Tuesday, February 23, 2016

NAMAZ KE BAAD MASNOON AZKAAR


BISMILLAH

1. Ibne Abbas Radiallahu Anhu Riwayat karte hain ke ..

“ Main Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ki namaz ka khatam hona takbeer “ الله أكبر “ Allahu Akbar ki awaaz) se pehchaan leta tha.

[ SAHIH AL BUKHARI: AL AZAN 841 & 842 – SAHIH AL MUSLIM: AL MASAAJID # 583 ]

Yaani Nabi e Rahmat Sallallalhu Alai Wasallam farz namaz ka salam pher kar ounchee awaaz se Allahu Akbar kehte the. Isse sabith hua ke Imam aur Muqtadiyo’n ko namaz se farigh hote hi 1 baar buland awaaz se Allahu Akbar kehna chaahiye.

2. Thaubaan Radiallahu Anahu se Riwayat karte hain ke Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam jab apni namaz khatam karte to farmate :

“أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ ”

Astaghfirullah, Astaghfirullah, Astaghfirullah – Main Allah Se (Gunaho’n Ki) Bakhshish Chaahta Hu’n. (3 Times).

“اللَّهُمَّ أَنْتَ السَّلاَمُ وَمِنْكَ السَّلاَمُ تَبَارَكْتَ ذَا الْجَلاَلِ وَالإِكْرَامِ ”

Allahumma Antas Salaam wa Minkas Salaamu Tabaarakta Yaazal Jalaali wal Ikraam –

“ Ya Allah Tu Hi Salaamti Wala Hai Aur Teri Hi Taraf Se Salaamti Hai Aey Buzrugi Aur Izzat Wale Tuhi Bada Hi Barkat Hai “

[ SAHIH MUSLIM: AL MASAAJID # 591 ]

Tambeeh: Duae Rasool Sallallahu Alai Wasallam mein izaafa :

Jis tarah dua azaan mein logo’n ne izaafa kar rakha hai isi tarha is dua mein bhi logo’n ne ziyadati ki hui hai. Wo Ziyadati mulaaheza ho (Allahumma Antas Salaamu wa Minkas Salaam) Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ke alfaz hain. Aage (Wa Ilaika Yarji us Salaamu Haiyyina Rabbana Bis Salaam wa Adkhilna Daaras Salaam) ka izaafa kar rakha hai. Kis qadr afsos ka maqam hai ke shuru aur aqheer main Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ke alfaz aur darmiyan mein khud apni taraf se duaiya jumle badha kar hadees Rasool mein ziyadati hui hai.

Maaz Allah! Kiya aap ye jumle bhool gaye the yaa dua naaqis chod gaye the ? jiski takmeel ummatiyo’n ne ki hai ? Agar koi kahe ke in badhae hue jumlo’n mein kya kharabi hai inka tarjuma bahot accha hai, aqhir dua hi hai aur Allah hi ke aage hai? Guzarish hai ke insane apni maadri ya arbi zuban waghaira mein jo dua caahe apne maalik se kare, jo jumle caahe dua mein istemaal kare, koi harj nahi. Magar hadees Rasool mein apni taraf se alfaz ya jumle ziyada karne naajaez hain aisa karne se deen ki asal surat qaem nahi rehti.

3. Muaz bin Jabal Radiallalhu Anhu kehte hain ke.

“ Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne mera hath pakadkar farmaya : “ Aey Muaz ! Allah ki qasam main tujh se muhabbat karta hu’n. Main tujhe wassiyat karta hu’n ke har (farz) namaz ke baad ye (zikar) padhna na chodna.



“ اللَّهُمَّ أَعِنِّي عَلَى ذِكْرِكَ وَشُكْرِكَ وَحُسْنِ عِبَادَتِكَ ”


Allahumma Aa,inni A’alaa Zikrika wa Shukrika wa Husni A’ibaadatik – Aey Mere Rab! Zikar Karne, Shukr Karne aur Acchi Ibaadat Karne Mein Meri Madad Kar.

[ ABU DAWOOD: AL WITR # 1522 ] ISE IMAM HAAKIM (V1 P273), IMAM ZAHABI, IMAM IBNE KHUZAIMA, IMAM IBNE HIBBAN AUR IMAM NAWAVI NE SAHEEH KAHA.

