Thursday, February 4, 2016

BEAUTIFUL HADITHS (MUST READ)






BISMILLAH


JIS RAASTE PAR CHALA JAYEGA USIKI MANZIL PAR PAHUNCHEGA


Hazrat Sayyedna yazeed bin mursad Razi ALLAH'U anhu bayan karte h k Rasool ALLAH sallallahu alaihi wasalam ne farmaya "jaise kanto se angor nahi chune jate usi tarah nek badho ki jagah mein nahi jayenge jis raaste par chalna chahte ho chalo lekin (itna yaad rakho k) Jo b raasta iqthyar karoge usi par chalne walon k paas pahunch jaoge.

(ibne asakir 193/71)


NOTE:

Insan ko chahiye k nekiyo wala raasta iqthyar kare taa k wo nek logon k paas pahunch Jaye kyun k nek aur badh ka anjam eksa nahi hoga

-----------------------------------------------------------------------

IMAN KHAUF AUR UMEED KA NAAM HAI


Hazrat Sayyedna Abdullah bin Umar Razi ALLAH'U anhu se riwayat h k Rasool ALLAH sallallahu alaihi wasalam ne farmaya "Agar tumhe ALLAH tala ki rehmat (ki wusat) ka andaza hojaye to tum tawakal (kar k bait jao aur) koi amal na Karo aur agar tumhe uski gazab ka andaza hojaye to (tum samjo k) tumhe koi amal nafa nahi dega.(al bazar al kashf 3256)


NOTE:

Momin wo hai Jo ALLAH tala ki rehmat ki umeed rakhta hai aur uske gazab se darta hai.


---------------------------------------------------

LOGON MEIN SABSE BEHTAR KAUN?


Abdullah Bin Umar RadhiAllahu Anhu se marwi hai, kehte hain Nabi Sallalahu Alayhi Wasallam se sawal kiya gaya, kaun se log bahut behtar hain? Aapne farmaya: Jo unmein se akhlaaq ke lehaz se bahut achhe hain.

[Takhreej: As-Saheehah 1837, Tabranee 13326]


Abu Darda' RadhiAllahu Anhu Nabi Sallalahu Alayhi Wasallam se riwayat karte hain Aap Sallalahu Alayhi Wasallam ne farmaya: Tarajoo mein sab se bhari amal, achha akhlaaq hai.

[Takhreej: As-Saheehah 876, Abu Dawud 4799, Tirmizi 2002, 2013; Ahmad 6/446, Al-Adab al-Mufrad 270, 464]


Rishtedari Jodne ka hukum


Abdullah Bin Masood RadhiAllahu Anhu se riwayat hai is ko Rasool Allah Sallalahu Alayhi Wasallam se bayan karte hain, Aap ne farmaya: Tum Allah se daro aur sila rehmi karo.

[Takhreej: As-Saheehah 869, Tarikh e Dimashq li Ibn Asakir (59/232)]

---------------------------------------------


Hazrat Syedna Abdullah Bin Umar RadhiAllahu Anhu se riwayat hai ki Rasool Allah Sallalahu Alayhi Wasallam ne farmaya: "Allah Taala ki nematon mein gaur wa fikar karo aur Allah Taala ki zaat mein gaur wa fikr mat karo".


Silsilah as-Saheehah:1788

[Takhreej: Rawahu Tabranee fee al-Ausat: 6456, wa al-Lalka'ee fee as-Sunnah: 1/119/1_2, wa al-Bayhaqee fee Shaubul Imaan: 1/75


Musalman ko takleef pahuchana


Hazrat Abu sirmah radhi ALLAH anhu se riwayat hai ke rasul ALLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya, "jis ne kisi musalman ko zarr pahuchaya, ALLAH TA'ALA use zarr dega aur jis ne kisi musalman ko mashaqqat me mubtila kiya, ALLAH TA'ALA use mashaqqat aur musibat me mubtila farmayega."


Ise Abu dawood aur tirmizi ne riwayt kiya hai

Bulugh almaram h (2/1297)


NOTE


Is hadis se ye malum hua ke jis kisi ne musalman ko maali wa jaani nuqsaan aur izzat wa aabroo me naahaq takleef di ALLAH TA'ALA usi jaisi takleef aur mashaqqat us par daal dega aur use usme mubtila farma dega. Har shakhs ko apne musalman bhai ko naahaq takleef dene aur uske sath naahaq ladai jhagda karne aur naahaq zulm karne se bachna chahiye aur ye yaad rakhna chahiye ke uske badle me ALLAH TA'ALA usko waisi hi takleef me mubtila kar dega. ALLAH hum sab ko apne musalman bhai bahno ke sath husne sulooq karne ki taufeeq de. AMEEN YA ALLAH

------------------------------------------------------------

US SHAKS K LIYE HALAQAT HAI


Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya:

ويل للذي يحدث القوم ثم يكذب ليضحكهم ويل له وويل له

“Us shakhz k liye halaqat hai jo baat karte waqat jhoot bolta hai ta’kii wo us k zareye logu ko hansaye toh us k liye halaqat hai, us k liye halaqat hai”

{Tirmidhi (Hadith no.2315), Abu Dawud (Hadith no.4990), Darmi (Hadith no.2705), Masnad Ahmad (Hadith no.20333 ya 20035), Sanad Hasan}

-----------------------------------------------------------------------------------------------------------

⭐SHAITAAN INSAAN K PAAS GUNAH AUR NEK DARWAZY SE ATA HA

Hazrat Ibn Abbas (radiallahu anhu) ne farmaya:

