Saturday, June 4, 2016

KITABUT TAWHEED ( PART - 3)

BISMILLAH

Kitabut Tawheed
 By: Muhammad Bin Abdul Wahab Rahimahullah.

[Baab 5] aur [Masail 30]

"La'ilaha'illallah" ki gawahi ke liye lougo ko dawat deyna:

Irshaad-e-Rabbani hai:

"(Aye Muhammad Sallallahu Aalahi Wasallam) Aap keh dey ke mera aur mere pairokaaro ka raasta tou ye hai ke hum sab samahj boojh kar Allah ki taraf bulate hai. Allah Ta'ala har aib se paak hai aur main shirk karne walou mein se nahi hu."

[Surah Yousuf 12/108]

Hazrat Abdullah Bin Anbas Radhi Allahu Anhu se marwi hai ke Rasool Allah Sallallahu Aalahi Wasallam ne hazrat Mu'aaz Radhi Allahu Anhu ko yaman rawana karte waqat farmaya:

"Tum ahle kitaab ki ek qaoum ke paas jaa rahe ho, tum inhe sab se pehle kalme "La'ilaha'illallah" ki gawahi ki dawat deyna, ek aur riwayath mein hai ke "tum inhe sab se pehle Allah Ta'ala ki wahdaniyath (tawheed) ki dawat deyna" bas aagar wo aap ki ye baat maan jaye tou inhe batana ke Allah Ta'ala ne in par din aur raat mein panch namaze farz ki hai. Bas aagar wo tumhari ye baat bhi maan jaye tou phir inhe batana ke Allah Ta'ala ne in par zakaat farz ki hai, jo inke ashaab sarwat  "اصحاب ثروت"  se ousool kare ke inke fuqarah wa gurba mein taqeem kardi jayegee. Bas aagar wo tumhari ye baat bhi maan jaye tou inke oumada aur qeemti maal leyne se ahtiyaat karna aur mazloom ki bad dua se bachna kuy ke iske aur Allah Ta'ala ke darmiyaan koi hijaab nahi."

[Aqraja Fee Saheeheen]

Hazrat Sahal bin Saad Radhi Allahu Anhu se marwi ek aur hadees mein hai ke qaibar ke din Rasool Allah Sallallahu Aalahi Wasallam ne farmaya:

"Kal main ek aise shaks ko parcham duga jo Allah Ta'ala se aur Iske Rasool (Sallallahu Aalahi Wasallam) se muhabbat rakhta hai aur Allah Ta'ala aur Iska Rasool (Sallallahu Aalahi Wasallam) is se muhabbat rakhte hai, is ke hataou Allah Ta'ala fateh deyga.

Chunanche Sahaba Radhi Allahu Anhum qiyaas aaraiya karte rahe ke parcham kise diya jaa sakta hai ? Subha huwi tou Sahaba Akraam Radhi Allahu Anhum Rasool Allah Sallallahu Aalahi Wasallam ki khidmat mein pohouch gaye, aur ek ki yehi khawish aur umeed thi ke parcham is se hi milega.

Aap Sallallahu Aalahi Wasallam ne dariyaaf farmaya "Ali bin Aabi Talib Radhi Allahu Anhu kahan hai?" Bataya gaya inki annkh dukhti hai, Sahaba Akraam Radhi Allahu Anhum ne hazrat Ali Radhi Allahu Anhu bula bhijaya tou Rasool Allah Sallallahu Aalahi Wasallam ne in ki aankh mein luaab-e-mubarak dala aur dua farmayi. Chunanche hazrat Ali Radhi Allahu Anhu (mukammal taur par) yu tand'rust hogaye ke goya inhe kuch bhi takleef na thi. Aap Sallallahu Aalahi Wasallam ne parcham hazrat Ali Radhi Allahu Anhu ko thama diya aur farmaya:

"Aitmenaan se (aabhi) rawana ho jaou aur qaibar ke maidaan mein pouhach jaou, phir sab se pehle inhe Islam qubool karne ki dawat deyna aur Allah Ta'ala ke jo huqooq in par aa'id hote hai, inhe batana. Allah Ta'ala ki qasam ! Aagar Allah Ta'ala tumhari badaulat ek aadmi ko bhi hidayath dey dey tou tumhare liye ye (sa'aadad intehayee qeemti) surq ountaou se kahin behtar hai."

