Saturday, June 4, 2016

KITABUT TAWHEED (PART - 4)

BISMILLAH

Kitabut Tawheed. By: Muhammad Bin Abdul Wahab Rahimahullah.

[Baab 7] aur [Masail 11]

Rafa-e-Balah Aur Difa-e-Masaib Ke Liye Challe Aur Dhage Wagaira Pehanna Shirk Hai:

Irshaad-e-Ilahi hai:

"(Aye Muhammad Sallallahu Aalaihi Wasallam) in se keh dijiye! Tumhara kya khayaal hai ke agar Allah Ta'ala mujhe koi zarar pohchana chahe tou kya Allah Ta'ala ke siwa jinhe tum pukaarte ho, is zarar ho hata sakte hai? Ya Allah mujpar meharbani karna chahe, tou kya Uski Rahmat ko rok sakte hai? Aap kehde ke mujhe tou Allah Ta'ala hi kafi hai, bharosa karne wale is par bharosa karte hai."

[Surah Al Zumar 39/38]

Hazrat Imran bin Haseen Radhi Allahu Anhu se marwi hai ke Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ne ek aadmi ke hath mein pital ka challa dekha tou farmaya:

"Ye kya hai? Isne kahan ke ye wahanah "واھنہ" (ek marz) ki wajhe se pehna huwa hai. Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ne farmaya: "isse outaar do" ye (tumhe koi faida nahi pohcha sakta balke) tumhari kamzori mein mazeed izafa kardega. Is challe ko pehne huwe aagar tumhe maout aagayee tou tum kabhi nijaat na paa sakogen."

"رواه احمد  بسند  لا بأس به"

[Rawahu Ahmed Bisand La Bias Bih]

Wahanah "واھنہ" Imam Ibne Al Aseer Al Jazari Rahimahullah farmate hai ke wahanah ek aisi bimari hai khade ya pure bazu ki rag bhool jaati hai, takleef se nijaat ke liye dum bhi karte hai, baaz ahle ilm ka qaoul hai ke kohni aur khande ke darmiyani hisse mein baaz awqaat takleef ho jaya karti hai, ye takleef mardao ko hoti hai, auratou ko nahi.

Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ne is shaks ko wo challe pehanne se is liye mana kiya tha ke is ne wo challe is marz se nijaat ke liye pehna tha wo challa isse mehfooz rakkhega, halanke challe ka bimari se koi wasta ya taluq nahi. (Urdu Mutarjim)

Hazrat Ouqba bin Amir Radhi Allahu Anhu se marwi hai ke Allah ke Raool Sallallahu Aalaihi Wasallam ne farmaya:

"Jis shaks ne (bimari se tahafuz ki niyath se) taweez latkaya, Allah Ta'ala is ki muraad puree na kare aur jisne seep "سیپ" pandha, Allah Ta'ala isse bhi araam na dey."

[Musnad Ahmed]

Ek aur riwayath mein hai:

"من تعلق تميمة فقد اشرك"

"Jisne (bimari se tahafuz ki niyath se) taweez latkaya, usne Is (Allah Ta'ala) ke sath shirk kiya."

Tamimah: mazkoor bila hadees mein "Tamimah" aur "Wada'a" ki mazammat wird huwi hai, koi cheez wo lohe ki ho ya pital ko, seeo ho ya mankah, ya dhaga, is se gale mein daalna, kalai ya bazu, ougli ya paou par padhna, is niyath se ke is ki wajhe se aaraam aa jayega, sakht mamnoon hai, balke shirk hai.

