Tuesday, December 27, 2016

QUSTUNTUNYA PAR (PEHLA) HAMLA

BISMILLAH


Alhamdulillahi Wahda Was Salatu Wassalamu Ala Malla Nabiyi Ba'da Wa Ala Alihi Was Sahbihi Ajmain Khususan Ala Khula Fayir Rasheedin Wa Man Tabiyahum Bi Ihsaana Ila Yuamud Deen Wa Ba'd.

Qaula Rasoolullahi Sallallahu alahi wasallama, Awwalu Jaishim Min Ummati Yagzuna Madinata Qaisara Magfurullahum.....

Rasoolullah Sallallahu alahi wasallam Ne Farmaya,
Meri Ummat Mese Sabse (Pehle) Jo Lashkar Madina Qaisar Par Hamla Karega Un Sab Ki Magfirat Kar Di Jayegi....
[Sahih Bukhari, Kitab Uj Jihaadi Was Seeyari, Babu Maa Qila Fi Qitaalir Roomi]
SHARH:
Madina Qaisar Se Kaun Sa Seher Murad Hai?
Qaula Ayini Qaisara Laqabu Hirqal,
Allama Ayini Ne Farmaya Qaisar Hirqal Ka Laqab Hai,
(Umdat Ul Qaari Sharh Sahih Bukhari Lil Ayini, Jild-14, Safa-199)

Qaula Rajulu Ayyul Madinaini Yuftahu Qabl Ya Rasoolullah Sallallahualahiwasallama?
Qaula Madinata Hirqal!
Yuridu Madinatul Qustuntunyati,

Ek Sahabi Raziallahuanhu Ne Pucha Dono Sehro Me Pehle Kaun Sa Seher Fath Hoga Ya Rasoolullah Sallallahu alahi wasallam?
Rasoolullah Sallallahu alahi wasallam Ne Farmaya Madina Hirqal,
Hazrat Abdullah Ibn Umru Raziallahuanhu Ne Farmaya Apka Irada Isse Madina Qustuntunya Tha.
[Mustadrak Ala Sahihain Lil Hakim, Kitab Ul Fitn, Safa-468)

Sahuhu Hakim Wa Afqahuz Zahibi.
yani Madina Qaisar Se Murad Qustuntunya Hai Jo Hirqal Yani Room Ka Dar Ul Hukumat Hai Wallahu Alam
Hazrat Abu Imran Bayan Karte Hai Ke Hum Madina Se Nikle Aur Irada Tha Humara Qustuntunya Ka Aur Jam'at Ke Ameer Hazrat Abdur Rahman Ibn Khalid Ibn Walid Raziallahuanhuma The Aur Room Wale Apne Pust Ke Bal Room ke Madina(Yani Qustuntunya) Ke Diwar Ki Taraf Kiye Hue The To Ek Shaks Hum Mese Hatiyar Uthaya Dushmano Par To Logo Ne Kaha Ruko Ruko Allah Ke Siwa Koi Mabood Nahi,

Ye Shaks Apne Jaan Ko Halakat Me Dalta Hai To Usi Waqt Hazrat ABU AYYUB ANSARI raziallahuanhu Ne Farmaya Beshaks Ye Ayat Hum Ansaar Wali Ke Liye Nazil Hui Thi Jab Allah Ne Apne Nabi Sallallahu alahi wasallam KI Madad Ki Aur Islam Ko Galib Kiya To Humne Kaha Ab Apne Maalo Me Rah Kar Use Darust Karenge To Allah Ne Ye Ayat Nazil Farmaya Yani Allah Ki Raah Me Kharch Karo Aur Apne Hatho Apni Jaan Ko Halakat Me Na Dalo.

To Halakat Yahi Hai Ke Apne Maalo Me Mashroof Rahe Alah Azza Wa Jalla Ke Raah MeLadne Se Baaz Rahe.

