BISMILLAH IR-REHMAN IR-RAHIM
⚫BISMILLAH IR-REHMAN IR-RAHIM
Allah ta'ala ne farmaya:-
Faz-kuruuniii 'az-kurkum washkuruu lii wa laa takfuruun.
♦Isliye tum mere zikr karo main bhi tumhen yaad karunga meri shukr guzari karo aur na Shukri se bacho.
📖Al-Quran (Surah no 2 Al-Baqrah Ayat no : 152)
Yaaa - 'ayyuhallazina 'aamanuz-kurullaaha zikran-kasiiraa;
♦Momino ! Allah ko kasrat se Yaad karo
📖Al-Quran Surah no 33 Al-Ahzaab ayat no : 41
Wazzaakiriinallaaha kasiiranw-wazzaakiraati 'a-'addallaahu lahum-magfiratanwwa 'ajran 'aziimaa.
♦Aur Allah ta'ala ko ziyada yaad karne wale mard aur bahut ziyada yaad karne wali aurtain, Allah ta'ala ne un ke liye maghfirat aur Ajr-e-azeem tayyaar kar rakkha hai.
📖Al-Quran Surah no 33 Al-Ahzaab ayat no : 35
Wazkur-Rabbaka fii nafsika tazarru-'anw-wa khiifatanw-wa duunal-jahri minalqawli bil-guduwwi wal-'aasaali waa laa takum-minal-gaafi-liin.
♦Aye Insaan ! Apne Rab ko apne dil mein Aajizi se darte huwe zor ki Aawaaz ke bajaae kam Aawaaz se Subah-o-shaam yaad kar aur ghaafilon mein se na ho jana.
Al-Quran (Surah no 07 Al-A'raaf ayat no : 205)
Us Shaks ki misaal Jo Apne Rab ko yaad karta hai aur us shaks ki misaal Jo apne Rab ko yaad nahin karta, Zinda aur murda ki tarah hai
Sahih Bukhari : 6407
Sahih Muslim : 779
Aur sahih Muslim men yeh Alfaaz hain us ghar ki misaal jis mein Allah ko yaad kiya jaata hai aur us ghar ki misaal jis mein Allah ka zikr nahin kiya Jaata, Zinda aur murda ki tarah hai.
Jo Shaks kisi Jagah baithha aur wahan usne Allah ka Zikr nahin kiya to woh Jagah Allah ki taraf se uske liye ba'yise Nuqsaan (ghabrahat wa parishani) hogi aur Jo shaks kisi Jagah leta jahan usne Allah ka Zikr nahin kiya to woh jagah uske liye Allah ki taraf se uske liye ba'yise Nuqsaan (ghabrahat aur parishani) hogi
Hasan Sunan Abi Dawood : 4856, wa Indahu "LA YAZKURU"
As-Sunan Alkubra Lil-Nasai 1/237.
Aap sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya:-
Kiya main tumhen tumhare A'amaal mein se behtareen (amal) ke baare mein na bataoun, Jo Tumhare maalik ke nazdeek pakeezah tareen, Tumhare darjaat men buland tareen,
Tumhare liye sona chandi kharch karne se achchha aur Tumhare liye iss baat se bhi behtar ki Tum apne dushman se Aamna saamna karo to Tum un logon ki gardanein maaro aur woh Tumhaari gardanein maarin. Sahaaba (r.a) ne kaha : kyun nahin bataieye Aap ﷺ ne farmaya" Allah Ta'ala ka zikr
Isnaadahu Hasan
Tirmezi : 2377
Ibne Maaja : 7390
Aap sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya:-
Allah Ta'ala farmate hain : main apne baare mein apne bande ke gumaan ke mutaabiq hoon, Jab woh mujhe yaad karta hai to main us ke saath hoata hoon.
