Thursday, June 2, 2016

KITABUT TAWHEED (PART -1)

BISMILLAH

KITABUT TAWHEED
By: Muhammad bin Abdul Wahab Rahima

Roman Urdu Scrpit: Syed Ibraheem Salafi.

[Baab 1] aur [24 Masail]

Ebadad ki buniyaad Tawheed:

Irshaad-e-Rabbani hai:

"Aur maine jinno aur insano ko sirf is liye paida kiya hai ke wo Meri bandagi kare."

[Surah Az'Zariyaat 51/56]

Phir farmaya ke:

"Aur humne har Ummat mein Rasool bheja ke sirf Allah ki bandagi karo aur tagoot (ki bandagi) se bacho."

[Surah An'Nahal 16/36]

Neez Irshad-e-Bari Ta'ala hai:

"Aur tere Rab ne faisla kardiya hai ke tum sirf (Allah) ki bamdagi karo aur walidan ke sath huan-e-sulook karo."

[Surah Al Israh 17/23]

Aur jaisa ke Allah ne farmaya:

"Aur tum sab Allah ki bandagi karo aur uske sath kisi ko shareek na tehraou."

[Surah An'Nisa 4/36]

Ek aur jagha par Allah Rabbul Izzat ne yu farmaya:

"(Aye Muhammad Sallallahu Aalahi Wasallam) keh dijiye ke aaou Main tumhe wo cheez padh kar sunaou, jo tumhare Rab ne tum par haraam ki hai (wo ye) ke tum uske sath kisi ko shareek na tehraou."

[Surah Al Anaam 6/151]

Hazrat Abdullah bin Masood Radhi Allahu Anhu farmate hai ke jo shaks Nabi Sallallahu Aalahi Wasallam ki sar ba'muhar wasiyath mulhaiza karna chahata hai tou wo Allah Ta'ala ka ye farmaan padh ley:

"(Aye Muhammad Sallallahu Aalahi Wasallam) keh dijiye ke aaou ke Main tumhe wo cheez padh kar sunaou jo tumhare Rab ne tum par haraam ki hai: "Ye ke tum uske sath kisi ko shareek na tehraou • aur (maa baap se bad suluki na karna balke) apne walidain ke sath huan-e-sulook karo • apni aulaad ko muflisi ke dar se qatal na karo (kuy ke) hum tumhe bhi rizzaq deyte hai aur inhe bhi • aur tum behayayee ke kamo ke, zahir ho ya poshida, khareeb na jana • aur jis ka qatal Allah ne haraam tehraya, isse qatal na karo, magar haq (aur jaiz tarike) ke sath, is (Allah) ne tumhe in baatou ki hidayath ki hai, taake tum aaqal se kaam lou."

"Aur tum yateem ke maal ke khareeb bhi na jaou, magar aise tarike se jo intehayee behtareen aur pasandida ho, yahan tak ke wo jawani ko pouhach jaaye • aur insaaf ke sath naap tool pura pura karo (be'insafi na karo), aur hum kisi jaan ko iski wasa'at se badh kar mukallaf nahi banate • aur jab baat karo tou insaaf ki kaho, qawah wo (tumhare) riatedaar hi hi (jukaou se kaam na lou) • aur Allah ke aihad ko pura karo (bad aihdi na karo) is (Allah) ne tumhe in baatou ki hidayath ki hai shayad ke tum nasihat qubool karo."

"Aur beshak yehi mera seedha raasta hai, tum is par chalou aur dusre raastou par na chalna, ke wo (raaste) tumhe Allah ki rah se door kardegen is (Allah) ne tumhe is baat ki hidayath ki hai, taake tum parhesgaar bano."

[Surah Al Anaam 6/151-153]

Aur Hazrat Mu'aaz bin Jabal Radhi Allahu Anhu ka bayaan hai ke ek dafa main Nabi Sallallahu Aalahi Wasallam ke peechey ghade par sawaar tha ke Aap ne mujse farmaya:

"Aye Mu'aaz ! Kya tum jaante ho ke Allah Ta'ala ka bando par aur pando ka Allah Ta'ala par kya haq hai ? (Mu'aaz Radhi Allahu Anhu kehte hai) maine kahan: "Allah Ta'ala aur Iske Rasool Sallallahu Aalahi Wasallam hi behtar jaante hai" Aap Sallallahu Aalahi Wasallam ne farmaya: "Allah Ta'ala ka bando par ye haq hai ke wo sirf Uski ebadad kare aur Uske sath kisi ko shareek na tehraye aur Bando ka Allah Ta'ala par haq ye hai ke jo banda shirk ka murtakib na ho Wo usse Aazab na dey."

(Mu'aaz Radhi Allahu Anhu kehte hai) maine kahan: Ya Rasoolallah Sallallahu Aalahi Wasallam ! (Ijazat ho tou) lougo ko ye khush khabri suna dou ?

