Thursday, February 4, 2016

NAMAZ E ISHRAQ WA NAMAZ E CHASHT KA BAYAN

BISMILLAH
 

ISHRAQ KA MANA HAI TULU'A AFTAB AUR ZOHA (CHASHT) KE MANA HAI DIN KA CHADHNA, JAB AFTAB TULU'A HOKAR EK NEZE KE BARABAR BULAND HO JAYE TO WO WAQT NAMAZ E ISHRAQ KA WAQT HAI 

ISI NAMAZ E ISHRAQ KO SALATUL AWWABEEN BHI KAHA GAYA HAI

SALAT E AWWABEEN KA MANA HAI ALLAH TA'LA KI TARAF RUJU KARNE WALON KI NAMAZ

NOTE

NAMAZ E ISHRAQ KE MUKHTALIF AUSAF KI WAJAH SE MUKHTALIF 3 NAMA HAIN
(1) ISHRAQ=SURAJ TULU'A HONE KA WAQT
(2) ZUHA=ROSHNI HONE KI WAJAH SE
(3) AWWABEEN=JAB UNTON KE BACHCHON KE PAON JALNE LAG JAYEN

ZAID BIN ARQAM RAZIYALLAHO ANH NE KUCH LOGON KO ZUHA KI NAMAZ PADHTE DEKHA TO KAHA BESHAK YE LOG JANTE HAIN KI ISWAQT KE ALAWAH NAMAZ PADHNA AFZAL HAI ,NABI AKRAM SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE FARMAYA KI AWWABEEN KI NAMAZ KA WAQT WO HAI JISWAQT UNT KE BACHCHE KE PAON GARAM HON

(SAHI MUSLIM 748)

NOTE

MAGRIB AUR ISHA KE DARMYAN PADHI JANE WALI NAMAZ KO JIS RIWAYAT ME SALATUL AWWABEEN KAHA GAYA HAI WO RIWAYAT MURSAL YANI ZAEEF HAI

NAMAZ E ISHRAQ WA NAMAZ E CHASHT KI RAKATEN KITNI HAIN ?

RASOOLULLAH SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE FARMAYA ALLAH TA'LA FARMATA HAI

AE ADAM KE BETE ! KHALIS MERE LIYE 4 RAKATEN AWWAL DIN ME PADH (YANI ISHRAQ KI) MAI TUJHKO IS DIN KI SHAM TAK KIFAYAT KARUNGA

(ABU DAWOOD 1289 TIRMIZI 474)
HAFIZ ZAHABI NE ISE HASAN ,IBN E HIBBAN NE SAHI KAHA)

HAZRAT ANAS BIN MALIK RAZIYALLAHO ANH SE RIWAYAT HAI RASOOLULLAH SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE FARMAYA JISNE FAJR KI NAMAZ JAMAT SE PADHI FIR SURAJ NIKALNE TAK BAITHA AUR ALLAH KA ZIKR KARTA RAHA ,2 RAKAT NAMAZ PADHI USKE LIYE HAJ AUR UMRAH KE BARABAR SAWAB HAI ,APNE FARMAYA POORE HAJ AUR UMRAH KA ,POORE HAJ AUR UMRAH KA,POORE HAJ AUR UMRAH KA (TIRMIZI 586)

HAZRAT ABU ZAR RAZIYALLAHO ANH SE RIWAYAT HAI KI RASOOLULLAH SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE FARMAYA HAR ADAMI PAR LAZIM HAI KI APNE HAR BAND KE BADLE SADQAH KHAIRAT KARE,PAS SUBHANALLAH KAHNA SADQAH HAI ,ALHAMDULILLAH KAHNA SADQAH HAI ,LA ILAHA ILLALLAH KAHNA SADQAH HAI,ALLAHU AKBAR KAHNA SADQAH HAI,NEKI KA HUKM DENA SADQAH HAI AUR BURI BAT SE ROK DENA BHI SADQAH HAI AUR IN SAB CHEEZON SE ZUHA KI 2 RAKATEN KIFAYATKARTI HAIN

(SAHI MUSLIM 720)

MA'AZAH NE AISHA RAZIYALLAHO ANHA SE DARYAFT KIYA RASOOLULLAH SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NAMAZ E ZUHA KI KITNI RAKATEN PADHTE THE ? AISHA RAZIYALLAHO ANHA NE KAHA ,4 RAKATEN AUR JISQADAR ALLAH TA'LA CHAHTA AP ZYADAH PADHTE
(SAHI MUSLIM 719)

HAZRAT UMM E HANI RAZIYALLAHU ANHA FARMATI HAIN RASOOLULLAH SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE FATEH MAKKAH KE DIN GUSL KIYA AUR 8 RAKAT NAMAZ E ZUHA KI PADHIN

(SAHI BUKHARI 1176 SAHI MUSLIM 336)

HAZRAT ABU HURAIRAH RAZIYALLAHU ANHU NE FARMAYA MUJHE MERE PYARE DOST NABI RAHMAT SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE 3 CHEEZON KI WASIYYAT KI JAB TAK MAI ZINDAH RAHUNGA UNKO NAHI CHODUNGA HAR MAHEENA (ARABI MAHEENAH KI 13,14,15) KE 3 ROZE ,CHASHT KI 2 RAKATEN AUR SONE SE PAHLE WITR PADHNA

(SAHI BUKHARI 1178 SAHI MUSLIM 721)/RASOOLULLAH SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE FARMAYA (ABUDAWOOD 558)

JO SHAKHS GHAR SE BAWAZU FARZ NAMAZ KE LIYE NIKLE USE AHRAM BANDHKAR HAJ KO JANE WALE KE BARABAR SAWAB MILTA HAI AUR JO BAWAZU NAMAZ E ZUHA KE LIYE NIKALTA HAI AUR SIRF ISI MAQSAD KE LIYE NIKLA TO USE UMRAH KE LIYE JANE WALE KI MANIND SAWAB MILTA HAI/RASOOLULLAH SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM NE FARMAYA

(IBN E KHUZAIMAH 525/1 H.N. 1224 mustadrak al hakim 314/1 H.N. 1182

Ise IMAM HAKIM AUR ZAHABI NE SAHI ALA SHART MUSLIM KAHA AUR ALBANI NE HASAN KAHA) BAHUT ZYADAH NEK ADAMI NAMAZ E ISHRAQ KI HIFAZAT KAR SAKTA HAI AUR YAHI NAMAZ E AWWABEEN HAI /NAMAZ E ISHRAQ KI 2 ,4,6,AUR 8 RAKAT SCIT HAIN JITNI CHAHE PADH LEN

(SAHI MUSLIM 719,336,721 IRWA UL GALEEL 463)

No comments:

Post a Comment