Monday, January 9, 2017

Hadees ki itni saari kitaabein Kyun ? Quran ki tarah ek (1) kitaab kyun nahi?



BISMILLAH


SAWAL

Hadees ki itni saari kitaabein Kyun ? Quran ki tarah ek (1) kitaab kyun nahi?


JAWAB

Hadees ki itni saari kitaabein Kyun ?

Quran ki tarah 1 kitaab kyun nahi ?

Ye ek sawal paida hota hai jo kisi musalman ke dil me paida ho sakta hai.

Jaisa ke Ham sab jante hai ke...

Allah ne 23 saal me zarurat ke hisaab se Quran ko zare-zare se Pyare Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam par naazil kiya aur ham sab ye bhi jante hai ke Quran ki ayato ki ginti ki jaa sakti hai lekin Hadees ke bareme aisa nahi hai.


Exactly Hadees ki kitni kitabein maujud hai aur usme total kitne hazaar hadeese jama ki gayi is bareme aam musalman ilm nahi rakhta.

Sabse pahle ek buniyadi baat ye samjna hai ke Quran ek "Mujmal" (in-brief) kitab hai aur Hadees "Tafsili" (in-detail) hoti hai. Mujmal us baat ko kaha jata hai jisko samajne ke liye kisi tafseer (explaination) ki zarurat hoti hai. Jaisa ke Quran me "Salaat" (Namaz) qayam karne ka hukm diya lekin Salaat (Namaz) ka tariqa quran me nahi bataya gaya. Salaat ka tariqa Muhammadur Rasoolullah SallallahuA'laihiWaSallam ne Hadees ki shakl me Sahaba ko practically Salaat adaa karke bataya.

Aur ek misaal Quran me chor ka hath katne ka hukm diya gaya lekin chor ka hath kaha se aur kaise kata jaaye Quran nahi bataya lekin iski tafseel Hadees-e-Rasool me batayi gayi.

Isiliye "Hadees-e-Rasool" ko Quran ki "Tafseer" (Explaination/Commetry) kaha jata hai

Iske alaawa Islami Shariyat ka bahot bada hisaa Quran me bilkul nahi bataya gaya jaisa ke Kafan-Dafan ke tafsilaat, Shadi-walima ka tariqa, masnoon dua'ye, roz-marra zindagi me adaab, jihad ke usool, zakaat ke tafsilaat aur digar Sunnatein aur bahot saare chize apko Quran me nahi milenge. Ye saare chize apko Hadees-e-Rasool me milenge.

Ham dekhte hai ke jab Teacher class me koi subject padhata hai to padhate waqt apne students ko subject me jo diya hota hai usey students ko samjhane ke liye Teacher ko explaination dena padta hai. Dusare alfaaz me subject ka syllabus "mujmal(brief/short)" hota hai lekin subject students ke dil me utaarne ke liye Teacher use khol-khol kar bayan karna hai.

Yehi misaal Rasoolullah sallAllahu Alaihi wasallam ke liye fit hoti hai.

Rasoolullah sallAllahu alaihi wasallamek Teacher the aur Sahaba unke Shagird (student) the. Quran unka Syllabus tha aur Hadees unka explaination (tafseer) tha. Isiliye Quran short me nazil kiya gaya aur Hadees ko detail me.

Allah ne Rasoolullah sallallaho alaihi wasallam ko Quran ko khol-khol kar bayan karne ka hukm diya ..

بِٱلْبَيِّنَٰتِ وَٱلزُّبُرِ ۗ وَأَنزَلْنَآ إِلَيْكَ ٱلذِّكْرَ لِتُبَيِّنَ لِلنَّاسِ مَا نُزِّلَ إِلَيْهِمْ وَلَعَلَّهُمْ يَتَفَكَّرُونَ

"Dalilo aur kitaabo ke saath ye zikr (kitaab) hum ne aap ki taraf utaara hai ke logo ki jaanib jo naazil farmaya gaya hai, aap use khol khol kar bayaan karde, shaayad ke wo ghaur wa fikr kare".

(Surah 16 Nahal : Ayat 44)

Yaha kamaal is baat ka hai ke Rasooolullah Quran ki tafseer bhi apne dil se bayan nahi kiya karte the balke wo tafseer (yaani Hadees) bhi Allah ki taraf se nazil ki jaati thi.

Jaisa ke Allah ne khud farmaya :

“Ke Tumhara saathi (Muhammad) na gumraah huye aur na baheke. Aur wah (Muhammad) to APNI NAFSAANI KHWAHISH se kuchh NAHI KAHTE. Yah to WAHEE (paigaam) hai jo unpar bheji jaati hai".

(Surah Najm 53 : Ayat 2,3,4)


Miqdaam bin Ma’dikarib (Rz) farmate hai ke Rasoollulalh SallallahuA’laihiWaSallam ne IRSHAAD farmaya ke…

"Suno, mujhe Quran diya gaya aur usi ke sath sath “uski Misl” (yaani Sunnat/Hadees) bhi di gayi”.

(Abu Dawood, Kitabul Sunaah, Chapter 42, Hadees No. 9)

Aap hi bataeeye ke Quan ko khol-khol kar bayan karne me aur roz-marra zindaagi ke Dawati, Maali, Siyasi, Samaaji masail par Roshni dalne ke liye Rasoollullah SallallahuAlaihiWaSallam ne .....


1 din me...

1 hafte me...

1 mahine me...

1 saal me ....


Aur....

Nabuwat ke baad apni puri zindagi me....

Kitni Hadeese bayaan ki hongi...

yahi asal wajah hai ke Quran ki aayeto se jyada Hadeese payee jaati hai.

In saare Hadeeso ko alag alag Muhaddiso ne apne apne zamane me apne apne hisab se logo ke pas ja-ja kar Hadees-e-Rasool ko jama kiya aur in Hadeeso ko Kitab ki shakl me likh kar mahefuz kiya.

No comments:

Post a Comment