Thursday, February 4, 2016

ALLAH 7WE AASMAN KE UPAR APNE ARSH PAR ASTAWA HAI

BISMILLAH
ALLAH 7WE AASMAN KE UPAR APNE ARSH PAR ASTAWA HAI
Hazrat Abbas Ibn Abdul Mutalib raziallahuanhu Se Riwayat Ke Unhone Kaha Hum The Batha Me Apne Ashab Ke Sath Aur Humare Sath RASOOLULLAH sallallahualahiwasallam Bhi The,
Etne Me Ek Badal Ka Tukda Upar Se Guzra To Rasoolullah sallallahualahiwasallam Ne Farmaya,
Tum Ise Kya Kehte Ho?
Logo Ne Kaha Sahaab To Rasoolullah sallallahualahiwasallam Ne Farmaya, Aur Muzna Bhi To Kehte Ho?
Logo Ne Kaha Haa Muzna Bhi Kehte Hai!
Fir Rasoolullah sallallahualahiwwssllam Ne Farmaya,
Anaan Bhi To Kehte Ho?
Logo Ne Kaha Haa Anaan Bhi Kehte Hai!
To RASOOLULLAH sallallahualahiwassllam Ne Farmaya,
Tum Log Jaante Ho Ke Aasmaan Aur Zameen Ke Darmiyan Me Ketna Fasla Hai?
Logo Ne Kaha Hum Nahi Jante,
To RASOOLULLAH sallallahualahiwasallam Ne Farmaya,
71ekhattar Ya 72bahattar Ya 73tihattR Saal Ka Fasla Hai Fir Uske Upar 2dusra Aasmaan Hai Aur Uska Fasla Bhi Etna Hi Hai Fir 3Teesra Aasmaan Hai Yaha Tak Ke Apne 7We Aasmaan Ko Bayan Kiya Fir Apne Farmaya,
7we Aasmaan Ke Upar Nahar Hai jis Ke Upar Aur Niche Etna Fasla Hai Jetna Ek Aasmaan Se Dusre Aasmaan Tak Ka Fasla Hai Fir Uske Upar 8Aath Bakiya Hai Jinke Girah Aur Ghutno Ke Darmiyan Me Etna Fasla Hai Jetna Ek Aasmaan Se Dusra Asmaan Tak Ka Fasla Hai,
Fir Uske Pust Par ARSH Hai Aur Uske AUpar Aur Niche Etna Fasla Hai Jetna Ek Aasmaan Se Dusre Aasmaan Tak Ka Fasla Hai Fir ALLAH Ta'ala Uske Upar Hai!
[ SUNAN ABU DAWOOD, KITAB US SUNNATI, BABU FI JAHMIYYATI]

No comments:

Post a Comment