Saturday, February 20, 2016

ZINA REPENTANCE ( zina ka pachtaawa)


BISMILLAH IR-REHMAN IR-RAHIM

SURAH BANI'ISRAIL Ayat 32
📖SURAH BANI'ISRAIL Ayat 32 
Khabrdaar zinna kay qareeb bhi na phatakna kiyon kay woh bari bey hayaee hai aur boht hi buri raah hai.

📖SURAH ZUMUR Ayat 53-54

(meri janib say) keh do kau aey meray bando! Jinhon ney apni jano per ziyadti ki hai tum Allah ki rehmat say na-umeed na hojao bil-yaqeen Allah Taalaa saray gunahon ko bakhash deta hai waqaee woh bari bakhsish bari rehmat wala hai.

Tum (sab) apnay perwerdigar ki taraf jhuk paro aur uss ki hukum bardaari kiye jao iss say qabal kay tumharay pass azab aajaye aur phir tumhari madad na ki jaye.

📖SURAH FURQAAN Ayat 63- 71

Rehman kay (sachay) banday woh hain jo zamin per farotni kay sath chaltay hain aur jab bey ilm log inn say baten kerney lagtay hain to woh keh detay hain kay salam hai.

Aur jo apnay rab kay samney sajday aur qayam kertay huye raten guzar detay hain.

Aur jo yeh dua kertay hain kay aey humaray perwerdigar! Hum say dozakh ka azab paray hi paray rakh kiyon kay iss ka azab chimat janey wala hai.

Be-shak woh therney aur rehney kay lehaz say bad-tareen jagah hai.

Aur jo kharach kertay waqt bhi na to israaf kertay hain na bakheeli bulkay inn dono kay darmiyan motadil tareeqay per kharach kertay hain.

Aur Allah kay sath kissi doosray ko mabood nahi pukartay aur kissi aisay shaks ko jissay qatal kerna Allah Taalaa ney mana ker diya ho woh ba-juz haq kay qatal nahi kertay na woh zinah kay muratkib hotay hain aur jo koi yeh kaam keray woh apnay upper sakht wabaal laye ga.

Issay qayamat kay din dogra azab kiya jayega aur woh zillat-o-khuwari kay sath hamesha ussi mein rahey ga.

Siwaye unn logon kay jo tuaba keren aur emaan layen aur nek kaam keren aisay logon kay gunahon ko Allah Taalaa nekiyon say badal deta hai Allah bakhshney wala meharbaani kernay wala hai.

Aur jo shaks toba keray aur nek amal keray woh to (haqeeqatan) Allah Taalaa ki taraf sacha rujoo kerta hai.


📖SURAH ANAAM AYAT54 

Aur yeh log jab aap kay pass ayen jo humari aayaton per eman rakhtay hain to (yun) keh dijiye kay tum per salamti hai tumharay rab ney meharbani farmana apney zimmay muqarrar ker liya hai kay jo shaks tum mein say bura kaam ker bethay jahalat say phir woh iss kay baad tauba ker ley aur islah rakhay to Allah (ki shaan hai kay woh) bari maghfirat kerney wala aur bari rehmat wala hai.

📖SURAH NISSA AYAT 17 - 18

Allah Taalaa sirf unhi logon ki tauba qabool farmata hai jo ba waja nadani koi buraee ker guzren phir jald uss sa baaz aajayen aur tauba keren to Allah Taalaa bhi unn ki tauba qabool kerta hai Allah Taalaa beray ilm wala hikmat wala hai. 
Unn ki tauba nahi jo buraiyan kertay chalay jayen yahan tak kay jab inn mein say kissi kay pass maut aajaye to keh dey kay mein ney abb tauba ki aur unn ki tauba bhi qabool nahi jo kufur per hi marr jayen yehi log hain jin kay liye hum ney alam naak azab tayyar ker rakha hai. 

📖SURAH AL IMRAN AYAT 135 - 136

Jab unn say koi na shaista kaam hojaye ya koi gunah ker bethen to foran Allah ka zikar aur apney gunahon kay liye istaghfaar kertay hain fil waqey Allah Taalaa kay siwa aur kaun gunahon ko baksh sakta hai? Aur woh log ba wajood ilm kay kissi buray kaam per arr nahi jatay. 

Enhin kay badla unn kay rab ki taraf say maghfirat hai aur jannaten hain jin kay neechay nehren behti hain jin mein woh hamesha rahen gay inn nek kaamon kay kerney walon ka sawab kiya hi acha hai.

Prepared by : Akhirat-Ki-Tayari & Al Ruqyah Al Shariah Admin

No comments:

Post a Comment