Ibne abi Hatim ne hazrat Huzaifa Radhi Allahu Anhu ke mutaliq bayaan kiya hai ke inhune ek shaksh ke hath mein buqaar ke sabab dhaga pandha huwa dekha touninhune isse kaat daala aur ye aayat tilawat farmayee:

"Aur inme se aksar loug Allah Ta'ala par emaan laaney ke bawajood bhi mushrik hai." [Surah Yousuf 12/106]

Aarab loug bachcho ko nazar-e-bad se door rakhne ke liye in ke gale mein kaudiya bandhte thaye, Islam ne is amal ko batil aur fuzool qarar diya, hazrat Ibne Umar Radhi Allahu Anhu ka farmaan hai:

"Agar main tameema daal lou tou phir mujhe iske baad kisi bhi gunha ki parwa nahi."

Matlab ye ke ye sab se bada gunha hai aur baqi isse peechey hai.

Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ne irshaad farmaya: "Jo shaksh (nazre bad aur bimari se tahaffuz ke liye) koi cheez pandhe ya latkaye tou Allah Ta'ala isse araam na dey."

Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ne ye shadeed andaza-e-taqatib is liye aqtiyaar farmaya ke arbo ka aaqida thaye ke ye dawa aur shifa hai aur wo loug in chizo ko mehaz bandh leyna kafi samahjte aur aiteqaad rakhte thaye ke ye Allah Ta'ala ki taqdeer aur faisle ko rok leygee aur wo inhe dafa al'bala samahjte thaye. Is liye Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ne in oumoor se sakhti se mana farmaya aur isse shirk qarar diya.

Imam Abdul Azeem Munzari Rahimahullah raqam taraz hai ke:

Tamimah: Chamde ke tukde ko kehte hai jis par koi cheez likkhi ho, arab loug is qism chizo ko istemaal karte thaye taake inke zariye aafaat wa masaib se difa ho, ye sara sar jahalat wa zalalat ki baat hai, kuy ke Allah Ta'ala ke siwa koi na tou takleef ko door kar sakta hai aur na rok sakta hai.

Wadaa: Mazkoor bila Aahadees mein se ek hadees mein "Wadaa" "ودعہ" ka lafz aaya hai, Abu Al Sadaat Iben Al Aseer Al Jazari Rahimahullah farmate hai ke ye samandar se nikalne wali safeed rang ki ek cheez hoti hai, wo loug isse nazre bad se bachao ke liye gale mein latkate thaye, is liye Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ne is par napasndedgi aur karahat ka izhar farmaya aur is se mana farmaya. Urdu mein "wadaa" ko seep gohngeh kahan jaata hai.

Hummare yahan bhi baaz bimariyo ki surat mein loug is ka sahih ilaj karne ke bajaye dhage par ghanft laga kar bandh leyte hai. Ya choti choti lakdiyu ka haar sa bana kar gale mein latka leyte hai. Baaz suratou mein naak ya kaan mein suraaq kar ke koi cheez daal leyte hai. Bas, Tark, Car, Makan, wagaira par siya kapda lehra deyte hai ya purana juta latka deyte hai. Ya siya handiay oulat kar rakh deyte hai, wagaira wagaira ye sab kaam mandarj bila aahdess ki raoushni mein mana aur shirk hai, inse bachna chahiye. (Urdu Mutarjim)

Masail:

1. (Bimari se tahaffuz ki niyath se) Challa, Dhaga ya door wagaira bandhna sakt mana hai.

2. Is hadees se maloom shuda is bayaan se ke aagar Sahabi bhi is niyath se koi cheez bandhe ye latkaye aur is haal mein mar jaye tou wo bhi kabhi falah nahi paa sakta, Sahaba ki is thoos baat ke liye shahid maujood hai aur wo ye ke "Shirk-e-Asgar Akbar Al Kabair hai"

3. Jahalat ke sabab bhi in chizo ke murtakib ko mazoor nahi samjha jayega.

4. Ye cheez duniya mein bhi mufeed nahi balke muzir hai kuy ki Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ka farmaan hai: "ye teri bimari ko badhane ke siwa kuch na karega"