Aap Sallallahu Aalahi Wasallam ne farmaya: "Nahi aisa na ho ke wo is par bharosa kar ke bait jaaye (aur Aamal karna chohod dey."

[Aqrajahu Fee Saheheen]

Masail:

1. Jin wa Ins ki taqleeq mein Allah Ta'ala ki kar farma hai.

2. Ebadad se aasal muraad Tawheed hai, kuy ke jumla Ambiya aur inki ummatou ke darmiyaan yehi baat tanaza thi.

3. Jo shaks Tawheed par kar band nahi, isne Allah Ta'ala ki Ebadad hi nahi ki aur surah "Al Kafiroon" ki aayat

وَلَآ أَنتُمْ عَٰبِدُونَ مَآ أَعْبُدُ

(aur jin ki tum parastis karte ho main inki parastis karne wala nahi ho) ka mafhoom bhi yehi hai.

4. Isse ba'ast Ambiya ki hikmat ka bhi pata chalta hai.

5. Allah Ta'ala ki taraf se har ummat ki taraf (inki hidayath ke liye) Rasool bheje gaye.

6. Tamaam Ambiya ka deen (yani inki dawat ka mahwar aur markazi nukta) ek hi tha (aur wo Tawheed hai).

7. Ek bada masla ye bhi maloom huwa ke tagoot ke sath kufr aur iska imkaar kiye bagair Allah Ta'ala ki ebadad mumkin nahi. Aur is mane mein Allah ka ye farmaan hai:

فَمَن يَكْفُرْ بِٱلطَّٰغُوتِ وَيُؤْمِنۢ بِٱللَّهِ فَقَدِ ٱسْتَمْسَكَ بِٱلْعُرْوَةِ ٱلْوُثْقَىٰ لَا ٱنفِصَامَ لَهَا ۗ

"so jo shaks tagoot ka inkaar aur Allah Ta'ala par emaan laaye, dar haqiqat is aisi mazboot rassi ko thaam liya jo tootne wali nahi hai"

[Surah Baqrah 2/256]

8. "Tagoot" har is cheez ko kehte hai jis ki Allah Ta'ala ke siwa ebadad ki jaaye.

9. Is se ye bhi maloom huwa ke salaf-e-saleheen ke nazdeek surah An'aam ki mazkoorah bala teen mohkam aayaat ki kis qadar ahmiyath hai aur azmat hai. In mein (Allah Ta'ala ki taraf se bando ko) 10 ahkaam aur hidayaat di gayi hai, jin mein se "Awwaleen Hidayath" shirk se mumaniyat hai

10. Surah bani israeel (al israh) ki mohkam aayat mein 18 masail bayaan huwe hai, jis ka aagaaz Allah Ta'ala ne man darj zail farmaan se kiya:

لَّا تَجْعَلْ مَعَ ٱللَّهِ إِلَٰهًا ءَاخَرَ فَتَقْعُدَ مَذْمُومًۭا مَّخْذُولًۭا

"Allah Ta'ala ke sath koi aur mabood na banana warna zaleel aur beyaar-o-madadgaar ho kar baithe rahogen."

[Surah Israh 17/22]

(Yane in masail mein sab se awwaleen haisiyat Tawheed ko di gayee hai, jaisa ke (man darj zail alfaaz ke sath aqtetaam (bhi Tawheed par hi) kiya hai:

وَلَا تَجْعَلْ مَعَ ٱللَّهِ إِلَٰهًا ءَاخَرَ فَتُلْقَىٰ فِى جَهَنَّمَ مَلُومًۭا مَّدْحُورًا

"Aur Allah Ta'ala ke sath koi dusra mabood na bana leyna ke (aisa karne se) malamat zada aur (Allah ke daebaar se) randah bana kar Jahunnum mein daal diye jaougen."

[Surah Israh 17/39]

Allah Ta'ala ne humme in masail ki ahmiyath par tanbi karte huwe irshaad farmaya:

ذَٰلِكَ مِمَّآ أَوْحَىٰٓ إِلَيْكَ رَبُّكَ مِنَ ٱلْحِكْمَةِ ۗ

"Ye in daanayi ki baatou mein se hai jo Aap Sallallahu Aalahi Wasallam ke Rab ne Aap ki taraf wahi ki hai."

[Surah Israh 17/39]

11. Surah An'nisa ki wo aayat jo huqooq-e-asrah ki aayat kehlati hai, ka aagaaz bhi Allah ne Apne (Tawheed bhare) in alfaaz se kiya hai:

 وَٱعْبُدُوا۟ ٱللَّهَ وَلَا تُشْرِكُوا۟ بِهِۦ شَيْـًۭٔا ۖ

"Aur Allah Ta'ala ki bandagi karo aur Uske sath kisi ko shareek na tehraou."