أخبرنا عيسى بن يونس نا بن جريج عن عطاء قال سمعت بن عباس يقول : عجبا لترك الناس هذا الإهلال ولتكبيرهم ما بي إلا أن يكون التكبيرة حسنا ولكن الشيطان يأتي الإنسان من قبل الإثم فإذا عصم منه جاءه من نحو البر ليدع سنة وليبتدع بدعة

“Shaitan Insaan k pass gunaha k darwazy say aata hai, jab wo is say bach jaye toh wo is k pass neki k darwazy say aata hai, taaki wo sunnat ko chood kar bida’at apnalay ”
{Masnad Ishaq Ibn Rahwayh, Jild no.1, Safa no.426, Hadith no.489/482, Sanad Sahih}

----------------------------------------------------------

MOMIN KI (FITRATI) SIFAT KA BAYAN

Hazrat Ibne abbas Razi ALLAH'U anhu se riwayat hai kehte hai Rasool ALLAH sallallahu alaihi wasalam ne farmaya "Beshak Momin fitne mein dala gaya bahut zyada tauba karne wala, bahut zyada bholne wala paida kiya gaya hai jab usey naseehat ki Jaye wo naseehat qubool karleta hai.
(Tabrani fi al kabir 10666)

Basa awkat na chahte Momin fitno ka shikar hojata hai ahtiyat k bawajood bhatak jata hai baher Surat Momin naseehat ko qubool karne wala aur bar bar tauba karne wala hota hai jab k fasik wa fajir ziddi aur hatdharm hota hai

---------------------------------------------------------------------------------------------------

Hazrat Abu huraira (Rz.A.) se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihe Wasallam Apni waldah ki qabr par Aaye to ro padhe aur Aap k ird gird saathi bhi ro diye - to Rasool Allah Sallallahu Alaihe Wasallam ne farmaya : Maine Apne Rab ta'ala se ijazat chahi k us k liye bakhshish ki dua karo magar mujhe ijazat nahi di gai - phir maine ijazat chahi k us ki qabar ki ziyarat karlu to mujhe ijazat dedi gai - Chunancha tum bhi qabro ki ziyarat kiya karo, Bila shuba is se maut yaad Aati hai.
Sunan Abu dawood : 3234 Sahih Albani

⤴⤴⤴Is hadith se 3 masle malum hue

1.Jo shirk pe mare ho unke liye dua e magfirat nhi ki ja skti chahe wo ap ke waliden hi kyu na ho

2. ke qabro ki ziyarat kro kyuki qabr maut KO yaad dilati h

3.ALLAH o Akbar wo sahaba ko malum hi nhi kyu ro rhe bs nabi sallallahu alahi wa sallam ko rote dekhte hi wo bhi rone lge ALLAH hu Akbar kya ittaba krte h ALLAH ke rasool sallallahu alahi wa sallam ki
ALLAH hame bhi aisa ittaba krne wala bana
Ameen ya Rabbalameen


-----------------------------------------------------


NAMAZ MAIN PARNE KI DUA

Hazrat Abu Bakr Siddiq Radhi Allahu Anhu ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se kaha ki mujhe aisee Dua sikha dijiye jo main namaz mein Parha karu to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye Padha karo

اللَّهُمَّ إِنِّي ظَلَمْتُ نَفْسِي ظُلْمًا كَثِيرًا، وَلاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ
فَاغْفِرْ لِي مِنْ عِنْدِكَ مَغْفِرَةً، إِنَّكَ أَنْتَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ

“Allahumma inni zalamtu nafsi zulman kathiran wala yaghfirudh-dhunuba illa anta, Faghfirli maghfiratan min indika war-hamni, innaka antalGhafur-ArRahim."

TARJUMA
( Eh ALLAH maine Apni jaan par bahut zulm kiya hai aur gunahon ko tere siwa koi maaf nahi karta meri maghfirt kar aisee maghfirat jo tere pass se ho aur mujh par raham kar beshak tu bada maghfirt karne wala aur Raham karne wala hai)

NOTE:


📝NOTE:Ulma kahte hain ki ye dua Namaz mein aakhri rakat mein Attathiyat ( tashahud) aur durud Ibrahim parhne ke baad parhni chahiye )

------------------------------------------------------------------


Hazrat Abu Hurairah Radi ALLAHU anhu se rivayat hai ki RasooLULLAH SallALLAHU alaihi wasallam ne farmaya bani israil mein do shaksh they inmein se ek to Gunaahgar tha aur dusra Ibadat mein koshish karney wala tha , Ibadat ki koshish karney wala hamesha dusrey shaksh ko guaah karta hua hi dekhta tha aur us sey kahta tha ki in gunaaho se ruk ja. Ek roz usney (ibadat guzar ne) usey koi gunaah kartey huye paya to us sey kaha ki is sey ruk ja to gunaahgar ne kaha ki mujhe mere RAB ke saath chorh de , kya Tu mujh par Nigahban bana kar bheja gaya hai ? usney kaha ki ALLAH ki kasam ALLAH subhanahu teri maghfirat nahi karengey ya kaha ki ALLAH subhanahu tujhe jannat mein dakhil nahi karengey phir un dono ki rooh Qabz kar le gayee to dono ki roohain Rabbul to Allah subhanahu ne Aabid ( ibadatguzar) se farmaya ki kya tu us cheez par Qadir hai jo mere qabzey kudrat mein hai, aur gunaahgar se farmaya ki ja jannat mein dakhil ho ja meri rahmat ke badaulat aur dusrey se farmaya ki usey jahannam ki taraf le jao, Abu Hurairah Radi allahu anhu farmatey hai ki Qasam hai us zaat ki us Aabid ( ibadatguzar) ne aisa kalma kah diya jisney uski duniya aur aakhirat dono tabah kar di. (Sunan Abu Dawud, Vol3, 1469)

No comments:

Post a Comment