5. Aisi chizo ko istemaal karne wale ko sakhti se rokna chahiye.

6. Isse bataki wazahat maloom huwi ke jisne koi cheez latkayee isse iske supurd kardiya jaata hai.

7. Jisne koi taweez latkaya isne shirk kiya.

8. Buqar ki wajhe se dhaga bandhna shirk hai.

9. Hazrat Huzaifa Radhi Allahu Anhu ka is mauqe par is Aayat ki tilawat karna, is baat ki daleel hai ke Sahaba Akraam Radhi Allahu Anhum Shirk-e-Akbar ki Aayat se Shirk-e-Asgar par bhi istedaal kiya karte thaye jaise ke Surah Baqrah ki Aayat ki tafseer mein hazrat Ibne Abbas Radhi Allahu Anhu ne zikar kiya hai.

10. Nazre Bad se bachaou ke liye seep bandhna shirk hai.

11. (Bimariyo se tahaffuz ke liye) taweez latkana aur seep wagaira daalne wale ke liye bad dua ki jaa sakti hai ke Allah Ta'ala is ki muraad puree na kare aur isse araam na dey.

[Baab 8] aur [Masail 9]

Damo Aur Taweezo Ka Bayaan:

Sahih Bukhari wa Sahih Muslim mein hazrat Abu Basheer Ansaari Radhi Allahu Anhu se riwayath hai ke wo Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ke sath safar mein thaye, Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ne ek qasid ko (ailaan karne ke liye) behja ke "Kisi ount ki gardan mein tant wagiara se latkayee cheez na rehne di jaye, agar ho tou kaat di jaye."

Daur-e-Jahiliyath mein rasam thi ke agar kamaan ki tant puranee ho jati tou isse tabdeel kar leyte aur puranee tant ko chaopayo ke gale mein daal deyte, inka khayaal tha ke isse janwar nazre bad se mehfooz rehta hai. (Urdu Mutarjim)

aur hazrat Abdullah bin Masood Radhi Allahu Anhu se marwi hai ke maine Rasool Allah Sallallahu Aalaihi Wasallam ko farmate huwe suna ke:

"Jhaad phoonk (nazre bad wagiara se tahaffuz ke liye) taweez gan'dah (bandhna aur muhabbat ke liye kiye jane wale aamaal) jadu sab shirk hai."

[Rawahu Ahmed wa Abu Dawood]

Mulahizah: ye ek tafseeli waqiya ke ek hissa hai, pura waiaya imam Abu Dawood Rahimahullah ne naqal farmaya hai, hazrat Abdullah bin Masood Radhi Allahu Anhu ki zuja-e-muhtarma Zainab Radhi Allahu Anha ka bayaan hai ke mere shuhar Abdullah bin Masood (Radhi Allahu Anhu) ne meri gardan mein ek dhaga dekha tou puchaa ye kya hai ? maine kahan "ye dum kiya gaya dhaga mujhe diya gaya hai"

tou Ibne Masood Radhi Allahu Anhu ne wo dhaga kaat dala aur farmaya: "Aye Abdullah ke ahl-o-ayaal ! tum is shirk se beniyaaz ho,

kuy ke maine Rasool Allah Sallallahu Aalaihi Wasallam ko farmate huwe suna ke, "ye jhaad phoonk, nazre bad se tahaffuz ke liye muqtalif chize bandhna ya latkana aur muhabbat ke taweez sab shirk hai"

maine (Zainab Radhi Allahu Anha ne) kahan: "meri ankh mein chuban thi main falah yahodi ke paas dum karwane jaati thi, iske dum se mujhe aaraam aajata tha" tou Ibne Masood Radhi Allahu Anhu ne kahan: "ye shitani harkat hai, wo apne hath se chubhota tha jab dum kiya jaata tou wo hath rok leyta, is takleef ke dauraan tumhare liye itna kafi tha ke tum wo dua padh leyti, jo Rasool-e-Akram Sallallahu Aalaihi Wasallam padha karte thaye, Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ye dua padha karte thaye:

"اذهب الباس رب الناس واشف انت الشافى لا شفاء الا شفاءك شفاء لا يغادر سقما"

Is hadees mein darj zail teen alfaaz warid huwe hai Tamaim, Ruqai, Tawwilah.