[Muttafaq Aaleh]

Masail:

1. Nabi Sallallahu Aalahi Wasallam ke mutabiyeen tarika kaar ye hai ke (wo kudh hidayath par aajane ke baad) dusraou ko bhi Allah Ta'ala ki taraf bulate hai.

2. Is baab mein aqlaas-e-niyath ki targeeb hai, kuy ke aksar lougo ka haal ye hai ke wo "dawat illal haq" outhay bhi tou (wo ismein muqlis nahi hote balke) wo lougo ko bil oumoom apni zaat ki taraf bulate hai.

3. Dawat ke kamo mein basirat se kaam leyna farz hai.

4. Husn-e-Tawheed ye hai ke Allah Ta'ala ko har aib se paak maana jaye.

5. Shirk ki ek kahrabi ye hai ke ye Allah Ta'ala ke liye gali aur Uski zaat mein aib aur naqs hai.

6. Is baab ka ek aaham tareen masala ye hai ke musalmaan ko ahle shirk se door kar deyna chahiye, taake kahin aisa na ho ke wo shirk na karne ke bawajood inka sathi ban jaaye.

7. Jumla wajibaat-e-deen mein se sab se pehle wajib masla Tawheed hai.

8. Bashumool namaz tamaam oumoor-e-deen se qabl Tawheed se tableeg ka aagaaz karna chahiye.

9. "Rasool Allah Sallallahu Aalahi Wasallam ke farmaan "ان يوحدوالله" Aur kalma "La'ilaha'illallah" shahadad wa gawahi ka mane wa mafhoom ek hai.

10. Kuch loug ahle kitaab hone ke bawajood kitaab (yane Tawheed) se kama haq baqabar nahi hote, ya janne ke bawajood is par aamal paira nahi hote.

11. Deen ki taleem tadreejan deyni chahiye.

12. Sab se pehle aahem tareen baad aaza badraij ahmiyath wale masail bayaan karna chahiye.

13. Is mein zakaat ke musraf ka bhi bayaan hai.

14. Muallim ko chahiye ke wo muta'allim ke shubhaat ko bhi door kare.

15. Zakaat mein oumda aur qeemti maal leyna mana hai.

16. Mazloom ki bad dua se bachna chahiye.

17. Mazloom ki aah aur bad dua aur Allah Ta'ala ke darmiyaan koi hijaab nahi.

18. Syed ul Mursaleen hazrat Muhammadur Rasool Allah Sallallahu Aalahi Wasallam aur hazraat awliya Sahaba Akraam Radhi Allahu Anhum ko jin mashaq'qataou, bhook aur takleeq ka samna karna padha, wo tamaam dalail-e-tawheed mein se hai.

19. Nabi Sallallahu Aalahi Wasallam ka irshaad hai ke "kal main ye parcham aise shaks ko duga...." Aap Sallallahu Aalahi Wasallam aalamat-e-nabuwat mein se hai.

20. Aap Sallallahu Aalahi Wasallam ka hazrat Ali Radhi Allahu Anhu ke aankh mein lu'aab daalna (aur inka fauran sehat yaab ho jaana bhi) aalamat-e-nabuwat mein se hai.

21. Is waqai se hazrat Ali Radhi Allahu Anhu ki fazilat bhi aaya hoti hai.

22. Is waqai se Sahaba Akraam Radhi Allahu Anhum ki azmat aur fazilat bhi wazeh hai ke wo saari raat ye sochte rahe ke ye parcaham kis khush naseeb ko milne wala hai aur is khayaal mein wo fateh ki basharat bhi bhool gaye.

