Sunday, February 19, 2017

AGAR KOI RISHTE DAR SOOD KHATA HO AUR US KE GHAR KA KHANA KAHA SAKTE?

BISMILLAH

SAWAL

AGAR KOI RISHTE DAR SOOD KHATA HO AUR US KE GHAR KA HUM KUCH KHALETE HAI TO KYA HAMARI 40 DIN IBADAT QUBOL NAHI HOTI AGAR NA KHAI TO BAAT BAN HO JATI HAI IS HALAT ME HUM KYA KRE?


JAWAB

Jo log soodi karobar karte hain ya soodi lein dein main mubtala hain, *aise logon ke paas khana na khaya jaye.*

Jo shaks ALLAH aur uske RASOOL sallAllahu Alaihi wasallam se dushmani rakhe aur unn se e’alan-e-jung kare, aise logon se nafrat ka izhar karna chahiye Aur un ko baar baar talqeen karna chahiye keh wo is kaam ko jalde se jalde chore dein.

Magar unn se qata’a talluq na karein aur agar wo rishtedaar hain to tab to unn ka haq aur v badh jaata hai.

Is maamale main agar koi naraz v hota hai to ap us ki narazgi ki koi parwah na karein.

Jo shaks ALLAH aur uske RASOOL sallAllahu Alaihi wasallam ko naraz kar raha ho uski narazgi ki kya parwah?

Ek haram ka luqma insan ki zindagi ko wabale jaan bana sakta hai.

*Jis ke peth main haram ka luqma ho us shaks ki dua v ALLAH qubul nahi hoti*

*Kuch ghar aise hain jahaan agar khana kha lena majboori ho to wahan kha lene mein koi harj nahi hai,* *Jaise Maa baap ka ghar.*

ALLAH taala ne istarah bayan ki hai,

ALLAH farmata hai Surah Noor ki aayat no. 61 main

لَيْسَ عَلَى الْأَعْمَى حَرَجٌ وَلَا عَلَى الْأَعْرَجِ حَرَجٌ وَلَا عَلَى الْمَرِيضِ حَرَجٌ وَلَا عَلَى أَنْفُسِكُمْ أَنْ تَأْكُلُوا مِنْ بُيُوتِكُمْ أَوْ بُيُوتِ آبَائِكُمْ أَوْ بُيُوتِ أُمَّهَاتِكُمْ أَوْ بُيُوتِ إِخْوَانِكُمْ أَوْ بُيُوتِ أَخَوَاتِكُمْ أَوْ بُيُوتِ أَعْمَامِكُمْ أَوْ بُيُوتِ عَمَّاتِكُمْ أَوْ بُيُوتِ أَخْوَالِكُمْ أَوْ بُيُوتِ خَالَاتِكُمْ أَوْ مَا مَلَكْتُمْ مَفَاتِحَهُ أَوْ صَدِيقِكُمْ لَيْسَ عَلَيْكُمْ جُنَاحٌ أَنْ تَأْكُلُوا جَمِيعًا أَوْ أَشْتَاتًا فَإِذَا دَخَلْتُمْ بُيُوتًا فَسَلِّمُوا عَلَى أَنْفُسِكُمْ تَحِيَّةً مِنْ عِنْدِ اللَّهِ مُبَارَكَةً طَيِّبَةً كَذَلِكَ يُبَيِّنُ اللَّهُ لَكُمُ الْآيَاتِ لَعَلَّكُمْ تَعْقِلُونَ

Andhay per langray per beemar per aur khud tum per (mutlaqan) koi harj nahi kay tum

1) apnay gharon say khalo

2) apnay bapon kay gharon se

ya 3) apni maahein kay gharon se

4) apnay bhaiyon ke gharon se

5) apni behan ke gharon se 6) apnay chachaon kay gharon se

7) apni phoophiyon kay gharon se

8) apnay mamoo’on kay gharon se

9) apni khalaon kay gharon se

10) unn kay gharon say jin ki kunjiyon kay tum malik ho 11) apnay doston ke gharon say.

Tum per is mein vkoi gunah nahi kay tum sab sath beht ker khana khao ya alag alag. Pus jab tum gharon mein janey lago to apnay ghar walon ko salam ker liya kero duya-e-khair hai jo ba-barkat aur pakeeza hai Allah Taalaa ki taraf say nazil shuda yun hi Allah Taalaa khol khol ker tum say apnay ehkaam biyan farma raha hai takay tum samajh lo.

*(Surah Noor: 61)*

⬆⬆ Jis gharon ka yahan zikar huwa hai, yahan be Rizak khane ka hukum ALLAH ne diya hai.

Majboori ke tahat in gharaun mein kha lene mein koi harj nahee hai.

Sood aur soodi karobar aaj hamare mu’ashare mein badi bareeki se phaila huwa hai.

Aisa shaks jo khud- kafeel na ho, Agar in mein se koi ghar soodi karobar ya len den mein mubtala ho,

aur in ke alawa is ka koi kafeel aur sarparast na ho, to ye majboori hai, is halat mein khana kha lene mein koi harj nahi.

*Aise rishtedaar jahaan khana kha lena hamari majboori na ho, wahan khane se parhez e kiya jaye.*

Aise rishtedaron ka puri tarah boycott v na karein is se rishtedaari mein darar paida hoti hai.

*Maqsad sirf khana na khana ho, baaqi saare talluqat apni jagah banaye rakhein.*

*Unn se baat cheet karein, husn-e-akhlaq se pesh aayein, rishtedaari ke tamam huquq ada karein.*

No comments:

Post a Comment