BISMILLAH
1.Qayam Ramadan Ki Fazilat:-
Abu Huraira Rz se Riwayat hai
NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya:-
jisne Imaan aur Sawab ki niyyat se Ramadan ka Qyam kiya uske pichle Saare gunah muaf Kardiye jayege.
(Sahih Bukhari Salat ut Taraweeh Hadees No.2009,Sahih Muslim Salat tul Musafireen wa qasraha Hdaees No.1267) alfaz Sahih Muslim k hai.
2.Ramadan me Imam k sath Qayam-E-Ramadan ki Fazilat:-
Abu Zar Rz se Riwayat hai
NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya:-
jo Imam k Sath Namaz padhe yahan tak k Imam Namaz puri karley,uske liye puri raat qayam ka sawab likha jata hai.
(Sunan Tirmidhi bi tahqeeq lil Albani Hadees No.806, Al irwa Jild No.2 Page No.193 Sahih)
3.Qayam Ramadan ka Ahtemaam Karne Ki Fazilat:-
Umrou bin muratul jahni Rz farmatey hai:-
Qaza'ata Qabila se ek shaks ALLAH k RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM k paas aaya aur AAPSE kaha: AYE ALLAH k RASOOL! Bhala batlaiye agar main gawahi du k ALLAH k siwa koi mabood barhaq nahi aur AAP ALLAH k RASOOL hai,5 waqt ki namaz bhi padu, Ramadan k Rozey bhi rakhu aur Qayam-e-Ramadan ka bhi ahtemaam karu aur zakat bhi du(to isper mujhe kya milega)? NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne Jawab diya: jiska khaatma is amal per ho wo siddiqeen aur Shohada me hoga.
(Ibn Khuzaima,Al Bazaar,Ibn Hibban,Sahih Ibn Khuzaima Hadees No.2212,Sahih At Targeeb Hadees No.1003 Hasan)Alfaz ibn Khuzaima k hai.
No comments:
Post a Comment