Friday, July 15, 2016

KITAAB: [ USOOL-E-SALAASAH ] PART - 2

BISMILLAH

PAHLA USOOL : ALLAH TA'ALA Ki MA'RAFAT
(Kitab: Usool-E-Salaasah)

Allah Ta'ala na hamein paida kiya, rizq diya aur phir hamein shatrabe muhaar ki tarha aazaad aur be lagaam nahin chhod diya balke hamaari rahnumaayi ke liye Rasoolullah Sallallahu Aalaihi wasallam ko mab'woos farmaaya. So jis ne Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam ki naafarmaani ki woh dozakh mein phenk diya jaayega.

Allah Ta'ala ka irshaad hai:

"Beshak hum ne tumhaari taraf ek Rasool bheja jo tum par shaahid hai, jaise hum ne, Fir'won ne Rasool ki naafarmaani ki to hum ne use nehaayat sakhti se pakad liya."

[Surah Muzammil 73/15,16]

Allah Ta'ala ko yeh hargiz pasand nahin ke uski ibaadat mein kisi aur ko bhi uske saath shareek kiya jaaye, khaah woh koyi muqarrab farishtah ho ya koyi Rasool.

Allah Ta'ala ka irshaad hai:

"Aur yaqeenan masjiden Allah hi ke liye hain, lehaaza Allah ke saath kisi ko bhi na pukaro."

[Surah Jinn: 72/18]

Jo shaksh Rasoolullah Sallallahu Aalaihi wasallam ki itaa'at aur ek Allah ki i'baadat karta ho, use qata'an zaib nahin deta ke woh aise logon se ta'alluqaat ya dosti rakkhe jo Allah Ta'ala aur uske Rasool Sallallahu Aalaihi wasallam ki mukhaalifat karte hain, khaah woh uske kitne hi qareebi rishte daar kyun na hon jaisa ke Allah Ta'ala ne irshaad farmaaya:

"(Aye Nabi) aap (aisi) koyi qaum nahin paayeinge jo Allah Ta'ala jo Allah Ta'ala aur uske Rasool ki mukhaalifat karte hon agarcheh woh unke baap ya un ke bete ya unke bhaayi ya unka kumbah qabeelah ho. yahi log hain ke Allah ne unke dilon mein eemaan likh diya hai aur unhein apne ghaib ke faiz se quwwat bakhshi aur woh unhein aisi jannaton mein daakhil karega jinke neeche nahrein jaari hogi, woh un mein hameshah raheinge, Allah un se raazi ho gaya aur woh usse raazi ho gaye, yahi log Allah ka giroh hain, jaan lo! beshak (jo) Allah ka giroh hai wahi falaah paane waala hai."

[Surah-Mujaadalah 58/22]

Yaad rahe! (Allah Ta'ala hamein seedhi raah dikhaaye) ke seedha raastah aur deen-e-ibraahimi sirf yeh hai ke hum Allah ke liye deen ko khaalis karte huye ek Allah hi ki i'baadat karein, Allah Ta'ala ne tamaam logon ko isi baat ka hukum diya hai aur unki takhleeq ka maqsad bhi yahi bayaan farmaaya hai jaisa ke irshaad-e-aa'li hai:

"Aur main ne jin aur insaan isi liye to paida kiye hain ke woh meri hi i'baadat karein."

[Az-Zaariyaat 51/56]

Allah Ta'ala ne tauheed ke baare mein jo sab se aham hukm diya hai aur woh yeh ke ek Allah ki I'baadat ki jaaye, aur sab se bura f'el jis se roka gaya hai woh shirk hai aur woh yeh hai ke Allah wa'dahu la shareek ke saath kisi aur ko pukara jaaye,

Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Aur tum Allah ki I'baadat karo aur uske saath kisi ko shareek na thhahraao."

[An-Nisa 4/36]

Agar aap se yeh sawaal kiya jaaye ke woh kaun se teen usool hain jinhein jaanna insaan ke liye zaroori hai to aap saaf kah dein ke har insaan ko apne Rab, apne Deen aur apne Nabi hazrat Muhammad Sallallahu Aalaihi wasallam ki kama haqqahu ma'rafat honi chaahiye.

Agar aap se poochha jaaye ke "tumhaara Rab kaun hai?" to aap kahein: "mera Rab Allah hai jis ne apni ne'maton se mujhe aur tamaam jahaanon ko nawaaza aur batadreej parwaan chaadhaay. Wahi mera ma'bood hai, uske siwa koyi ma'bood nahin. Farmaan e-laahi hai:

"Tamaam ta'reefein Allah hi ke liye hain jo saare jahaanon ka Rab hai."

