauzubillah nabi(saws) zaef baat kehte they toh wo toh mujrim hai, zalim hai, wo emaan wala ho hi nahi sakta, HAMARA TOH YE EMAAN HAI KE AQA(saws) ke zubaan e mubaarak se nikla har lafz HAQ hai SACH hai…

 MAGAR! 

Ye baat har maslak ke ulama jaante hain ke nabi(saws) ke is duniya se tashreef lejane ke baad kae munafiqeen, yahoodiyon aur nasraniyon ne nabi(saws) ke naam par hadeesien ghadna shuru kardi aur ummat ki aksariyath ko iqtelaaf may daal kar gumrah kardiya aur isiliye ahadees jama karne wale muhaddiseen aur usooliyyeen ne ahadees ko parakhne/jaanchne (examine karne) ke liye,
 ke kya ye sach may AQA(saws) ka farmaan hai ya nahi, unhone kae sare usool/qaedey (criteria/rules) bayaan kiye hain jismay se ek ye bhi hai ke: hadees ki sanad may se raawi-e-hadees (wo shaqs jisse hadees suni ho ya mili ho uski seerat (biography) pardte hain aur tehqeeq karke pata karte hain ke jis daur may wo zinda tha us daur ke ahle-ilm ne uske bare may kya raae di hai ke wo kaisa tha) aur agar tehqeeq se ye pata chale ke wo tawheed parast ya muttaqi nahi tha,
 ya jhoota tha, ya pagal tha, ya uski yaad-daash sahih nahi thi (yane kamzoor thi), toh us hadees ko shahih nahi maante aur usey zaef qaraar dete hain kyun ke wo shaqs jhoot, ya hasad, ya pagal pan, ya zehen ki kamzori, 

ya phir apni koi zaati baat manwane ke liye Allah ke nabi(saws) ke naam par jhooti baat bayaan karsakta hai toh lehaza uski baat nahi lijaegi aur uski baat ko ya us shaqs ko zaef kaha jaega naake hadees-e-rasool(saws) ko, kyun ke wo baat Allah ke nabi(saws) ne kahi hi nahi toh nabi(saws) ki baat ko zaeef kehne ka toh sawaal hi nahi hota

 aur YAAD RAKHIYE KE ALLAH KE NABI(SAWS) NE EK HADEES MAY FARMAYA KE:

“JO SHAQS MUJH PAR JHOOT BAANDHE (yane wo baat aap(saws) ke naam se kahe jo aap(saws) ne nahi kahi ho) TOH WO APNA THIKANA JAHANNAM MAY BANALE” [ye hadees sahih al-bukhari: kitab al-ilm may maojood hai]…

Muhaddis kisko kehte hain aur wo kaun hote hain hadeeson ko jaanchne ke usool, paimaney, qaede (criteria/rules) banane wale???

TOH! 
Iska asaan sa jawaab ye hai ke is duniya may kae sare sho’be (fields) hai aur har sho’be (field) ke kuch maahir (experts) hote hain,

 jaisa ke agar koi shaqs tijarath (bussiness) may maahir hoto ham usey tajir(bussinessman) kehte hain aur is-hi tarah agar koi engineering may maahir hoto usey engineer kehte hain aur agar koi dawae(medicine) ya ilaaj may maahir hoto ham usey doctor (ya hakeem) kehte hain is-hi tarah jo shaqs ahadees may maahir hota hai, ahadees ka waseeh ilm rakhta hai usey muhaddis kehte hain, 

jaisa ke hifz karne wale ko hafiz aur deen ka ilm rakhne wale ko aalim kehte hain.. 

aur misaal ke taor par, agar aap ko koi bimaari lahek hojae toh kya aap engineer ke paas uske ilaaj ke liye jaoge? ya ek doctor(hakeem) ke paas? Yane! Jo jis sho’be (field) ka maahir (expert) hota hai ham us sho’be (field) ke masa’el us-hi sho’be (field) ke maahir (expert) se lenge, 

aur wo un masa’el ka hal/ilaaj jo batae us-hi ke mutabikh us par amal karenge naake uski mukhalifath karenge…

>Ek Aur ehem baat ye BHI ke baaz log ya baaz maslak may ye qaeda(rule) hai ke wo log har hadees ko maanne ka jhoota dawa karte hain aur kehte hain ke hum zaef hadees ko bhi maante hain aur uspar amal karte hain… Toh, mai aise hazraath se: sabse pehle toh ye poochna chahunga ke jo muhaddiseen guzre hain (jo ke ahadees ke mahir they) unhone is tarah ahadees may farq kyun kiya? Kyun kisi hadees ko sahih aur kisi ko zaef kaha?...
>unhone ye sirf isliye kiya ke ummat ko pata chaljae ke kaunsi baat ya kaunsi hadees sachchi (sahih) hai aur kaun si ghalath (zaef) hai, aur ummat sahih ko lekar uspar amal Kare aur zaef ko chohrd kar us par amal na kare… aur agar koi ye kehta hai ke hamey zaef ya maozu ahadees par bhi emaan rakhna aur amal karna chahiye toh unko ye baat bhi yaad rakhni chahiye ke aisi beshumar zaef ahadees maojood hain ke agar un par emaan-o-amal kiya jae toh ham emaan se haat do baitheingey islam se bahar hojaenge…
>agar ab bhi baat samajh nahi aae ho toh channd misaalien dekhar baat ko samjhana chahunga ke zaef hadees par amal nahi karna hi behtar aur sahih hai…
>agar aap ek tajir (businessman) hai toh ye sonchiye ke aap ko 2000 rupiye ke saqt zaroorath hai aur aap mujhse maange aur mai aap ko 2000 rupiye dedun, magar saath may ye kahun ke ismay ek 1000 ki note asli hai aur doosri 1000 ki note naqli, par dono note hi hai, toh kya aap maanloge aur naqli 1000 ki note bhi leloge ye sonchkar ke naqli ho toh kya hua note toh hai…?? Nahi! Aap aisa hargiz nahi karoge balke aap sabse pehle toh ye dekhoge ke kya haqiqath may wo note asli hai ya naqli… aur ye pata lagane ke liye ke kya ye note sach may asli hai ya naqli aap us note ko un sare paimanon/qaedon/usoolon par jaanchoge/parkhoge/check karoge jo us note ko chaapne walon ne (print karne walon ne) ya banane walon ne ya us mulk (country) ki sarkaar (government) ne banae honge jahan ki wo note hai… 