Abi Imran Farmate Hai Ke Aur Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziallahuanhu Na Rukey Aur Wo Musalsal Jihad Karte Rahe Allah Azza Wajal Ki Raah Me Yaha Tak Ke Wo Qustuntunya Me Hi Dafan Hue...
[Sunan Abu Dawood, Kitab Uj Jihadi, Babu Fi Qauli Azza Wajalla Wala Tulqu Biyadaihi....)
(Mustadrak Ala Sahihain Lil Hakim, Kitab Ut Tafaseer, Safa-303]
[Sahih Ibn Hibban, Jild-11, Safa-9-11]
Sahahu Hakim Wa Afqahuz Zahabi.

Aur Isi Hadees Ko Imam Hakim Ne Isi Sanad Se Izafi Alfaz Ke Sath Riwayat Kiya Hai Yahi Abu Imran Farmate Hai Ke Hum Qustuntunya Me The Aur Ahle Misr Ke Ameer Uqba Ibn Amir Juhni The Aur Ahle Shaam Ke Ameer Fazla Ibn Ubaid Ansari The,
[Mustadrak Ala Sahihain Lil Hakim, Kitab Ut Tafaseer, Safa-302]

Sahahu Hakim Wa Afqahuz Zahabi,
Aur Isi Hadees Ko Imam Ibn Asarkir Ne Apni Tareekh Ud Damishq Me Riwayat Koya Hai Aur HAZRAT ABU AYYUB ANSARI Raziallahuanhu Farmate Hai Hum Dushmano Me Dakhil Hui Hazrat Abur Rahman Ibn Khalid Ibn Walid Raziallahuanhuma Ke Sath Bulandi Se Pehchate Hui Baigair Girte Hui Room Ke Sar Zameen Me Aur HAZRAT ABDUR RAHMAN IBN KHALID IBN WALID raziallahuanhu Wahu Wa Ameer Un Naasi Aur SARE LOGO KE AMEER THE.
[Tareekh Ud Damishq Lil Ibn Asakir, Jild-34, Safa-330]

Aur Isi Hadees Ko Isi Shiyaaq O Shabaq Aur Isi Alfaz Ke Aur Isi Sanad Ke Sath Kuchch Izafi Alfaz Ke Riwayat Kiya Hai Imam Ibn Hibban Ne Apni Sahih Me Wahi Raawi Abu Imran Farmate Hai Kunna Bi Madinatir Raoom Fakharaju Ilaina Saffan Azeeman....
Hum Madina Room(Yani Qustuntunya) Me The To Ek Azeem Fauj Humari Taraf Nikli Room Ki....
[Sahih Ibn Hibban, Jild-11, Safa-9-10]
Hafiz Abu Ahmad Ne Farmaya Istamalahu Muaviya Ibn Abi Sufiyana Ala Jama'atun Naasi Fi Gazwati Arminyati....

Hazrat Muaviya Ibn Abi Sufiyan Ne Abdur Rahman Ibn Khalid Ko Room Par Lashkar Kashi Ki Zimidari Saunpi Thi Aur Unhe Logo Ke Sare Jama't Ka Ameer Mukarar Kiya Tha...
[Tareekh Ud Damishq Lil Ibn Asakir, Jild-34, Safa-328].

In Sari Hadeeso Se Bohat Sari Baate Waze Hui Hai Pehla To Ye Yahi Lashkar Tha Jisne Sabse Pehle Madina Qaisar Par Hamla Kiya Tha Dalil In Sha Allah Aghe Ati Hai Dusra Ye Ke Is Lashkar Ke Ameer Hazrat Abdur Rahman Ibn Khalid Raziallahuanhuma The Jaisa Upar Hadees Guzar Chuki Abu Imran Ne Bayan Kiya Hum Qustuntunya Ke Liye Nikle Aur Jamat Ke Sardaar Abdur Rahman The Aur Abu Ayyub Ansar Rqziallahuanhu Ne To Baat Hi Waze Kar Diya Hum Dushmano Me Dakhil Hui Room Ke Sar Zameen Me Aur Sare Logo Ke Ameer Abdur Rahman Ibn Khalid The,