4. Mughaira bin Shoba Radiallahu Anhu riwayat karte hain ke Rasool allah Sallallahu Alai Wasallam har farz namaz ke baad kehte the :

" لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ، وَلَهُ الْحَمْدُ، وَهْوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ، اللَّهُمَّ لاَ مَانِعَ لِمَا أَعْطَيْتَ، وَلاَ مُعْطِيَ لِمَا مَنَعْتَ، وَلاَ يَنْفَعُ ذَا الْجَدِّ مِنْكَ الْجَدُّ ".


LaaIlaaha Illallahu Wahdahu Laa Sharika Lahu, Lahul Mulku wa Lahul Hamdu wa Huwa A’alaa Kulli Shai,in Qadeer, Allahumma Laa Mania’a Lima A’ataita wa Laa Mo’otiya Limaa Mana’ata wa Laa Yanfa’u Zal Jaddi Minkal Jaddu –

Allah Ke Siwa Koi (Saccha) Ma’abood Nahi Hai, Wo Akela Hai Iska Koi Shareek Nahi Hai, Isi Ke Leiy Baadshaahat Hai Aur Isi Ke Liey Saari Ta’areef Hai, aur Wo Har Cheez Par Qaadir Hai. Ya Allah! Teri A’ataa Ko Koi Rokne Wala Nahi Aur Teri Roki Hui Cheez Koi Ataa Karne Wala Nahi Aur Daulatmand Ko (is ki) Daulat Tere Azaab Se Nahi Bacha Sakti.

[ SAHIH BUKHARI: AL AZAN 844 – SAHIH MUSLIM: AL MASAAJID # 593 ]

5. Abdullah bin Zubair Radiallahu Anhu Riwayat karte hain ke Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam salam pherne ke baad padhte the:


" لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَلاَ نَعْبُدُ إِلاَّ إِيَّاهُ لَهُ النِّعْمَةُ وَلَهُ الْفَضْلُ وَلَهُ الثَّنَاءُ الْحَسَنُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ مُخْلِصِينَ لَهُ الدِّينَ وَلَوْ كَرِهَ الْكَافِرُونَ "


Laa Ilaaha Illallahu Wahdahu Laa Shareeka Lahu Lahul Mulku wa Lahul Hamdu wa Huwa A’alaa Kulli Shai,in Qadeer. Laa Haula Walaa Quwwata Illa Billahi Laa Ilaaha Illallahu walaa Na’abudu Illa Iyyahu Lahun Nematu wa Lahul Fadlu wa Lahuth Thnaaul Hasanu Laa Ilaaha Illallahu Mukhliseena Lahuddeena Wa Lau Kareehal Kaafiroon –

Allah Ke Siwa Koi (Saccha) Mabood Nahi Wo Akela Hai, Is Ka Koi Shareek Nahee, Isi Ke Liey Baadshaat Hai Aur Isi Ke Liey Saari Tareef Hai. Aur Wo Har Cheez Par Qaadir Hai. Gunaho’n Se Rukna Aur Ibaadat Par Qudrat Paana Sirf Allah Ki Taufeeq Se Hai. Allah Ke Siwa Koi (Saccha) Mabood Nahi Aur Ham (Sirf) Isi Ki Ibaadat Karte Hain Har Nemat Ka Malik Wohi Hai Aur Sara Fazl Isi Ki Milkiyat Hai (Yaani Fazl Aur Nematei’n Sirf Isiki Taraf Se Hain) Isi Ke Leiy Acchi Ta’areef Hai. Allah Ke Siwa Koi Ma’abood (Haqeeqi) Nahi, Ham (Sirf) Isi Ki Ibaadat Karte Hain Agar Che Kaafir Bura Manei’n.

