Thursday, June 2, 2016

HADEES AUR FIQH KE BAAZ USOOL (PART - 1)

BISMILLAH

"Hadees Ke Baaz Usool"
By: Abu Zaid Zameer Hafizullah.

Roman urdu written by: Syed Ibraheem salafi

Hadees ki zaroorat kuy?

Shaikh ne apna bayaan is mauzoo se shuru kiya, ke Muhammad Sallallahu Aalaihi Wasallam ki hum ko zaroorat kya hai Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ki Tabyeen ki zaroorat kuy hai.

Jawaab: Kuy ke Qur'an mein Ijmalan sab kuch hai lekin Tafseelan nahi hai, tafseel ke liye Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ki Hadees ki taraf ruju karna pdhega...

Misaal: Wuzu, Namaz wagaira ka hukum Qur'an mein hai lekin in ki tafseel Hadees mein hai...

Allah Ta'ala ne farmya: "Rasool jo kuch dey leylo jis se roke ruk jaou." (Surah Hasahar Aayat 7)

Ye Aayat Fai ke maal ke bareme nazil huwi hai lekin Ulama ne is ko Aam kahan hai aur Sahaba bhi is ko Aam samahjte the...

Ibne Masood Radhi Allahu Anhu Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ke hukum ko Qur'an ka hukum kahan aur ye hi Aayat (Surah Hasahar Aayat 7) ki tilawat ki. (Sahih Bukhari, Kitabul Tafseer, Hadees 4886)

Allah Ta'ala ne kahan "Rasool jo kuch dey leylo" Qur'an dey leylo, Qur'an ki Tafseel dey leylo, Hadees dey leylo, Hukum dey leylo, Fai ka maal dey leylo... aur aagen farmaya "Jis se roke ruk jaou" koi kaam se roke ruk jaou, kahin jaane se roke ruk jaou, Fai ka maal leyne se roke ruk jaou...

Allah Ta'ala ne Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ko Qur'an samjhane ka hukum diya:

Allah Ta'ala ne farmaya: "Ye zikr (Qur'an) humne Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ki tarah outara hai ke lougo ki janib jo nazil farmaya gaya hai Aap is se khol khol kar bayaan kardey." (Surah Nahal Aayat 44)

Is Aayat (Surah Nahal Aayat 44) mein Allah Ta'ala ne Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ko hukum diya "Litubaiyina Lilnaas" ke Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam lougo ko Qur'an Bayaan karde Bayaan Bana se aaya hai Bana ka matlab hai alag ho hojana, Haq aur Batil ko alag alag karna Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ke zimme hai, agar ye Tabyeen nikaal di jaye tou lougo ko pata hi nahi chalega ke kya Nazil huwa hai...

Allah Ta'ala ne Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ko Qur'an samjhane ke liye tai kiya, lehaza Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ki Aahadees hujjat hai, kuy ki Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ko Allah Ta'ala ne Qur'an samjhane par tai kiya...

Muhammad Sallallahu Aalaihi Wasallam ki zindagi ko Allah Ta'ala ne lougo ke liye "Ouswatun Hasanah" banaya hai:

Allah Ta'ala ne farmaya: "Yaqinan tumhare liye Rasool Allah (Sallallahu Aalaihi Wasallam) mein oumda namuna (maujood) hai." (Surah Al Ahzaab Aayat 21)

Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ki zindagi Aahadees mein maujood hai, Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ka baithna outhna, chalna phirna, khana peena, aqlaal kirdaar Aap ki puree zindagi Uswatun Hasanah hai, ye sab kuch Aahadees mein hi milega...

Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ki zindagi se Allah Ta'ala inta Razi hai ke jo Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ki itteba karegan Allah Ta'ala usse bhi Razi ho jayega.....

Allah Ta'ala ko Razi karne ke liye Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ki Itteba zaroori hai:

Allah Ta'ala ne farmaya: "(Aye Nabi) Keh dijiye ! Ke agar tum Allah Ta'ala se muhabbat rakhte ho tou meri Itteba karo, kudh Allah Ta'ala tum se muhabbat karega aur tumhare gunha maaf kardega, aur Allah Ta'ala bada bakshis wala meharbaan hai." (Surah Al Imran Aayat 31)

Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ki ghar mein Allah ki Aayate aur Hikmat ki baate (yane Hadees) padhi jaati hai uske zikr karne ka hukum Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ki biwiyo ko Allah Ta'ala ne diya:

Allah Ta'ala ne farmaya: "Aur tumhare gharo mein Allah ki jo Aayate aur Rasool ki jo Aahadees padhi jaati hai unka zikr karti raho, yaqinan Allah Ta'ala lutf karne wala khabardaar hai." (Surah Ahzaab Aayat 34)

Is Aayat mein Hikmat se muraad Sunnat wa Hadees hai... (Tafseer Ibne Kaseer Surah Ahzaab Aayat 34)

Surah Hasahar Aayat 7 ki tafseer:

Allah Ta'ala ne farmya: "Rasool jo kuch dey leylo jis se roke ruk jaou." (Surah Hasahar Aayat 7)

Ye Aayat Fai ke maal ke bareme nazil huwi hai lekin Ulama ne is ko Aam kahan hai aur Sahaba bhi is ko Aam samahjte the...

Ibne Masood Radhi Allahu Anhu Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ke hukum ko Qur'an ka hukum kahan aur ye hi Aayat (Surah Hasahar Aayat 7) ki tilawat ki. (Sahih Bukhari, Kitabul Tafseer, Hadees 4886)

Allah Ta'ala ne kahan "Rasool jo kuch dey leylo" Qur'an dey leylo, Qur'an ki Tafseel dey leylo, Hadees dey leylo, Hukum dey leylo, Fai ka maal dey leylo... aur aagen farmaya "Jis se roke ruk jaou" koi kaam se roke ruk jaou, kahin jaane se roke ruk jaou, Fai ka maal leyne se roke ruk jaou...