Kifayatullah Sanabali Sahab Ne Ye Dawa Kiya Hai Ke Jo Lashkar Madina Se Nikli Thi Uske Hi Sirf Ameer The Abdur Rahman Aur Is Lashakr Ka Amumi Ameer Yazeed Tha To Inka Ye Dawa Batil Wa Mardood Hai Naqali Bhi Aur Aqali Bhi,

Aqali Ye Ke Ye Jo Gazw Takriban Sann 44 Se 46 Hijri Ke Darmiyan Me Hua Aur Aymma E Maurikheen Ka Is Baat Par Ittifaq Hai Sann 44 Hijri Me Hazrat Abdur Rahman Ibn Khalid Ibn Walid Raziallahuanhu Ne Sar Zameen E Room Par Hamla Kiya Tha Dalil Aghe Ati Hai Aur Us Waqt Musalamno Ke Ameer Hazrat Muaviya Ibn Abu Sufiyan Raziallahuanhum The Agar Hazrat Muaviya Is Jung Me Shamil Hote To Zahir Si Baat Hai Wo Shaam Me Rehte The To Shaam se Jo Lashkar Niklta Uske Ameer Bhi Yahi Hote Aur Jo Lashkar Digar Sehro Se Nillta Uske Ameer To Alag Hi Hote Par Amumi Ameer Hazrat Muaviya Hi Hote To Zaruri Nahi Koi Kisi Seher Se Kisi Lashkar Ke Kar Nikla To Wo Sirf Usi Lashkar Ka Ameer Hoga Aur Hazrat Abu Ayyub Ansari Ne Saaf Waze Kar Diya Logo Ke Ameer Abdur Rahman Hi The,
Aur Naqali Dalil Ye Hai Aap Tareekh Ki Sari Kutoob Utha Kar Dekh Le Kisi Ek Bhi Tareekh Ki Kitab Me Is Lqshkar Me Yazeed Ka Koi Naam O Nishaan Hi Nahi Ameer Hona To Door Ki Baat Hai Pata Nahi Kifayatullah Sahab Ko Kaha Se Mila Wallahu Alam.

yaha Ek Sawal Ye Uthta Hai Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziallahuanhu Jis Lashkar Me Shareeq The Uska Ameer To Yazeed Tha Sahih Bukhari Ki Hadees Hai?

To Apko Ye Jaan Lena Chahiye Hazrat Abu Ayyub Ansari Ne Bohat Sare Gazwat Kiye Hai Ye Ahle Badr Mese Hai AurSann 44 Se 46 Hijri Me Jo Lashakr Ne Qustuntunya Par Hamla Koya Tha Pehli Baar Jiske Ameer Hazrat Abdur Rahman Ibn Khalid Ibn Walid The Us Lashkar Me bhi Abu Ayyub Shamil The Aur Fir Uske Baad Us Lashakr Me BhI Abu Ayyub Shamil The Jo Sann 50 Se 52 Hijri Ke Darmiyan Me Hua Jiska Ameer Yazeed Tha ,

Dalil Ye Haijis Lashkar Ka Ameer Abdur Rahman The Us Hadees Ko Imam Abu Dawood Ne Is Alfaz Ke Sath Riwayat Kiya Hai Falam Yuzaal Abu Ayyub Yujahidu Fi Sabilillahi Aur Abu Ayyub Na Roke Musalsal Jihahad Karte Rahe Allah Ki Raah Me Yaha Tak Ke Wo Qustuntunya Me Hi Dafan Hue Aur Mustadrak Ke Alfaz Ye Hai Fama Zaal Abu Ayyub Gaaziyan Fi Sabilillahi

