Sunday, July 10, 2016

RAMADAN MAIN SAQAWAT K FAZAIL

BISMILLAH


1.NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka Ramadan mein Saqawat mein bad jana:-

Ibn Abbas Rz Farmatey hai:-

ALLAH k NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM logou me sabse zyada saqi the aur Aapki saqawat us waqt bad jati jab AAP ramadan mein JIBREEL ALAIHI SALAAM mila karte, aur jibreel Ramadan me har raat AAP se mulaqaat kiya karte yaha tak k mahina khatam hojata. ALLAH k NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM Jibreel ko Qur'an sunaya karte the, pas AAP jib reel se milte to  AAPKI saqawat tez hawa se bhi bad jaati.

(Sahih Bukhari Kitab us Saum Hadees No.1902 Sahih Muslim Al Fazail Hadees No.4268)

2.Rozedaar ko IFTAAR karane ki fazilat:-

Zaid bin Khalid rz se Riwayat hai
ALLAH  k RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya:-

Jo kisi ROZEDAAR ko IFTAAR karaye uske liye us rozedaar k misal sawab hailekin us rozedaar k sawab mein koi kami nahi ki jayegi.

(Musnad Ahmed,Tirmidhi,Ibn Majah,Ibn Hibban,Sahih Al Jamai Hadees No.6415 Sahih)

No comments:

Post a Comment