[ SAHIH MUSLIM: AL MASAAJID # 594 ]

6. Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam namaz ke baad in kalemat ko padhte the:

" اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْجُبْنِ، وَأَعُوذُ بِكَ أَنْ أُرَدَّ إِلَى أَرْذَلِ الْعُمُرِ، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الدُّنْيَا، وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ


Allahumma Inni A’auzubika Minal Jubni wa A’auzubika Minal Bukhli wa A’auzubika Min An Uradda Ilaa Arzalil Umori wa A’auzubika Min Fitnatid Dunya wa A’azabil Qabr –

Aey Allah! Main Buzdili Aur Kanjusi Se Teri Panah Caahta Hu’n Aur Is Baat Se Bhi Teri Panaah Chaahta Hu’n Ke Mujhe Razeel Umar Ki Taraf Pher Diya Jaae Aur Main Duniyavi Fitno’n Aur Azaab e Qabr Se Bhi Teri Panaah Caahta Hu’n.

[ SAHIH BUKHARI: AL JIHAAD WAL SAIR # 2822 ]



7. Abu Huraira Radiallahu Anhu kehte hain ke Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya :

‘Is ke tamam gunah muaaf kar diey jaei’nge khuwah samandar ki jhaag ke baraabar hu’n, jo har (farz) namaz ke baad padhe: 

Subhanallahi – Allah (hair aeib se) Paak Hai (33 Times)
Alhamdulillahi – Saari Ta’areef Allah Ki Hai (33 Times)
Allahu Akbar – Allah Sabse Badaa Hai (33 Times)

“ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَىْءٍ قَدِيرٌ ”


Laailaaha Illallahu Wahdahu Laa Shareeka Lahu, Lahul Mulku wa Lahul Hamdu wa Huwa A’alaa Kulli Shai,in Qadeer –
Allah Ke Siwa Koi (Saccha) Ma’abood Nahi, Wo Akela Hai Iska Koi Shareek Nahi. Isi Ke Liey Saari Baadshaahat Aur Isi Ke Leiy Saari Ta’areef Hai Aur Wo Har Cheez Par Khoob Qhudrat Rakhne Wala Hai.

[ SAHIH MUSLIM: AL MASAAJID # 597 ]

Ka’ab bin Ujrah Radiallahu riwyat karte hain ke Rasool Allah Sallallalhu Alai Wasallam ne farmaya : ‘Jo shaqs farz namaz ke baad Subhanallahi 33 Times, Alhamdulillahi 33 Times, Allahu Akbar 34 Times kahega wo (sawaab ya buland darjaat se) mehroom nahi hoga.’

[ SAHIH MUSLIM: # 496 ]

8. Uqba bin Amer Radiallahu Anhu riwayat karte hain ke Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne mujhe hukam diya ke main har (farz) namaz ke baad ma’auzaat padha karu’n.

[ Abu Dawood: al Witr # 1523 – Nasai: V3 P 68 (#1336) ] Ise Imam Haakim V1 P 253, Imam Zahabi, Imam Ibne Khuzaima aur Imam Ibne Hibban(2347) ne Saheeh kaha.

Ma’auzaat (Allah ki panah mein dene wali sooratei’n) ye in surato’n ko kehte hain jin ke shuru mein Qul A’auzu ka lafz hai. Inhei’n ma’auzatain bhi kaha jaata hai. Yaani Quran e Paak ki aaqhri 2 suratei’n.

9. Ummul Momineen Umme Salma Radiallallaha se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam jab subha ki namaz ka salam pherte to kehte :

" اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ عِلْمًا نَافِعًا وَرِزْقًا طَيِّبًا وَعَمَلاً مُتَقَبَّلاً "

Allahumma Inni Asaluka Ilman Naafe a’auw’n wa Rizqan Taiyyibauw’n wa A’amalan Mutaqabbala –

" Aey Allah! Main Tujhse Nafa Dene Wale Ilm Aur Paakiza Rizq Aur Qubook Keiy Gae Amal Ka Sawaal Karta Hu’n. "

[ IBNE MAJJA: IQAAMATIS SALAH # 925 ]

10. Ammara bin Shabeeb Radiallahu Anhu se riwayat hai ke Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya :

‘ Jisne maghrib ki namaz ke baad 10 baar ye alfaz kahe…

“ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِي ”


Laailaaha Illallahu Wahdahu Laa Shareeka Lahu, Lahul Mulku wa Lahul Hamdu Yuhyee wa Yumeetu wa Huwa A’alaa Kulli Shai,in Qadeer’


Allah Ta’ala iski hifaazat ke liey farishte bhejta hai jo subha tak shaitan mardood se iski hifaazat karte hain aur Allah Ta’ala iske liey 10 nekiya’n likhta hai, aur 10 halak karne wale gunah is se door karta hai iske liey 10 momin ghulam azaad karne ke baraabar ajar hai.