[Surah An'Nisa 4/36]

12. Is mein Nabi Sallallahu Aalahi Wasallam ki is wasiyat ke taraf bhi tawajju dilayi gayee hai jo Aap Sallallahu Aalahi Wasallam ne wafat ke waqat farmayi thi.

13. Hummare (yane bando ke) zimme Allah Ta'ala ka kya haq hai ?

14. Aur bande jab Allah Ta'ala ka haq aada kare tou inka Allah Ta'ala par kya haq hai ?

15. (Hadees mazkoor mein bayaan suda) masle ka aksar Sahaba Radhi Allahu Anhum ko ilm na tha.

16. Kis masilhat ke peshe nazar ilm ko chupana jaiz hai.

17. Kisi musalmaan ko aisi qabar deyna mustahab hai jis se wo khush ho.

18. Allah Ta'ala ki Rahmat ki wasa'at par bharosa kar ke (aamal tark karne se) darana chahiye.

19. Aagar masool ko kisi baat ka ilm na ho tou is ke mutaliq "Allahu Wa Rusuluhu Aalam" (yane Allah aur Iske Rasool Sallallahu Aalahi Wasallam behtar jaante hai) kahen.

20. Kisi ko ilm seekhana kisi ko mehroom rakhna jaiz hai.

21. Is hadees se Nabi Sallallahu Aalahi Wasallam ki tawaza aur inkesaari ka bhi pata chalta hai ke Aap Sallallahu Aalahi Wasallam Jaleel-ul-Qadr hone ke bawajood ghade par sawaar huwe aur apne peechey ek dusre shaks ko bhi sawaar kiya.

22. Sawari par apne peechey kisi dusre ko bitha leyna jaiz hai.

23. Is hadees se Mu'aaz bin Jabal Radhi Allahu Anhu ki fazeelat bhi wazeh hai.

24. Is hadees se mas'aala Tawheed ki azmat ka bhi pata chala.

[Baab 2] aur [20 Masail]

Tawheed ki fazilat aur Tawheed ka tamaam gunhaou ko mita deyna:

Irshaad-e-Ranbbani hai:

"Aur jo loug emaan laaye aur apne emaan ko zulm (shirk) se aaluda nahi kiya, inke liye aaman hai aur wahi raah-e-raast par hai."

[Surah An'aam 6/82]

Aur hazrat Ubada bin Samat Radhi Allahu Anhu se riwayath hai ke Rasoolallah Sallallahu Aalahi Wasallam ne irshaad farmaya:

"Allah Ta'ala ke siwa koi mabood nahi wo aakela hai aur uska koi shareek nahi, aur hazrat Muhammad Sallallahu Aalahi Wasallam iske Bande aur Rasool hai, aur hazrat Eesa Aalaihis'salaam bhi Allah Ta'ala ke bande iske Rasool Iska kalma jo is (Allah) ne hazrat Maryam Aalaihas'salaam ki taraf daala tha aur iski taraf se (behji huwi) rooh thaye, aur (jo shaks is baat ki bhi gawahi dey ke) jannat aur jahannum bar haq hai, tou aise shaks ko Allah Ta'ala (bahar haal)jannat mein daqil karega, qawa iske aamal kaise hi ho."

[Sahih Bukhari wa Sahih Muslim]

Aur saheheen mein hazrat Outbaan Radhi Allahu Anhu se riwayath hai ke Nabi Sallallahu Aalahi Wasallam ne irshaad farmaya:

"Allah Ta'ala aise shaks ko jo mehaz raza-e-ilahi ke liye "La'ilaha'illallah" ka aqraar kare, dozaq par haraam kardeyta hai."

Hazrat Abu Khudri Radhi Allahu Anhu se riwayath hai ke Rasoolallah Sallallahu Aalahi Wasallam ne irshaad farmaya:

"Musa Aalaihis'salaam ne Allah Ta'ala se arz ki, aye mere Rab ! Mujhe koi aisa zikr bataiye jis se main Tujhe yaad karu aur iske zariye se Tujhe pukaarta rahu. Allah Ta'ala ne farmaya: "aye Musa ! "La'ilaha'illallah" padha karo. Hazrat Musa Aalaihis'salaam ne kahan: aye mere Rab ! Ye kalma tou tere sab bande padte hai. Allah Ta'ala ne farmaya: aye Musa aagar saatou aasmaan aur inki maqlooq bajuz mere aur saatou zameen tarazu ke ek palde mein ho aur "La'ilaha'illallah" dusre palde mein ho tou "La'ilaha'illallah" in sab se wazan hoga."

