Thursday, February 4, 2016

EMAAN KAMZOR HONE KA ALAMAT'EN

BISMILLAH

Eman ka Badna aur kam hona yeh hamare Aqidomese ek Aqidah hai. Beshak, Iman ka badna aur kam hona har musalman ke saath hotha hai, magar Momin wo hai jo Iman ko kabhi kam nahi hone dete. Agar kam bhi ho tho Wo uske liye raaste nikallete hai.

Aur Imaan ki jagah DIL hai, aur iski hifazat bhi har ek Musalman par laazim hai. Jaise ke Hamare Nabi Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya...

“ Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam ne apne Seene ke taraf Ishaara karke 3 dafa farmaya ke “ Taqwaa aur Hifaazat idhar hai “
(Muslim (2/317) with Nawawee).

IMAAN KYA HAI ❓

Nabi E kareem Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya...

‘Eimaan ye hai ki tum ALLAH ko, Uske Farishto, Uski Kitaabon, Uske Rasoolo, Qayamat ke din ko dil se maano Aur us baato par yaqeen rakho ki bura ya bhala jo kuchh paish aata hai wo sab taqdeer ke mutabik hai. "

[Sahih Muslim, JILD # 1, Safa # 27 ]

Allah tala Quran me Farmata hai ke..

"يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُواْ ادْخُلُواْ فِي السِّلْمِ كَآفَّةً وَلاَ تَتَّبِعُواْ خُطُوَاتِ الشَّيْطَانِ إِنَّهُ لَكُمْ عَدُوٌّ مُّبِينٌ”

‘ Aye Eman walo ! Islam me poori tarah Dakhil hojao, aur Shaitan ke nakhshe khadam par mat chalo, Beshak ! Wo Tumhara khula Dushman hai. “

Jo ALLAH ke raaste par chalte hai wo ALLAH ke hothe hai aur jo Shaitan ke raste par challenge tho unke liye Jahannum muqarrar hai.

Tho ek dafa hame zaroor sonchna chahiye ke Hammese kitne hai jo Islam me poori tarah daakil hai ?❓

Thoda ALLAH ki maante hai tho, Thoda Shaitaan ka.. Kabhi kuch cheezome Deendar tho kuch cheezome be-deen, kuch ibadate waqti taur par tho kuch ibadatome kuch bhi nahi..Halanke Allah ne khule taur par Farmaya ke Shaitaan tumhara khula dushman hai.

Magar afsos..❗

Ham Shaitaan par Lanat bhejte hai, magar hamara kaam kya hai ?❓
Uske waswasonse bachna hai.

Jab Hamara Iman kamzor hotha hai tho Amalome Kothahi hothi hai, aur dheere dheere ham iske lazzatome aajate hai, aur ek chota aml bhi hame aisa lagta hai jaise goya koi pahad utharahe ho.

Hame pahle malum hona chahiye ke hamara Iman kamzor honeke kya wajah hai tho fir ham uske liye ilaaj dhoondsakte hai, agar jisme Iman kamzor hone ki wajah ko malum karne ki salahiyat hi na ho tho yeh bahuth hi bada khatra hosakta hai.

💠💠💠💠💠💠💠💠💠
AIYE IMAN KAMZOR HONE KE KUCH NISHANIYA DEKTE HAI

1. IBADATH’E SAHIH TAUR PAR NAHI KARNA

Ibadat mai aise ke NAMAZ. Namaz me Khushu nahi hothi hai.

Awwalan hamme kitne hai jo 5 waqt ki namazon ki pabandi karte hi nahi, aur jo karte hai wo bas naam ke liye.

Allahutala Quran me Farmata hai ke..

الَّذِينَ هُمْ فِي صَلَاتِهِمْ خَاشِعُونَ ﴿١﴾ قَدْ أَفْلَحَ الْمُؤْمِنُون

“ Beshak Momin Kamiyab Hogaye Jo Apni Namaz Qhushoo Aur Qhuzoo Ke Saath Ada Karte Hain “
📖[ SURAH AL MOMINOON 1 & 2 ]

HADITH

Umar bin Qhattab Radiallahu Anhu se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ke..

‘Ehsaan ye hai ke tu Allah ki ibaadat is tarha (dil lagakar) kar jaise to is ko dekh raha hai aur agar ye na hosake to ye qhayal karke Allah Ta’ala tujhe dekh raha hai.’

[ Sahih Bukhari: al Eman 50 – Muslim # 8 ]

Malum pada ke Hame Namaz qushoo ke saath ada karna hai magar ham kya karrahe hai ? ❓

Namaz padte hai tho koi lazzat nahi, Goya aisa ada karte hai jaise k yeh ek formality hai, Aisa karnese Shayad hi iska sawab mile magar iske Faidah nahi milpayega.