 Aur Abu Ayyub Na Roke Aur Musalsal Gazwa Karte Rahe Allah Ki Raah Me

 Aur Ibn Hibban Ki Alfaz Hai Wama Zaal Shakhisan Fi Sabilillah

 Aur Abu Ayyub Na Ruke Aur Musalsal Jaddu Juhad Karte Rahe Allah Ki Raah Me ,
Yani Ye Baat Waze Hui Hazrat Abu Ayyub Ansari Hazrat Abdur Rahman Ibn Khalid Ke Sath Qustuntunya Me Gazwa Karne Ke Baad Baithe Nahi Rahe Balke Wahi Yani Qustuntunya Me Hi Gazwa Karte Rahe Haata Dafana Biha Yaha Tak Ke Wahi Dafan Hue 

Aur Jis Hadees Me Mahmood Ibn Rabi Bayan Karte Hai Ke Maine Rasoolullah Sallallahualahiwasallam Ke Ke Sahab Abu Ayyub Ke Samne Hadees Bayan Kiya Gazwatillati Tufa Biha Yani Us Gazwa Me Jisme Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziallahuanhu Ka Wafat Hua

Aur Iska Ameer Yazeed Tha Room Ke Sar Zameen Me Sahih Bukhari Kitab Ut Tahajjud Yani Yazeed Jis Lashakr Ka Ameer Tha Yani Jis Lashkar Ne Yazeed Ki Imarat Me Qustuntunya Par Hamla Kiya Tha Usi Gazwe Me Abu Ayyub Ki Wafat Hui To Waze Ho Gaya Ke Jis Lashkar Ka Ameer Abur Rahman Ibn Khalid The Wo ALlag Gazwa Tha Aur Aur Jis Lashkar Ka Ameer Yazeed Tha Wo Alag Lashkar Tha 

Aur Dono Hi Me Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziallahuanhu Shamil The Baat Paani Ki Tarha Saaf Hai Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziallahuanhu Jis Lashakr Me Shamil The Jiske Ameer Hazrat Abur Rahman Ibn Khalid The Us Gazwa Ke Baad Qustuntunya Me Hi Rahe Aur Wahi Gazwa Karte Rahe Musalsal Aur Fir Akhir Me Us Lashkar Ke Sath Mil Kar Gazwa Kiya Jiska Ameer Yazeed Tha.... Wallahu Alam

Kis Sann E Hijri Me Hazrat Abdur Rahman Ibn Khalid Ibn Walid Raziallahuanhuma Ne Room Ke Madina Yani Qustuntunya Par Hamla Kiya Tha?

1: Imam Ibn Kaseer Ne Farmaya Fir Dakhil Hua Sann 44 Hijri Isi Me Abdur Rahman Ibn Khaleed Ibn Walid Ne Room Ke Sar Zameen par Hamla Kiya Tha...
[Al Bidaya Wan Nihaya Lil Ibn Kaseer, Jild11, Safa-164]

2: Imam Ibn Aseer Ne Farmaya Fir Dakhil Hua Sann 44 Hijri Isi Hijri Me Musalmano Ne Abdur Rahman Ibn Khaleed Ibn Walid Ke Sath Room Ke Sar Zameen Dakhil Hue The...
[Al Kaamil Fi Tareekh Lil Ibn Aseer, Jild-3, Safa-298]

3: Imam Ibn Jauzi Ne Farmaya Sann44 Hijri Me Musalman Dakhil Hue The Room Ke Sar Zameen Me Abdur Rahman Ibn Khalid Ke Sath...
[Al Muntazim Fi Tareekh Lil Ibn Jauzi, Jild5, Safa-209]

4: Imam Khalifa Ibn Khayyat Ne Farmaya Ibn Kalbi Ne FarmaYa Sann 44 Hijri Me Abdur Rahman Ibn Khalid Ibn Walid Ne Isi Hijri Me Room Ke Sar Zameen Par Chadhayi Ki Thi...
[Tareekh Khalifa Ibn Khayyat, Safa-207]