[Al-Faatiha 1/2]

Ya'ni Allah ke siwa har cheez bajaaye khud ek jahaan hai aur un la ta'daad jahaanon mein se ek main bhi hoon.

Aur jab aap se sawaal kiya jaaye ke "tum ne apne Rab ko kaise pahchaana?" to aap kah deejiye ke Allah Ta'ala ki makhlooqaat aur uski nishaanyaan raat aur din, sooraj aur chaand bhi hain. Hamaare khaaliq wo malik ki be shumaar takhleeqaat mein saat zameenein aur saaton aasmaan bhi shaamil hain. Un zameenon aur aazmaanon, khlaaon aur fizaaon ke maabain (darmiyaan) tamaam maujoodaat aur makhlooqaat zabaan-e-haal se pukaar kar Allah ki zaat-e-aa'li aur uski a'zmat wo kibriyaayi ke gawaahi de rahi hain.

Allah Ta'ala ka farmaan hai:

"Aur usi (Allah) ki nishaanyon mein se raat aur din aur sooraj aur chaand bhi hain. Tum log na to sooraj sajdah karo aur na chaand ko. Agar waaqayi tum usi ki I'baadat karte ho to tum uss Allah ko sajdha karo jis ne in (sab) ko paida kiya hai."

[Surah Haammim Sajdah 41/37]

Mazeed farmaaya:

"Beshak tumhaara Rab woh Allah hai jis ne aasmaanon aur zameen ko chhe dino mein paida kiya, phir woh a'rsh par mustawi ho gaya. Woh din ko raat se iss tarah dhaanpta hai le woh (raat) jaldi se use (din ko) aa leti hai aur uss ne sooraj chaand aur taare iss tarah paida kiya ke woh sab uss (Allah) ke hukm ke paa band kar diye gaye hain. Aagaah raho! Paida karna aur hukm saadir karna usu ke liye rawaa hai, Rabbul Aalameen bohut baa barkat hai."

[Surah Al-A'raaf 7/54]

Rab se muraad woh ma'bood-e-haqeeqi hai jiski ibaadat ki jaye. Farmaan-e-Ilaahi hai:

"Aye logo! Tum apne Rab ki ibaadat karo jis ne tumhein paida kiya aur un logon ko bhi jo tum se pahle the taake tum parhez gaar ban jaao. Woh (Rab) jin ne tumhaare liye zameen ko hichhowna banaaya aur aasmaan ko chhat (banaaya) aur usne aasmaan se paani nazil kiya, phir uske zariye se (kayi qism ke) phalon se tumhaara liye rizq nikaala. Bas tum Allah ke saath shareek na thhahraao, iss haal mein ke tum jaante ho."

[Surah Al-Baqaarah 2/21,22]

Ibaadat Ki Aqsaam:

Har woh kaam jise Allah Ta'ala ne karne ka hukm diya hai, woh kaam karna ibaadat hai,

masalan: Islam, Emaan, Ehsaan, Dua, Khauf, Umeed, Tawakkal, Muhabbat, Panaah chaahna, Faryaad karna, Zabah karna aur Nazr maanna waghairah yeh tamaam kaam ibaadat mein shaamil hain.

Yeh aur unke e'laawah ibaadat ki digar tamaam aqsaam jinke baare mein Allah Ta'ala ne hukm diya hai woh sab Allah Ta'ala hi ke liye hon to woh tauheed ke zumer mein hogi aur jannat ka haqdaar thhahraayeingi.

Iske bar'aks agar un mein se koyi kaam bhi ghairullah ke liye kiya jaye to woh shirk hoga aur jahannam ka saza waar thhahraayeingi.

Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Aur yaqeenan masjidein Allah hi ke liye hai, lehaaza Allah ke saath kisi ko bhi na pukaaro."

[Surah An-Jinn 72/18]

Bas jis shaksh ne in ibaadat mein se kisi bhi qism ko ghairullah ke liye makhsoos kardiya, woh mushrik aur kaafir hai. Allah Ta'ala ne farmaaya hai:

"Aur jo koyi Allah ke saath kisi aur ma'bood ko pukaare jiski uske paas koyi daleel nahin to yaqeenan uska hisaab uske Rab ke paas hai, beshak kaafir falaah (kaamyaabi) nahin paayeinge."

