BISMILLAH
1. Ummul Momineen Aaisha Ra. farmati hai ke..
“ Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam namaz mein (aaqhri qaede mein) you’n dua farmate the:
اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الْمَحْيَا وَفِتْنَةِ الْمَمَاتِ، اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْمَأْثَمِ وَالْمَغْرَم
ِ
‘Allahumma Inni A’auzu Bika Min A’azabil Qabri wa A’auzu Bika min Fitnatil Maseehid Dajjal wa A’auzu bika min Fitnatil Mahya wal Mamaati Allahumma Inni A’auzu Bika Minal Ma,aathami wal Maghrami’ –
Ya Ilaahi! Main Teri Panah Mein Aata Hu’n A’azaab Qabr Se Aur Teri Panah Mein Aata Hu’n Dajjal Ke Fitne Se Aur Teri Panah Mein Aata hu’n Maut o Hayaat Ke Fitne Se, Yaa Ilaahi Main Gunah Se Aur Qarz Se Teri Panah Maangta Hu’n.
Aaisha Ra. ne arz ki “ Aey Allah ke Rasool ! Aap qarz se bahot panah kyou’n maangte hain. ?
Aap ne farmaya : “ Jab aadmi qardar hota hai to wo jhut bolta hai aur wa’ada qhilafi bhi karta hai.
[ SAHIH AL BUKHARI: AL AZAN 832 – MUSLIM: AL MASAAJID 589 ]
Nabi e Akram Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya ke…
“ Tassha‐hud mein 4 cheezo’n se Allah Ta’ala ki panah zaroor talab karo, wo ye hain :
اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ وَعَذَابِ النَّارِ وَفِتْنَةِ الْمَحْيَا وَالْمَمَاتِ وَشَرِّ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ
‘Allahumma Inni A’auzu bika Min A’azabi Jahannama Wa Min A’azabil Qabri wa Min Fitnatil Mahyaa wal Mamaati wa MinSharri Fitnatil Maseehid Dajjal’ – Aey Allah! Main Jahannam Aur Qabro’n Ke Azab Se, Maut o Hayaat Ke Fitna aur Maseeh Dajjal Ke Shar Se Teri Panah Maangta Hu’n.
[ SAHIH MUSLIM: 588 ]
Nabi e Rahmat Sallallahu Alai Wasallam ye dua Sahaaba ko is tarha sikhate jaisa ke inhei’n Quran ki suratei’n sikhate the. (Muslim: 590) Lehaza ise padhna zaroori hai.
2. Abu Bakr Siddiq Ra. riwayat karte hain ke..
“ Main ne kaha, “ Ya Rasool Allah! Namaz mein maangne ke liey mujhe (koi) dua sikhaiey (ke ise Attahiyyat aur Darood ke baad padha karu’n) to Aap ne farmaya! Padh :
اللَّهُمَّ إِنِّي ظَلَمْتُ نَفْسِي ظُلْمًا كَثِيرًا وَلاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ، فَاغْفِرْ لِي مَغْفِرَةً مِنْ عِنْدِكَ، وَارْحَمْنِي إِنَّكَ أَنْتَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ
‘Allahumma Inni Zalamtu Nafsi Zulman Katheerau’n walaa Yaghfiruzunooba Illa Anta Faghfirli Maghfiratam Min indika warhamni Innaka Antal Ghafoor ur Raheem’ –
Ya Ilaahi! Bilaa Shuba Maine Apni Jaan Par Bahot Ziyada Zulm Kiya Hai. Aur Tere Siwa Gunaho’n Ko Koi Nahi Baqsh Sakta, Pas Apni Janab Se Mujhko Baqshde aur Mujhpar Raham Kar, Be Shak Tuhi Baqhashne Wala Maherban Hai.
[ SAHIH AL BUKHARI : AL AZAN 834 – SAHIH MUSLIM: AL ZIKR WAD DUA : 2705 ]
3. Sayyadna Ali bin Abi Taalib Ra. bayan karte hain ke…
“ Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam tassha‐hud ke baad salam pherne se qabl ye dua padhte the:
اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي مَا قَدَّمْتُ وَمَا أَخَّرْتُ وَمَا أَسْرَرْتُ وَمَا أَعْلَنْتُ وَمَا أَسْرَفْتُ وَمَا أَنْتَ أَعْلَمُ بِهِ مِنِّي أَنْتَ الْمُقَدِّمُ وَأَنْتَ الْمُؤَخِّرُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ
Allahummagh Firli Maa Qaddamtu wa Maa Aqqhartu wa Maa Asrartu wa Maa A’alantu wa Maa Asraftu wa Maa Anta A’alamu Bihi Minni Antal Muqaddimu wa Antal Muaqqhiru Laa Ilaaha Illa Anta –
Aey Allah! Tu Mere Agle Piche, Poshida aur Zaahir (Tamaam) Gunah Muaaf Farma Aur Jo Main Ne Ziyadati Ki Aur Wo Gunah Jo Tum Mujh Se Ziyada Jaanta hai (Wo Bhi Muaf Farma) Tuhee (Apni Dargah Izzat Mein) Aage Karne Wala Aur (Apni Baargah Jalaal Se) Peeche Karne Wala Hai. Sirf Tuhi (Saccha) Ma’abood Hai.
