Thursday, February 4, 2016

SUN'NAT O QURAN KI ROSHNI MEIN

BISMILLAH IR-REHMAN IR-RAHIM


Musalmano kharbardaar raho main yani Nabi sallAllahu Alaihi wasallam Quran diya gaya hun , or uske saath usi darze ki ek or chiz yani Sunnat yani Hadees bhi diya gaya Hun
Abu Daood , kitab us Sunnati 4604 , Ibn Hibban 97 , Ibn Hibban ne isse sahi kaha hai

1. - Deen ke mamlon mein Nabi saw ke Hukm par Amal karna Farz hai

Aye Imaan walo Allah or uske Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ki ittat farmabardaari karo or baat sun lene ke baad usse munh na phero
📖Surah 8 al-Anfal ,Aayat no 20

Aur Namaz padhte raho or zakat dete raho or Rasool saw ka ittat farmabardari karte raho taake tum par rahem kiya jaye
📖Surah 24 an-Noor ,Aayat no 56

Aur jo shakhs Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ki ittat farmabardaari karega to beshak usne Allah ki farmabardaari ki or jo nafarmani kare to aye Rasool saw Aap ko Allah ne unka nigehbaan bana kar nahi bejha.
📖Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 80

Aur Allah or uske Rasool saw ki ittat farmabardaari karo taake tum par rahem kiya jaye.
📖Surah 3 ale-Imran ,Aayat no 132

Aye Imaan walo Allah or uske Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ki ittat farmabardaari karo or jo tumme se jo sahib e hukoomat hain unki bhi , or agar kisi baat mein tum mein ikhtilaf waqe ho to agar Allah or roz e aakhirat par imaan rakhte ho to usse Allah or uske Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ke hukm ki taraf rujoo karo , yeh bohat achchhi baat hai or anjam ke aithbaar se bhi behtar hai ,
📖Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 59

Tumhare Rab ki Qasam yeh log jab tak apne tanazat mein Aap ko Hakim faisla karne wala na maanle , or jo faisla Aap kardo usse apne dil mein tangi na kare balke usko khushi se maan lein tab tak momin nahi honge
📖Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 65

Aye Imaan walo Allah ka farmabardaari karo or Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ki ittat karo or ittat karne se hat kar apne amalon ko zaya barbad na hone do. ðŸ“–Surah 47 Muhammad ,Aayat no 33

Jo chiz tumhe Rasool sallAllahu Alaihi wasallam dein woh le lo or jis chiz se Rake usse rukh jaao , or Allah se darte raho , beshak Allah sakht azaab dene wala hai ðŸ“–Surah 7 al-Hashr ,Aayat no 7

2.-Nabi sallAllahu Alaihi wasallam ki ittat karna kaamyabi ki jaamanat hai

Momino ki to yeh baat hai ke jab Allah or uske Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ki taraf bulaye jaye taake unme faisla karen to kahen ke humne hukm sun liya or maan liya ,or yahi log falah paane wale hain.
📖Surah 24 an-Noor ,Aayat no 51

Aur jo shakhs Allah or uske Rasool ki ittat farmabardari karenge usse darega to aise hi log murad ko pahonchne wale hain.
📖Surah 24 an-Noor ,Aayat no 52

Allah sab aamal durust kar dega or tumhare gunah bakhsh dega , jo shakhs Allah or uske Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ki ittar farmabardari karega to beshakh badi kaamyabi hasil ki📖Surah 33 al-Ahzab ,Aayat no 71

Tamam ahkaam Allah ki hadein hain or jo shakhs Allah or uske Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ki ittat farmabardaari karega , Allah usko bahiston jaannat mein dakhil karega jinme nehrein beh rahi hain , woh unme hamesha rehenge or yeh badi kaamyabi hai.
📖Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 13

3.- Allah or Rasool saAllahu Alaihi wasallam ke hukm ke mutabik kiye gaye amal ka pura badla milega

Aur agar tum Allah or uske Rasool ki ittat farmabardarit karoge to Allah tumhare aamal ke azr wo sawab mein se Allah kuch kami nahi karega , beshak Allah bakhshne wala meherbaan hai .📖Surah 49 al-Hujurat ,Aayat no 14 ,

4.-Nabi sallAllahu Alaihi wasallam ki ittat mein Gunah ki maafi

Aye Nabi sallAllahu Alaihi wasallam logon se kahdo ke agar tum Allah ko dost rakhte ho to Meri pairvi karo Allah bhi tumhe dost rakhega or tumhare gunah maaf kar dega or Allah bakhshne wala meherbaan hai ðŸ“–Surah 3 ale-Imran, Aayat no 31