5: Hafiz Abu Ahmad Ne Farmaya Hazrat Muaviya Ne Abdur Rahman Ibn Khalid Ibn Walid Ko Sar Zameen E Room Par Lashkar Kashi Ki Jimidari Sompi Thi Aur Unhe Sare Logo Ka Ameer Mukarar Kiya Tha Sann42 Hijri Me Fir Unhone Sann 44 Hijri Aur Sann 45 Hijri Aur Fir Sann 46 Hijri Me Room Ke Sar Zameen Par Lashakr Kashi Ki ...[Tareekh Ud Damishq Lil Ibn Asakir, Jild-34, Safa-328]

6: Hafiz Sa'ad Ne Farmaya Sann45 Hijri Me Abdur Rahman Ibn Khalid Ibn Walid Ne Room Ke Sar Zameen Par Hamla Kiya Tha.[Tareekh Ud Damishq, Lil Ibn Asakir, Jild34, Safa-330]

7: Imam Ibn Jarir Tabri Ne Farmaya Fir Dakhil Hua Sann 44 Hijri Isi San Hijri Me Iske Siwaya Musalmano Ne Hazrat Abdur Rahman Ibn Khalid Ibn Walid Ke Sath Room Ke Sar Zameen Par Hamla Kiya Tha....
[Tareekh Ut Tabri, Jild-5, Safa-212]

Sann 42 Hijri Me Hazrat Muaviya Ibn Abu Sufiyan Raziallahuanhum Ne Hazrat Abdur Rahman Ibn Khalid Ibn Walid Raziallahuanhuma Ko Sar Zameen E Room Par Hamle Ki Jimidari Sompi Thi Aur Unhe Sare Logo Ka Ameer Mukarar Kiya Tha Aur Hazrat Abdur Rahman Ibn Khalid Ne Sar Zameen E Room Me Sann 44 Hijri Me Fir Sann 45 Hijri Me Fir Sann 46 Hijri Me Akhiri Baar Hamla Kiya Jaisa Ke Upar Hafiz Abu Ahmad Ki Wazahat Guzar Chuki Aur Room Yani Kaisa Ke Madina Yani 

Qustuntunya Me Dakhil Hui The Sann 44 Hijri Ke Lag Bhag Jaisa Ke Upar Hadees Chuzar Chuki 
Aur Ayyimma E Maurikheen Ki Us Hadees Ki Tasdeeq Bhi Wazahat Ke Sath Guzarchuki Aur Fir Sann 46 Hijri Me Hazrat Abdur Rahman Ibn Khalid Ibn Walid Raziallahuanhuma Room Par Lashkar Kashi Se Farig Ho Kar Hamas Ki Taraf Rawana Hue 
Aur Isi Sann 46 Hijri Hi Me Hazrat Abdur Rahman Ibn Khalid Ibn Walid Rqziallahuanhuma Ki Wafat Hui Hamas Me In Sha Allah Dalil Aghe Ati Hai....
Jambhoor Ayyimma E Maurikheen

 Aur Ayyimma E Muhaddisheen Ka Is Baat Par Ittifaq Hai Ke Hazrat Abdur Rahman Ibn Khalid Ibn Walid Raziallahuanhuma Ka Wafat Sann 46 Hijri Me Hi Hua

 Aur Kisi Ek Muhaddish Ne Iska Inkar Nahi Kiya Aur Na Hi Kisi Ne 46 Hijri Ke Baad Inka Tareekh E Wafat Bayan Kiya Hai In Sha AllahHazrat Abdur Rahman Ibn Khalid Ibn Walid Raziallahuama Ki Tareekh E Wafat Par Sari Dalil Agli Post Par Ayegi


WRITTEN BY:
Jalaluddin Muhammad Iqbal Alam

No comments:

Post a Comment