BISMILLAH
Jawab :
Aaj Islamic duniya me 2 naam bade badnaam hai aur public me inke bareme bahot zyada galat-fahmiya paaye jaate hai, Muslim aur gair-muslimo me bhi aur *wo 2 naam hai “AHLE HADEES” aur “SALAFI”.* Ye unke ilm ki kami ki wajah se hai aur unke su-Ulama (bad-Ulma) ka hath bhi hai isme jo jaan bujkar in 2 naamo ke bareme musalmano ko bhad’kaate hai.
Buniyadi baat yaad rahe ke khalis Islami shariyat par chalne walo ko kai naamo se pukara jata hai jaisa ke "Ahle Sunnat wal Jamaat",“AHLE HADEES”,"As'haabul Hadees", “SALAFI”, "Ahle Athar", "Tayfa Mansoora", "Firqa Najiya (jisko Jahannam se najaat milegi).
Ye saare naam aise hai jaise ham Islam par chalne walo ko kabhi "Muslim" kahte hai aur kabhi "Mumeen", to kabhi "Ibaadur Rahman", to kabhi "Allah ke bande", aur kabhi "Imanwale".
Aaj ham sirf “SALAFI" naam ke bareme guftgu karenge.
“SALAFI” lafz “SALAF” se nikla hai. "SALAF" yaani pichhe guzre huye log.
Isalm me “SALAF” se murad kaun
Islami duniya me SALAF se murad SAHABA, TABI’IN, TAB-TABI’IN aur inke naksh-e-kadam par chalne wale tamam Mumineen jo Qayamat tak paida hoge.
Jaisa ke Allah ne khud SALAF ki aise taarif ki hai:
“Aur muhaajireen aur ansaar me se (Iman ki taraf) sabqat (pahal) karne wale aur jitne log ikhlaas ke saath un ke pairaw hai, Allah un sab se raazi huwa aur wo sab Allah se raazi huye aur Allah ne un ke liye aise baagh muhaiyya kar rakhe hai jin ke niche nahre jaari hongi jin mein hamesha rahenge, ye badi kamyaabi hai".
(Surah 09 Tawbah : Ayat 100)
Is ayat ye malum hoti hai ke ….
1.Nabi aur unke Sahaba ke naksh-e-kadam par chalne walo se Allah raazi hai aur wo sab Allah se raazi hai aur aise logo ke liye Jannat ki khushkhabri hai.
2.Jin logo ne apne apne Imam bana liye aur unki TAQLEED (blind-fallowing) karne lag gaye hai kya unme se koi Sahabi hai???? Sahaba ki itni fazilat hone ke bawjood bhi kya aap bata sakte hai ke 4 bade Sahaba ke naam par koi Siddiqui, Umari, Usmani, Alawi naam ka koi firqa bana?
3.Is ayat se ye bhi malum huwa ke Allah ne Sahaba ko MUSLIM ke alawa MUHAJIREEN aur ANSAR ka bhi laqab (label) diya hai.
Iska matlab ham “MUSLIM” naam ke alawa is gumrahi wale daur me dusre gumrah firqo se apni alag pahechan banane ke liye apna koi SIFAATI aur MANHAJI naam rakh sakte hai jo Islami Shariyat ki tarjumani karta ho jaisa AHLE HADEES, SALAFI, AS’HABUL HADEES, ya TAYFA MANSOORA. Ye saare Islami shariyat ke tarjumaani naam hai.
Ye naam kisi khas Imam ki taraf nahi bulate hai. Dusare alfaaz in saare naamo ka nichod 1 hi hai yani sirf Allah aur uske Rasool ki pairawi ki taraf logo ko bulana hai.
Naam ki koi ehmiyat (importance) baaki nahi rah jaati agar uski buniyaad (foundation) galat ho. Nama me kuchh nahi rakha hai. Isiliye "Ahle Sunnat wal Jamaat", "AHLE HADEES", SALAFI, AS’HABUL HADEES aur TAYFA MANSOORA ye koi firqe ka nam nahi hai balke ISLAMI Shariyat ke ham-naam (parallel names) hai.
Lekin han TAQLEEDI naamo se bacha jaaye. Imamo ke nam par jitne bhi Firqe banaye gaye ye sab TAQLEEDI FIRQE hai.
ham ye bhi batane chahte hai ke jab Saare Musalman Sahaba ki tarah Allah aur uske Rasool ki pairawi karne lag jaayenge to in saare naamo ki koi zarurat nahi rahegi. "Muslim" hi naam kaafi hoga.
Rasoolullah SallallahuA'laihiWaSallam ne bhi farmaya :
Beshak mere Ummat me sabse behtareen log mere Zamane ke (yaani Sahaba), fir unke baad ke zamane ke log (yaani Tabi’in) fir unke baad ke zamane ke log (yaani Tab-Tabi’in)".
(Sahih Bukhari, Sahih Muslim #2535)
Is Hadees 3 giroh ki taraf ishaara kiya gaya, yaani...
Sahaba,
Tabi’in aur
Tab-Tabi’in,
inko ham hamare SALAF kahte hai. Hamare 4 Imam bhi SALAF me shamil hai isliye in 4 Imamo ki izzat karna ham par farz hai lekin kisi 1 Imam ki Taqleed nahi karenge. Zarurat hone Chaaro Imamo se ham ilm hasil karenge. Hame Maslaqi-deewarein khadi nahi karna chahiye.
“SALAFI" naam ki zarurat kyun ?
Jab muslim samaj me taqleed aam hogayi thi. Musalman apne apne Imam bana liye the aise waqt jo Musalman Sahaba ke Manhaj par qayam the unone kaha ke "ham kisi khas 1 Imam ke muqallid (blind followers) nahi hai" balke ham "SALAFI" hai yaani ham Quran aur Hadees ko kisi ek khas Imam ke faham (understanding) aur sonch ke mutabik samajne ke bajaay ham Quran aur Hadees ko SAHABA , TABI’IN aur TAB TABI’IN aur “Ahle Sunnat wal Jamaat” ke saare Imamo ke MUJMUYI (collective) fahem ke mutabik samjte hai.
Is methology ko “SALAFIYAT” kaha jata hai aur is raah par chanle walo ko SALAFI kaha jata hai aur yahi behtar tariqa hai Islam ko samjne ka.
Ek GALAT FAHEMI
Log ye samje hai ke SALAFIYAT ki shuruwat Imam ibn Taimiyyah ke daur se shuru hui aur Saudi Arab ke Imam Muhammad ibn Abdul Wahhab (Rh) ne use zinda kiya. Ye ek galat fahemi hai.
Ham pahle hi bata chuke ke jab se is ummat me Imamo ki taqleed shuru hui tab se SALAFI naam maujud me aya. Aap khud pata kare ke is Ummat me taqleed kab se shuru hai.
KHULASA :
Jab ham apne apko SALAFI kahte hai to yaani ham SAHABA, TABI'IN aur TAB TABI'IN aur tamaam SALAF-e-SALEHIN ke raah par chalne wale hai yaani Quran aur Sahih Hadees ko in SALAF ke MAJMUYI FAHEM (Collective Understanding) ke mutabik Samaj ne wale hai.
No comments:
Post a Comment