23. Is se "emaan bil qadr" bhi sabit hota hai ke parcham aise shakhs ko mil gaya jisne is ke liye koi koshis ya khawish nahi ki aur koshis karne wale is ke husool se mehroom rahe.

24. Hazrat Ali Radhi Allahu Anhu se Nabi Sallallahu Aalahi Wasallam ke farmaan "على رسلك"  (ke aitmenaan se rawana ho jaoau) mein aadab (jung) ki taleem hai.

25. Is se ye bhi pata chala ke jung se paishter dawate Islam deyni chahiye.

26. Lougo se awwaleen khitaab ho, ya qabl aaza dawat aur jung ho chuki ho, har do aukhaat mein qabl az jung dawat-e-islam mashroo hai.

27. Nabi Sallallahu Aalahi Wasallam ke mandarj zail irshaad ke "in par Allah Ta'ala ke huqooq hai wo inhe batana" se maloom huwa ke islam ki dawat hikmat wa daanayee ke sath paish karni chahiye.

28. Musalmaan ho kar islam mein (muqarrar karda) huqooq Allah se rawshanaas hona chahiye.

29. Maloom huwa ke jis shaks ke hatoau ek bhi shaks hidayath paa jaye, is ke liye bada sawaab aur badi azmat hai.

30. Is se fatawa par qasam outhane ka jawaaz bhi sabit hota hai.

[Baab 6] aur [Masail 6]

Tawheed Ki Tafseer Aur Kalma "La'ilaha'illallah" Ki Gawahi Ka Matlab:

Allah Ta'ala ne farmaya:

"Ye loug (Allah Ta'ala ke ilawa) jin ko pukaarte hai, wo kudh apne Rab ka taqarrub hasil karne ka wasila (zariya) talash karte rehte hai ke kun iske qareeb tar ho aur wo uski Rehmat ke umeedwar aur uske Aazab qaifh rehte hai, beshak tere Rab ka aazaab darne ki cheez hai."

[Surah Al Israh 17/57]

Aur irshaad hai:

"Aur (is waqat ko yaad karo) jab Ibraheem Aalaihis'Salaam ne apne baap aur apni qaoum se (saaf saaf) keh diya thaye ke tum (Allah Ta'ala ke siwa) jinki bandagi karte ho (mera inse koi taluq nahi) main inse bezaar hu. Han (main sirf isse maanta hu) jisne mujhe paida kiya aur wahi meri rehnumayee karega aur yehi baat apni aulaad mein peechey chohod gaye, taake wo (Allah ki taraf) ruju kare."

[Surah Al Zuqruf 43/66,67]

Neez farmaya: "Inhune Allah Ta'ala ko chohod kar apne ulama aur buzrugo ko apna rab bana liya."

[Surah Tawba 9/31]

Aur farmaya:

"Aur kuch loug aise hai jo gairullah ko (iska) shareek aur humsar tehrate hai. (Aur) unse Allah ki si muhabbat karte hai aur emaan wale (sab se) badh kar Allah Ta'ala se muhabbat karte hai."

[Surah Al Baqrah 2/165]

Aur Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ne ek dafa farmaya:

"Jis shaks ne kalma "La'ilaha'illallah" ka aqraar kar liya aur Allah Ta'ala ke siwa jinki ebadad ki jaati hai, inka inkaar kiya tou iska maal aur khoon mehfooz hogaya aur iska hisaab (yane baqi mamla) Allah Ta'ala ke supurd hai."

[Sahih Muslim]

Aainda abwaab is baat ki tashree hai...

Masail:

1. Is mein sab se aham masla tawheed aur kalma "La'ilaha'illallah" ki tafseer hai, jise mutaid aayaat wa aahadees se bayaan kar diya gaya hai.

2. Dalail-e-Tawheed mein sab se pehli aayat Surah Al Israh (bani israil) ki hai, jisme in mushrikeen ki tardeed hai jo masaib aur mushkilaat mein Allah Ta'ala ko chohod kar saleheen wa buzrugaan ko pukaarte hai, is Aayat mein saaf saaf bayaan hai ke Allah Ta'ala ko chohod kar dusraou ko pukaarna hi shirk-e-akbar hai..