5.- Allah or Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ka farmabardari karne wala Nabi , Siddiq , Shuhada , Saaliheen mein rahega

Aur jo log Allah or uske Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ki ittat farmabardaari karte hain to woh Qiyamat ke raz un logon ke saath honge jin par Allah ne bada fazl kiya yani Ambiya or Siddiq Shaheed or saaliheen Nek log or un logon ki rifaqat sangat bohat hi aacha bohat hi khoob hai
📖Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 69

6.-Allah or Rasool sallAllahu Alaihi wasallam par Imaan lane ke bawazud kuch log Amal mein Allah or Rasool sallAllahu Alaihi wasaallam ka Hukm nahi mante aise log momin nahi

Aur Ba'z log kahte hain ke hum Allah or Rasool sallAllahu Alaihi wasallam par Imaan laye or unka Hukm maan liya , phir iske baad unme se ek firqa phir jata hai or ye log sahib e Imaan Momin hi nahi hain.

Aur jab unko Allah or uske Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ki taraf bulaya jata hai taake Rasool saw umka bahami mamlaat qazya chhora de faishla kar de to unme se ek firqa munh pher leta hai
📖Surah 24 an-Noor, Aayat no 47-48

Aur jab unse kaha jaata hai ke jo hukm Allah ne nazil farmaya hai uski taraf rujoo karo or Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ki taraf aao to munafiqon ko dekhte ho ke Aap se aitraz karte hai or ruke jaate hain
📖Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 61

Kahdo Nabi sallAllahu Alaihi wasallam ke Allah or uske Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ki Ittat farmabardaari karo , agar na maane to Allah bhi khafiron ko dost nahi rakhta pasand nahi karta
📖Surah 3 ale-Imran ,Aayat no 32

7.-Allah or Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ka ittat farmabardaari na karne ka natiza apsi fut or ladai o jhagda hai

Aur Allah or uske Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ke hukm par chalo or aapas mein jhagda na karna ke aisa karoge to tum buzdil ho jaoge or tumhara hawa ukhad jayega or sabr se kaam lo ke Allah sabr karne walo ka madadgaar hai.
📖Surah 8 al-Anfal ,Aayat no 46

8.-Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ke hukm ke maauzudgi mein kisi dusre ka hukm par amal karne ki Deen Islam mein koi gunjaish nahi , Allah or Rasool saw ki na farmani gumrahi hai

Aur kisi Momin Mard or Momin Aurat ko yeh haq nahi hai ke jab Allah or uska Rasool sallAllahu Alaihi wasallam koi AMR faisla muqarrar kar de to woh us kaam mein apna bhi kuch akhtiyar samjhein , or jo koi Allah or uske Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ki nafarmani kare woh sahi mein gumrah ho gaya khuli gumrahi mein ja pada.
📖Surah 33 al-Ahzab ,Aayat no 36

9.-Allah or Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ki nafarmani karne wala apne anzam ka khud zimmedaar hoga

Aur Allah ki farmabardaari or Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ki ittat farmabardaari karte rahn or darte raho , agar munh pheroge to jaan rakho ke hamare Rasool saw ke zimme to sirf paigham khol kar pahoncha dana hai.
📖Surah 5 al-Ma'idah ,Aayat no 92

Aur Allah kh ittat karo or uske Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ki ittat farmabardaari karo agar tum munh pher loge jo hamare Rasool saw ke zimme to sirf paigha ka khol khol kar pahoncha dena hai.
📖Surah 64 at-Taghabun ,Aayat no 12

١٠-Allah or Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ki nafarmani karne ki saza jahannam or dukh dend wale ١aazab ,

Aur jo Shakhs Allah or uske Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ke ittat farmabardaari par chalega usko Bahiston jannat mein dakhil karega jiske tale nehrein beh rahi hain , or jo munh pherega rugardani karega usse bure dukh ki saza dega ðŸ“–Surah 48 al-Fat'h Aayat no 17

11- Hile or bhane talash kar ke Allah or Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ke hukm se bacchna dardnak aazab ka sabab hai

Musalmano Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ke bulane ko aisa khyal na karna jaisa tum aapas mein ek doosre ko bulate ho , beshak Allah ko woh log maloom hain jo tumme aankh bacha kar chal dete hain to jo log Rasool sallAllahu Alaihi wasallam ke hukm ki mukhalfat karte hain unko darna chahiye ke aisa na ho ke un par koi aafat pad jaye ya takleef dardnaak dene wala azaab nazil na aa jaye ðŸ“–Surah 24 An-Noor ,Aayat no 63

