BISMILLAH
DIN NIKALNE TAK SONA SHAITAN KA FITNA HE.
Shaitan insan ke kaan me paishab karta he jiski wajah se insan gafilo ki tarah din nikalne tak sota he aur apne rab ki yaad se gafil rehta he,
Hazra Abdullah bin masood Radiallahu anhu se rivayat hai ki,
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke samne,
ek aise shaksh ka zikra hua jo raat bhar din nikalne tak sota raha,
to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya,
ye ek aisa shaksh hai jiske kaan mein shaitan ne paishaab(urin) kar diya hai.
(Sahih Bukhari,Vol 4,3270)
Shaitan insan ki naak ke nathney me raat bhar baitha rehta aur insan ko gafil karta he,
.
Hazrat Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki,
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya,
jab koi so kar uthey aur wudhu karey to 3 baar apni naak ko saaf kare
kyunki shaitan raat bhar uski naak ke nathney (upper part of nose) mein baitha rahta hai.
(Sahih Bukhari, Vol 4,3295)
-----------------------------------------------------
SAR KE KUCH HISSE KE BAAL MUNDHNE KUCH CHOD DENE
Hazrat Abdullahi bin Umar Razi ALLAH'U anhu se riwayat h k Rasool ALLAH sallallahu alaihi wasalam ne qaza (yani sar ke kuch hisse ke Baal mundhne kuch chod dene ) se mana farmaya hai.
(SAHIH BUKHARI 7, 5921)
Aaj kal najawano ko aise bal banwane Ka bukhar sa lag gaya behayai pehlane wale ko apna Jo role model bana rakha hai aise bal banwane se pyare nabi sallallahu alaihi wasalam ne mana farmaya hai.
----------------------------------------------------------------------------------------------
AZMAYEESH AUR PARISHANIYON KE DUA
ﺍﻟﻠَّﻬُﻢَّ ﺇِﻧِّﻲ ﺃَﻋُﻮﺫُ ﺑِﻚَ ﻣِﻦْ ﺟَﻬْﺪِ ﺍﻟْﺒَﻼَﺀِ، ﻭَﺩَﺭَﻙِ ﺍﻟﺸَّﻘَﺎﺀِ، ﻭَﺳُﻮﺀِ ﺍﻟْﻘَﻀَﺎﺀِ، ﻭَﺷَﻤَﺎﺗَﺔِ
ﺍﻷَﻋْﺪَﺍﺀِ
( Allahumma inni awuzbika min jahdil-bala, wa darkish-
Shaqa, wa Sueel-Qadha wa Shamatatil-Aa’adaa)
ﺍﻷَﻋْﺪَﺍﺀِ
( Allahumma inni awuzbika min jahdil-bala, wa darkish-
Shaqa, wa Sueel-Qadha wa Shamatatil-Aa’adaa)
TARJUMA : Ya Allah main teri panah maangta hu
Aazmayeesh ki pareshaniyon se, badbakhti se, bure
khatme se aur dushman ke hansne (malamat) se.
Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-
Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH se
panaah manga karo Aazmayeesh ki pareshaniyon se,
badbakhti se, bure khatme se aur dushman ke hansne
(malamat) se.
Sahih Bukhari, Vol 8, 6616

No comments:
Post a Comment