[ SAHIH MUSLIM: SALATUL MUSAFIREEN 771 ]
4. Mahjan bin Al Adra’a Ra. bayan karte hain ke..
“ Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam masjid mein dakhil hue to 1 shaqs masjid ke aaqhir mein ye dua kar raha tha :
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ يَا اللَّهُ الأَحَدُ الصَّمَدُ الَّذِي لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُنْ لَهُ كُفُوًا أَحَدٌ أَنْ تَغْفِرَ لِي ذُنُوبِي إِنَّكَ أَنْتَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ
Allahumma Inni As,aluka Yaa Allahul Ahadus Samadullazi Lam Yalid wa Lam Youlad wa Lam Yakullahu Kufuan Ahad An Taghfirlee zunoobi Innaka Antal Ghafoorur Raheem –
Aey Allah Main Tujhse Sawaal Karta Hu’n Is Baat Ke Saath Ke Tu Waahid, Akela aur Beniyaaz hai, Jis Ne Na Janaa (T: Has Not Given Birth To Anyone) Na Janaa Gaya (T: Has Neither Been Born) Aur Na Iska Koi Shareek Hai ke Tu Mujhe aur Mere Gunah Muaaf Karde Beshak Tu Bakshne Wala Bahot Maherban Hai.
Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya :
Teri Bakshish hogai, Teri Bakshish hogai, Teri Bakshish hogai.
[ ABU DAWOOD: 985 – NASAI: 1301 V3 P 52 ]
5. Anas bin Maalik Radiallahu Anhu se riwayat hai ke main Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ke sath baitha hua tha aur ek aadmi namaz padh raha tha,is ne tassha‐hud mein ye dua ki:
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ بِأَنَّ لَكَ الْحَمْدَ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ الْمَنَّانُ بَدِيعُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ يَا ذَا الْجَلاَلِ وَالإِكْرَامِ حَىُّ يَا قَيُّومُ إِنِّي أَسْأَلُكَ
" Allahumma Inni Asaluka Bianna Lakal Hamda Laailaaha Illa Intal Mannanu Badeeus Samaawati wal Arzi Yazal Jalaali wal Ikraami Ya Haiyyu Ya Qayyumu Inni As,aluka – "
[ Aey Allah Main Tujh Se Sawal Karta Hu’n Is Baat Ke Sath Ke Hamd Tere Ley Hai, Tere Alaawa Koi Ibaadat Ke Laaeq Nahi, Behad Ehsaan Karne Wala, Asmaano’n Aur Zameeno’n Ko Banaane Wala Buzrug Aur Izzat Wala, Zinda aur Qaaem Rakhne Wala Main Tujhse Sawal Karta Hu’n. ]
Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya:
‘Is zaat ki qasam jiske hath mein meri jaan hai isne Allah ke azeem namo’n ke sath dua ki hai jo shaqs inke sath dua karta hai, Allah qubool karta hai aur jab wo maangta hai Allah a’ataa karta hai.’
[ Nasaai: al Sahu 300 ]
6) Ammar bin Yaasir Radilallahu Anhu se riwayat hai Rasool Allah Sallallahu Alai Wasasallam namaz mein ye dua karte the:
" اللَّهُمَّ بِعِلْمِكَ الْغَيْبَ وَقُدْرَتِكَ عَلَى الْخَلْقِ أَحْيِنِي مَا عَلِمْتَ الْحَيَاةَ خَيْرًا لِي وَتَوَفَّنِي إِذَا عَلِمْتَ الْوَفَاةَ خَيْرًا لِي اللَّهُمَّ وَأَسْأَلُكَ خَشْيَتَكَ فِي الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ وَأَسْأَلُكَ كَلِمَةَ الْحَقِّ فِي الرِّضَا وَالْغَضَبِ وَأَسْأَلُكَ الْقَصْدَ فِي الْفَقْرِ وَالْغِنَى وَأَسْأَلُكَ نَعِيمًا لاَ يَنْفَدُ وَأَسْأَلُكَ قُرَّةَ عَيْنٍ لاَ تَنْقَطِعُ وَأَسْأَلُكَ الرِّضَاءَ بَعْدَ الْقَضَاءِ وَأَسْأَلُكَ بَرْدَ الْعَيْشِ بَعْدَ الْمَوْتِ وَأَسْأَلُكَ لَذَّةَ النَّظَرِ إِلَى وَجْهِكَ وَالشَّوْقَ إِلَى لِقَائِكَ فِي غَيْرِ ضَرَّاءَ مُضِرَّةٍ وَلاَ فِتْنَةٍ مُضِلَّةٍ اللَّهُمَّ زَيِّنَّا بِزِينَةِ الإِيمَانِ وَاجْعَلْنَا هُدَاةً مُهْتَدِينَ " .