[Surah Al-Mominoon 23/117]

Hadees mein hai:

"Dua ibaadat ka maghz hai." (Jame Tirmezi 337) yeh hadees sanad ke lehaaz se za'eef hai lekin isi mafhoom ki ek sanadan sahih hadees: (3247) bhi tirmezi hi mein marwi hai jis ke alfaaz yeh hai Ad'Dua Huwal'Ibaada "Dua hi asal ibaadat hai"

Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Aur tumhaare Rab ne kaha hai: tum mujhe pukaaro, jo meri ibaadat se sar'kashi karte hain, woh anqareeb zaleel wo khaar ho kar jahannam mein daakhil honge."

[Surah Al-Momin 40/60]

Allah Ta'ala hi se darne ki daleel: Allah Ta'ala na farmaaya:

"Bas tum un (kaafiron) se na daro aur mujh hi se daro agar tum momin ho."

[Surah Aal-e-Imran 3/175]

Allah Ta'ala se hi ummeed rakhne ki daleel: farmaan-e-ilaahi hai:

"Phir jo shaksh apne Rab se mulaaqaat ki ummeed rakhta ho to chaahiye ke nek amal kare aur apne Rab ki ibaadat mein kisi ko shareek na kare."

[Surah Al-Kahaf 18/110]

Allah Ta'ala par hi tawakkal karne ki daleel: Farmaan-e-ilaahi hai:

"Aur agar tum momin ho to tumhein Allah hi par bharosa karna chaahiye."

[Surah Al-Maayidh 5/23]

Mazeed farmaaya:

"Aur jo shaksh Allah par tawakkal kare to woh use kaafi hai."

[Surah At-Talaaq 65/3]

Allah Ta'ala ki taraf raghabat karne aur usse darne ki daleel: Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Beshak woh (Ambiya Aalaihim'Salaam) nekyon mein jaldi karte aur hamein raghabat aur dar se pukaarte the aur woh hamaare hi niyaaz mand the."

[Surah Al-Ambiya 21/90]

Allah Ta'ala hi se khashiyyat ki daleel: Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Bas tum un (kaafiron) se na daro aur mujh hi se daro."

[Surah Al-Maayidha 5/3]

Allah Ta'ala hi ki taraf ruju karne ki daleel: farmaan-e-ilaahi hai:

"Aur tum apne Rab ki taraf ruju karo aur uske farmaan bardaar ho jaao."

[Surah Az-Zumur 39/54]

Allah Ta'ala hi se madad talab karne ki daleel: Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Hum teri hi ibaadat karte aur tujh hi se madad chaahte hain."

[Surah Al-Faatiha 1/5]

Rasoolullah Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaaya:

"Jab tum madad talab karo to Allah hi se madad talab karo."

[Jame Tirmezi: 2516]

Allah Ta'ala hi se panaah maangne ki daleel: Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Kah deejiye! Main insaanon ke Rab ki panaah mein aata hoon. Insaanon ke baadshaah ki."

[Surah An-Nas 114/1,2]

Allah Ta'ala hi ko ghaus maanne ki daleel: farmaan-e-ilaahi hai:

"(Yaad karo) jab tum apne Rab se faryaad kar rahe the to usne tumhaari faryaad qubool karli."

[Surah Al-Anfaal 8/9]

Sirf Allah Ta'ala hi ke naam par zabah karne ki daleel: farmaan-e-ilaahi hai:

"Kah deejiye: beshak meri namaaz, meri qurbaani, meri zindagi aur meri maut, (sab kuchh) Allah Rabbul Aalameen hi ke liye hai. Uska koyi shareek nahin aur mujhe isi (baat, ya'ni tauheed) ka hukm diya gaya hai aur main sab se pahla musalmaan hun."

[Surah Al-An'aam 6/162,163]

Aur hadees mein hai ke Rasoolullah Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaaya:

"Jo shakhs Allah ke e'laawah kisi aur ke liye zabah kare uss par Allah ki la'nat ho."

[Sahih Muslim: 1978]

Nazr ki daleel: Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Woh apni nazrein poori karte aur uss din se khauf khaate hain jis ki aafat (har taraf) phaili hogi."

[Surah Ad-Dahar 76/7]

Doosra Usool. Deen-E-Islam Ki Ma'rafat. Kitab: Usool-E-Salaasah.

