Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu
BISMILLAH
1.Ramadan mein UMRAH karne ki fazilat:-
Ibn Abbas Rz se Riwayat hai
ALLAH k NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne Ansaar ki ek aurat(umme sinaan) se Farmaya:-
Jab Ramadan Aa jaye to isme Umrah Karna is liye k Ramadan mein Umrah HAJ k Barabar hota hai.
(Sahih Bukhari kitab ul Haj Hadees No.1782 Sahih Muslim Kitab ul Haj Hadees No.221(1256))
ek aur Riwayat mein
Ibn Abbas Rz se Riwayat hai
ALLAH k NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne Ansaar ki ek aurat(umme sinaan) se Farmaya:-
MERE sath Haj Karne K Barabar Hai.
(Sahih Bukhari kitab ul Haj Hadees No.1863 Sahih Muslim Kitab ul Haj Hadees No.222(1256)).
2.Umreh Ka mukhtasar tariqa;-
1.Gusul karna aur itar lagana.
2.Meeqaat pe ahraam bandhna aur ahram bandhne se pahele umreh ki niyat karna "labaik umratan" kahena or phir ahram pahenna.
3.Ahram bandhne ke baad buland awaz se talabiya pukare labaik allahumma labaik labaika la sharika laka labbaik innalhamda wa niamata laka wal mulk la sharika lak.
4.Jaise hi khaane kaaba pahunchey talbiya kahena band kardena chahiye.
5.Aur uske baad tawaaf shuru karne se pahele upar jo ahram pahente hai sidhai haat ke ahraam ka tukda yani kapda bagal ke nichai se lena hai.
6. Jab tawaaf shuru karte hajre aswad ke paas se tu zubaan se bismillahi allahu akbar kahna or phir har chakkar ke waqt jab aap hajre aswad ke paas se guzre tu yahi alfaaz kahena hai tawaaf shuru hote waqt agar hajre aswad ko chumne ka mauka mile tu chum lena agar haath lagane ka mauqa mile tu haath ku chum lena agar mauqa na mile tu door se haath se ishara karte waqt wo alfaaz ada karna.
7.Tawaaf ke shuru ke 3 rounds teez chale.
8.Rukun yamani ku agar chuna mumkin ho to chuye lekin bosa na de aur agar door ho to haath na bataye hajre aswad se rukun yamani tak dua padhna hai dua ye hai "Rabbana Aatina fidduniya hasnatou wa fil Aakhirati hasnatoun waqina azabannaar".
9.Saath chakkar mukammil karna ke baad muqaam e ibrahim as k paas aaye aur ye dua padhai "
10.Muqaam Ibrahim AS k paas do rakat namaz padhna.
11.Namaz ada karne k baad zamzam kowe k paas jaker piye aur kuch khatre sar par bhi dalde.
12.Zamzam pine kl baad agar mouqa mile to hare aswad bosa de agar bheed hai to mat jaiye.
13.safa pahadi ki taraf chalna chahiye safa ki pahadi per chadte waqt ye dua padhe "Innas Safa Wal Marwah min sha'aa irallah , faman hajjal baita awwe tamara fala junaha alaihi aai yattawaffa bihima, waman tatawwa aa khaira fa innalllah shakiroon aleem" phir khane kaba ki taraf dekh kar dua padhey aur saare chakkarou k douran jitne bhi dua yaad ho wo sab padhey.
14.safa pahadi se start karna chakkar safa se marwah ek chakkar phir marwah se safa 2 chakkar aise hi karege to aapke chakker marwah pe khatam honge safa marwah k chakkar k baad.
15.saare Sar k Baal nikal dijiye mard aur aurat kuch hiisa balou ka.
16.baal nikal ne k baad ahraam khodena.
isi terha aapka umrah mukammil hogaya In SHAA ALLAH.
kuch galti ho ti islah.
NOTE:- ye tariqa Shaik Shameem fouzi Hafidullah k bayan se liya gaya hai.
No comments:
Post a Comment