Al Tamaim "التمائم" ye lafz tamimah ki jama hai, isse muraad har wo cheez hai ji nazre bad se tahaffuz ke liye bachcho ke gale mein bandhe latkaye ya daali jaye. qurani tawizaat ko baaz ahle ilm ne jaiz aur baaz ne na'jaiz qarar diya, na'jaiz kehne walou mein se ek hazrat Abdullah bin Masood Radhi Allahu Anhu bhi hai.

Ar Ruqaiya "الرقىٰ" ye ruqiya ki jamah hai, inhe Al Izaim "العزائم" bhi kahan jata hai, ruqiya dum aur jhaad phoonk ko kehte hai, agar che hadees mein dum ko shirk kahan gaya hai, lekin dalail se sabit hai ke jo dum shirkiya kalimaat par mushtamil na'ho, iski ijazat hai, aur ruqsat hai.

At Tawilah "التوله" ye ek aisa amal hai, jis ke zariye arbo ke khayaal mein khawind aur biwi ke mabayaan ulfat paida hoti hai.

aur hazrat Abdullah bin Makeem Radhi Allahu Anhu se marwi hai ke Rasool Allah Sallallahu Aalaihi Wasallam ne farmya:

"Jis shaksh ne koi cheez latkayee tou isse iske hawale kardiya jata hai."

[Musnad Ahmed wa Sunan Tirmizi]

aur imam Ahmed ruwaifee "رويفع" Radhi Allahu Anhu se riwayath karte hai ke mujhe Rasool Allah Sallallahu Aalaihi Wasallam ne farmaya:

"Aye Ruwaifee ! shayad tum muddat tak tum zinda raho, lehaza lougo ko bata deyna ke jo shaksh dadhi ko girah lagaye, ya tant "تانت" gale mein daale, ya chaupaye ke gobar ya haddi se istanjah kare, tou Muhammad (Sallallahu Aalaihi Wasallam) is se bezaar aur lataluq hai."

[Rawahu Ahmed wa Abu Dawood]

Sayeed bin Jubair Radhi Allahu Anhu se marwi hai ke:

"Jo shaksh kisi ke gale se taweez ko kaat dale tou isse ek gulaam aazaad karne ke barabar swaab milega."

[Rawahu Wakeeh]

aur Wakayee Rahimahullah Ibraheem Naqai Rahimahullah se riwayath karte hai ke:

"(Loug yane Ashab e Ibne Masood Radhi Allahu Anhu) qiraani aur gair quraani har qisam ke tawizaat ko na pasand gir dantte thaye."

Masail:

1. Ruqiya aur Tamimah ki tafseer.

2. Tiwalah ki tafseer.

3. Ruqiya Tamimah aur Tiwalah bila istisna teeno shirk hai.

4. Nazre bad aue Zehrile janwar ke kaatne ka gair shirkia dum mamnoo hai.

5. Quraani aayat ke tamimah (taweez) ke bareme ahle ilm ke mabyaan aqtilaaf hai ke ye shirk hai ya nahi ?

6. Nazre bad se tahaffuz ki khatir janwaro ke gale tant bandhna shirk hai.

7. Is mein tant bandhne walo ke shadeed wayeed warid huwi hai.

8. Is se kisi ke gale mein bandhe huwe taweez ko kaat phenkne ka sawaab aur fazilat maloom hoti hai.

9. Ibraheem Naqai Rahimahullah ki baat ahle ilm ke mazkoorah bila aqtilaaf manafi nahi, kuy ke inke kalaam se hazrat Abdullah bin Masood Radhi Allahu Anhu ke shagird muraad hai.

To be continue... Inshaa'Allah...

No comments:

Post a Comment