Deen-e-Islam ko dalaayel ke pahchaanna chaahiye, ye'ni tauheed ke zariye se Allah Ta'ala ke liye sar-e-tasleem kham karna, etaa'at ke zariye se uska farmaan bardaar hona aur shirk se bachte huye uske saath khuloos ka izhaar karna.

Marafat-e-Deen ke teen maraatib hai:

1. Islam,
2. Eemaan,
3. Ehsaan.

In maratib mein se har martabe ke arkaan hain:

1. Islam:

Islam ke paanch arkaan hain:

¤ Shahaadat dena ke Allah ke siwa koyi ma'bood nahin aur Muhammad Sallallahu Aalaihi wasallam uske bande aur Rasool hain,

¤ Namaaz qaayem karna,

¤ Zakaat dena,

¤ Baitullah ka hajj karna,

¤ Ramazaan ke roze rakhna.

Shahaadat ki daleel: Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Allah ne gawaahi di hai ke uske siwa koyi ma'bood nahin, farishton aur ahle ilm ne bhi (gawaahi di hai) daraan haalyeh ke woh insaaf ke saath qaayem hai, uske siwa koyi ma'bood nahin, woh ghaalib hai, khoob hikmat waala hai."

[Aal-e-Imran 3/18]

Iske ma'na yeh hai ke Allah ke siwa koyi haqeeqi ma'bood nahin. Laa'ilaaha'illallah Rabbul izzat ke siwa jin ki ibaadat ki jaati hai, unki nafi karne waala hai aur Illallah saabit karta hai ke har qism ki ibaadat sirf Allah Ta'ala ke liye rawa hai, woh yakta hai, jis tarah uski hukoomat wo farmarawaayi mein koyi shareek nahin, iski tafseer khud Allah Ta'ala ne Qur'an majeed mein iss tarah farmaayi hai:

"Aur jab Ibrahim ne apne baap aur apni qaum se kahn: bila shubah main un (buton) se bezaar hoon jinki tum ibaadat karte ho. Siwaaye uss (Allah) ke jis ne mujhe paida kiya to beshak wahi jald meri rahnumaayi farmaayega. Aur (ibrahim) apni aulaad mein (bhi) isi (kalma-e-tauheed) ko ek baaqi rehne waala kalimaah bana gaye taake woh (Allah ki taraf) ru'ju karein."

[Az-Zukhuruf 43/26,28]

Neez farmaaya:

"Aap kah deejiye: aye ahle kitab! aisi baat ki taraf aao jo hamaare aur tumhaare darmiyaan yaksaan (baraabar) hai, yeh ke hum Allah ke siwa kisi ki ibaadat na karein aur uske saath kisi ko shareek na thhahraayein aur hum mein se koyi Allah ke siwa kisi ko Rab na banaaaye, phir agar woh munh modein to tum kah do: isi baat ki gawaah raho ke beshak hum Allah ke farmaanbardaar hain."

[Aal-e-Imran 3/64]

Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam ki risaalat ki daleel: farmaan-e-ilaahi hai:

"(Logo) yaqeenan tumhaare paas tumhi mein se ek Rasool aa gaya hai, uss par tumhaara takleef mein mubtala hona giran guzarta hai, woh tumhaari bhalaayi ka bahut harees hai, mominon par nehaayat shafeeq, bahut raham karne waala hai."

[At-Taubah 9/128]

Yeh gawaahi dena ke Muhammad Sallallahu Aalaihi wasallam Allah Ta'ala ke Rasool hain. iska matlab yeh hai ke jis kaam ka Aap hukm farmaayein woh kaam karna, jis cheez ki khabar dein uski tasdeeq karna aur jis cheez se mana' farmaayein us se ruk jaana aur Aap Sallallahu Aalaihi wasallam ke bataaye huye tareeq ke mutaabiq Allah Ta'ala ki ibaadat karna.

Namaaz qaayem karne aur Zakaat aada karne ki daleel, neez iss ziman mein tauheed ki wazaahat: farmaan-e-ilaahi hai:

"Haalaanke ke unhein yahi hukm diya gaya tha ke woh Allah ke liye bandagi khaalis karke, yaksoo ho kar, uski ibaadat karein aur woh namaaz qayeem karein aur zakaat dein aur yahi seedhi millat ka deen hai."

[Surah Al-Bayyinah98/5]

Ramzaan ke rozon ki daleel: Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Aye logo jo eemaan laaye ho! Tum par roozah rakhna isi tarah farz kiya gaya hai jis tarah us logon par farz kiya gaya tha jo tum se pahle the taake tum muttaqi ban jaao."