3. In dalail-e-tawheed mein se ek daleel surah baraat (at tawba) ki aayat hai, jisme Allah Ta'ala ne wazeh andaaz mein farmaya hai ke ahle kitaab ne Allah Ta'ala ko chohod apne ulama aur buzrugo ko rab bana rakha tha, jab ke inhe sirf air sirf ek ilaha ki ebadad ka hukum diya gaya tha, halanke is aayat ki wazeh tafseer jis mein koi ahskaal ya ibhaam nahi, ye hai ke ahle kitaab apne ulama aur buzrogo ko (musibat aur mushkil) pukaarte nahi thaye, balki amal-e-masiyat mein inki aata karte thaye.

4. Ibraheem Aalaihis'Salaam ki is baat ka taskira hai, jo inhune kuffar se kahin thi "ke main tumhare mabodo se bezaar hu aur la taluq ho, han (mera taluq sirf is se hai jisne mijhe paida kiya hai) aur is tarha hazrat Ibraheem Aalaihis'Salaam ne kuffaar ke mabodaan-e-batil se Apne Rab ko Mustasna kiya.

Allah Ta'ala ne bayaan farmaya ke kuffar se is tarha baraat wa bezaari aur Allah Ta'ala ki mawalaat "موالات" wa muhabbat hi kalma "La'ilaha'illallah" ki tafseer hai, chunanche farmaya: "aur Ibraheem Aalaihis'Salaam yehi paighaam apne peechey apni qaoum mein chohod gaye, taake wo (uski ki taraf) ruju kare"

5. In dalail mein se ek daleel surah baqrah ki wo aayat hai jo Allah Ta'ala ne kafiro ke mutaliq bayaan farmayee hai ke wo jahannum ki aag se nikalne wale nahi hai, aur inke bareme farmaya ke wo apne shiriko se yu muhabbat karte hai, jaise Allah Ta'ala se honi chahiye, is se maloom hota hai ke kuffaar ko bhi Allah Ta'ala se badi muhabbat thi, magar inki ye muhabbat inhe musraf ba islam na kar saki.

Zara gaour kare..........ke jab Allah Ta'ala se aur gairullah se muhabbat karne walo ko musalmaan shumaar nahi kiya gaya tou Allah Ta'ala se badh kar shareeko se muhabbat karne walo, ya Allah Ta'ala ko chohod kar sirf gairullah se muhabbatnkarne walo ko kya haal hoga.

6. In dalail mein se ek daleel Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ka farmaan-e-zeshaan bhi hai jis shaks ne kalma "La'ilaha'illallah" ka aqraar aur mabodan-e-batil ka inkaar kiya iska maal aur khoon (jaan) mehfooz ho gaya aur iska hisaab (yane baqi mamla) Allah Ta'ala ke supurd hai.

Ye irshaad-e-mubarak badi dalail mein se ek hai jo kalma "La'ilaha'illallah" ke mani wa mafhoom ko (sahih taur par) wazeh karte hai ke is kalme ko mehaz zubaan se aada kar leyne se maal wa jaan ko aaman wa tahafuz nahi mil jaata , yane is kalme ko mehaz padh leyne se, ya iske mane aur alfaaz ko jaan leyne, ya iske mehaz aqraar se aman nahi mil jaati aur na Allah Wahid Lashareeka Lahu ko mehaz pukaarne se aman wa tahafuz hasil hota hai, balke is ke sath sath jab tak mabodan-e-batil ka kufr wa inkaar na kiya jaye, aman nahi mil sakti.

Yaad rahe ke.............. Agar kisi ne in baataou mein se kisi mein bhi zara shak ya tauquf kiya tou iski jaan aur maal ko tahafuz wa amaan hasil nahi ho sakega... Ye masla kis qadar aham aur azeem hai aur kis qadar wazeh hai... Aur muqalifeen ke qilaf kitni badi qatai daleel hai...

To be continue.... Inshaa'Allah...

No comments:

Post a Comment