Friday, July 22, 2016

GURUB E AFTAB SE PAHLE HAIZ KA SHURU HONA


Sheikh Ibn Uthaymeen kahte hai ki,
“Agar aurat ko Haiz/mahwari roze ki halat me shuru hoti hai, phir chahe ghuroorb e aaftaab se ek lamha pahle hi kyun na ho iska roza batil hogaya aur aurat ko iski qaza karni hogi.”
Majaalis Shahr Ramadaan Pg : 39.
Haiz ki halat mei roze rakhna iske liye jayez nahi hai agar wo aisa karti hai tou iska roza sahih nahi hai.
Ibn Qudaamah r.h ne kaha,
“Agar Haiza aurat roza rakhne ka irada karti hai aur khaane peene se ruk jaati hai agarche ye is baat se aagah hai ke ye haraam hai to wo gunehgaar hai aur ye ke roza ise kuch faida na dega.”
Al-Mughni(4/397).
Standing Committee(10/155) se sawal kiya gaya ek aurat ke talluq se jisne roza rakha aur jald hi guroob e aaftaab se pahle aur azaan se pehle iska haiz shuru hogaya tou kya iska roza sahih hai?
Unhone jawaab diya, “Agar uska haiz guroob e Aaftaab se pahle shuru hogaya to iska roza batil ho gaya aur use iski qaza karni hogi. Aur agar haiz guroob e Aaftaab ke baad aagaya to uska roza sahih hai aur use iski qaza nahi deni hogi.”

No comments:

Post a Comment