" Allahumma Bi Ilmikal Ghaiba wa Qudratika A’alal Khalaqi Ahyinee Maa A’alimtal Hayata Khairan Li wa Tawaffani Izaa A’alimtal Wafaata Khairan Lee wa Asaluka Khasyataka Fil Ghaibi was Shaadata wa Kalimatal Iqlaasi fir Rizaa wal Ghazabi wa Asaluka naiman laa Yanfadu wa quraata a’ainin Kaa Tanqatio wa Asalukar Rizaa bilqazaa,I wa Bardal A’aisi ba’adal Mauti wa Lazaatannazari Ilaa Wajhika wasshauqa Ilaa Liqaaika wa A’auzu Bika Min Zarra,a Muzirratin wa Fitnatin Muzillatin Allahumma aiyyinan Bizinatil Emani waja’alna Hudatan Muhtadeen – "
" Aey Allah! Tera Ghaib Janne aur Khalq Par Qudrat Rakhne Ke Sath Sawal Karta hu’n Ke Mujhe Is Waqt Tak Zinda Rakh Jab Tak Tu Mere Leiy Zindagi Behtar Jane Aur Mujhe Is Waqt Faut Kar Jab Wafat Mere Leiy Behtar Jane, Main Gaaeb Aur Haazir Ki Haalat Mein Tujh Se Teri Khashiyat Ka Sawal Karta Hu’n Aur Raazi Aur Ghusse Ki Haalat Mein Khaalist Baat Kehne Ki Taufeeq Ka Sawaal Karta Hu’n Aur Main Tujhse In Nemato’n Ka Sawal Karta Hu’n Jo Khatam Na Ho’n Aur Ankhon Ki Aisi Thandak Ka Sawal Karta Hu’n Jo Khatam Na Ho Aur Main Tujh Se Tere Faislo’n Par Raazi Rehne Ka Sawal Karta Hu’n Aur Main Tujhse Maut Ke Baad Ki Zindagi Ki Thandak Ka Sawal Karta Hu’n Aur Main Tujhse Tere Cehre Ki Taraf Dekhne Ki Lazzat Aur Teri Mulaqaat Ke Shauq Ka Sawaal Karta Hu’n Aur Main Takleefdah Museebat Aur Gumrah Kun Fitno’n Se Teri Panaah Caahta Hu’n. Aey Allah! Hamei’n Eman Ki Zeenat Se Mazeen Farma Aur Hamei’n Hidaayat Dene Wala Hidaayat Paane Wala Banade.
[ Nasai: V3 P 5 ]
. Aaisha Radiallahu Anha se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam namaz mein ye dua kiya karte the:
" اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا عَمِلْتُ وَمِنْ شَرِّ مَا لَمْ أَعْمَلْ " ."
Allahumma Inni A’auzubika Min Sharri Ma A’amiltu wa Min Sharri Maalam A’amal –
" Aey Allah! Main Teri Panah Caahta Hu’n In A’amaal Ke Shar Se Jo Maine Kiey Aur In A’amaal Ke Shar Se Bhi Jo Main Ne Nahi Keiy.
[ Nasai: V3 P56 – Muslim: az Zikr wad Dua 2716 ]
NAMAZ KA IQHTETAAM:
1) Abdullah bin Masood Radiallahu Anhu riwayat karte hain ke..
" Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam apne daei’n taraf salam pherte (to kehte):
Assalamu A’alaikum wa Rahmatullahi aur baei’n taraf salaam pherte to kehte: Assalamu A’alaikum wa Rahmatullahi.
[ Abu Dawood: 996 – Tirmirzee: al Salah 295 ]
Ise Imam Tirmizee aur Imam Ibne Hibban ne Saheeh kaha.
2) Wael ibne Hajar Radiallahu Anhu riwayat karte hain ke main ne Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ke sath namaz padhi.
Aap Sallallahu Alai Wasallam daei’n taraf salam pherte to kehte : Assalamu A’alaikum wa Rahmatullahi wa Barakaatuhu aur baei’n taraf salam pherte to kehte Assalamu A’alaikum wa Rahmatullahi ( ya’ani sirf daie’n taraf wale salam mein wa Barakaatuhu " ka izaafa karte) .
[ Abu Dawood: al Salah 997) Imam Nawavi aur Imam Ibn Hajar ne ise Saheeh kaha.
No comments:
Post a Comment