Sunday, August 21, 2016

SURAH AL MA'OON TAFSEER

"Fawailullilmusalleen" Qur'an 107:4
(Namaziyo Ke Liye Wail Nami Jahannum Ki Jagha Hai)

Surah Al Ma'oon

Bismillah IR-Rahman IR-Rahim

"Kya tune (isse bhi) dekha jo (roze) jaza ko jhutlata hai." "Yehi wo hai jo yateem ko dhakke deyta hai." "Aur miskeen ko khilane ki targeeb nahi deyta." "In namaziyo ke liye afsoos (aur wail nami jahannum ki jagha) hai." "Jo apni namaz se gafil hai." "Jo riyakari karte hai." "Aur baratne ki chize rokte hai."

(Surah Al Ma'oon)

Aayaat 4 aur 5 ki tafseer:

Aayat 4 ki tafseer: Is se wo loug muraad hai jo namaz ya tou padhte hi nahi, ya pehle padhte rahe hai phir sust hogaye ya namaz ko is ke apne masnoon waqat mein nahi padhte, jab jee chahata hai padh leyte hai ya taqeer se padhne ko mamool bana leyte hai ya Khushau Khuzu ke sath nahi padhte, ye sare hi mafhoom is mein aajate hai, is liye namaz ki mazkorah sari hi kotahiyo se bachna chahiye...

Yahan is maqaam par zikr karne se ye bhi wazeh hai ke namaz mein in kotahiyo ke murtakib wahi loug hote hai jo aaqirat ki jaza aur hisaab kitaab par yaqeen nahi rakhte. Is liye munafiq ki ek sifat ye bhi bayaan ki gayee hai,

Allah Ta'ala ne farmaya:

"Beshak munafiq Allah se chalbaziya kar rahe hai aur wo inhe is chalbazi ka badla deyne wala hai aur jab namaz ko khade hote hai tou badi kahili ki halat mein khade hote hai sirf lougo ko dikhate hai aur yaad-e-ilahi tou yuhi se baraye naam karte hai."

(Surah Nisa Aayat 143)

Aayat 5 ki tafseer: Yani aise lougo ka shewa ye hota ke lougo ke sath huwe tou namaz padh lee, basurat dageer namaz padhne ki zaroorat hi nahi samahjte, yani sirf namood wa numaish aur riyakari ke liye namaz padhte hai.

(Tafseer Ahsaan Ul Bayaan Surah Ma'oon)

Allahu'Akbar darne ka maqaam hai, Allah Ta'ala ne Namaziyo ke liye Jahannum ki jagha Wail mein jane ka zikr kiya...

Aye Allah!  Aise namazi hone se humko bacha aur sahih mane mein humko Namazi bana jo Namaz hum ko Jannat mein ley jaaye aisi Namaz padhne wala bana... Aameen

No comments:

Post a Comment