[ TIRMIZEE: AD DA’AWAAT # 3534 ]

11. Abu Umaama Radiallahu Anhu riwayat karte hain ke “ Maine Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ko farmate hue suna :

‘Jo shaqs har namaz ke baad Aayatal Kursi padhe to isko bahisht mein dakhil hone se siwae maut ke koi cheez nahi rokti.’

[ Nasai: Fil A’amal al Yaum wal Lail # 100 ] Ise Imam Ibne Hibban aur Imam Munziri ne Saheeh kaha.

Matlab ye hai ke Aayatal Kursi padhne wala maut ke baad seedha jannat mein jaega.

Ayat Al Kursi :


اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ لاَ تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلاَ نَوْمٌ لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الأَرْضِ مَنْ ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِنْدَهُ إِلاَّ بِإِذْنِهِ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ وَلاَ يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِنْ عِلْمِهِ إِلاَّ بِمَا شَاءَ وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاو ;َاتِ وَالأَرْضَ وَلاَ يَئُودُهُ حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ


Allahu LaaIlaaha Illa Huwal Haiyyul Qaiyyum Laata Khuzuhu Sinatau’n Walaa Naum Lahu Maafis Samaawaati Wamaa FilArdhi Man Zallazi Yashfa,oo Indahu Illaa Bi,iznihi Ya’alamu Maa Baina Aidihim wa Maa Khalfahum wa Laa Youhitoona Bi,shai,im Min Ilmihi Illa Bimaa Shaa,a Wasia’a Kursiyyuhus Samaawaati Wal Ardh walaa Yaooduhu Hifzuhuma Wahuwal A’aliyoul A’azeem –

Allah Ke Siwa Koi (saccha) Ma’abood Nahi, wo Zinda Hai, Hamesha Qaem Rehne Wala Hai, Wo Oun’ghta Hai Na Sota Hai. Isika Hai Jo Kuch Aasmaano’n Aur Zameen Mein Hai. Iski Ijaazat Ke Baghair Kaun Iske Paas (kisi ki) Sifaarish Karsakta Hai? Wo Jaanta Hai Jo Kuch Inse Pehle Guzara Aur Jo Kuch Inke Baad Hoga. Aur Log Iske Ilm Mein Se Kisi Cheez Ka Ehaata Nahi Karsakte (malum nahi karsakte) Magar Wo Jitna Caahta Hai. (Itna Ilm Jise Caahe De Deta Hai) Iski Kursi Ne Aasmaano’n Aur Zameen Ko Gher Rakha Hai Aur In Dono’n Ki Hifaazat Isko Thakaati Nahi, Wo Buland o Baala, Badi A’azmato’n Wala Hai. (Allah jo saari kaaenaat (T: Universe) ki hifazat karsakta hai kya wo 1 insan ya iski kaarki hifazat nahi karsakta? Yaqeenan kar sakta hai phir wo apni hifaazat ke liey jaaez asbab ke bajaae shirkiya asbab kyou’n ikhtiyar karta hai? Is maqsad ke liey mukhtalif kade aur anghotiya’n kyou’n pahenta hai? Dhaage kyou’n baandhta hai? Apni gaadi par jute ya ceethdey kyou’n latkata hai? Aey Allah ke bando’n! Aayatal Kursi padho, hifazat mein rahoge, yaqeenan Allah ki hifaazat hi behtareen hifaazat hai jiska koi todh nahi.)

Rasool Allah Sallallahu Alai Wasallam ne farmaya” ‘Jo shaqs raat ko sote waqt Aayatal Kursi padh leta hai to Allah ki taraf se iske liey muhaafiz muqarrar kar diya jata hai aur tuloo e Fajr tak shaitan iske qareeb nahi aata.’

[ NASAI: FIL A’AMAL AL YAUM WAL LAIL # 959] ISE IMAM IBNE KHUZAIMA (#2424) NE ISE SAHEEH KAHA.

No comments:

Post a Comment