Umme Yaqoob ka waqiya:

Abdullah bin Masood Radhi Allahu Anhu ne bayaan kiya Allah Ta'ala ne godwane waliyo godne waliyo par lanat behji hai chehere ke baal oukhadne waliyo aur huusn ke liye aage ke danttou mein kushadgee karne waliyo par lant dehji hai ye Allah ki paida huwi surat mein tabdeeli karti hai_ Abdullah bin Masood Radhi Allahu Anhu ka ye kalaam qabila bani asad ki ek aurat ko maloom huwa jo Umme Yaqoob ke naam se maroof thi wo aayee aur kahan ke mujhe maloom huwa ke aap ne is tarha ki aurataou par lanat behji hai? Abdullah bin Masood Radhi Allahu Anhu ne kahan ke aaqir kuy na main inhe lanat karou jinhe Rasool Allah Sallallahu Aalaihi Wasallam ne lanat ki hai aur jo Kitaab Allah ke hukum ke mutabiq maloon hai_ Is aurat ne kahan ke Qur'an-e-Majeed tou maine bhi padhi hai lekin aap jo kuch kehte hai maine tou is mein kahin ye baat nahi dekhi_ inhu ne (Abdullah bin Masood ne) kahan ke aagar tumne bagaour padha hota tou tumhe zaroor miljata kya tumne ye aayat nahi padhi "Aur tumhe jo kuch Rasool dey leylo, aur jis se roke ruk jaou." (Surah Hasahar Aayat 7) is ne kahan ke padhi hai Abdullah bin Masood Radhi Allahu Anhu ne kahan ke phir Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ne in chizo se roka hai... ... ..."

[Sahih Bukhari, Kitabul Tafseer, Hadees 4886]

Lughat mein Hadees ka matlab aur Hadees ki Istelah:

Lughat mein Hadees Baat, Khabar ko kehte hai, is ki jama Aahadees hai (Aasan Lughat Al Qur'an Page 164) aur Qur'an mein Hadees lafz Allah ki Kitaab (Qur'an) ke liye, Nabi ki Baat ke liye, Waqiye ke liye, Mustaqbil ki khbar ke liye, Aamal ke liye, Insani gab'shap ke liye aur Jhooti Baat ke liye bhi hadees lafz Istemaal huwa hai... (Inshaa'Allah aagen is ke Dalail dekhegen hum)

Istelah:

Sab se pehle Istelah ka matlab samahj lijiye:

"Kisi khaas fan mein kisi lafz ka ek khaas matlab hota hai us khaas matlab ko us fan ki istelah kehte hai"

Jaise ek lafz ka lughat mein ek matlab hota hai aur Shariyath mein uska ek Khaas matlab hota hai, us Khaas matlab ko us lafz ki Istelah kehte hai.

Lughat mein Hadees baat ko kehte hai  sachchi baat, jhooti baat, koi bhi baat ho kisi ki bhi baat ho, usko Hadees kehte hai lekin Istelah mein Hadees ka ek Khaas matlab hai...

Hadees ki Istelah:

Aam taur se Fuqaha aur Ahle Usool Hadees ki Tareef mein teen chize batatey hai:

"Jo Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam se Naqal ho kar hum tak aayen chahe wo (Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam) ka Qaoul ho ya Fail ho ya Taqreer ho."

Is ko Hadees kehte hai, ye Hadees ki buniyadi tareef hai, Ulama Akraam ne is mein izafa bhi kiya hai, aagen wo bhi Tareef aayegee.

Ye buniyadi tareef hai Hadess ki (jo oupar guzri hai), baaz Ulama Akraam ne is mein izafa kiya hai jo tafseeli hai:

"Jo Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam se Naqal ho kar hum tak aayen chahe wo  (Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam) ka Qaoul ho ya Fail ho ya Taqreer ho ya (Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam) ki Jismani Sifat ho ya (Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam) ki Aqlaqi Sifat ho ya Seerat ho, baaz Ulama ne kahan (ya jisme Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ki cheezo ka zikr ho) Hum kahengen ke jo cheeze Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam se judi ho wo Hadees hai...

Hadees ki Istelah (ye tafseeli hai) :

"Jo Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam se Naqal ho kar hum tak aayen chahe wo (Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam) ka Qaoul ho, ya Fail  ho, ya Taqreer ho, ya Jismani Sifat ho, ya Aqlaaqi Sifat ho, ya Seerat ho, ya Aap (Sallallahu Aalaihi Wasallam) ki koi cheez ho."

Qaoul: Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ki baat Aap ka hukum ya Aap ka kisi cheez ko mana karna..

Fail: Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ka koi Aamal jaise Aap Namaz aise padhte thaye wagaira..

Taqreer: Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ke samne koi Aamal kiya jaye aur Nabi us ka Rad na kare usko Taqreer kehte hai..

Jismani Sifat: Aap aise dekhte thaye Aap ke Hath aise thaye wagaira wagaira..

Aqlaqi Sifat: Aap behat Sadqa karte thaye Aap Mehmaan Nawazi karte thaye Aap Bhooko ko Khana khilate thaye wagaira wagaira..

Seerat: Aap ke zamane ka koi waqiya Nabuuwat se pehle ka ya Nabuwat ke baad ka..

Nabi ki koi Cheez: Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ka Takiya aisa tha Aap ki Ountni thi wagaira wagaira..

No comments:

Post a Comment