JAWAB:
Biddat nahi hai.
Jab Deen-e-Islam me biddat karnewale bhaiyo se kaha jata hai ke Kunde, Barsi, Chaliswa, Duwam, Shab-e-Baraat, Shab-e-Meraj, Jashn Milaadun Nabi na manaya jaaye kyunke ye Sunnat-e-Rasool nahi hai to aise logo ka jawab hota hai ke aap Morden Technological machines/devices kyun istemaal karte ho jaise Car, Bike, Cycle, Computer, Watch, Aeroplane wagaira ?
Kya in technologies ka istemaal karna Sunnat-e-Rasool hai ? Ye bhi to ek tarah ki biddat hai.
Aj ham aise naadaan bhaiyo ke naadaan sawaalat ka jawab ek Hadees-e-Rasool ki roshni dena chah rahe.
Ayesha radhiyallahu farmati hai ke :
Rasoolullah SallallahuA'laihiWaSallam ne kuchh awaaze suni, to kaha ke ye awaaze kaisi hai? Logo ne Kaha ke Aey Allah ke Rasool ke yaha log Khajoor ke nar aur mada ki crossing kar rahe hai. Rasoolullah ne Kaha ke aisa na kare to tab bhi thik rahega.(To us saal) un logo ne khajoor ke male-female ki crossing nahi ki, (iska natija ye huwa ke) us saal puri khajoor ki paidawar barbaad hogayi gayi. Logo ne aakar Rasoolullah se kaha apke kahne par hamne crossing nahi ki thi isliye puri khajoor ki paidawar raddi hogayi. To Rasoolullah SallallahuA'laihiWaSallam ne ek usool bayan kiya :
Agar mamala tumare duniya ka hai to tum jo chahe karo jaha tak Islam ijazat deraha hai. Agar koi mamla Deen (Islam) ka aajaye to (us mamle ko karne ke liye) meri taraf ruju karo (meri taraf lautao yani meri Sunnat dekho).
(Musnad Ahmad)
Is Hadees se pata chalta hai ke .....
1. Us daur me khajoor ke darkhto ki "Cross planting" karna us daur ke hisab se ek agricultural technique thi isliye Rasoolullah SallallahuA'laihiWaSallam ne baad me "cross plantation" ki ijazaat dedi.
2. Is Hadees ko ajke daur me laagu (apply) karonge to pata chalta hai ke un Modern Technologies ka istemaal karne me koi harz nahi jo Islam ke buniyaadi usoolo se na takraati ho.
3. Is Hadeese me Rasoolullah SallallahuA'laihiWaSallam ne Sahaba ke shakl me saare Musalmano ko ek nasihat farmaayi hai ke Deeni ke mamlo meri Pairawi karo. Isme apni manmaani nahi chalegi.
4. Ab ham ye dekhenge ke kya Allah aur uske Rasool SallallahuA'laihiWaSallam ne Kunde, Barsi, Chaliswa, Duwam, Shab-e-Baraat, Shab-e-Meraj, Jashn Milaadun (dusare digar tammam rasumaat) ko manane ka hukm diya hai kya, agar hukm diya hai to ham ye sab manayenge warna ruk jayenge kyunke ham ye sab rasumaat Deen ke naam par kar rahe hai isliye inke karne kr liye Quran aur Sahih Hadees se daleel chahiye.
5. Islam ek lachakdaar (flexible) Deen hai jo har zamane ke liye fit hota hai.
Modern Technologies ka istemaal karne ka ishaara is Hadees-e-Rasool se milta hai.
No comments:
Post a Comment