[Surah Al-Baaqarah 2/183]

Biatullah ka hajj karne ki daleel: Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Aur Allah ne un logon par baitullah ka hajj farz kiya hai jo uski taraf safar karne ki taaqat rakhte hon. Aur jis ne kufr kiya to beshak Allah saari duniya se be parwa hai."

[Aal-e-Imran 3/97]

2. Eemaan:

Eemaan ki sattar (70) se ziyaadah shaakhein hai. sab se buland aur a'alaa hissa Laa'ilaaha'illallah ka eqraar aur sab se halka darjah raaste se takleef dah cheez ko door karna hai. aur Haya bhi eemaan ka (aham) hissa hai.

Eemaan ke chhe arkaan hain: Allah par, uske farishton par, uski kitabon par, uske Rasoolon par, Qiyaamat ke din par aur Taqdeer ke achchhe aur bure hone par eemaan laana,

pahle paabch arkaan hain: Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Neki yeh nahin ke tum apne munh mashriq aur maghrib ki taraf pher lo balke neki to uss shaksh ki hai jo Allah par eemaan, Aakhrat ke din par, Farishton par, (aasmaani) kitabon par aur Nabyon par eemaan laaye."

[Al-Baqarah 2/177]

Taqdeer par eemaan laane ki daleel: farmaan-e-ilaahi hai:

"Bila shubah hum ne har cheez ek muqarrar andaaze ke mutaabiq paida ki hai."

[Al-Qamar 54/49]

3. Ehsaan:

Ehsaan ka ek hi rukn hai. aur woh hai (ke jaisi Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaaya) "Tum Allah ki ibaadat iss andaaz se karo goya tum use dekh rahe ho aur agar tum use nahi dekh rahe to woh yaqeenan tumhein dekh rahaa hai."

[Sahih Bukhari. Sahih Muslim: 8]

Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Bilashubah Allah Taqwa ikhtiyaar karne waalon aur ehsaan (neki) karne waalon ke saath hai."

[An-Nahl 16/128]

neez farmaaya:

"Aur aap (Allah) Ghaalib (aur) Raheem par tawakkal rakkhein jo aap ko dekhta hai jab aap (akele namaaz mein) qiyaam karte hain aur sajdah karne waalon ke saath aapka uthhna baithhna (bhi dekhta hai). bilashubah wahi (Allah) sunne waala, jaanne waala hai."

[Ash-Sho'ra 26/217,220]

neez farmaaya:

"Aur (aye nabi) aap jis haal mein bhi hote hain aur Allah ki taraf se (naazil shudah) qur'a mein se jo kuchh bhi padhte hai aur tum log jo bhi amal karte ho, uss waqt hum tumhein dekh rahe hote hai jab tum uss mein masroof hote ho."

[Yunus 10/61]

Ehsaan ke muta'alliq hadees-e-Jibrayeel bahut mashhoor hai jo hazrat Umar bin Khattaab Radi Allahu'anhu se marwi hai:

"Hum Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam ke paas baithhe huye the ke achaanak ek shakhs hamaare paas aaya. uske kapde nehaayat safed aur baal intehaayi siyaah the,uss par safar ke aasaar bhi nahin the. Hum mein se koyi use jaanta bhi nahin tha.

Wo Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam ke saamne baithh gaya. usne apne ghutne aapke ghutno ke saamne rakkhe aur apne haath Aap Sallallahu Aalaihi wasallam ki raanon par rakkhe aur arz ki: "Aye Muhammad Sallallahu Aalaihi wasallam mujhe Islam ke baare mein bataayein.

Rasoolullah Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaaya: "Islam yeh hai ke too gawaahi de ke Allah ke siwa koyi ma'bood nahin aur hazrat Muhammad Sallallahu Aalaihi wasallam Allah ke Rasool hai, namaaz qayeem kare, zakaat aada kare, ramzaan ke roze rakkhe aur agar istetaa'at ho to baitullah ka hajj kare." uss (saayel) ne kaha: aap sach farmaate hai. hum ne ta'ajjub kiyake woh khud hi aap se sawaal karta hai aur khud hi aapki tasdeeq bhi karta hai.

Phir usne kaha: mujhe eemaan ke baare mein bataayein. Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaaya:

"(Eemaan yeh hai) ke too Allah par, uske farishtin par, uski kitaabon par uske Rasoolon par, Qiyaamat ke din par aur Taqdeer ke achchha aur bura hone par eemaan laaye." uss (saayel) ne kaha aap sach farmaate hai.

