Friday, July 15, 2016

KITAAB: [ USOOL-E-SALAASAH ] PART - 1

[ DEEN KI BUNIYAADI USOOL ] KITAAB: [ USOOL-E-SALAASAH ]

Muallif: Shaikhul Islam Muhammad Bin Abdul Wahab Rahimahullah.

Translitration: Abu Arqam Salafi.

Nashir: Maktaba Al-Usaid, Hyd.

Website: www.minhajusunat.com

Copy in text: Syed Ibraheem Salafi.

(Kuy ki ye kitab pdf mein hai aur bohat se logon ke paas pdf open nahi hota is liye main syed ibraheem salafi is ko likh raha hu, aur ye kitab bohat aaham hai har musalman ke liye, Allah meri is koshish ko qubool farmaye. Aameen)

Arz-e-Nashir:

Maut ke ba'd insaan ko pahle pahal jis awwaleen marhale se guzarna hai woh qabar ka marhala hai, iss marhale mein laazmi taur par har aadmi ko teen sawaalaat ka saamna karna padta hai:

1.Tumhaara Rab kaun hai?

2.Tumhaara Deen kiya hai?

3.Tumhaare Nabi kaun hai?

Bazaahir yeh teen muktasar aur bahut aasaan se nazar aane waale sawaalaat hai, lekin kiya har shakhs waqe'atab in sawaalaat ka saamna kaamyaabi se karle jaayega?

Haqiqat yeh hai ke bazaahir bahut aasaan aur muktasar nazar aane waale sawaalaat ke jawaab mein kaamyaabi sirf unhi lougo ko milne waali hai jinho ne dunyavi zindagi mein in sawaalaat ke jawaabaat tayyaari i'lm aur baseerat ki buniyaad hogi aur sath hi inke taqaazon ko bhi poora kiya hoga, yehi wajah hai ke jo log in sawaalaat ke sahih jawaabaat dene mein kaamyaabi haasil karte hai farishte unse poochte hain ke tumhein in baaton ka i'lm kyun kar huwa? Tou wo kahte hain ke main ne Kitaabullah ko padha aur ilm haasil kiya jabke naakaam logon se farishte kahte hain "na tune ilm haasil aur na Kalaamullah ki tilaawat ki" (Muttafaqun Alaih)

Bana barin in sawaalaat ke sahih jawaabaat ka ilm haasil karna az ahad zaroori hai, Shaikhul Islam Muhammad Bin Abdul Wahab Rahimahullah ki kitab "Usool-E-Salaasah" in sawaalaat ke sahih jawaabaat se aagaahi faraaham karti hain, yeh muktasar hone ke baawajood intehaayi mufeed aur jaame' kitab hai, 

Makatab Al-Usaid Hyedrabad, yun to Al-Idaratus Salafiah Lil Buhoosil Islamiah, hyedrabad ki taraf se mun'aqid hone wale daura-e-shara'iah ki nisaabi zaroorat ki takmeel ke liye iski tabaa'at ka sharf haasil kar rahaa hai lekin mauzu' ki ahmiyat ka taqaaza hai ke ghar mein kam az kam iska ek nukhsa ho, umeed ki jaati hai ke ziyaadah se ziyaadah log is se mustafeed honge, Muhad Sajid Usaid Nadvi.


[Deen Ki Buniyaadi Usool]
Kitab: Usool-E-Salaasah.

Deen se muta'aliqah teen buniyaadi baatein jinka jaanna intehaayi zaroori hai.

1.I'lm ya'ni Allah Ta'ala (aur uski sifaat) ki ma'rfat, Nabi Sallallahu Aalaihi wasallam ki seerat-e-tayyebah ka i'lm aur deen ke buniyaadi ahkaam-o-masaayel daleel ke saath jaanna.

2. Deeni ahkaam-o-masaayel par a'mal karna.

3. Deen ki da'wat dena.

4. Agar tableegh karte huye koyi aazmaayish aaye to uss par sabar karna.

Allah Ta'ala ne farmaaya hai:

"Zamaane ki qasam! Be shak insaan khasaare mein hai. Siwaaye un logon ke jo emaan laaye aur unhon ne nek amal kiye aur ek doosre ko haq ki talqeen ki aur ek doosre ko sabr ki talqeen ki."

[Surah Al-Asr Aayaat 1,3]

Imam Shafayi Rahimahullah ne farmaaya:

"Agar Allah Ta'ala apni makhlooq ke liye mahaz iss surat (Al-Asr) ke e'laawah koyi aur daleel naazil na bhi farmaata to bhi bani now' insaan ki kaamyaabi ke liye sirf yahi soorat kaafi thi."

[Tafseer Ibne Kaseer: 4/3089, tafseer suratul A'sr]

Imam Bukhari Rahimahullah Sahih Bukhari mein farmaate hain:

"Qaul-o-amal se pahle i'lm zaroori hai."

[Sahih Bukhari: Baabul Ilm: 68]

Imam Mausoof ne iss baat ki daleel mein Allah Ta'ala ka yeh irshaad naqal kiya hai:

"Bas (Aye Nabi) Aap jaan leejiye ke bila shubha Allah ke siwa koyi sachcha ma'bood nahin aur apne gunha ki bakhshish maangye."

[Surah Muhammad: 47/19]

Yeh aayat naqal karne ke ba'd imam saahab wazaahat farmaate hain ke iss aayat mein Allah Ta'ala ne qaul-o-amal se pahle ma'rfat ka zikr farmaaya, lehaaza har musalmaan mard aur aurat ko mundarjah zail teen masaayel ki achchhi tarha ma'rfat honi chaahiye:

1. Allah Ta'ala ki ma'rfat
2. Deen-e-islam ki ma'rafat
3. Hazrat Muhammad Sallallahu Aalaihi wasallam ki ma'rafat.


No comments:

Post a Comment