Monday, February 20, 2017

*Hasad Kise Kehte Hai ?*


BISMILLAH

*Kisi Ko Khaata Peeta Ya Falta Foolta Dekh Kar Dil Me Jalna*

Aur Uski Neymato Ke Zawaal (Khatam Hone) Ki Tamanna Karna

Iss Kharaab Aadat Ka Naam “Hasad” Hai

Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ke ⬇️

“Hasad Se Bacho!

Iss Liye Ke Hazrate Aadam (Alaihay Salam) Ke Ek Bete Ne

Dusre Bete Ko “Hasad” Me Qatl Kar Diya Tha"

*(Ibn-e-Asaakir:40/49)*

Allah ta’ala ne *Qur'an Surah al Maidah ke Ayat 27 ta 30* main Adam Alaihi Salam ke dono beto ka zikr farmaya hai

*Hasad Kaha Jayaz Hai* ⬇️

Hazrat Abdullah Bin Mas’ud (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,

Rasool’Aallah ((Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya

Hasad Sirf Do Baato Me Jayaz Hai,


(1). (Ek) Tou Uss Shakhs Ke Baare Me Jisey Allah Ta’ala Ne Doulat Di Ho

Aur Wo Uss Doulat Ko Raah-e-Haq Me Kharch Kare,… Aur,

(2). (Dusra) Uss Shakhs Ke Baare Me Jise Allah Ta’ala Ne Hiqmat Di Ho

Aur Wo Uskey Jariye Faisley Karta Ho Aur Logo Ko Uski Taalim Deta Ho”.

*(Sahih Bukhari, Ilm Ka Bayan, 73)*


*Hasido Ke Hasad Se Panah* *Ke Liye Dua:*

“Allah Ke Panaah Maangta Hoon, Haasid Ke Sharr Se Jab Wo Hasad Kare”
Ameen
*(Surah Al-Falaq, Aayat 5)*


Allah Rabbul Izzat Hume Haasido Ke Hasad Se Panah Ata Farmaye ,..

Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
Khatma Humara Imaan Par Ho …

AAMEEN YA ALLAH

No comments:

Post a Comment