Phir usne kaha: mujhe ehsaan ke baare mein bataayein. Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaaya:

"(Ehsaan yeh hai) ke tu Allah ki iss tarah ibaadat kare goya tu use dekh rahaa hai agar tu use nahin dekh rahaa to woh yaqeenan tujhe dekh rahaa hai."

Phir usne sawaal kiya: Qiyaamat ke baare mein bataayein to Aap Sallallahu Aalaihi wasallam be farmaaya:

"Jis se sawaal kiya gaya hai, woh bhi sawaal karne waale se ziyaadah nahin jaanta." phir usne sawaal kiya: qiyaamat ki nishaanyaan bataayein. Aap Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaaya:

"(Iski nishaanyaan yeh hai) ke laundi apna aaqa janegi aur tum dekhoge ke nange paaun aur barhanah jismon waale fuqraa qism ke log aur bakriyon ke charwaahe apni buland-o-baala imaaraton par fakhr karenge."

Hazrat Umar Radi Allahu'anhu ne farmaaya ke phir woh ajnabi saayel to chalaa gaya aur main (hairat ki tasweer bana) kuchh der baithha raha, phir Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaya: Aye Umar! Tumhein ma'loom hai ke woh sayeel kaun tha? Main ne kaha: Allah aur uska Rasool ziyaadah jaante hain: Aap Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaaya:

"Woh Jibrayeel Aalaihi'Salaam the, tumhein tumhaare umoor-e-deen sikhaane aaye the."

[Sahih Bukhari: 50, Sahih Muslim: 8]
 

Teesra Usool: "Hazrat Muhammad Sallallahu Aalaihi Wasallam Ki Ma'rafat" Kitab: Usool-E-Salaasah.

Aap Sallallahu Aalaihi wasallam ka naam-o-nasab:

Muhammad Sallallahu Aalaihi wasallam bin Abdullah bin Abdul Muttalib bin Haashim hai. Haashim ka ta'alluq Quraish se tha aur quraish arab ka mash hoor tareen qabeelah hai. arab hazrat Ismaayeel bin Ibraheem ki aulaad hai. un par aur haamare Nabi par afzal darood-o-salam ho.

Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam ki umr 63 saal thi. chaalis saal nabuwwat se qabl aur 23 saal nabuwwat ki zindagi hai. Aap Sallallahu Aalaihi wasallam surah A'laq (ki pahli wahi) se Nabi bane aur surah Mudassir (ki doosri wahi) se mansab-e-resaalat par faayez kiye gaye. Allah Ta'ala ne aap ko shirk se bachaane aur tauheed ki da'wat dene ke liye mabwoos farmaaya.

Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Aye lehaaf mein lipatne wale! Uthhye aur daraaiye. aur apne Rab ki badaayi bayaan keejiye. aur apne kapde paak rakhye aur naa paaki chhod deejiye."

[Al-Mudassir 74/1,5]

"Qum Fa anzir" ke ma'na hai ke shirk se daraao (aagaah karo) aur tauheed ki da'wat do.

"Wa Rabbaka Fakabbir" ya'ni tauheed ke zariye se apne Rab ki a'zmat bayaan karo.

"Wa Siyaabak Fatahhir" ya'ni apne a'amaal ko shirk se bachaao.

"War-Rujza Fahjur" Ar-rujz ke ma'na but aur fahjur ke ma'na hai ke uss but ko aur uske pair-o-kaaron ko chodh dein, ya'ni qata ta'alluq karlein aur un se bezaari ka izhaar karein.

Aap Sallallahu Aalaihi wasallam ne iss tauheed ki da'wat par 10 saal sarf kiye aur 10 saal ke ba'd aapko me'raaj aasmaani karaayi gayi, wahaan aap par paanch namaazein farz huyin. 3 saala makkah mein namaazein adaa kin iske ba'd hijrat ka hukm huwa to aap Madinah tashreef le gaye.

Hijrat ke ma'na hai: Shirk waale e'laaqe ko chhod kar Islam waale e'laaqe mein chale jaana. ummat-e-muslimah par farz hai ke woh shirk waale e'laaqe ko chhod kar tauheed waale e'laaqe mein chale jaayein aur yeh farziyat qiyaamat tak ke liye hai.

Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Bilashubah jin logon ki iss haalat mein farishte jaan qabz karte hai woh (jaan boojh kar kaafiron mein rah kar) apni jaanon par zulm karte rahe hon to farishte poochhte hai ke tum kis haal mein the? woh kehte hai; hum zameen mein kamzor the. tab farishte kehte hai: kiya Allah ki zameen wasi na thi ke tum uss mein hijrat kar jaate? chunaancheh yahi log hai jinka thhekaana jahannam hai aur woh bahut bura thhekaana hai. magar woh woh mard aur auratein aur bachche jo waqayi be bas hon aur woh uss jagha se nikalne ka koyi waseelah aur koyi raastah nahi paate, un logon ke baare mein ummeed hai ke Allah unhein maa'f kar dega aur Allah bahut maa'f karne waala hai, nehaayat bakshne waala hai."

[An-Nisa 4/97,99]

neez farmaaya:

"Aye mere bando jo eemaan laaye ho! Bilashubah meri zameen mein wasi hai, lehaaza tum meri hi ibaadat karo."

[Al-A'nakboot 29/56]

Imam Baghwi rahimahullah farmaate hai ke yeh aayat un musalmaano ke baare mein naazil huyi jo Makkah mein the aur unhon ne abhi hijrat nahin ki thi, Allah Ta'ala ne unhein bhi eemaan waale kah kar pukaara hai.

Rasoolullah Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaaya:

"Jab tak taubah hoti rahegi, hijrat munqata nahin hogi, aur jab tak sooraj maghrib se tulu nahin hota, taubah qubool hoti rahegi."

[Sunan Abi Dawood: 2479]

Jab Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam ne Madinah mein qiyaam farmaaya to shari'at ke baaqi ahkaam par amal karne ka hukm diya, jaise Zakaat, Rozah, Hajj, Azaan, Jehaad, Neki ka hukm dena, Buraayi se rokna aur iske e'laawah digar sharayi ahkaam. Aap ne sharayi ahkaam ke nufooz-o-ishaa'at ke liye ghair munqata farmaayi. Bilaakhir aap takmeel-e-deen ki bashaarat de kar 63 saal ki umr mein Allah Ta'ala ki taraf se payaam-e-ajal par labbaik kahte huye iss faani dunya se abdi jahaan ki taraf tashreef le gaye.

Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam to dunya se rahlat farmaa gaye magar aapka deen baaqi hai aur yeh aisa deen hai jiski raushni mein Aap Sallallahu Aalaihi wasallam ne ummat ko bhalaayi ki har cheez se aagaah wo aashnaa kiya, neez har qism ke shuroor-o-fitan se khabar daar kar diya.

Bhalaayi (khair) jis ki Aap Sallallahu Aalaihi wasallam ne nishaan dahi farmaayi woh tauheed aur woh tamaam umoor hai jinhein Allah Ta'ala ne pasand farmaaya hai. aur buraayi (shar) jis se aap ne aagaah farmaaya, woh shirk aur woh tamaam cheezein hai jo Allah Ta'ala ki naa pasand hai aur jin se uss ne mana farmaaya hai. Allah Ta'ala ne Aap Sallallahu Aalaihi wasallam ki tamaam insaanon ki taraf mabwoos farmaaya. aap ki itaa'at ko tamaam jinon aur insaanon par farz qaraar diya. Allah Ta'ala ne Aap Sallallahu Aalaihi wasallam ki yeh e'laan karne ka hukm farmaaya:

"Kah deejiye: Aye logo! Beshak main tum sab ki taraf Allah ka Rasool hoon."

[Al-A'raaf 7/158]

Aur Allah Ta'ala ne deen ko mukammal kar diya jaisa ke irshaad farmaaya:

"Aaj main ne tumhaare liye tumhaara deen mukammal kar diya aur tum par apni ne'mat poori kar di aur tumhaare kiye Islam lo deen ke taur par pasand karliya."

[Al-Maayidah 5/3]

Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam ki wafaat ki daleel: farmaan-e-ilaahi hai:

"(Aye Nabi) bilashubah aap bhi marne waale hai aur woh bhi yaqeenan marne waale hai. phir bilashubah tum qiyaamat ke din apne Rab ke paas jhamoge."

[Az-Zumar 39/30,31]

Marne ke ba'd dobaarah uthhaaye jaane ki daleel: Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Hum ne tumhein isi zameen se paida kiya aur isi mein tumhein lautaayeinge aur isi mein se tumhein ek baar phir nikaalinge."

