Tuesday, December 29, 2015

SHAITAANI WASWASE AUR UNKA ILAAJ

BISMILLAH

Hazrat Abu Hurairah r.a. Se riwayat hai ki Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ne Farmaya, “Beshak! Allah ne meri Ummat ko un waswaso se darguzar farmaya hai, Jo seeno me paida hote hain. Jab tak log un par Amal na kare, ya zubani Izhar na kare.

Sahih Al Bukhari, hadith-2528.

FIQAH Al HADITH:

1.Taibi Sharah Mishkaath me kalam ka khulasa ye hai ke, waswaso ki do qisme hai.

 AWWAL:
Jo baghair ikhtiyar ke, khud bakhud dil me paida hote hai, jis me aadmi ka zaati irada shamil nahi hota. Ye waswasa tamaam shariyato me Qabil e maafi hai.

DUWWAM:
Apne ikhtiyar aur Zaati Irade ke saath Dil me burai ka tasawwur paida karna. Ye waswasa Shariyat e Muhammadiya me is waqt tak qaabil e maafi hai, jab tak is waswase wala, zuban se izhaar ya Jismani Amal na karde.

2.Ummat e Muhammadiya SallAllahu Alaihi wasallam ko sabiqa ummato par Fazilat haasil hai.

Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ki Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ke paas kuch Sahaba r.a. tashreef laaye aur Aap sallAllahu Alaihi wasallam se pucha, “Hum apne Dilo me aisi baate mahsus karte hai jinhe hum bayaan karna bohot bada (gunah ya ghalat kaam ) samajhte hai.”
Aap SallAllahu Alaihi wasallam Ne farmaya,”Kya Tum ne aisa mahsus karliya hai?”
Unhone kaha,”Ji haan.”
Aap SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya,” Ye sareeh (waazeh) Eemaan hai.”

Sunan Abu Dawud, Hadith-5092. Sahih (Shaikh Albani)

FIQAH AL HADITH

1.Bure waswaso se nafrat karna Khalis Eemaan ki nishani hai.

2. Zaati o Khufiya Masail ke liye Ulma e haq ki taraf Rujoo karna, taake wo kitab o sunnat ka hukm batade, bilkul sahih tareeqa hai.

3.Sahaba karam r.a. Imaan ke Ãala tareen darjaat par faaiz the.

4.Bure waswaso se bachne ke liye har waqt Kitaab o sunnat par amal aur azkaar e sahiha o kalmaat e taiyyeba me masroof rahna chahiye.

Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ki Rasool SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya, “Tumhare paas shaitaan aata hai, to kahta hai, Ise kis ne paida kiya?❓ Ise kis ne paida kiya? Hatta ke wo kahta hai ki Tere Rabb ko kis ne paida kiya? ❓
Jab baat yahan tak pohoch jaye to ASTAGHFAAR karna chahiye aur is khayaal ruk Jana chahiye.

Sahih al Bukhari, hadith-3276.

FIQAH AL HADITH

1.Dilo me bure waswase dalne wala shaitaan hai.

2.Bure khayalaat se bachne ka behtareen tariqa ye hai me Aadmi, ÀUOOZUBILLAH padhe, ASTAGHFAAR kare aur dil me ALLAH s.w.t. ka khauf taari kare.

3. Bure khayalaat se bachne ke liye puri koshish karni chahiye warna àin mumkin hai ke ye khayalaat insaan ko Kufr, Shirk aur Gunaah ki taraf fer de aur wo halaak hojaye.

Hazrat Abu Hurairah r.a. se riwayat hai ke Rasool SallAllahu Alaihi wasallam Ne farmaya, “Log ek dusre se Sawal (par sawal) karte rahenge, hatta ke kaha jayega, Allah ne ye makhlooq paida ki hai, pass Allah ko kis ne paida kiya hai? Jo shakhs ye (shaitani waswasa) mahsus kare to kah de, “Main Allah aur us ke Rasool par imaan laaya hu.”

Sahih Muslim, hadith-242.

FIQAH AL HADITH

Shaitani sawalat aur ghalat waswasu se apne ap ko har mumkin tareeqe se bachana chahiye.

NOTE:
COME N JOIN OUR AKHIRAT KI TAYARI BLOG, GROUP, SISTERS GROUP N BROADCAST:

http://akhiratkitayari.blogspot.sg

Whatsapp group join krne kly
Is link FB PAGE INBOX MSG KREIN NAAM AUR PHONE NUMBER
https://www.facebook.com/pages/Akhirat-Ki-Tayari/861927490499974

No comments:

Post a Comment