QURAN o SUNNAT PAR AMAL KARNE KA HUKAM

"Musalmano kharbardaar raho main yani Nabi sallAllahu Alaihi wasallam Quran diya gaya hun , or uske saath usi darze ki ek or chiz yani Sunnat yani Hadees bhi diya gaya Hun"
Abu Daood , kitab us Sunnati 4604 , Ibn Hibban 97 , Ibn Hibban ne isse sahi kaha hai

Allah ne hukm farmaya 

1.- Aye Musalmano , Aaj ke Din maine tum par apni nemat ko poora kar diya , or tumhare liye Islam ko bataur e Deen pasand kar liya hai ,
📖{Surah 5 al-Ma'idah , Aayat no 3}

Yeh Aayat Dul'Hijjah san 10 Hijr mein A'rfat ke maidan mein Nazil hue , is ke nazil hone ke 3 mahine ke baad Nabi sallAllahu Alaihi wasallam yeh Kamil Deen ummat ko Dekar Allah se ja mile , or ummat ko yeh wasiyat kar gaye

2.-Main yani Nabi SallAllahu Alaihi wasallam , tumhare darmiyan aisi do chizen chhode ja raha hun ke jab tak tum unhe mazbuti se pakde rahoge hargiz gumrah na hoge , yani Allah ki Kitab or meri Sunnat
{Bahqi , Mu'atta Imaam Malik , kitab ul Qadr 2/899 Hakim , 1/93 , or Ibn Hazam ne isse sahi kaha hai}

Maloom hua ke Islam , Quran o Sunnat mein mahdood hai , or yeh bhi sabit hua ke mas'hala or fatwa sirf wahi amal karne ki layak hai jo Quran o Sunnat tarik se sabit ho

3.-Nabi sallAllahu Alaihi wasallam ne farmate hai , meri sari ummat jannat mein dakhil hogi us ko chhod kar jisne inkaar kiya , sahabi raz ne pucha Aye Nabi sallAllahu Alaihi wasallam , Inkaar karne wala koun hoga ? Aap sallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya jisne meri farmabardari kiya woh jannat mein dakhil hua or jisne meri na farmani ki to usne inkaar kiya
{Bukhari , kitab ul Ihtisham 260}

4.-Urbaaz bin Shariya raz riwayat karte hai ke ek din Nabi sallAllahu Alaihi wasallam ne hame Namaz padai fir Aap saw hum logon se mukhatab hue or nasiyat farmayi , nasiyat sunkar hamare aankho se aanshu jari ho gayi or dil dahel gaya , ek sahabi ne kaha Aye Nabi sallAllahu Alaihi wasallam ye nasiyat to aisa hai jaise kisi rukhshat karne wale ka hota hai , isliye hamko khash wasiyat ki jiye, Aap sallAllahu Alaihi wasallam farmaya main tumhe wasiyat karta hun ke Allah se daarte rahna , or apni aameer ki jaaez baat sunna or manna , agarche tumhara aameer habsi ho, mere baad jo tum me zinda rahega woh bohat ikhtelaf dekhega , us waqt tum meri Sunnat or Khulfa e Rasheedin ka tarika lazem pakadna , usse Daatho se mazboot pakde rahna or Deen ke andar naye naye kaamo or taur tarike se bacchna
{Abu Dauood , kitab us Salath 4607 , Tirmizi , kitab ul Ilm 2661}

Is hadees se sabht hua ke Bid'at gumrahi hai , koi Bid'at Has'na nahi

5.-Abdullah bin Umar raz farmate hai , har Bid'at gumrahi hai chahe log usse neki samjhe
{As Sunnah , Muhammad bin Nazr Maruzi , Shirhul Usool , 1/92}

6⃣- Imaam Malik ra ne kya khoob farmaya hai , jis shakhs ne Islam mein neki samajh kar koi chiz Ejaad ki to us ne gumaan kiya ke Allah ke Nabi saw ne Risalat ki Tableeg mein khiyanat se kaam liya Allah ki Panah , Nabi sallAllahu Alaihi wasallam ke jamane mein jo chiz din na thi woh aaj bhi nahi ban sakti.
{al Ayteshami Lisshatbi 1/49

Allah se Du'a Hai ke Hum ko Ghar walon ko Aap logon ko or Sare Musalmano ko Quran o Sunnat ko Sahaba ke Manhaj par amal karne wala fir Daw'at Dene
wala banaye.

Ameen Ya Rabbil Aalameen.

No comments:

Post a Comment