[Tahaa 20/55]

neez farmaaya:

"Aur Allah hi ne tumhein zameen se (khaas andaaz se) ugaaya, phir woh tumhein uss mein lautaayega aur phir tumhein (dobaarah) nikaalega."

[Nooh 71/17,18]

Dobaarah zindah karne ke ba'd unka hisaab hoga aur amal ke mutaabiq jaza aur saza hogi. Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Aur Allah hi ke liye hai jo kuchh aasmaanon mein aur jo kuchh zameen mein hai taake woh un logon ki jinhon ne achchhaayiyaan kin, achchha badlah de."

[An-Najam 53/31]

jis shakhs ne marne ke ba'd dobaarah uthhaaye jaane ko jhutlaaya usne kufr kiya. Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Kaafiron ne da'wa kiya ke unhein (qabron se) hargiz nahin uthhaaya jaayega. (Aye Nabi!) kah deejiye: kuyn nahin? Mere Rab ki qasam! tumhein zaroor uthhaaya jaayega, phir tumhein zaroor bataaya jaayega jo tum ne amal kiye aur yeh Allah par bilkul aasaan hai."

[At-Taghaabut 64/7]

Allah ne tamaam Ambiyaa Aalaihim'Salaam ko khush khabri dene aur daraane waala banaa kar bhejaa. faramaan-e-ilaahi hai:

"Khushkhabri dene waale aur daraane waale Rasool bheje taake Rasoolon ke ba'd logon ke liye Allah ko ilzaam dene ki koyi gunjaayish na rahe. aur Allah bada zabardast, badi hikmat waala hai."

[An-Nisa 4/165]

Pahle Nabi Nooh Aalaihi''Salaam aur aakhri Nabi hazrat Muhammad Sallallahu Aalaihi wasallam hai. aur aap khaatimunnabiyyin hai. Irshaad-e-Rabbaani hai:

"(Aye Nabi!) beshak hum ne aap ki taraf wahi ki jaise hum ne Nooh aur unke ba'd doosre Nabyon ki taraf wahi ki."

[An-Nisa 4/163]

Allah Ta'ala ne Nooh Aalaihis'Salaam se lekar Muhammad Sallallahu Aalaihi wasallam tak har ummat mein ek Rasool mabw'oos kiya. woh unhein ek Allah ki ibaadat karne ka hukm dete the aur taaghoot ki ibaadat se mana karte the. Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Aur yaqeenan hum ne har ummat ek Rasool bheja ke Allah ki ibaadat karo aur taaghoot se bacho."

[An-Nahal 16/36]

Allah Ta'ala ne tamaam bandon par farz qaraar diya hai ke taaghoot ka inkaar karein aur Allah par eemaan laayein.

Imam Ibne Qayyim rahaimahullah farmaate hai ke "Taaghoot" ke ma'na yeh hai ke bandah apni had se tajaawuz kar jaaye, khaah woh ma'bood ke usloob mein ho ya matbu'-o-mata' ke andaaz mein. Aur taaghoot be shumaar hai, taahum bade yeh paanch hai:

¤ Iblees mlw'oon.
¤ Woh shakhs jo apni ibaadat karwaa kar khush hota hai.
¤ Jo logon ko apni ibaadat ki da'wat deta hai.
¤ Jo da'wa karta hai ke main ghaib jaanta hoon.
¤ Aur jo Allah ki naazil kardah shari'at ke elaawah kisi cheez se faisle karta hai.

Allah Ta'ala ne farmaaya:

"Deen mein koyi zabardasti nahin, hidaayat gumraahi se waazeh ho chuki hai, phir jo shakhs Taaghoot ke inkaar kare aur Allah par Eemaan le aaye to yaqeenan usne ek mazboot kada thaam liya jo tootne waala nahin. Aur Allah khoob sunne waala, khoob jaanne waala hai."

[Al-Baqarah 2/256]

Yahi ma'na wa mafhoom La'ilaaha'illallah ka hai ke Allah ke siwa koyi ma'bood nahi. Rasoolullah Sallallahu Aalaihi wasallam ne farmaaya:

"(Tamaam) umoor ki asal Islam hai, iska sutoon namaaz hai aur iski kohaan ki choti (a'ala tareen amal) jihaad karna hai."

(Jame Tirmezi: 2616]

Alhumdulillah. Allah Ta'ala ke chahane se hi ye kitab mukammal huyi. Allah Ta'ala hum sab ko Islam par Aamal karne wala banaye. 

AAMEEN YA ALLAH

No comments:

Post a Comment