Agar woh mujhe apne dil mein yaad karta hai to main use Apne dil mein yaad karta hoon
Agar mujhe kisi Jama'at mein yaad karta hai to main use usse behtareen Jama'at men yaad karta hoon
Agar woh baalisht bhar mere Qareeb aaye to main ek haath uske qareeb aata hoon
Agar woh ek haath (ke faasle ke baraabar) mere qareeb aaye to main do Haath (phailane ke faasle ke baraabar) uske qareeb aata hun
Agar woh chlata huwe mere paas aaye to main daudta huwa uske paas aata hoon.
Sahih Bukhari : 7405 "Wallafzu lahu wa indahu "Shabran ilaa"
Sahih muslim : 2675
Abdullah bin Busr (r.a) ne marvi hai ke Ek Aadmi ne kahaa:-
Aye Allah ke Rasool ! Mujh par islaam ke ahkamaat Bahut ziyaadah ho chuke hain, Aap mujhe koyi Aise Aamal ke baare mein bataiye Jis par main Mazbooti se (mustaqil mizaaji ke saath) amal kar sakun. Aap ﷺ ne farmaaya :- Tumhaari zabaan Hamesha Allah ke zikr se Tar rahe.
Isnaadahu Hasan
Sunan Tirmezi : 3375
Ibne Maajah : 3793
Aap salallahu Alaihi wasallam ne farmaya:-
Jis shaks ne Kitabullah se ek harf padha, uske liye uske badle mein ek neki hai, aur ek apne jaise dus nekiyon ke baraabar hai (yani dus guna ajr milega) main nahin kahta ki alif ek harf hai lekin ek harf hai laam ek harf hai aur meem ek harf hai.
Isnaadahu Hasan,
Sunan Tirmezi : 2910
Uqbah bin Aamir (r.a) se marvi hai unhon ne kaha ki hum safar mein the Rasool ﷺ bahaar aaye aur kaha :-
Tum mein se kaun hai jise pasand ho ki woh bathaan ya Aqeeq (do wadiyon ke naam) ki taraf savere jaye aur bade bade kuhaanon wali do Ountniyan baghair gunah kiye aur baghair qata rahmi ke liye aaye. Hum ne kaha aye Allah ke Rasool ! Hum sab yeh baat pasand karte hain.
Aap sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya:-
Kiya tum mein se koyi shaks aisa nahin Jo subah savere masjid ki taraf aaye aur Allah Azzawajal ki kitab ki do Aayaat Seekhe ya padhe yeh uske liye do Ountniyon se behtar hai aur teen Aayaat teen Ountniyon se behtar hain aur chaar Aayaat chaar Ountniyon se behtar hain Aur jitni hi Aayaat hongi utni hi Ountniyon se behtar hain
Sahih Muslim : 803
Jo Qaum kisi aisi majlis se uthhti hai jis men unhon ne Allah ka zikr nahin kiya hota to gadhe ki sadi huyi Laash jaisi cheez se uthhti hai aur yeh majlis unke liye ba'yise hasrat hogi
Isnaadahu Sahih
Abu Dawood : 4855
Musnad Ahmed 2/224
Source : Hisnul Muslim
استغفر الله الذي لا إله إلا هو الحي القيوم وأتوب إليه
Astaghfirullah Allazi La ilaha illa Huwal Hayyul Qayyum wa Atubu ilayh
Abu Huraira Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tum mein se jab koi tauba ( Astigfar) karta hai to Allah taala us sey itna ziyada khush hota hai jitna koi tum mein se apna ghuma hua janwar (camel) paaney se khush hota hai.
Sahih Muslim , Vol6, 6953
Astaghfirullah Allazi La ilaha illa Huwal Hayyul Qayyum wa Atubu ilayh
Abu Huraira Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tum mein se jab koi tauba ( Astigfar) karta hai to Allah taala us sey itna ziyada khush hota hai jitna koi tum mein se apna ghuma hua janwar (camel) paaney se khush hota hai.
No comments:
Post a Comment