BISMILLAH
1) Sooraj guroob hone ke baad iftaar mein jaldi karna.
(Bukhari: 1957)
2) Khajoor se iftaar karna, agar khajoor na ho to paani se iftaar karna.
(Tirimizi: 695)
3) Iftaar ke waqt dua karna.
(Ibne Maaja: 1753)
4) Sehri karna.
(Bukhari: 1923)
5) Sehri karne mein taakheer karna. Albatta itni taakheer na karna ke subah saadiq ho jaane ka shak ho jaaye.
(Tabraani Sageer: 279)
6) Subah Saadiq se qabl hi janaabat wagaira ka gusl kar lena taake tahaarat ki haalat mein rozah mukammal ho.
(Shaami: 2/400, Baabu Maa Yufsidus Saom Wamaa La Yufsiduhu)
7) Kasrat se Qur'an ki tilaawat karna.
(Bukhari: 6)
8) Kasrat se sadqa wa khairaat karna.
(Bukhari: 6)
9) Jhoot, geebat, chugal khori aur gaali galoch se apni zabaan ki hifaazat karna.
(Bukhari: 1903)
No comments:
Post a Comment