Aur aise logonke baareme ALLAH quran me farmata hai ke…

إِنَّ الْمُنَافِقِينَ يُخَادِعُونَ اللّهَ وَهُوَ خَادِعُهُمْ وَإِذَا قَامُواْ إِلَى الصَّلاَةِ قَامُواْ كُسَالَى يُرَآؤُونَ النَّاسَ وَلاَ يَذْكُرُونَ اللّهَ إِلاَّ قَلِيلاً

“ Munafiq in Chaalonse apne nazdeek ALLAH ko dhoka dete hai, Yeh USKO kya dhoka denge wo iniko DHOKE me Dalne wala hai, AUR JAB YEH NAMAZ KO KHADE HOTHE HAI THO SUST AUR KAAHIL HOKAR sirf LOGONKE DIKHAANEKO aur ALLAH KO YAAD HI NAHI KARTE MAGAR BAHUTH KAM. “

ALLAH O AKBAR ❗

Ab thoda ham sonchle ke ham kis tarah ki namaz ada karrahe hai ?❓

Aur Namaz ke talluq se Iman kamzor ki alamat yeh hai ke Ham jaanboochkar Namaz Ba-jamat ya Waqt par ada nahi karte . Yehbahuth hi buri adat hai. Aur ispar hame kisi tarah ki afsosi nahi hothi, aur ek Takabbur aur Ummid me rahjaate hai ke ham sahih namaz ada karrahe hai tho kya hua agar der se hi ada kare ya Ba-jamat se ada kare ?❓

Aur Yeh Adat dheere dheere Be-Amli par dalsakti hai.

2. QURAN PADNE PAR YA SUNNE PAR KUCH ASR NAHI HOTA

Quran wo hai jo Duniyako Andhere se nikalkar Roshni taraf rahnumayi karta hai. Yeh Quran Momin ke liye ek NOOR hai, yeh Quran jo koi bhi DIL lagakar Sunta hai tho wo apne Rabb ko jaanta hai aur uske dil me TAQWA badta hai, aur wo saccha Musalman banta hai.

Tho hammese kitne hai jo Quran sunkar bhi uspar Tawajjuh nahi dete ?❓

Quran padte tho hai magar bagair tarjumeke ? ❓
Tho kahase malum padega ke Quran se ALLAH hame kya kahraha hai ?? Pahli baat ke padte hi nahi, agar koi doosra padta hai tho kuch asr hi nahi, aur ham padte bhi hai tho uska tarjuma malum karne ki koshish nahi karpate, Sawab shayad mil bhi jaata ho magar faidah haasil nahi hotha.

Allah Tala Quran me Farmata hai ke..

“لَوْ أَنزَلْنَا هَذَا الْقُرْآنَ عَلَى جَبَلٍ لَّرَأَيْتَهُ خَاشِعًا مُّتَصَدِّعًا مِّنْ خَشْيَةِ اللَّهِ وَتِلْكَ الْأَمْثَالُ نَضْرِبُهَا لِلنَّاسِ لَعَلَّهُمْ يَتَفَكَّرُونَ

“ Agar ham yeh QURAN kisi pahad par naazil karte tho tum usko dekte ke ALLAH ke khauf se daba aur phata jaata hai, Aur yeh Misaale ham logonke liye bayan karte hai taake wo GAUR kare. “
📖[ Surah Al-Hashr # 21 ]

Quran ko sunne ke baad MOMIN ka taqwa buland hotha hai, aur isse hidayat ki talab karta hai, aur isme ALLAH ke Hukm ko manta hai.

Allah tala Quran me farmata hai ke..

اللَّهُ نَزَّلَ أَحْسَنَ الْحَدِيثِ كِتَابًا مُّتَشَابِهًا مَّثَانِيَ تَقْشَعِرُّ مِنْهُ جُلُودُ الَّذِينَ يَخْشَوْنَ رَبَّهُمْ ثُمَّ تَلِينُ جُلُودُهُمْ وَقُلُوبُهُمْ إِلَى ذِكْرِ اللَّهِ ذَلِكَ هُدَى اللَّهِ يَهْدِي بِهِ مَنْ يَشَاء وَمَن يُضْلِلْ اللَّهُ فَمَا لَهُ مِنْ هَادٍ

“ ALLAH ne nihayat acchi baaten naazil farmayi hai, YAANI KITAAB jiski Ayaten baham milti julti hai aur dohrayi jaati hai, jo log apne Rabb se darte hai uske badan ke romte usey sunkar khade hojaati hai fir uski khaale narm hojaati hai aur dil bhi naram hokar ALLAH ki yaad ki taraf mutawajjeh hojaate hai, yahi ALLAH ki hidayat hai, Wo Isse jise chahta hai Hidayat deta hai aur jisko ALLAH gumrah rahnede usko koi hidayat dene wala nahi

📖[ Surah Az-Zumar # 23 ]

1 comment:

  1. Assalam-O-Alaikum
    Allah has made it obligatory for all the Muslims to perform Hajj at-least once in their lifetime. As mentioned by Allah in the holy Quran “And pilgrimage to the House is a duty unto Allah for mankind, for him who can find a way thither” (Aal Imran 3:97).
    if you are from Muslim Community of UK and want to make your journey comfort towards MAKKAH for Umrah or Hajj then choose our
    Cheap Hajj & Umrah Packages 2017.

    ReplyDelete