yane aap us note par dekhoge ke kya usmay wo saari khoobiyan hain wo saare nishaan (symbols) hain jo asli kehlane ke liye lazmi/zaroori hai aur agar wo saare nishaan (symbols) aur khoobiyaan us note may paejaaen toh aap usko sahih (asli) maan kar qabool karloge aur rakhloge, aur agar wo saare nishaan aur khoobiyaan us note may nahi paejaaen toh aap usey naqli (zaef) maankar usey qabool nahi karoge…

>Aur is-hi tarah agar aap ek talib-e-ilm (student) ho toh ye sonchiye ke aap ke imtehaan (exams) hai aur aap ko subject notes ki saqt zaroorath hai aur mai aap ko kahun ke mere paas 2 notes hain ek class ke zaheen/tez (topper) ke aur ek class ke kamzor (weak/failure) ke toh aap kaunse notes lekar imtehaan may kamiyaab hona chahoge? Ya aap ko kya lagta hai ke kaunse notes pardne se kaamiyabi milna zyada mumkin (possible) hai?.... 

Topper ke notes ya weak student ke notes????? Bila-shuba! Aap topper hi ke notes lena pasand karoge aur weak student ke nahi loge, jabke Weak student ke notes bhi toh notes hi hote hain par un weak students ke notes may wo saari khoobiyan nahi hoti hain jo ek topper ki notes may hoti hain…

>Aur is-hi tarah aap dekhlien ke ham duniya ka koi bhi kaam kare ya koi bhi kharidari kare toh puri jaanch karte hain ke ye cheez, ye product, ye samaan: kahan ka hai? kis ne banaya? kitne ka hai? kaisa hai? Achcha hai ya kharaab hogaya? (date hai ya expire hogaya?), Iski quality kaisi hai? (aur sirf wahi cheez ya wahi samaan lete hain jo sab se achcha ho jiski quality sabse achchi ho)… 
aur is-hi tarah duniya ki koi bhi baat ko bina daleel (proof/saboot) ke nahi maante…
>MAGAR! Afsoos…
KYA (NAUZUBILLAH) SIRF EK ALLAH KA DEEN HI IS QABIL HAI KE ISMAY KOI TEHQEEQ NA KI JAE AUR TAQLEED KIJAE ? (yane AANKH BAND KARKE KISI KI BHI KOI BHI BAAT BINA DALEEL (proof) KE MAANLIJAE)??? YA ISMAY KISI KI BHI GHALATH (ZAEF) BAAT MAANLIJAE JO NA QURAN SE SABIT HO NA SAHIH AHADEES SE ???

 AUR JAB SAHIH (achchi/behtar) BAAT MILRAHI HO TOH USEY CHOHRD KAR GHALAT (zaef/maozu) BAAT PAR YAQEEN AUR AMAL KIYA JAE ??? …

NAHI! HARGIZ NAHI!… (aise logon ko toh Allah se darna chahiye jo: ya toh deen ko nihayath hi haqeer samajhte hain, ya deen ko apni jaagir samajhte hain)…

 LEHAZA!
Ham isi-liye aisi saari hadeeson ko nahi maantey jin may koi bhi qism ka shak (doubt/confusion) ho [yane hadees ki us baat ko un sare qaedon/paimanon/usoolon (rules/criteria) par jaanchte (parakhte/examine karte) hain jo muhaddiseen/usooliyyeen ne banae hain aur agar wo hadees un qaedon/paimanon/usoolon par puri nahi utarti ho toh usey nahi maante] kyun ke kaafi mumkin hai ke wo baat hamare Aqa(saws) ne kahi hi na ho,

 toh lehaza ham sirf Sahih aur Hassan ahadees par hi amal karte hain jo ke un qaedon/paimanon/usoolon par poori utarti hai aur hamare paas uska saboot maojood hota hai (yane sahih sanad maojood hoti hai) ke haan ye baat khud Aqa(saws) ne kahi hai, yane aisi koi baat deen samajh kar hargiz nahi lijaegi jiski koi daleel na ho,
 jiska koi saboot na ho, aur aisa bhi nahi hai ke hamey baaz mas’alon may zaef ahadees ki madad zaroori hai kyun ke Alhamdulillah! Aisa koi mas’ala nahi hai jo Sahih aur Hassan ahadees ki raoshni may hal na hota ho… 

kae ahle-ilm ka yahi kehna hai ke hamari najaat aur kamiyabi ke liye sirf sahih aur Hassan ahadees hi kafi .