Poora padhiye aur haqeeqat jaaniye
Jo Aurtein Apney Walid ka Naam hata kr shauhar ka naam adopt krtin hain shaadi k baad wo zara ghaur karen ki ye HARAAM hai.
G HAAN HARAAM HAI ! !
Misaal k taur pe, shaadi se pehley unka naam “Fatima maqsood Ali” shaadi hui Sajid Siddique, se, ab naam badal kr “Fatima Sajid Siddique” ya sirf “Fatima Sajid”.
Ye haraam hai. iski ijazat nahi ki koi apney baap (Walid) ka naam hata kar apney shauhar ka naam ya apney shauhar k khaandaan ka naam apney agey lagaye.
Ye kuffar ka tareeka hai hame iseko apnaney se bachna chahiye.
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki hadith ki roshni me dekhye.
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ka irshad hai:
“Jisney apney naam ko apney walid k naam k alawa apney naam me kisi doosrey ka naam (jo uska baap nahi) joda us par Allah ki or farishton ki lanat hai .”
Sunan Ibn Maajah, Hadees: 2599
Hazrat Abu Dharr (Radiallahu Anhu) ne suna ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya :
“ Kisi aadmi ne apne walid k siwa apni shinakth kisi aur k saath milaee usne kufr kiya. Jisney us shaks se apney to joda jo uska baap nahi wo apna theekana Jahannam me bana ley.”
Sahih Bukhari, Hadees: 3508
Sahih Muslim, Hadees: 61
Hazrat Sa’d ibn Abi Waqqaas or Hazrat Abu Bakar (Radiallahu Anhuma) ne kaha ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya ki:
“Jo ye kehta hai ki wo musalman hai or wo kisi k saath khud ko jordta (attach) hai jo uska baap nahi ye jaan kar ki wo uska haqiqi baap nahi, JANNAT uske liye Haraam hai”
Sahih Bukhari, Hadees: 4072
Sahih Muslim, Hadees: 63
In Sab se zyada aur kya warning ho sakti hai..??!!
Ye kuffar ka tareeka tha or aaj hamari behney bade shauq se isko apnaati hain.
Yaad rahey Baap ka rishta kisi bhi naye rishtey k aaney k baad khatam nahi hota or aulad ki shinakth or pehchan uske walid k naam se hi hogi, aur apne shauhar ka naam apne naam k saath lagana ye Kufr or haraam ka baais hai.
Shauhar or Biwi ka khoon ka rishta nahi hota or naam sirf khoon k rishtey se hi jorda ja sakta hai.
Agar kisi wajah se uska talaq hoga to us surat me wo kitney naamo ko change kareygi ?
Agar shauhar ka naam lagana sahi hota to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki biwiyon ne bhi apna naam badla hota kyn ki unke shauhar to duniya k Afzal Tareen shaks they.
Hazrar Khadeeja (Radiallahu Anha) hamesha Khadeeja bin Khuwalid rahin.
Hazrat Ayesha (Radiallahu Anha) hamesha ta umr Aysha bint Abu Baker rahin.
yahan tak ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki wo biwiyan jinke baap kafir they apney unke naam ka lakab bhi kabhi tabdeel nahi kiya.
Jaise: Saffiya bint Huyayy (Radiallahu Anha)
( Huyayy Yahoodi tha or Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ka jani dushman bhi tha)
Jannat mey Aurton ki sardar Hazrat Fatima (Radiallahu Anha) hamesha Fatima Bint Muhammad rahin unhoney Hszrat Ali (Radiallahu Anhu) k naam k saath apney naam ko kabhi nahi jorda.
Jis behan ne galti se aisa kiya hai wo Allah se sacchi tauba karey or apne walid ka naam wapas apne naam se jor dey.
Hame apney amalon ka hisab Allah ko deyna hai or ye sarsar Allah or uske Rasool ki nafarmani hai.
Allah hame samjhney or is par amal krney ki taufeeq dey.
AAMEEN YA ALLAH
Plz dobara gaur karen.
ReplyDeleteYeh haraam kaise hai???
Copy paste kar ke fatwe de rhi ho sis???
ReplyDeleteQayamat ke din kya hisaab dogi???
Block kar diya???
Ajeeb baat hai.
Yahi wo zamana hai jiske baare mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne paisheengoi ki thi ki Log jahil se fatwe poochengey or jahil log fatwe de de kar khud bhi gumraah honge or logon ko bhi gumraah karengey.