[Rawahu Ibne Habban wal Hakim wa Saheeh] (Isse ibne habban aur hakim ne riwayat kiya hai aur hakim ne isse saheeh qarar diya)

Aur sunan tirmizi hasan sand ke sath hazrat Aanas Radhi Allahu Anhu se marwi hai ke maine Rasoolallah Sallallahu Aalahi Wasallam ke ye farmate huwe suna ke Allah Ta'ala irshaad farmata hai:

"Aye ibne Aadam ! Aagar tu mere paas zameen bhar kar gunha laaye, phir is haal mein tu mujse mulaqaat kare ke tu mere sarh kisi ko shareek na tehrata ho tou main is qadar teri maghfirat wa bakshis lekar aaoau."

Masail:

1. Allah Ta'ala ka fazal behat wasee hai.

2. Allah Ta'ala ke yahan Tawheed ka behat ziyada sawaab hai.

3. Sawaab ke sath sath aaqida-e-tawheed gunhaou ka kaffara bhi hai.

4. Is tafseel se Surah An'aam ki aayat (82) ki tafseer wazeh ho jaati hai. (ke is aayat mein zulm se muraad shirk hai)

5. Hazrat Ubada Radhi Allahu Anhu ki hadees jo panch oumoor mazkoor hai is par gaour wa tadad'bur karna chahiye.

6. Hadees Ubada aur hadees Outbaan Radhi Allahu Anhu dono ko jama kare tou in se "La'ilaha'illallah" ka mane mazeed wazeh ho jaata hai aur jo loug is dhoke mein mubtila hai (ke mehaz zubaan se kalma-e-tawheed ka aqraar nijaat ke liye kafi hai) inki galti bhi wazeh hoti hai.

7. Hazrat Outbaan Radhi Allahu Anhu ki hadees mein mazkoor shart bhi qabil-e-tawajju hai.

8. Ambiya Akraam bhi is kalme ki fazilat janne ke mohtaaj thaye.

9. Ye aamr bhi qabil-e-gaour hai ke kalma "La'ilaha'illallah" tamaam aasmano aur zameeno se wazani aur bhari hone ke bawajood behat se kalma goh lougo ke tarazu halke hogen.

10. Is mein sarahat bhu hai ke aasmano ki tarha zameene bhi saat hai.

11. Aasmano aur zameeno mein maqlooq aabaad hai.

12, Allah Ta'ala ke bhi awsaaf (sifaat) hai jab ke aasha'aara ka ka aaaida iske baraks hai (ke wo Allah Ta'ala ki baaz sifaat ka inkaar karte hai)

13. Jab aap hazrat Aans Radhi Allahu Anhu se marwi hadees ko achchyee tarha se samhj leygen tou aap ko maloom hoga ke hazrat Outbaan Radhi Allahu Anhu se marwi hadees ke in alfaaz

فان الله حرم على النار من قال لا اله الا الله بيتغى بذلك وجه الله

"Ke jo shaks mehaz raza-e-ilahi ke khatir "La'ilaha'illallah" ka aqraar kar ley tou Allah Ta'ala is se dozaq par haraam kardeyta hai."

se shirk ko chohod deyna muraad hai, mehaz zabaan se kalma padh leyna nijaat ke liye kafi nahi.

14. Ye baat bhi qabil-e-gaour hai ke is hadees mein hazrat Muhammad Sallallahu Aalahi Wasallam aur hazrat Eesa Aalaihis'salaam dono ko Allah Ta'ala ke bande aur Rasool kahan gaya.

15. Ye baat bhi qabil-e-pehchaan hai ke (har cheez Allah Ta'ala ke hukum se paida hone ki wajhe se iska Kalma hai) tahim yahan qususi taur par Eesa Aalahis'salaam ko "Allah Ta'ala ka kalma" kahan gaya.

16. (Aagar che rooh, Allah Ta'ala ki maqlooq hai, taham) hazrat Eesa Aalahis'salaam ke mutaliq qususi taur par maloom huwa ke inhe Allah Ta'ala ki rooh qaraar diya gaya.

17. Jannat aur Jahannum par emaan laaney ki (ahmiyath aur) fazilat bhi maloom hoti hai.

18. Is tafseel se hazrat Ubada Radhi Allahu Anhu ki hadees mein

ما كان من العمل

Ka mana bhi matyeen ho jaata hai ke (insaan ke jannat mein jaane ke liye is ka "Sahib-e-Tawheed" hona shart hai.

19. Qayamat ke roz aamaal tolne ke liye jo mezaan qayam ki jaayegi, is ke bhi do palde hai.

20. Is hadees mein Allah Ta'ala ke liye "Al Wajh" ka lafz istemaal huwa hai jis ke mane "chehra" hai

(Yane ye emaan laana zaroori hai ke Allah Ta'ala ka chehra hai albatta ليس كمثله شىء ki rawa se hum is ki kaifiyat samahjne se qasir hai.)

To be continue... Inshaa'Allah...

No comments:

Post a Comment