BISMILLAH
Saheeh hadees ko apnana Ahle Hadees ka Shahaar hai.
Jaisa ke Imaam Muslim Rahmatullah Alai farmate hai ke
واعلم۔ رحمک اللہ۔ أنّ صناعۃ الحدیث، ومعرفۃ أسبابہ من الصحیح والسقیم، إنّما ھی لأھل الحدیث خاصّۃ، لأنّھم الحفّاظ لروایات الناس، العارفین بھا دون غیرھم، إذ الأصل الذی یعتمدون لأدیانھم السنن والآثار المنقولۃ، من عصر إلی عصر، _من لدن النبیّ صلّی اللہ علیہ وسلّم إلی عصرنا ھذا_
“ Allah aap par rahmat karen ! Jaanle’n ke fann hadees aur iske sehth wa saqam ke asbab ke Muarifat sirf Ahle hadees ka Khaas hai. Kyunki wo logonki Rivaayat ko yaad rakhne waale aur wahi inko janne wale hai. Wajah yeh hai ke Mazaahib ke dalail wa Sunan wa Asaar hai jo zamane ba zamana nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam se hamare daur tak naqal hothi aayi hai._
*{ Kitaab Al Tamheed Laa Imaam Muslim # Safa #218 }*
2) *Imaam Ibn Khuzaimah Rahmatullah Alai likte hai ke*
_و أنّا مبّین عللہ، إن وفّق اللہ لذلک، حتّی لا یغترّ بعض طّلاب الحدیث بہ، فیلتبس الصحیح بغیر الثابت من الأخبار، قد أعلمت ما لا أحصی من مرّۃ أنّی لا أستحلّ أن أموّہ علی طّلاب العلم بالاحتجاج بالخبر الواھیۃ، و أنّی خائف من خالقی جلّ وعلا، إذا موّھت علی طّلاب العلم بالاحتجاج بالأخبار الواھیۃ، وإن کان حجّۃ لمذھبی۔_
“ Agar ALLAHutaala ne Taufeeq di tho mai iske Illaten waazeh karunga taaki baaz Taalbaan hadees isse dhoka na khajaye aur Saheeh hadees aur ghair saabit hadees ke saath ghadd madd na hojaaye. Maine bahut dafa khabardaar kiya hai ke mai Zaeef ahadees ke saath Taalibaan e Hadees par hujjat pakadkar dhoka dene ko halal nahi samajta tha. Mai apne Khaliq se darta hu ke mai Taalbaan e Hadees ko Zaeef hadees ke saath Hujjat pakadkar dhokha du. Agarche mere mazhab ke dalail hi kyun na ho._
*{ Kitaab At-Tawheed Laa ibn Khuzaimah : 2/833 }*
3) Imaam Ibn Hibbaan Rahmatullah Farmate hai ke :_
_لأنّا نستحلّ الاحتجاج بغیر الصحیح من سائر الأخبار، و إن وافق ذلک مذھبنا، ولا نعتمد من المذاھب إلّا علی المنتزع من الآثار، و إن خالف ذلک قول أئمتنا۔_
“ Kyunki ham ghair saheeh ahadees ke saath hujjat dalail lena jayaz nahi samajte agarcha wo hamare Mazhab ke Muafiq ho aur ham sirf isi mazhab par aitmaad karte hai jo ahadees wa asaar se saabit ho. Agarche wo hamare Aimmah ke qaul ke khilaaf bhi ho. “_
*{ Sahih Ibn Hibbaan, Tahat Hadees : 1112 }*
Nez Farmate hai ke :_
_ذکر رحمۃ اللہ جلّ و علا من بلّغ أمّۃ المصطفٰی صلّی اللہ علیہ وسلّم حدیثا صحیحا عنہ۔_
“ Is shaks par ALLAHutaala ki rahmat ka bayan jo Nabi e Kareem Sallallahu Alai Wasallam ki Ummat ko ap ki koi Saheeh hadees pahunchaye “_
*{ Saheeh Ibn Hibbaan, Tahat Hadees : 67 }*
4) Imaam Abu Al Mazfar Al Sam’aani Rahmatullah Alai Farmate hai ke :_
_ولکن یحتجّ بقول التابعیّ علی قول النبّی أو بحدیث مرسل ضعیف علی حدیث متّصل قویّ، و من ھنا امتاز أھل اتّباع السنّۃ عن غیرھم، لأنّ صاحب السنّۃ لا یألو أن یتّبع من السنن أقواھا، ومن الشھود علیھا أعدلھا و أتقاھا، و صاحب الھوی
کالغریق یتعلّق بکلّ عود ضعیف أو قویّ۔_
“ Lekin har bidaat Nabi Akram Sallallahu Alai Wasallam ke Farmaan ke Khilaaf kisi Tabaee ka Qaul bataur hujjat paish karta hai ya Muttasil Qawi Hadees ke Khilaaf Mursal Za’eef Hadees ko Paish karta hai, Is buniyaad par Sunat ke Mutbaeen ghaironse Mumtaaz hothe hai. Kyunki Sahaab e Sunnat hadeesome se sabse Qawi aur Gawahome se sabse Aadil aur Muttaqi ke baat ko manne me khotaahi nahi karte. Jabke Bidaati shaks is doobne wale ki tarah hotha hai jo har Kamzor aur Mazboot ka sahara leta hai._
*{ AL Intisaar Laa Sahaab al Hadees al Sam’aani : Safa # 55-56 }*
5) Shaikh Ul Islam Imaam Ibn Taymiyyah Rahmatullah Alai Farmate hai ke :_
_لا یجوز أن یعتمد فی الشریعۃ علی الأحادیث الضعیفۃ التی لیست صحیحۃ و لا حسنۃ۔_
_“ Shariyat me un Za’eef Ahadees par Aitmaad karna jayaz nahi, jo Saheeh Ya Hasan na ho “_
*{ Majmua Al Fatawa : 1/250 }*
6) Haafiz Ibn Rajab Rahmatullah Alai Farmate hai ke :
_فأمّا الأئمّۃ و فقھاء أھل الحدیث، فإنّھم یتّبعون الحدیث الصحیح حیث کان، إذا کان معمولا بہ عند الصحابۃ و من بعدھم، أو عند طائفۃ منھم، فأمّا ما اتفّق علی ترکہ، فلا یجوز العمل بہ، لأنّھم ما ترکوہ إلّا علی علم أنّہ لا یعمل بہ۔_
“ Aimmah Wa Fuqaha Ahle Hadees
Saheeh Hadees ka Ittiba karte hai. Wo Jahan bhi ho jab ho Sahaaba kiraam aur Tabaee azeem ke Nazdeek Ittifaaqi taur par ya unmese ek taifa ke yaa mamool bi ho. Rahi wo surat ke jab iske tarf par sahaaba wa Tabaeen ka Ittifaaq hojaye tho ispar Aml jayaz nahi. Kyunki Sahaaba wa Tabaeen ne ispar Aml isliye choda hai ke inko Maalum tha ke ispar Aml nahi kiya jayega. “
*{ Fazal Alam al Salaf Ali Al Khalaf laa ibn Rajab : Safa # 57 }*
by: Nadeem Shaik
No comments:
Post a Comment